Nooh Alaihis Salam Ki Kashti


Hazrate Nooh Alaihis Salam 950 baras tak apni khom ko khuda ka paigham sunate rahe magar in ki bad nasib khom imaan nahi layi balki tarha tarha se Aap ki tahkhir va tajalli karti rahi aur khism khism ki aziyyaton aur taklifon se Aap ko satati rahi yahan tak ki kayi bar un zalimo ne Aap ko iss khadar zado khob kiya ki Aap ko murda khayal kar ke kapdon me lapet kar makan me dal diya. magar Aap fir makan se nikal kar deen ki tabligh farmane lage. isi tarha barha Aap ka gala ghont te rahe yahan tak ki Aap ka dam ghut ne lagta aur Aap behosh ho jate magar in izaon aur susibaton par bhi Aap yehi dua farmaya karte the ki ye mere parvar dagar. Tu meri khom ko bakhsh de aur hidayath Aata farma kuinki ye mujh ko nahi jante hain.

           Aur khom ka ye haal tha ki har budda baap apne bachchon ko ye vasiyyath kar ke marta tha ki nooh Alaihis Salam bahuth purane pagal hain iss liye koi in ki baton ko na sune aur na in ki baton par dhain de, yahan tak ki ek din ye vahi nazil ho gayi ki ye nooh! Aab tak jo log momin ho chuke hain un ke siva aur dusre log kabhi hargiz hargiz imaan nahi layenge. iss ke baad Aap apni khom ke imaan lane se na ummid ho gaya aur apne iss khom ki halath ke liye dua farma di. Aur Allah tala ne Aap ko hukum diya ki Aap ek kashti tayyar karen chunanche , 100 Baras me Aap ke lagaye huve sagavan ke daraqhth tayyar ho gaye aur Aap ne in daraqhton ki lakdiyon se ek kashti banayi jo 80 gaz lambi aur 50 gaz chodi thi aur iss me 3 darje the, Nichle Tabkhe me darinde, parinde aur hashratul arz vaghaira aur darmiyani tabkhe me chopaye vaghaira janvaron ke liye aur balayi tabkhe me khuda aur mominin ke liye jagha banayi. Iss tarha ye shandar kashti Aap ne banayi aur 100 baras ki muddath me ye tarikhi kashti ban kar tayyar huyi jo Aap ki aur momino ki mehnath aur karigari ka samra thi. jinho ne be panah mehnath kar ke ye kashti banayi thi.

          Jaab Aap kashti banane me musroof the to Aap ki khom Aap ka mazakh udati thi. koi kahta ki ye nooh! Aab tum badiye ban gaye? Halanki pahle tum kaha karte the ji main khuda ka nabi hun. koi kahta ye nooh! iss khushk zamin me tum kashti kuin bana rahe ho? kai tumhari Aqhal mari gayi hai? gharz tarha tarha ka tamskhur va istihaza karte aur kism kisam ki tana baziyan aur bad zabaniyan karte the aur Aap un ke javab me yehi farmate the ki Aaj tum ham se mazaq karte ho lekin math ghabrao jab khuda ka Azab ba surate tufan Aa jayega to ham tumhara mazaqh udayenge.

          Jab tufan Aa gaya to Aap ne kashti me darindon, charindon aur parandon aur kisam kisam ke hashratul arz ka ek ek joda nar va mada suvar kara diya aur khuda Aap Aur Aap ke tino farzand yani Haam, Saam Aur Yafas aur in 3 ko biviyan aur Aap ki momina bivi aur 72 mominin mard va aurath kul 80 insan kashti me suvar ho gaye aur Aap ki ek bivi "vahila" jo kafira thi, Aur Aap ka ek ladka jis ka naam "kinAan" tha, Ye dono kashti me suvar nahi huve aur tufan me ghark ho gaye.

         Rivayath hai ki jab saamp aur bichchu kashti me suvar hone lage to Aap ne in dono ko rok diya. To in dono ne kaha ki ye Allah ke nabi! Aap ham dono ko suvar kar lijiye . ham ahad karte hain ki jo shakhs "Salamun Alaa Nuhin Fil Alamina" pad logh ham dono uss ko zarra nahi pahunchayenge to Aap ne in dono ko bhi kashti me bitha liya. Tufan me kashti valon ke siva sari khom aur kul makhluqh gharkh ho kar halak ho gayi aur Aap ki kashti "Judi pahad" pa ja kar tahar gayi aur tufan khatam hone ke baad Aap MaAa kashti valon ke zamin par utar pade aur Aap ki nasal me be panah barkath huyi hi Aap ki avlad tamam roohe zamin par faila kar Aazab ho gayi isi liye Aap ka lakhab "Adame Sani" hai.



Qurane Majid me khudavande Azzawajal ne iss vakhiye ko in alfaz me bayan farmaya hai ki.

Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur nooh ko vahi huvi ki tumhari khom se musalman na honge magar jitne imaan la chuke to gham na khaa uss par jo voh karte hain aur kashti bana hamare samne aur hamare hukum se aur  zalimon ke bare me mujh se baath na karna vo zarur dubaye jayenge aur nooh kashti banata hai jaab uss ki khom ke sardar uss par guzarte uss par haste, bola : agar tum ham par haste ho to ek vaqht ham tum par hasenge jaisa tum haste ho to Aab jaan jaoge kis par Aata hai vo azab ki use rusva kare aur utarta hai vo azab jo hamesha rahe.

Read More.

  1. Cure Of Heart(Dil ki beemari ka ilaj)
  2. Ek Tariqhi Munazara
  3. 70 Admi Mar kar Zinda Ho Gaye
  4. Zulkhar Nain Aur Yajuz Va Majuz
  5. Abu Lahab Ki Bivi Ko Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam Nazar Na Aye

Firon Ka Imaan Maqbul Nahi Huva

Firon Jab apne lashkaron ke saath darya me gharkh hone laga to dubte vaqht 3 martaba uss ne apne imaan ka Aylan kiya magar uss ka imaan makhbul nahi huva aur vo kufr hi ki halath me mara. lihaza baz logon ne jo ye kaha hai ki firon momin ho kar mara, un ka khol khabile yetibar nahi hai.

Dubte vaqht ek martaba firon ne "Amantu" kaha yani main Imaan laya. Dusri martaba "Annahu Laa Ilaha Illalazi Amantubillahi Banu Israela"  kaha yani uss allah ke siva jis par bani israel imaan laye dusra koi khuda nahi hai aur tisribar ye kaha ki. "Va Anaminal Muslimina" yani main musalman hun.

       Rivayath hai ki hazrate jibrael Alaihis Salam ne firon ke muh me khudavande tala ke hukum se kichad bhar di aur vo achchi tarha kalima e imaan ada nahi kar saka.

       Ye bhi ek hikayath mankhool hai ki jaab firon takhte saltanath  par bait kar khudayi ka dava karta tha to hazrate jibrael alaihis salam admi ki shakal me uss ke pas ye fatva talab karne ke liye tashrif le aye ki kai farmate hain badshaah uss gulam ke bare me jo apne mola ke diye huve maal aur uss ki nematon me pala bada fir uss ne apne mola ki na shukri ki aur uss ke hukuk ka inkar karte huve khud apni siyadath ka Aylan kar diya balki khudayi ka dava karne laga to firon ne uss ka javab ye likha ki yesa gulam jo apne mola ki nashukri kar ke apne mola ka baghi ho gaya uss ki saza yehi hai ki vo darya me gharkh kar diya jaye chunanche, jab dubte vakht firon par mauth ka ghar-ghara suvar ho gaya to Hazrate Jibrael Alaihis Salam ne firon ka vo dastakhati fatva uss ko dikhaya iss ke baad firon mar gaya.

         Allah Tala ne Quran e Azim me iss vakhiye ka zikr farmate huve irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur ham bani israel ko darya par le gaya to firon aur uss ke lashkaron ne in ka picha kiya sarkashi aur zulm se yahan tak ki jab use dubne  ne Aa liya, Bola: Main imaan laya ki koi sachcha mabud nahi siva uss ke jis par bani israel imaan laya aur main musalman hun kai Aab aur pahale se nafarman raha aur tu fasadi tha Aaj ham teri lash ko utar denge(Bakhi rakhenge) ki tu apne pichlon ke liye nishani ho aur beshak log hamari ayaton se ghafil hain.

