Zulkhar Nain Aur Yajuz Va Majuz

Zulkharnain ka naam "Sikandar" hai. Ye hazrate Khizr Alaihis Salam ke Khala Zad bhai hai Hazrate Khizr Alaihis Salam in ke vazir aur jangalon me alambardar rahe hain. Ye hazrate sama bin nuh alaihis salam ki avlad me se hain aur ye ek budiya ke ek lote farzand hain hazrate ibrahim khalillullah alaihis salam ke daste haq parast par islam khabul kar ke muddaton

     Un ki sohabath me rahe aur hazrate ibrahim khalilullah alaihis salam ne in ko kuch vasiyyaten bhi farmayi thi sahih khol yahi hai ki ye nabi nahi hai balki ek banda saleha hain jo vilayath ke shar se sarfaraz hai

Zulkhar Nain Kuin Kahlaye?

                  Huzur Alaihis Salatu Vassalam ne Farmaya ki ye Zulkhar Nain(2 Singhon vale) ke lakhab se iss liye mashhur ho gaye ki inho ne dunya ke do singhon yani dono kinaron ka chakkar lagaya tha.
Aur Baaz ka khol hai ki in ke dor me logon ke do karan khatam ho gaye 100 baras ka ek karan hota hai. Aur Baaz kahte hain ki in ke do gaisu the isliye Zulkhar Nain kahlate hain. aur ye bhi ek khol hai ki in ke taaj par do singh bane huve the.aur baaz iss ke kayil hain ki khud in ke saar par dono taraf ubhar tha jo singh jaisa nazar Aata tha aur bazon ne ye vajah batayi ki chunki in ke baap aur maa najibuttarfain aur sharif zade the iss liye log in ko zul khar nain kahane lage. Wallahu Tala

                 Allah Tala ne un ko tamam roohhe zamin ki badshahi Ata farmayi thi. Dunya me kul char badshaa yese huve hain jin ko puri zamin ki puri badshahi mili in me do mominin the aur do kafir momin to Hazrate Sulaiman Alaihis Salam aur Zulkhar Nain hain aur kafir ek Bakhte Nasr aur dusra Namrud hai. Aur tamam roohhe zamin ke ek panchven badshaah iss ummat me hone vale hain jin ka isme girami hazrate imam mahadi Raziyallahu Tala Anhu hain.

Zulkhar Nain ke Teen Safar.

                Quran e Majid me Hazrate Zulkhar Nain ke tin safaron ka hal bayan huva hai jo surah kahaf me hain. Haam Quran e Majid hi se in tino safaron ka hal tahrir karte hain, jin ki  rudad bahut hi ajib aur ibrat khaiz hai.

Pahala Safar:

             Hazrate Zulkhar Nain ne purani kitabon me pada tha ki saam bin nooh Alaihis Salam ki Avlad me se ek shakhs abe hayath ke chashme se pani pi lega to us ko mauth na ayegi. iss liye hazrate zulkhar nain ne maghrib ka safar kiya. Aap ke saath hazrate khizr alaihis salam bhi the vo to abe hayat ke chashme par pahunch gaye aur uss ka pani bhi pi liya magar hazrate zulkhar nain ke mukhaddar me nahi tha, vo mahrum rah gaye. iss safar me Aap zanibe maghrib ravana huve to jahan tak abadi ka namon nishan hain vo manzilen tai kar ke Aap ek yese makham par pahunche ki unhen suraj ghurub ke vakht yesa nazar aya ki vo ek siyah chashme me dub raha hai. zaisa ki samandari safar karne volon ko aftaab samandar ke kale pani me dubta nazar ata hai. vahan un ko ek yesi khom mili jo janvaron ki khal pahane huve thi.Iss ke siva koi dusra libas un ke badan par nahi tha aur daryayi murda janvaron ke siva un ki ghiza ka koi dusra saman nahi tha. ye khom "nasik" kahlati thi hazrate zulkhar nain ne dekha ki in ke lashkar beshumar hain aur ye log bahut hi takhatvar aur jang ju hain. to hazrate zulkhar nain ne in logon ke gird apni faujon ka dhera dal kar in logon ko bebas kar diya. Chunanche, kuch to musharrafa ba imaan ho gaya aur kuch Aap ke fojon ke haton makhtul ho gaya.

Dusra Safar:

           Fir Aap ne mashrik ka safar farmaya yahan tak ki jab suraj tulu hone ki jagah pahunche to ye dekha ki vahi ek yesi khom hai jin ke pass koi imarath aur makanath nahi hain. Un logon ka ye hal tha ki suraj tulu hone ke vakht yeh log zamin ki gharon me chup jate the.Aur suraj dhal jane ke baad gharon se nikal kar apni rozi ki talash me lag jate the.ye log khome "mansak" kahlate the hazrate zulkhar nain ne in logon ke mukhable me bhi lashkar arayi ki aur jo log imaan laye un ke saath behtarin suluk kiya aur jo apne kufr par ade rahe un ko tahe taigh kar diya.

