Jaab Surah "Tabbat Yada" Nazil huyi aur abu lahab aur uss ki bivi "Umme jamil" ki iss surah me mazammath utari to abu lahab ki bivi umme jamil gusse me ape se bahar ho gayi. Aur ek bahut bada patthar le kar voh harme kaba me gayi uss vaqth huzure akram sallallahu tala alaihi o sallam namaz me tilavate quran farma rahe the aur kharib hi hazrate abu bakkar siddikh raziyallahu tala anha baite huve the. "Umme Jamil" bad badati huyi ayi aur huzure akhdas sallallahu alaihi o sallam ke pass se guzarti huve hazrate abu bakar siddiq raziyallahu tala anhu ke pass ayi aur mare gusse ke muh me jhag bharte huve kahane lagi ki batao tumhare rasool kahan hai? mujhe malum huva hai ki inhone meri aur mere shohar ki hiju ki hai. Hazrate abu bakar siddiq raziyallahu tala anha ne farmaya ki mere rasool shayira nahi hain ki kisi ki hizu karen. fir voh ghozon ghazab me bhari huvi pure harme kaaba me chakkar lagati firi aur bakti jhakti huzur alaihi o sallam ko dhundti firi magar jab vo huzur sallallahu alaihi o sallam ko na dekh saki to bada bhadati huve haram se bahar jane lagi aur hazrate abu bakar siddiq raziyallahu tala anha se kahane lagi ki main tumhare rasul ka saar kuchalne ke liye ye patthar le kar ayi thi magar afsos ki vo mujhe nahi mile hazrate abu bakar siddiq raziyallahu tala anhu ne huzur sallallahu alaihi o sallam se iss vakhiye ka zikr kiya to Aap ne farmaya ki mere pas se vo kayi bar guzri magar mere aur uss ke darmiyan ek farishta iss tarha hasil ho gaya ki ankh fad fad kar dekh ne ke bavazud voh mujhe na dekh saki iss vakhiye ke mutallik ye ayath nazil huvi
Tarjuma E Kanzul Imaan:
Aur ye mahbub! tum ne quran pada ham ne tum par aur un me ki akhirath par imaan nahi late ek chupa huva parda kar diya
Darse Hidayath:
Umme jamil akhiyari hote huve aur ankhon fad kar dekhne ke bavajud huzur sallallahu alaihi o sallam ke mojize ke siva kuch bhi nahi kaha ja sakta iss kism ke mojizath huzur sallallahu tala alaihi va sallam ki taraf se barha sadir huve hain aur bahut se avliyaullah se bhi yesi karamatenbarha sadir huyi hai aur auliya ki ye karamaten bhi hamare nabi sallallahu alaihi o sallam ke mojizath hi hai kuinki vali ki karamath dar hakhikhat uss ke nabi ka mojiza huva karta hai.