         Firon ke Ghark ho jane ke baad bhi bani israel par uss ki haibath ka iss darja dab-daba chaya huva tha ki logon ko firon ki mauth me shako shuba hone laga to allah tala ne firon ki lash ko khushki par pahuncha diya aur darya ki mojon ne iss ki lash ko sahil par dal diya taki log iss ko dekh kar iss ki mauth ka yakhin bhi kar len aur iss ke anjaam se ibrath bhi hasil haren.

         Mashur hai ki iss ke baad se hi pani ne lashon ko khabul karna chod diya aur hamesha pani lasho ko upar tairata rahta hai ya kinare par fek deta hai.

Read More:

   1. Ek Tariqhi Munazara
   2. 70 Admi Mar kar Zinda Ho Gaye
   3. Zulkhar Nain Aur Yajuz Va Majuz
   4. Abu Lahab Ki Bivi Ko Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam Nazar Na Aye
   5. Ashabe Kahaf (Ghar Vale)

Darse Hidayath

              Firon ne bavajud ye ki 3 martaba apne imaan ka Aylan kiya magar uss ka imaan fir bhi makhbul nahi huva iss ki kai vajah hai? To iss ke bare me mufassirin ne 3 vajahe bayan farmayi hai:

  1.  Ye ki firon ne apne imaan ka iqrar uss vaqht kiya jab azabe ilahi uss ke saar par musallat ho  gaya aur mauth ka ghar-ghara uss par tari ho gaya aur Allah Tala ka irshad hai ki
        Yani Allah Tala ka ye dastur hai ki jab kisi khom par azab Aa jata hai to uss vaqht un ka imaan lana un ko kuch bhi nafa nahi pahunchata.

         Chunki firon, Azab Aa jane ke bad, jab mauth ka ghar-ghara suvar ho gaya, uss vaqht imaan laya iss liye Allah Tala ne firon ke imaan ko khabul nahi farmaya aur hazrate jibrael alaihis salam firon ke imaan ko khabul nahi farmaya aur hazrate jibrael alaihis salam ko hukum diya ki uss ke muh me kichad bhar den aur ye kah den ki Aab tu imaan laya hai? halanki iss se pahale tu hamesha imaan lane se inkar karta raha aur logon ko gumrah kar ke fasad felata raha.

  2. Dusra Khol ye hai ki khuda ki tohid ke saath rasool ki risalath par bhi imaan lana zaruri hai aur firon ne Laa Ilaha Illallaji Amanath Bihi Banu Israela kaha yani sirf khuda ki vahdaniyyath ka ikhrar kiya aur hazrate musa Alaihis Salam ki risalath par imaan nahi laya. Iss liye vo momin na ho saka.

  3. Tisra khol ye hai ki firon ne imaan lane ke khasad se kalimaye imaan ka talaffuz nahi kiya tha balki sirf ghark se bachne ke liye ye kalima kaha tha jaisa ki iss ki adath thi ki har musibath aur azab nazil hone ke vakht ye gid gida kar khuda ki tarfa ruju karta tha. Lekin musibath tal jane ke baad fir Ana Rabbukumul Aala kah kar apni khudayi ka danka bajaya karta tha.

           Malum huva ki sirf kalimaye Islam ka talaffuz jab ki imaan lane ki niyyat na ho balki jaan bachane ke liye kaha ho, Imaan ke liye kafi nahi. Lihaza firon ka imaan makhbul nahi huva aur sahih khol yehi hai ki firon kufr hi ki halath me ghark ho kar mara. iss par Quran e majid ki ayaten aur hadise shahide adal hai isi liye allama savi rahmat ullahi tala alaih ne apni tafsir me tahrir farmaya ki jin logon ne ye kaha ki firon momin ho kar mara, un logon ka khol khabile aytibar nahi.

Masjid E Zarar Jaladi Gayi


Munafikhin ko ye to zarurath hoti na thi ki Aylaniyyath Islam ki mukhtalifat karte. Magar Vo log dare parda islam ki bekhakani me hamesha masruf rahte is koshish me lage rahte the ki musalmano me ikhtilaf aur fut dal kar islam ko nuksan pahunchayen. Chunanche, Iss maksad ki takmil ke liye jahan in be imano ne dusri bahuth si fitna samaniyan barapa kar rakhi thi, in me se ek vakhia rajab 9Hi. Me bhi runuma huva jo dar hakhikath nihayath hi khatarnak sajish thi. Magar Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ko Allah Azzawajal ne munafikhin ki iss khofnak muhim se va zariaye vahi agaah farma diya aur dushmanane islam ki sari skimo par pani fira gaya.

          Iss ka vakhia ye hai ki rajab 9 Hi. Me huzure akdas sallallahu alaihi o sallam ko ye ittila mini ki "Tabuk" ke maidan me jo madinaye munavvara se 14 manzil par dimshak ke raste par vakha hai. "Harkil" Shahe room musalmano ke mukhable ke liye lashkar jamaa kar raha hai Aap ne ne arab me sakht garmi aur kahat ke bawajud jihad ke liye aylan farma diya aur musalman zhuk dar zhuk shokhe jihad me madine ke andar jamaa hone lage.

         Abhi nabiyye Akram Sallallahu Alaihi O Sallam Tayyariyon hi me masruf the ki munafikhin ne is vaqth se fayda uthate huve socha ki masjide "Kuba" ke mukhable me iss hile se ek masjid tayyar karen ki jo log kisi urza ki vajah se masjide nabavi me na ja saken vo log yahan namaz pad liya karen aur munafikhon ka khas maksad ye tha ki iss masjid ko islam ki takhrib kari ke liye adda bana kar aur iss me jama ho kar islam ke khilaf sajishon karte aur skine banate rahen aur shahe room ki khufya imdadon aur asleha vaghaira ke zakhiron ka iss masjid ko markaz banayen aur yahi se islam ke khilaf risha davaniyon ka jaal pure Alame islam me bichate rahen. Ye soch kar munafikhin khidmate akdas me hazir huve aur kahane lage ki ham logon ne zayifon aur kamjoron ke liye kharib me hi ek masjid banayi hai Aab hamari tamanna hai ki huzur vahan chal kar iss me namaz pad den to vo masjid indallah makhbul ho jayegi. Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya iss vaqth to main ek bahut hi aham jihad ke liye madine se bahar ja raha hun, vapasi par dekha jayega. Magar jaab Aap bakhairiyyath aur fatha va kamrani ke saath madina vapas tashrif laye to vahi e ilahi ke zariye iss masjid ki tamir ka haqhikhi sabab Aap ko malum ho chuka tha aur munafikhin ki khufya aur khatarnak sajish be nikhab ho chuki thi. Chunanche, Aap ne madinaye munavvara pahunchte hi saab se pahale ye kaam kiya ki sahabaye kiram Alaihis Salam ki ek jamath ko ye hukum de kar vahan bheja ki vo vahan jayen aur uss masjid ko Aag laga kar khaak siyah kar den.

         Chunki iss masjid ki bunyad hakhikhatan takva aur lillahiyyath ki jagah tafrikhe bainul muslimin aur takribe islam par rakhi gayi thi iss liye bilashuba vo iss ki mustahik thi ki iss ko jala kar barbad kar diya jayen aur dar hakhikhat iss takhrib kari ke adde ko masjid kahna hakhikhat ke khilaf tha iss liye Qurane Majid ne iss haqhikhate haal ko zahir karte huve aylan farma diya ki  ye masjide takva nahi balki "Masjide Zarar" kahlane ki mustahiq hai.

        Mulahza farmayiye iss masjid ke bare me Quran e majid ke ghazabnak tevar aur pura jalal alfaz:

Tarjuma E Kanjul Imaan.
 
Aur vo jinhone masjid banayi nuksan pahunchane ko aur kufr ke sabab aur musalmano me tafrika dalne ko aur iss ke intizar me jo pahle se allah aur uss ke rasul ka mukhtalif hai aur vo zarur khasme khayenge ki ham ne to bhalayi chahiye aur allah gavah hai ki vo beshak jhute hain uss masjid me tum kabhi khade na hone beshak vo masjid ke pahale hi din se jis ki bunyad parhezghari par rakhi gayi hai. vo iss khabil hai ki tum uss me khade ho uss me vo log hain ki khub suthra hona chahte hain aur suthre Allah ko pyare hain.

Read More:
   1. Makkah E Mukarrama Kuin Kar Abad Hua?
   2. Surah E Yusuf Ka Khulasa
   3. Hazrate Yusuf Alaihis Salam Ka Kurta
   4. Ek Tariqhi Munazara
   5. 70 Admi Mar kar Zinda Ho Gaye

Darse Hidayath

             Ek hi amal, amal karne vale ki niyyath ke farkh se achcha bhi ho sakta hai aur bura bhi, tayyib bhi ban sakta hai aur khabis bhi.

             Masjid ki tamir ek amale khair hai magar jab Li-Vajhillah ki niyyath ho to savab hi savab hai aur agar " shar va fasad" ki niyyat ho to savab hi savab hai aur agar "shar va fasad" ki niyyat ho to ajab hi javab hai. masjide Kaba aur Masjide Nabvi ki Tamir makhbule Bargahe ilahi aur bayise savab huyi. kuinki in dono masjidon ke banane valon ki niyyath khuda ki riza aur in dono masjidon ki buniyad takva par rakhi gayi thi aur munafikhon ki banayi huyi masjid mardude bargahe ilahi ho gayi aur sarasar bayise azab ban gayi kuinki iss masjid ko tamir karne valon ki niyyat rizaye ilahi nahi thi aur iss masjid ki bunyad takhva par nahi rakhi gayi thi balki un logon ki gharaz fasid takhribe islam aur tafrikhe bainul muslimin thi, to ye masjid khatan ghair makhbul ho gayi yahan tak ki allah tala ne apne rasool sallallahu alaihi o sallam ko iss masjid me khadam rakhne ki bhi Mana Farma di aur Huzur Alaihis Salam ne iss masjid ko na koi na sirf virana farma diya balki iss ko jala kar nasto nabud kar dala.

         Iss se sabith hota hai ki iss zamane me bhi agar kisi masjid ko gumrah firkhon vale haq ke khilaf kamin gaah aur zasusi ka markaz bana kar ahle haq ke khilaf fitna pardajiyan karne lagen to  musalmano par lazim hai ki uss masjid me namaz ke liye na jayen balki uss ka baikat kar ke uss ko viran kar den. aur hargiz hargiz na us masjid me namaz paden, na uss ki tamir va abadkari me koi imdad va tavun karen.

           Ya fir tamam musalman mil kar gumrah firkhon ko iss masjid se be dakhal kar den aur iss masjid ko apne khabze me le kar gumrah ka tasalluth khatam har den taki in logon ke shoro fasad aur fitna angrejiyon se masjid hamesh ke liye paak ho jayen.

Ghare Sair


  Hijrath Ki Raath Huzur Rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam Apne Daulath Khane se nikal kar Makhame "Hazurah" Ke pass khade ho gaye aur badi hasrath ke saath "Kaba E Mukarrama" ko dekha aur farmaya ki ye shahare makka! Tu mujh ko tamam dunya se ziyada pyara hai agar meri khom mujh ko tujh se na nikalti to main tere siva aur kisi jagah sukunath pazir na hota.fir Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu se pahle hi kharar dad ho chuki thi, vo bhi usi jagah Aa gaye aur iss khayal se ki kuffar hamare khadamon ke nishan se hamara rasta pahchan kar hamara picha na karen fir ye bhi dekha ki Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke paye nazukh zakhmi ho gaye hain Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ne Aap ko Kandhon par suvar kar liya aur iss tarha khardar jhadiyon aur nokdar pattharon vali pahadiyon ko rondte huve usi raath ghare sair pahunche.

         Hahzrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu pahale khud Ghar me dakhil huve aur achchi tarha Ghar ki safayi ki aur apne kapdon ko fad fad kar Ghar ke tamam surakhon ko band kiya fir Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam Ghar ke andar tashrif le gaye aur hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ki God me Apna saar mubarakh rakh kar so gaye. Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ne ek surakh ko apni yedi se band kar rakha tha. Surakh ke andar se ek saamp ne bar bar yare Ghar ke paun me kata. Magar Jaa Nisar ne iss khayal se paun nahi hataya ki rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam Ke Khwabe Rahamat me Khalal na pad jayen magar dard ki shiddath se yare ghar ke ansuon ki dhar ke chand khatrath Sarvare kayinath Sallallahu Alaihi O Sallam ke ruqsar par nisar ho gaye. jis se rahamate alam sallallahu alaihi o sallam bedar ho gaye aur apne yare ghar ko rota dekh kar bekharar ho gaye. pucha! Abu Bakkar! Kai Huva? Arz Kiya : Ya Rasoollullah! Mujhe Saamp ne Kat liya hai ye sun kar huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne zakham par apna luabe dahan laga diya, jis se foran hi sara dard jata raha aur zakham bhi achcha ho gaya.  3 raath Huzur Rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam aur Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu iss ghar me ronakh afroz rahe. Kuffare makka ne Aap ki talash me kakka ka chappa chappa chan mala. Yahan tak ki dhundte dhundte ghare sair tak pahunch hi gaya magar ghar ke muh par hifazate khudavandi ka pahara laga huva tha. yani ghar ke muh par makadi ne jaal taan diya tha aur kinare par kabutari ne ande bhi de rakhe the. Ye manzar dekh kar kuffar apas me kahane lage ki agar iss ghar me koi insan maujud hota to na makdi jaal tanti, na kabutari yahan ande deti. Kuffar ki ahat pa kar hazrate abu bakkar siddidq raziyallahu tala anhu kuch ghabra gaye aur arz kiya ki ya rasoollullah! Aab hamare dushman iss khadar kharib Aa gaye hain ki agar vo apne khadmon par nazar dalenge to ham ko dekh lenge. Huzur Alaihis Salam ne farmaya:
      
           La Tahzan Innallaha MaaAna math ghabrao, Khuda Hamare Saath hai. Fir hazrate abu bakkar siddikh raziyallahu tala anhu par sakina utar pada ki vo bilkul hi mutmayin aur be khof ho gaye aur chauthe din yakum rabiul avval do shamba ke roz huzur Alaihis Salam ghar se bahar tashrif laye aur madina e munavvara ko ravana ho gaye. Iss ghare sair ke vakhiye ko Quran E Majid me in lafjon me bayan farmaya:
Tarzuma e Kanzul Imaan

                   Agar tum mahboob ki madad na karo to beshak allah ne un ki madad farmayi jab kafiron ki shararath se unhen bahar tashrif le jana huva sirf do jaan se se jaab vo dono ghar me the jab apne yar se farmate the gham na kha beshak allah hamare saath hai to allah ne uss par apna sakina(itminan) utara aur un fozon se uss ki madad ki jo tum ne na dekhi aur kafiron ki baath niche dali Allah hi ka Bol bala hai aur Allah Ghalib Hikmath vala hai.


Darse Hidayath:

             Ye ayath aur ghare sair ka vakhia Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ki fazilath aur un ki mahabbath va janisariye rasool ka vo nishane Aazam hain jo khiyamath tak aftabe Alamtab ki tarha darkhwash aur roshan rahega. Kuin na ho ki parvar dagar ne inhen apne rasool ke "yare ghar" hone ki sanade mustanad Quran me de di hai jo kabhi hargiz hargiz nahi mit sakti hai.

          Subhanallah Hazrate Siddiqe Akbar Raziyallahu Tala Anhu ka ye vo fazal va sharaf hai jo na Kisi ko mila hai na kisi ko milega.