Tisra Safar:

          Fir Aap ne shimal ki janib safar farmaya yahan tak ki "sadin"(Do Pahadon Ke Darmiyan) me pahunche to vahan ki abadi ki ajibo gharib zaban thi un logon ke saath isharon se ba mushkil bath chith ki ja sakti thi un logon ne hazrate zulkhar nain se yajud majuz ke mazlim ki shikayath ki aur Aap ki madad ke talib huve.

Yajuz Va Majuz:

              Ye Yafas Bin Nooh Alaihis Salam ki avlad me se ek fasadi guroh hai. Aur in logon ki tadad bahut hi zaida hai. ye log bala ke jangh ju khoon khwar aur bilkul hi bahshi aur jangli hai jo bilkul janvaron ki tarha rahate hain. mosime rabia me ye log apne gharon se nikal kar tamam khetiyan aur sabjiyan kha jate the. aur khushk chizon se nikal kar tamam khetiyan aur sabjiyan kha jate the aur khushk chiton ko lad kar le jate the admiyon aur jangli janvaron yahan tak ki samp,bichchu,girgit aur har chote bade janvar ko kha jate the.

Sadde Sikandari:

              Hazrate Zulkhar Nain se logon ne faryad ki ki Aap hame yajuz va majuz ke shar aur un ki iza rasaniyon se bachayiye aur in logon ne in ke ivaz kuch maal dene ki bhi peshkash ki to hazrate zulkhar nain ne farmaya ki mujhe tumhare maal ki zarurath nahi hai.Allah Tala ne mujhe saab kuch diya hai baas tum log jismani mehanath se meri madad karo. chunanche,Aap ne dono pahadon ke darmiyan bunyad khudvayi jab pani kikal Aaya to is par pighlaye huve tambe ke ghare se patthar jamaye gaye aur lohe ke takhte niche upar chun kar un ke darmiyan me lakdi aur koila bharva diya aur uss me Aaf lagava di iss tarha ye divar pahad ki bulandi tak unchi kar di gayi aur dono pahadon ke darmiyan koi jagah na chodi gayi.fir pighlaya huva taamba divar me pila diya gaya jo saab mil kar bahut hi mazbut aur nihayat mustahkam divar ban gayi.

          Quran e Majid ki surah kahaf me Hatta Iza Balagha Maghribashshamsi se  Min Amri Na Yusra pahale safar ka zikr hai fir Summa AtbaAa Sababan  se Khubran Tak Dusre safar ka tazkira hai aur Summa AtbaAa Sababan se Va Kana Vaadu Rabbi Hakhkhu  Tak Tisre safar ki rudada hai.

Read More.

 1.  Khome Saba Ka Sailab
 2.  Gazva E Ahjab Ki Andhi
 3.  Kharoon Ka Anjaam
 4.  Yadashth Tez Karne Ka Nuskha
 5.  Roomie Maghlub Ho Kar Fir Ghalib Honge

Sadde Sikandari Kab Tutegi?

              Hadis Sharif me hai ki yajuz va majuz rozana is divar ko todte hain aur din bhar jaab mehnath karte karte iss ko todne ke kharib ho jate hain to in me se koi kahla hai ki Aab chalo bakhi ko kal tod dalenge.dusre din jab vo log ate hain to khuda ke hukm se vo divar pahale se bhi zaida mazbuth ho jati hai jab iss divar ke tutne ka vakht ayega to in me se koi kahega ki Aab chalo.Insha Allah kal iss divar ko tod dalenge in logon ke Insha Allah kahne ki barkath aur iss kalime ka yeh samra hoga ki dusre din divar tut jayegi yeh khiyamath kharib hone ka vaqth hoga.divar tutne ke baad yajuz va majuz nikal padenge aur zamin me har taraf fitna va fasad aur khatlo gharath karenge chashmo aur talabon ka pani pee dalenge aur janvaron aur darkhton ko kha dalenge zamin par har jagahon me fail jayenge magar makka e mukarrama va madina e tayyiba va baitul mukhaddas in tino shaharon me ye dakhil na ho sakenge fir hazrate isa Alaihis Salam ki dua se un logon ki gardano me kide paida ho  jayenge aur ye saab ke saab halak ho jayenge. Quran e Majid me hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Yahan tak ki jab khole jayenge yajuz va majuz aur voh har bulandi se dhalkate honge.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »