Huzure Akdas Sallallahu Alaihis Sallam ki Hayate Mubaraka me chand Admi aur vafaate akdas ke baad bahut log murtad hone vale the jin se islaam ki baka ko shadid khatra lahikha hone vala tha. lekin Quran e Majid ne barson pahle ye ghaib ki khabar di aur ye pesh goyi farma di ki iss bhayanak aur khatarnak vakht par allah tala ek yesi khom ko paida farmayega jo islam ki muhafizath karegi aur vo yesi 6 sifaton ki jameA hogi jo tamam dunyavi va ukharvi fazayil va kamalath ka saar chashma hai aur yehi 6 sifath in muhafizine islam ki alamath aur in ki pahchan ka nishan hongi aur vo 6 sifath ye hain:
1. Vo Allah Tala ke mahbub honge
2. Vo Allah Tala se Mohabbath karenge
3. Vo Mominin par bahut meharban honge
4. Vo Kafiron ke liye bahut sakht honge
5. Vo Khuda ki raah me zihad karenge
6. Vo Kisi malamath karne vale ki malamath se khayif nahi honge.
Sahibe tafsire jamal ne kashaaf ke havale se tahrir farmaya hai ki arab ke 11 khabile islam khabul kar lene ke baad Aage piche islam se Munharif ho kar murtad ho gaya. 3 khabayil to Huzur Alaihis Salam ki mozudgi me aur 7 khabile hazrate amirul mominin Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ke dore Khilafath me Aur ek khabila hazrate amirul mominin Umar Farooq Raziyallahu Tala Anhu ke khalifa hone ke baad magar ye 11 khabayil apni intihayi koshishon ke bavajud islam ka kuch bhi na bigad sake. Balki mujahidine islam ke sarfaroshan zihadon ki badolath ye saab murtadin tahas nahas ho kar fana ke ghat utar gaye aur parchame islam barabar buland se buland tar hota hi chala gaya. aur Quran e Majid ka vada aur gaib ki khabar bilkul sach aur sahih sabith ho kar rahi.
Zamana E Risalath Ke 3 Murtadin
1. Khabila E Bani Mudliz jis ka rayis "Asvad Anisi" tha jo " Zul hamar" ke lakhab se mashhur tha.
Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne Hazrate Muaz Bin Jabal Aur Yaman Ke Sardaron ko farman bheja ki murtadin se zihad karen. Chunanche, Firoz dailmi ke haath se Asvad anisi khatal huva aur uss ki jamath bikhar gayi aur huzur Alaihis Salam ko Bistare Alalath par ye khush khabri sunayi gayi ki asvad anisi khatal ho gaya hai. iss ke dusre din hi Huzur Alaihi Salam ka visal ho gaya.
2. Khabila e Banu Hanifa jis ka sardar "Musailima Khazzab" tha. jis se hazrate abu bakkar raziyallahu Tala anhu ne zihad farmaya aur ladayi ke baad hazrate vahshi raziyallahu tala anhu ke saath se musailimatul khazzab makhtul huva aur uss ka guroh kuch khatl ho gaya aur kuch dobara damane islam me Aagaya.
3. Khabila e Bun Asad, Jis ka amir talha bin khuvailad tha. Huzure akdas Sallallahu Tala Alaihi o Sallam ne uss ke mukhable ke liye hazrate khalid bin valid raziyallahu tala anhu ko bheja aur jang ke baad talha bin khuvailad shikhast kha kar mulke shaam bhag gaya magar fir dobara islam khabul kar liya aur akhiri dam tak islam par sabith khadam raha aur uss ki foz kuch kat gayi kuch tayib ho kar fir dobara musalman ho gaye.