Martaba Hazrate Siddiq Ka Ho Kiss Se Bayan
Par Fazilath Ke Vo ZameAa Hain Nabuvath Ke Siva

Jangh E Hunnain


   Fatteh makka ke baad mushrikine arab ki shokat ka kharib kharib khatima ho gaya aur log jhuk dar jhuk islam me dakhil hone lage. ye dekh kar "Havazun aur Sakhif" ke dono khabayil ke sardaron ka ijtimaa huva, aur unhone apas me mashvara kiya ki mohammed sallallahu alaihi o sallam apni khom "khuresh" ko maghlub kar ke mutmayin ho gaye hai. lihaza ab hamari bari hai to kuin na ham pesh khadami kar ke hamla avar ho kar in musalmano ka khatl kar ke rakh den. chunanche, havazun aur sakifa ke dono khabayil ne malik bin Aaof nazri ko apna badshaah bana ka musalmano se jangh ki tayyari shuru kar di. Ye khabar pa kar 10 Shavval Si.8 Hi. Mutabikh farvari Si.630 Yi. ko das hazar muhajirin va ansaar aur 2 hazar makka ke 9u muslim aur 80 vo mushrikin jo islam khabul na karne ke bavajud apni khwahish se musalmano ke rafikh ban gaye. Kul takriban 12.000 admiyon ka lashkar saath le kar nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam " makhame Hunnain" pahunch gaye. jab dushman ke mukhable me saaf arayi ka vakht aya to Aap ne muhajirin ka parcham hazrate Ali Raziyallahu Tala Anhu ko diya aur ansar me bani khazraj ka alambardar Hazrate Habbab Bin Munzar Raziyallahu Tala Anhu ko banaya aur aos ka jhanda  Hazrate usaid bin huzair raziyallahu tala anhu ko innayath farmaya aur khud nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ba nafse nafis badan par hathyar saja kar dabal zirrah pahan kar aur sare anwar par Ahini dopi rakh kar apne khachchar par suvar huve aur islami foj ki kaman sambhal li.

           Musalmano ke dilon me apne lashkar ki aksariyyath dekh kar kuch ghamand paida ho gaya yahan tak ki baaz logon ki zaban se baghair insha allah kahe ye lafz nikal gaya ki Aaj hamari kuvvath ko koi shikasth nahi de sakta. Musalmano ka apni foj ki addi aksariyyath aur askari takhat par bharosa kar ke farkh karna khudavande tala ko pasand nahi aya lihaza musalmano par khuda ki taraf se ye taziyana e ibrath laga ki jab jangh shuru huyi to achanak dushman ki in toliyon ne jo gorila jangh ke liye pahadon ki mukhtalif ghatiyon me dhat lagaye baiti thi iss joro shor ke saath teer andazi shuru kar di ki musalman tiron ki barish se baad haavas ho gaye aur iss nagahani teer barani ki bochad se un ki safen darham barham ho gayi aur thodi hi der me musalmano ke khadam ukhad gaye aur huzure akram sallallahu alaihi o sallam aur chand muhajirin va ansar ke siva tamam lashkar maidane jangh se farar ho gaye.

            Iss khatarnak surate haal aur nazuk ghadi me Huzur sallallahu alaihi o sallam apne khachchar par suvar barabar age badate chale ja rahe the aur razza ka ye sher buland avaz se pad rahe the.
                  Yani main nabi hun ye koi jhuti baath nahi, Main Abdul Mutalib ka Farzand hun.

            Bil Akhir Huzur ke hukm par Hazrate Abbas Raziyallahu Tala Anhu ne ba avaze buland bahe huve musalmano ko pukara aur
kah kar lalkara. Hazrate Abbas Raziyallahu Tala Anhu. ki ye lalkar aur pukar sun kar tamam jaan nisar musalman palat pade aur parchame nabuvath ke niche jamaa ho kar yesi jangh nisari ke saath dade shujaath dene lage ki das zadan me maidane jangh ka naksha hi palat gaya aur natija nikla ki shikasth ke baad musalman fatahmand hogaye aur parchame islam saar buland ho gaya, Hazaron kuffar giriftar ho gaye aur bahuth se talvar ka lukma ban gaye aur be shumar male ghanimath musalmano ke haath aya aur kuffare arab ki takhat va shokath ka janaza nikal gaya.

           Jangh e Hunnain me musalmano ke apni kasrate tadad par gurur ke anjaam me shikasth aur fir fatah va nusrath ka haal khudavande zul jalal ne Quran e karim me in alfaz se zikr farmaya hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Beshak Allah ne bahut jagah tumhari madad ki aur hunnain ke din jab tum apni kasrath par itra gaye the to vo tumhare kuch kaam na ayi aur zamin itni vasia ho kar tum par tangh ho gayi fir tum pit de kar fir gaya fir allah ne apni taskhin utari apne rasool par aur musalmano par aur vo lashkar utare jo tum ne na dekhe aur kafiron ko azab diya aur munkiron ki yehi saza hai.

          jangh e hunnain ka ye vakhia dalil hai ki musalmano ko maidane jangh me fatah va kamrani fojon ki kasrath aur samane jangh ki faravani se nahi milti. balki fatah va nusrath ka daro madar dar hakhikath parvar dagar ke fazle azim par hai. agar vo rabbe karim apna fazle azim farma de to chote se chote lashkar badi se badi foz par ghalib ho kar muzaffar va mansur ho sakta hai aur agar uss ka fazlo karam shamil hal na ho to bade se bada lashkar choti se choti foz se maghlub ho kar shikasth kha jata hai. lihaza musalmano ko lazim hai ki kabhi bhi apne lashkar ki kasrath par yetimad na rakhen balki hamesha khudavande khuddus ke fazlo karam par bharosa rakhen.

Read More:

  1. Hazrate Suleman Alaihis Salam Ki Be-Misal Vafath
  2. Takhte Bilkhis Kis Tarha Aaya
  3. Hazrate Suleman Alaihis Salam Ka HudHud
  4. Hazrate Suleman Alaihis Salam Aur Ek Chunti
  5. Hazrat E Ayyub Alaihis Salam Ka Imtihan

Jangh E Badar Ki Barish


              Jangh E Badar ka mufassal haal to iss kitab "Siratul Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam" me mukammal likh huva hai. yahan ham  jangh e badar me nusrate ilahi ne barish ki surath me jo tajalli farmayi jis me maidane jangh ka naksha hi badal gaya, iss ka ham ek jalva dikha rahe hain.

              vakhiya ye huva ki rasoole Akram Sallallahu Alaihi O Sallam 313 Sahaba e Kiram ki jamath ko hamrah le kar makhame badar me tashrif le gaye aur badar ke kharib pahunch kar madine ki janib vale rukh "Adavattuddunya" par khaimazan ho gaye aur mushrikin age bade to badar pahunch kar madine se door makka ki janib vale "Udvatul Kasva" par utare aur mahje jangh ka naksha iss tarha bana ki mushrikin aur musalman bilkul amne samne the magar musalmano ka mahaze jangh iss khadar raitila tha ki insano aur ghodon dono ke khadam reth me dhase ja rahe the aur vahan chalna firna dushvar tha aur mushrikin ka muhaje jangh Bilkul hamvar aur pukhta farsh ki tarha tha. gharz dushman tadad me 3 gune se zaida, samane jangh se puri tarha mukammal, rasal va rasayil me har tarha mutmayin the. fir mazid barAan in ka mahaze jangh bhi apne mahale vukua ke lihaz se nihayath umda tha. in sahulaton ke ilava pani ke saab kuven bhi dushmano hi ke khabze me the iss liye musalmano ko pani ki behad taklif thi, khud pine ke liye kahan se pani layen? janvaron ko kaise sairab karen? wazu aur gusul ki kai surath ho? gharaz sahaba e kiram intihayi fikarmand aur pareshaan the. iss moka par shaitan ne musalmano ke dilon me vasvasa dal diya ki ye musalmano! tum guman karte ho ki tum haq par ho aur tum me allah azzawajal ka rasool bhi maujud hai aur tum allah vale ho aur haal ye hai ki mushrikin pani par khabiz hai aur tum bighair wazu va ghusul ke namazen padte ho aur tum aur tumhare janvar pyas se be taab ho rahe hain.

