Ulma e Tafsir ka bayan hai ki ek din Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne vajah farmaya aur khiyamath ki holnakiyon ka iss andaz me bayan farmaya ki samayin mutassir ho kar zaro khatar rone lage, aur logon ke dil dahal gaye aur log iss khadar khofo haras se larza barandam ho gaye ki das zalilul khadr sahaba e kiram Hazrate Usman Bin Majun zamahi ke makan par jama huve jin me Hazrate Abu Bakkar Siddiq Va Hazrate Ali Va Hazrate Abdullah Bin Masood Va Hazrate Abdullah Bin Umar va Hazrate Abu Zar Gifari va Hazrate salim va Hazrate Mikdad Va Hazrate Salman Farsi Va Hazrate Ma'Kil Bin Makran Va Hazrate Usman Bin Maj'un Raziyallahu Tala Anhu the aur in Hazrath ne apas me mashvar kar ke ye mansuba banaya ki Aab Aaj se Ham log sadhu Ban kar Jindagi Basar karenge, Tat vaghaira ke mote kapde pahanege aur rozana din bhar roze rakh kar sari raath ibadath karenge, Bistar par nahi soyenge aur apni auraton se alag rahenge aur gosht charbi aur ghee vaghaira koi muraggan ghiza nahi khayenge na koi khushbu lagayenge aur sadhu ban kar rooh e zamin me gashth karte firenge.
Jab Huzure Akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ko sahaba e kiram ke iss mansube ki ittila mili to Aap ne hazrate usman bin maj'un raziyallahu tala se farmaya ki mujhe yesi yesi khabar malum huyi hai tum batao ki vakhia kai hai? to hazrate usman bin maj'un Raziyallahu Tala Anhu apne sathiyon ko le kar bargahe nabuvvath me hazir huve aur arz kiya ki ya rasoollallah! Huzur ko jo ittila mili hai vo bilkul sahih hai. Iss mansube se bajuz neki aur kair talab karne ke hamara koi dusra makdas nahi hai. ye sun kar huzure akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ke jamale nabuvvath par khadre jalal ka zuhur ho gaya aur Aap ne farmaya ki main jo deen le kar aya hun uss me in baton ka hukum nahi hai. suno! tumhare upar tumhari jano ka bhi haq hai. lihaza kuch din roza rakho aur kuch dino me khao piyo aur raath ke kuch hisse me jaag kar ibadath karo aur kuch hisse me so raha karo. dekho main Allah ka rasool ho kar kabhi roza rakhta hun aur kabhi roza nahi bhi rakhta hun aur gosht, charbi, ghee bhi khata hun. Achche kapde bhi pahanta hun aur apni biviyon se bhi talluk rakhta hun aur khushbu bhi istimal karta hun ye meri sunnath hai aur jo musalman meri sunnath se muh modega vo mere tarikhe par aur mere farmaa bardaron me se nahi hai.
Iss ke baad sahaba e kiram ka ek majma jama farma kar Aap ne nihayath hi muassir vaaz bayan farmaya jis me Aap ne barmala irshad farmaya ki sun lo! main tumhen iss baath ka hukum nahi deta ki tum log sadhu ban kar rahibana zindagi basar karo. mere deen me goshth vagaira laziz ghizaon aur aurato ko chod kar aur tamam dunyavi kamon se khataye talluk kar ke saduon ki tarha kisi kuttiya pahad ki kho me bait rahana ya zamin me gasht lagate rahna hargiz hargiz nahi hai sun lo! meri ummath ki siyahath jihad hai iss liye tum log bajaye main gasht karte rahne ke jihad karo aur namaz va roza aur haj va zakath ki pabandi karte huve khuda ki ibadath karte raho aur apni jano ko sakhti me na dalo. kuinki tum logon se pahale agli ummaton me jin logon ne sadhu ban kar apni jano ko sakhti me dala, to Allah Tala ne bhi un logon par sakht sakht ahkam nazil farma kar unhen sakhti me mubtala farma diya jin ahkam ko vo log nibah na sake aur bil akhir natija ye huva ki Allah Tala ke Ahkam se muh mod kar vo log halak ho gaye.
Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ke iss vajah ke baad hi surah e maida ki mundarijaye zail ayate sharifa nazil ho gayi.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Ye Imaan Valon! Haram na taharao vo suthri chizon ki Allah Tala ne Tumhar liye halal ki aur had se na bado. beshak had se badne vale Allah ko napasand hain. Aur khao jo kuch tumhen Allah ne rozi di halal pakiza aur daro Allah se jis par tumhen imaan hai.
Darse Hidayath
In Ayath se sabakh milta hai ki islam me sadhu ban kar zindagi basar karne ki ijazath nahi hai, umda gizaon aur achche kapdon ko apne upar haram tahara kar aur bivi bachchon se Khataye talluk kar ke sadhuon ki tarha kisi kutiya me dhuni jama kar baithe rahna, ya jangalon aur biyabano me chakkar lagate rahana, ye hargiz hargiz islami tarikha nahi hai. khoob samajh lo ki jo muft khor baba log iss tarha ki zindagi guzar kar apni durveshi ka dhong racha kar kutiyon ya maidano me baite huve apni babayiyath ka prachar kar rahe hain aur zahilon ko apne dame tajvir me fase huve hain. khub Aankh khol kar dekh lo aur kaan khol kar sun lo ki ye sadhuon ka rang dhang islami tarikha nahi hai balki asal aur sachcha vohi hai jo rasoole akram sallallahu alaihi o sallam ki sunnath aur in ke mukhaddas tarikhe ke mutabik ho.lihaza jo shakhs sunnaton ka daman tham kar zindagi basar kar raha ho, dar hakhikhat usi ki zindagi islami zindagi hai aur sufiyaye kiram ki durveshana zindagi bhi yehi hai.
Khoob samajh lo ki nabuvath ki sunnaton ko chod kar zindagi ka jo tarikha bhi ikhtiyar kiya jaye vo dar hakhikhat na islami zindagi hai na sufiya ki durveshana zindagi.lihaza Aaj kal zin babaon ne rahibana aur sadhuon ki zindagi ikhtiyar kar rakhi hai un ke iss tarze amal ko islam aur buzurgi se door ka bhi koi talluk nahi hai musalmano ko iss se hoshiyar rahana chahiye. aur yakhin chahiye ki ye saab makru kaid ka khubsurath jaal bichaya huve hain jis me bhole bhale akhidath mand musalman fase rahte hain aur iss bahane baba log apna ullu shidha karte rahte hain. ek sachchi hakhikath ka izhar aur haq ka aylan ham alimo ka farz hai jis ko ham ada kar rahe hain.