Khilafate Siddiqe Akbar Ke 7 Murtad Khabayil
1. Khabila e Fazara jis ka sardar uyena bin hasan fazari tha.
2. Khabila Ghathfan jis ka sardar khurra Bin Salma Khusheri tha.
3. Khabila e Banu Sulem jin ka sargana fajah Bin Yalail Tha.
4. Khabila e Bani YarbuA jis ka Sarbara Malik Bin buraida Tha.
5. Khabila e Banu Tamim jin ki amir sajah binte manzar ek aurath thi jis ne Musailimatul Kazzab se Shadi kar li thi.
6. Khabila e Kanda jo Ashash Bin Kais ke Pairukar the.
7. Khabila e Banu Bakkar jo khatami bin yazid ke tabe Adar the. Amirul mominin Hazrate Abu Bakkar Siddikh Raziyallahu ne in Murtad hone vale saton khabilon se mahino tak badi khoon rez jangh farmayi. Chunanche, Kuch in me se makhtul ho gaye aur kuch toba kar ke fir damane islam me Aa gaye.
Daure Farooqi Ka Murtad Khabila
Amirul Mominin Hazrate Umar Farooqe Azam Raziyallahu Tala Anhu ke dore Khilafath me sirf ek hi khabila murtad huva aur ye khabila e Ghassan tha. jis ki sardari jabla bin yeham kar raha tha. magar Hazrate umar farooqe azam raziyallahu tala anhu ke parcham ke niche sahabaye kiram ne jihad kar ke iss guroh ka khala khamA kar diya aur fir iss ke baad koi khabila bhi murtad hone ke liye saar nahi utha saka.
Iss tarha murtad hone vale in gairah khabilon ka sara fitna va fasad mujahidine islam ke jihadon ki badolath hamesha ke liye khatam ho gaya.
In murtadin se ladne vale aur in shariron ka khalA khamA karne vale sahaba e kiram the. jin ke bare me barson pahle Quran e Majid ne ghaib ki khabar dete huve ye irshad farmaya tha ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Ye imaan valon tum me jo koi apne din se firega to An kharib Allah yese log lagayega ki vo Allah ke pyare aur allah un ka pyara musalmano par narm aur kafiron par sakhth Allah ki rah me ladenge aur kisi malamath karne vale ki malamath ka andesha na karenge ye Allah ka fazal hai jise chahe de aur allah vusAt vala ilm vala hai.
Darse Hidayath
In Ayath se sahabe jail anvare hidayath ki tajalliyan numudar hoti hai.
Murtadin ke fithno aur shorisho se islam ko koi nuksan nahi pahunch sakta kuinki Allah Tala murtadon ke mukhable ke liye har dor me ek yesi jamath ko paida farma dega jo tamam murtadin ki fitna pardaziyon ko khatam kar ke islam ka bol bala karti rahegi jin ki 6 nishaniyan hongi.
In Ayate Bayyinath se sabith hota hai ki sahaba e kiram raziyallahu tala anhu jinhone murtadin ke 11 khabayil ki shorishon ko khatam kar ke parchame islam ko buland se buland tar kar diya. ye sahaba e kiram mundarija e zail 6 azim sifath ke sharaf se sarfaraz the. Yani
1. Sahaba e Kiram Allah Tala Ke Mahboob hain.
2. Vo Kafiron ke haq ke bahuth sakhth hain.
3. Vo Allah Tala ke muhib hain
4. Vo Musalmano ke liye raham dil hain.
5. Vo Mujahide fi sabilillah hain
6. Vo Allah Tala ke muamle me kisi malamath karne vale ka andesha va khof nahi rakhte.
Fir Ayath ke akhir me khudavande khuddus ne in sahabaye kiram ke maratib va darjath ki azmath va sar bulandi par apne fazlo inam ki mohar sabth farmate huve ye irshad farma ki ye saab Allah ka fazal hai aur Allah Tala ka fazlo karam badi vusath vala hai aur allah tala hi ko khoob malum hai ki kon uss ke fazal ka haqdar hai.
Allahu Akbar! Subhanallah Kai kahna hai sahaba e kiram ki azmaton ki bulandi ka. Rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ne sahaba e kiram raziyallahu tala anhu ke fazlo kamal ka yelan farmaya aur khudavande khuddus ne in logon ke jameul kamalath hone ka Quran e Majid me khutba pada.