          Iss mokha par nagahan nusrate asmani ne iss tarha jalva samani farmayi ki jordar barish ho gayi jis ne musalmano ke liye retili zamin ko jama kar pukhta farsh ki tarha hamvar bana diya aur nashoib ki vajah se hoz numa gadon me pani ka zakhira muhayya kar diya aur dushmano ki zamin ko khichda vali dal-dal bana diya jis par kafiron ka chalna firna dushwar ho gaya aur musalman in pani ke zakhiron ki vajah se kuvon se be niyaz ho gaye aur musalmano ke dilon se shaitani vasvasa door ho gaya aur log mutmayin ho gaye.

        Allah Tala ne Quran e Majid me iss ajibo gharib barish ki manzar kashi in alfaz me farmayi hai ki.


    Tarjuma e Kanjul Imaan

                      Aur asman se tum par pani utara ki tumhen isse suthra kar de aur shaitan ki napaak tum se door farma de aur tumhare dilon ki tars bandhe aur iss se tumhare khadam jama de.

             Iss ayath me allah tala ne badar me iss nagahani barish ke char faide bayan farmaye hain:

  1.  Taki jo be wazu aur be ghusl ho vo wazu aur ghusul kar ke pako saaf aur suthre ho jayen.

  2.  Musalmano ke dilon se shaitani vasvase door ho jayen

  3.  Musalmano ke dino ko taras mil jaye ki ham haq par hain aur allah tala zarur hamari madad                farmayega.

  4.  Mahaze jangh ki retili zamin iss khabil ho jaye ki iss par khadam jam sake al gharaz jange badar ki ye barish musalmano ke liye barane rahamath aur kuffar ke liye samane zahamath ban gayi.

Read More.

1.Darbare Dawood Alaihis Salam Me Ek Ajib Mukhadma
2.Hazrate Fathima Raziyallahu Tala Anhu Ke 3 Roze
3.Fateh Makka Ki Pesh Goyi
4.Fula Baagh Minton Me Tarazz
5.Hazrate Isa Alaihis Salam Ke 3 Muballighin

Darse Hidayath

             Jange Badar me musalmano ko jin mushkil halath ka samna tha zahir hai ki akhle insani alame asbab par nazar karte huve iss ke siva aur kai faisla kar sakti thi ki vo iss jangh ko tal den. magar sadikhul imaan musalmano ne apne rasool ki marzi pa kar har khisam ki be saro samani ke bawajud haq va batil ki marikha arayi ke liye valihana aur fida karana jazbath ke saath khuda ko pesh kar diya aur nihayath sabith khadami aur ulul azmi ke saath maidane jangh me khud pade to allah tala ne in musalmano ki kis kis tarha imdad va nusrath farmayi, iss par ek nazar dal kar khudavande khudds ke fazle azim ki jalva samaniyon ka nazara kijiye aur ye dekhiye ki allah tala ne iss jangh me kis kis tarha musalmano ki madad farmayi. 

   1.  Musalmano ki nigah me dushmano ki tadad asal tadad se kam nazar ayi taki musalman marub na ho aur mushrikin ki nazron me musalman mutthi bhar nazar ayen taki vo jangh se ji na churayen aur haq va batil ki jangh tal na jaye.

   2.  Aur ek vaqht me musalman mushrikin ki nazar me dugane nazar aye taki mushrikin musalmano se shikasth kha jayen.(Ale Imraan)

   3.  Pahale musalmano ki madad ke liye ek hazar firishte bheje gaye. fir farishton ki tadad bada kar tin hazar kar di gayi. fir farishton ki tadad 5 hazar ho gayi(Ale Imraan)

   4.  Musalmano par yen marikhe ke vaqht thodi der ke liye gunudgi aur nind tari kar di gayi jis ke chand minute baad in ki bedari ne in me ek nayi tazgi aur nayi rooh paida kar di. (Anfaal)

   5.  Asman se pani barasa kar musalmano ke liye raitili zamin ko pukhta zamin ki tarha bana diya aur mushrikin ke mahaze jangh ki zamin ko kichad aur fisalne vali dal dal bana diya.(Anfaal)

   6.  Natijaye jangh ye huva ki zara der me mushrikin ke bade bade nami girami pahalvan aur janghju shahsuvar mare gaye. Chunanche, 70 Mushrikin khatal huve aur 70 giriftar ho kar kaidi banaye gaye aur mushrikin ka lashkar apna sara saman chod kar maidane jangh se bhag nikala aur ye sara saman musalmano ko male ghanimath me mil gaya.

   7.  Musalman Agarche khudavande khuddus ki mazkura vala imdad aur uss ke fazal se fatahyab huve, taham iss jangh me chodah mujahidine islam ne bhi jame shahadath nosh kiya.

            Ye vaqhiya hame mutanabbeh kar raha hai ki agar musalman khuda par bharosa kar ke haq va batil ki jangh me sabith khadami aur pa mardi ke saath date rahe to tadad ki kami aur be saro samani ke baad wajud zarur khuda ki madad utar padegi aur musalmano ko fatah nasib hogi. ye rabbul izzath ke fazalo karam ka vo dastur hai ki jis me insha allah tala khiyamath tak koi tabdili nahi hogi. Bas sharth ye hai musalman na badal jayen, aur in ke islami khasayil va kirdar me koi tabdili na ho. varna khuda ka dastur to na badala hai na kabhi badlega uss ka vada hai ki
                             Yani hargiz hargiz khuda ke dastoor me koi raddo badal nahi hoga.

Hazrate Ilyas Alaihis Salam


           Ye Hazrate Hazakhil Alaihis Salam ke khalifa aur janashin hain. Beshtar Muarrikhin ka iss par ittifakh hai ki hazrate ilyas alaihis salam. Hazrate Haroon Alaihis Salam ki nasal se hai aur in ka nasab nama ye hai. Ilyas Bin Yasin Bin Fakhas Bin Yezra Bin Haroon Alaihis Salam. Hazrate Ilyas Alaihis Salam ki Biyasath ke Mutallikh mufassirin va muarrikhin ka ittifaq hai ki vo shaam ke bashindon ki hidayath ke liye bheje gaye aur "BaAla-Bak" ka mashhur shahar un ki risalath va hidayath ka markaz tha.

          In dino "BaAla-Bak" shahar par "arjab" nami badshaah ki hukumath thi jo sari khom ko bhut parasti par majbur kiye huve tha aur in logon ka saab se bada bhuth "BaAal" tha jo sone ka bana huva tha aur 20 gaz lamba tha aur uss ke char chehre bane huve the aur 400 khuddam us bhuth ki khidmath karte the jin ko sari khom beton ki tarha manti thi aur uss bhuth me se shaitan ki avaz ati thi jo logon ko bhuth parasti aur shirk ka hukum sunaya karta tha. iss mahol me hazrate ilyas alaihis salam in logon ko tohid aur khuda parasti ki davath dene lage magar khom in par imaan nahi layi. balki shahar kar badshaah"Arjab" in ka dushmane jaan ban gaya aur uss ne hazrate ilyas alaihis sallam ko khatal kar dene ka irada kar liya. chunanche, Aap shahar se hijrath farma kar pahadon ki chotiyon aur gharon me ruposh ho gaya aur pure saath baras tak khof va haras ke alam me rahen aur jangli ghanson aur jangalon ke fulon aur falon par zindagi basar farmate rahe. Badshaah ne Aap ki giriftari ke liye bahut se jasus mukarrar kar diye the. Aap ne mushkilath se tang Aa kar ye dua mangi ki ilahi! Mujhe in zalimon se najath aur rahath Ata farmaa to Aap par vahi Ayi ki tum fulan din fulan jagah par jao aur vahan jo suvari mile bila khof uss par suvar ho jao. Chunanche, Uss din uss makham par Aap pahunche to ek surkh rang ka ghoda khada tha. Aap uss par suvar ho gaye aur ghoda chal pada to Aap ke Chacha zaad bhai hazrate "Al YusA" Alaihis Salam ne Aap ko pukara aur arz kiya ki Aab main kai karun? To Aap ne apna kambal un par daal diya. Ye nishani thi ki maine tum ko bani israel ki hidayath ke liye apna khalifa bana diya. Fir Allah Tala ne Aap ko logon ki nazron se Aujal farma diya aur Aap ko khane aur pine se be niyaz kar diya aur Aap ko Allah tala ne firishton ki jamath me shamil farma liya aur hazrate Al YusA Alaihis Salam nihayath Azmaa va himmath ke saath logon ki hidayath karne lage. Chunanche, Allah tala ne har dam har khadam par in ki madad farmayi aur bani israel Aap par imaan laye aur Aap ki vafath tak imaan par khayim rahe.

Hazrate Ilyas Alaihis Salam Ke Mojizath

            Allah Tala ne tamam pahadon aur haivanath ko Aap ke liye musakhkhar farma diya aur Aap ko 70 ambiya ki takhat bakhshdi. gazab va jalal aur kuvvath va takhat me hazrate musa alaihis salam ka ham palla bana diya. aur rivayath me Aaya hai ki hazrate ilyas aur hazrate khizar alaihis salam har saal ke roze baitul mukhaddas me ada karte hain aur har  saal haj ke liye kakka e mukarrama jaya karte hain aur saal ke bakhi dino me hazrate ilyas alaihis salam to jangalon aur maidano me gasht farmate rahte hain aur hazrate khizar Alaihis salam daryaon aur samandaron ki sair farmate rahte hain aur ye dono hazrath akhiri zamane me vafath payenge jab ki Qurane Majid utha liya jayega.

          Hazrate Anas Raziyallahu Tala Anhu se ek hadis marvi hai ki ham log ek jihad me rasoolullah Sallallahu Alaihi O Sallam ke saath the to raste me ek avaz ayi ki ya allah! tu mujh ko hazrate muhammad Sallallahu Alaihi O Sallam ki ummath me bana de jo ummat marhuma aur mustajabuda vath hai to huzur alaihis salatu wassalam ne farmaya ki ye anas! tum iss avaz ka pata lagao to main pahad me dakhil huva, to achanak ye nazar aya ki ek admi nihayath safed kapdon me malbus lambi dadi vala nazar aya jab uss ne mujhe dekha to pucha ki tum rasoollullah sallallahu alaihi o sallam ke sahabi ho? to mai ne arz kiya ki ji han! to unhone farmaya ki tum jaa kar huzur se mera salam arz karo aur ye kaha do ki Aap ke bhai ilyas alaihis salam Aap se mulakhat ka irada rakhte hain. Chunanche, main ne vapas Aa kar huzur se sara muamla arz kiya to Aap mujh ko hamarah le kar ravana have aur jab Aap un ke karib pahunch gaya main picha hat gaya. fir dono sahiban der tak guftagu farmate rahe aur asman se ek dastarkhwan utar pada to huzur alaihis salam ne mujhe bula bheja aur main ne dono hazrat ke saath me khana khaya. jab ham log khane se fargh ho chuke to asman se ek badli Aayi aur vo hazrate ilyas alaihis salam ko utha kar asman ki taraf le gayi aur main un ke safed kapdon ko dekhta hi rah gaya.

Hazrate Ilyas Aur Quran

           Quran e Majid me hazrate ilyas Alaihis Salam ka tazkira do jagah aya hai surah e Anaam me aur surah al saffat me. Surah Anaam me to sirf in ko ambiyaye alaihis salam ki fehrist me shumar kiya hai aur surah saffat me Aap ki biasath aur khom ki hidayath ke mutaallik mukhtasar tor par bayan farmaya hai.

                         Chunanche,Surah Anaam me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur uss ki avlad me se dawood aur sulaiman aur ayyub aur yusuf aur musa aur haroon ko aur ham yesa hi badla dete hain nekukaron ko aur zakriyya aur yahya aur isa aur ilyas ko ye saab hamare kurb ke layik hain. aur ismayil aur yusA aur yunus aur loot ko aur ham ne har ek ko uss ke vaqht me saab par fazilath di.

       
         Aur sura e saffat me isa tarha irshad farmaya ki 
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Beshak ilyas paighambaron se hai. jaab uss ne apni khom se farmaya kai tum darte nahi kai BaAal ko poojte ho aur chudate ho saab se achcha paida karne vale Allah ko jo raab hai tumhara aur tumhare agale baap dada ka fir unhone use jhutlaya to vo zarur pakade ayenge magar allah ke chune huve bande aur ham ne pichlon me uss ki sana bakhi rakhi. salam ho ilyas par beshak ham yesa hi sila dete hain nekon ko beshak vo hamare Aala darje ke kamilil imaan bandon me hain.

                Hazrate ilyas Alaihis salam aur in ki khom ka vakhia agarche Qurane Majid me bahut hi mukhtasar mazkur hai taham iss se ye sabakh milta hai ki yahudiyon ki zehaniyyath iss khadar masakh ho gayi thi ki koi yesi burayi nahi thi jis ke karne par ye log haris na hon bavajud ye ki in me hidayath ke liye musalsal ambiyaye kiram tashrif late rahe magar fir bhi bhuth parasti, kavakab parasti aur ghairullah ki ibadath in logon se na chut saki. fir ye log Aala darje ke jhude ,bad Ahad aur rishvath khor bhi rahe aur allah tala ke mukhaddas nabiyon ko izayen dena aur in ko khatal kar dena in zalimon ka mahaboob mashgala raha hai. Bahar haal in zalimo ke vakhiyath se jahan in logon ki bad bakhti va kajravi aur mujarimana shakhavath par roshni padti hai, vahi ham logon ko ye nasihath va ibrath bhi hasil hoti hai ki Aab Jab ki nabuvath ka silsila khatam ho chuka hai to hamare liye behad zaruri hai ki khuda ke akhiri paigham yani islam par mazbuti se khayim rah kar yahudiyon ke zalimana tarikho ki mukhalfath karen aur kuffar ki taraf ki taraf se pahunchne vali taklifon aur musibaton par sabr kar ke khuda ke mukhaddas nabiyon ke usvaye hasana ki pairvi karen.

Read More
  1. Kafiron Ki Mayusi
  2. Islam Aur Sadhu Ki Zindagi
  3. Bade 1 Chota Dushman
  4. Ambiya Ke Khatil
  5. Munafiqhon Ki Ek Sajish

Munafiqhon Ki Ek Sajish


               Jange Uhud ka mukammal aur mufassal bayan to ham apni kitab "Siratul Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam" me tahrir kar chuke hain magar ham yahan to sirf munafikhon ki ek khatarnak sajish ka zikr kar rahe hain jo jange uhud ke din inbadbakhton ne rasoole khuda sallallahu alaihi o sallam ke khilaf ki thi. jis par Quran e Majid ne roshni dali hai aur jo bahuth hi khabile ibrath aur nihayath hi nasihath amoz hai aur vo ye hai ki nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam jab madine se bahar jang ke liye nikale to ek hazar ka lashkar parchame nabuvvath ke niche tha. iss lashkar me 3 munafikhin bhi abdullah bin ubayya ki sarkardagi me ham rikab the. munafikhin pahle hi kuffare makka ke saath ye sajish kar chuke the ki mukhlis musalmano ko buzdil banane ke liye ye tarikha ikhtiyar karenge ki shuru me musalmano ke lashkar ke saath nikalenge fir musalmano se kat kar madine vapas Aa jayenge. Chunanche, munafikhon ka sardar ye bahana bana kar lashkare islam se kat kar juda ho gaya ki jab mohammad sallallahu alaihi o sallam ne ham tajriba karon ki baath nahi mani ki madine me rah kar mada-faana jang karni chahiye balki ulta navjavano ki bath man kar madine se nikal pade to ham ko kai zarurath hai ki ham apni jano ko halakath me dalen. magar alhamdulillah ki munafikon ka makdas pura nahi huva kuinki mukhlis musalmano par in logon ke lashkare islam se juda ho jane ka mutalkhan koi asar nahi pada albatta musalmano ke do khabile " Banu Salma" va " Banu harisa" me kuch thodi si bad dili aur buzdili paida ho chuki thi magar mukhlis musalmano ke joshe jihad ko dekh kar in dono khabilon ki bhi hikmath buland ho gayi aur ye log bhi sabith khadam rah kar pure jaan nisarana jazbate sarfaroshi ke saath mushrikin ke dal-badal lashkaron se takra jaya aur akhiri dam tak parchame nabuvath ke zere saya mushrikon se jang karte rahe iss vakhiye ka zikr karte huve Quran e Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur yaad karo ye mahabub jab tum subah ko apne daulat khane se bar amad huve musalmano ko ladayi ke morchon par khayim karte aur allah sunata janta hai jab tum me ke do gurohon ka irada huva namardi kar jayen aur allah un ka sambhalne vala hai aur musalmano ko allah hi par bharosa chahiye.

      Al Gharaz Jange uhud me munafikho ki ye khatarnak sajish aur khofnak tadbir bilkul nakam ho kar rah gayi aur bihamdillahi tala agarche 70 musalmano ne jame shahadath nosh kiya lekin akhir me fatheh mubin ne paighambar ke khadame nabuvath ka bosa liya aur mushrikin nakam ho kar maidane jang chod kar apne gharon ko chale gaye aur parchame islam buland hi raha.

Read More:

  1.Ashabe Feel Va Lashkare Ababil
  2.Hazrate Khizar Alaihis Salam Ki Batayi Huyi Dua 
  3.Shaddad Ki Jannat
  4.4 Khabile Ibrath Auraten
  5.As'habul Ukhdud Ke Mazalim

Darse Hidayath:

              Iss Vakhiye se sabakh milta hai ki agar mominin ikhlase niyyath ke saath muttahid ho kar maidane jangh me kafiron ke saath javaa mardi aur ulul azmi ke saath jihad me date rahen to munafikhon aur kafiron ki har sajish va tadbir ko khudavande khuddus nakam bana deta hai magar ye hakhikhat badi hi sadakhath maab hai ki.

                                         Baraye Fatha Pali Shart Hai Sabith Khadam Rahana
                                    Jamaath Ko Baham Rakhna, Jamaath Ka Baham Rahana 

Ambiya Ke Khatil


Qurane Majid ne Muta'addid jagah par yahudiyon ki shararaton aur fitna pardaziyon ka tafsili bayan karte huve bar bar ye aylan farmaya hai ki in zalimon ne apne ambiya aur paighambaron ko bhi khatl kiye bighair nahi choda, chunanche, irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Vo jo Allah ki ayaton se munkir hote aur paighambaron ko nahaq shahid karte aur insaaf ka hukum karne valon ko khatl karte hain unhen khushkhabri do dardnak azab ki.

         Hazrate Abu Ubaida Bin Al Zarha Raziyallahu Tala Anhu se rivayath hai ki Nabiye Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya ki yahudiyon ne ek din me paintalis nabiyon aur 170 salihin ko khatal kar diya tha jo in ko achchi baton ka hukum diya karte the.



        Chunanche, Hazrate Yahya va Hazrate Zakriya Alaihis Salam ki shahadath bhi isi silsile ki kadiyan hain.

Hazrate Yahya Alaihis Salam Ki Shahadath

                   Ibne Asakir ne "Al Mustaska Fir Fazayilil Aksa" me Hazrate Yahya Alaihis Salam ki Shahadath ka vakhiya iss tarha tahrir farmaya hai ki dimshak ke badshaah "Haddaad Bin Hidar" ne apni bivi ko 3 talakhen de di thi. Fir vo chahta tha ki vo baghair halala uss ko vapas kar ke apni bivi bana le. uss ne Hazrate Yahya Alaihis Salam se fatva talab kiya to Aap ne farmaya vo Aab tum par haram ho chuki hai uss ki bivi ko ye baath sakht na gavar guzri aur vo Hazrate Yahya Alaihis Salam ke khatl ke darpe ho gayi. Chunanche, uss ne badshaah ko majbur kar ke khatl ki ijazath hasil kar li aur jab ki vo "masjid e zabroon" me namaz pad rahe the ba halate sajda uss ko khatl kara diya aur ek tasht me un ka saar mubarak apne samne mangvaya. magar kata huva saar iss halath me bhi yehi kahta raha ki " Tu Bighair Halala karaye Badshaah ke liye Halal nahi" aur isi halath me uss par khuda ka ye azab nazil ho gaya ki vo aurath saar Mubarak ke saath zamin me dhas gayi.


Hazrate Zakriya Alaihis Salam Ka Makhtal

                  Yahudiyon ne jaab Hazrate Yahya Alaihis Salam ko khatal kar diya to fir un ke valide majid Hazrate Zakriya Alaihis Salam ki taraf ye zalim log mutavajjeh huve ki in ko shahid kar den. Magar jab Hazrate Zakriyya Alaihis Salam ne ye Dekha To vahan se hat gaye aur ek darakht ke shigaaf me rupesh ho gaye. Yahudiyon ne uss darakht par Ara chala diya. Jaab Ara Hazrate Zakriya Alaihis Salam par pahuncha to khuda ki vahi ayi ki khabardar ye Zakriya! Agar Aap ne kuch bhi ahozari ki to ham puri roohe zamin ko tahobala kar denge aur agar tum ne sabar kiya to ham bhi in yahudiyon par apna azab nazil kar denge. Chunanche, Hazrate Zakriyya Alaihis Salam ne sabar kiya aur zalim yahudiyon ne darakhth ke saath un ke bhi do tukde kar diye.



         Iss me ikhtilaf hai ki Hazrate Yahya Alaihis Salam ki shahadath ka vakhia kis jagah pesh aya? pahala khol ye hai ki "Masjide Zabroon" me shahadath huyi. Magar Hazrate Sufyan Sairi ne shamar Bin Aatiyya se ye khol nakhal kiya hai ki baitul mukhaddas me haikal sulaimani aur Qurban gaah ke darmiyan Aap shahid kiye gaye jis jagah Aap se pahale sattar Ambiya Alaihis Salam ko yahudi khatal kar chuke the.



          Bahar Haal ye saab ko musallath hai ki yahudiyon ne Hazrate Yahya Alaihis Salam ko Shahid kar diya aur jab Hazrate Isa Alaihis Salam ko in ki shahadath ka haal malum huva to Aap ne Aylan apni davate haq ka Vaz shuru kar diya aur bil akhir yahudiyon ne Aap ke khatl ka bhi mansuba bana liya. Balki khatl ke liye Aap ke makan me ek yahudi dakhil bhi ho gaya. magar Allah Tala ne Aap ko ek badli bhej kar asman par utha liya jis ka mufassal vakhiya hamare blog ke agle post me mazkur hai.

Read More.


Darse Hidayath

               Hazrate Yahya Aur Hazrate Zakriya Alaihis Salam ki shahadath ke vakhiyath aur halath se agarche hakhikath me nigahen bahut se natayiz hasil kar sakti hai. taham chand baten khususi tor par khabiye tavajjoh hai.

  1.  Dunya me in yahudiyon se zaida sakhiyul khalb aur bad bakht koi nahi ho sakta jo hazrate ambiya Alaihis Salam ko nahaq khatal karte the. halanki ye barguzida aur mukhaddas hastiyan na kisi ko satati thi na kisi ke maal va daulath par haath dalti thi balki baghair kisi ujrath va ivz ke logon ki islah kar ke unhen falah va saadate darain ki izzaton se sarfaraz karti thi. Chunanche, Hazrate Abu ubaida sahabi Raziyallahu Tala Anhu ne Huzure Akdas Sallallahu Alaihi O Sallam se daryafth kiya ki khiyamath ke din sab se bade aur ziyada azab ka mustahiq kon hoga? To Aap ne irshad farmaya ki.
         Vo shakhs jo kisi nabi ko ya yesi shakhs ko khatal kare jo bhalayi ka hukum deta ho aur burayi se rokta ho.



         Bahar haal zalim yahudiyon ne apni shakhavvat se khuda ke nabiyon ke saath jo zalimana suluk kiya aur jis be dardi ke saath in mukhaddas nufus ka khoon bahaya akhvame Aalam me iss ki misal nahi mil sakti. iss liye khudavande kahhar va jabbar ne apne kaharo gazab se in zalimon ko dono jahan me malun kar diya. lihaza har musalman par lazim hai ki in maluno se hamesha nafrath va dushmani rakhe.

  2.  Bani Israel Chunki Mukhtalif Khabail me taksim the iss liye in ke darmiyan ek hi vakht me mutaddid nabi aur paighambar mabaus hote rahe aur in saab nabiyon ki talimath ki buniyad hazrate musa Alaihis Salam ki kitab tauraith hi rahi aur in saab ambiyaye kiram Alaihis salam ki haisiyath hazrate musa alaihis salam ke nayibin ki rahi.

  3.  Ulmaye Kiram ko apni zindagi ki akhiri sans tak haq par dat kar iss ki tabligh karte rahna chahiye aur haq ke muamle me apni jaan bhi parvah nahi karni chahiye. jaisa ki Aap ne pad liya ki saar kat jane ke baad bhi hazrate yahya alaihis salam ke kate huve saar se yehi avaz ati rahi ki 3 talakhon ke baad baghair halala karaye huve aurath se uss ka shohar dobara nikah nahi kar sakta.

2 Bade 1 Chota Dushman


Qurane Majid ne Bar Bar iss masale par roshni dali aur aylan farmaya ki har kafir musalman ka dusman hai aur kuffar ke dilon dimagh me musalmano ke khilaf ek zahar bhara huva hai aur har vaqht aur har mokha par kafiron ke sine musalmano ki adavath aur kine se Aag ki bhatti tarha jalte rahte hai lekin suval ye hai ki kuffar ke 3 mashhur firkon yahud va mushrikin aur nasar me se musalmano ke saab se bade aur sakht tarin dushman kon hain? aur kon sa firka hai jis ke dil me nisbatan musalmano ki dushmani kam hai? to iss suval ke javab me surah maidah ki mundarjaye zail ayate sharifa nazil huyi hai. Lihaza iss par kamil imaan rakhte huve apne bade aur chote dushmano ko pahachan kar in sabhon se hoshiyar rahna chahiye. irshade khudavandi hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Zarur tum musalmano ka saab se bad kar dushman yahudiyon aur mushrikon ko paoge aur zarur tum musalmano ki dosti me saab se zaida kharib un ko paoge jo kahte the ham nasara hain ye iss liye ki in me alim aur durvesh hain aur ye ghurur nahi karte.

Darse Hidayath

             Iss ayath ki roshni me gujashta tavarikh ke safahat ki varakh gardani kar ke apne imaan ko majid itminan bakhshe ki yahudiyon aur mushrikon ne musalmano ke saath jaisi sakht adavaton ka 
muzahira kiya hai, isayiyon ne in logon se bahut kam musalmano ke saath bura bartav kiya hai aur yahudiyon aur mushrikon ne musalmano par jaise jaise zulmo sitam ke pahad tode hain, isayiyon ne iss darje musalmano par mazalim nahi kiye hain. lihaza musalmano ko chahiye ki yahud va mushrikin ko apna saab se bada dushman tasavvar kar ke kabhi bhi in logon par yetimad na karen aur hamesha in badtarin dushmano se hoshiyar rahen aur isayiyon ke bare me bhi yehi akhida rakhen ki ye bhi musalmano ke dushman hi hain magar fir bhi in ke dilon me musalmano ke liye kuch narm goshe bhi hain. iss liye ye yahudiyon aur mushrikon ki ba nisbath kam darje ke dushman hain.

          Yehi iss ayate mubarak ka khulasa va matlab hai jo musalmano ke vasite in ke chote bade dushmano ki pahachan ke liye behtarin shamaye raah balki raoshani ka manara hai.

Islam Aur Sadhu Ki Zindagi


Ulma e Tafsir ka bayan hai ki ek din Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne vajah farmaya aur khiyamath ki holnakiyon ka iss andaz me bayan farmaya ki samayin mutassir ho kar zaro khatar rone lage, aur logon ke dil dahal gaye aur log iss khadar khofo haras se larza barandam ho gaye ki das zalilul khadr sahaba e kiram Hazrate Usman Bin Majun zamahi ke makan par jama huve jin me Hazrate Abu Bakkar Siddiq Va Hazrate Ali Va Hazrate Abdullah Bin Masood Va Hazrate Abdullah Bin Umar va Hazrate Abu Zar Gifari va Hazrate salim va Hazrate Mikdad Va Hazrate Salman Farsi Va Hazrate Ma'Kil Bin Makran Va Hazrate Usman Bin Maj'un Raziyallahu Tala Anhu the aur in Hazrath ne apas me mashvar kar ke ye mansuba banaya ki Aab Aaj se Ham log sadhu Ban kar Jindagi Basar karenge, Tat vaghaira ke mote kapde pahanege aur rozana din bhar roze rakh kar sari raath ibadath karenge, Bistar par nahi soyenge aur apni auraton se alag rahenge aur gosht charbi aur ghee vaghaira koi muraggan ghiza nahi khayenge na koi khushbu lagayenge aur sadhu ban kar rooh e zamin me gashth karte firenge.

        Jab Huzure Akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ko sahaba e kiram ke iss mansube ki ittila mili to Aap ne hazrate usman bin maj'un raziyallahu tala se farmaya ki mujhe yesi yesi khabar malum huyi hai tum batao ki vakhia kai hai? to hazrate usman bin maj'un Raziyallahu Tala Anhu apne sathiyon ko le kar bargahe nabuvvath me hazir huve aur arz kiya ki ya rasoollallah! Huzur ko jo ittila mili hai vo bilkul sahih hai. Iss mansube se bajuz neki aur kair talab karne ke hamara koi dusra makdas nahi hai. ye sun kar huzure akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ke jamale nabuvvath par khadre jalal ka zuhur ho gaya aur Aap ne farmaya ki main jo deen le kar aya hun uss me in baton ka hukum nahi hai. suno! tumhare upar tumhari jano ka bhi haq hai. lihaza kuch din roza rakho aur kuch dino me khao piyo aur raath ke kuch hisse me jaag kar ibadath karo aur kuch hisse me so raha karo. dekho main Allah ka rasool ho kar kabhi roza rakhta hun aur kabhi roza nahi bhi rakhta hun aur gosht, charbi, ghee bhi khata hun. Achche kapde bhi pahanta hun aur apni biviyon se bhi talluk rakhta hun aur khushbu bhi istimal karta hun ye meri sunnath hai aur jo musalman meri sunnath se muh modega vo mere tarikhe par aur mere farmaa bardaron me se nahi hai.

             Iss ke baad sahaba e kiram ka ek majma jama farma kar Aap ne nihayath hi muassir vaaz bayan farmaya jis me Aap ne barmala irshad farmaya ki sun lo! main tumhen iss baath ka hukum nahi deta ki tum log sadhu ban kar rahibana zindagi basar karo. mere deen me goshth vagaira laziz ghizaon aur aurato ko chod kar aur tamam dunyavi kamon se khataye talluk kar ke saduon ki tarha kisi kuttiya pahad ki kho me bait rahana ya zamin me gasht lagate rahna hargiz hargiz nahi hai sun lo! meri ummath ki siyahath jihad hai iss liye tum log bajaye main gasht karte rahne ke jihad karo aur namaz va roza aur haj va zakath ki pabandi karte huve khuda ki ibadath karte raho aur apni jano ko sakhti me na dalo. kuinki tum logon se pahale agli ummaton me jin logon ne sadhu ban kar apni jano ko sakhti me dala, to Allah Tala ne bhi un logon par sakht sakht ahkam nazil farma kar unhen sakhti me mubtala farma diya jin ahkam ko vo log nibah na sake aur bil akhir natija ye huva ki Allah Tala ke Ahkam se muh mod kar vo log halak ho gaye.



        Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ke iss vajah ke baad hi surah e maida ki mundarijaye zail ayate sharifa nazil ho gayi.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Ye Imaan Valon! Haram na taharao vo suthri chizon ki Allah Tala ne Tumhar liye halal ki aur had se na bado. beshak had se badne vale Allah ko napasand hain. Aur khao jo kuch tumhen Allah ne rozi di halal pakiza aur daro Allah se jis par tumhen imaan hai.

Darse Hidayath

              In Ayath se sabakh milta hai ki islam me sadhu ban kar zindagi basar karne ki ijazath nahi hai, umda gizaon aur achche kapdon ko apne upar haram tahara kar aur bivi bachchon se Khataye talluk kar ke sadhuon ki tarha kisi kutiya me dhuni jama kar baithe rahna, ya jangalon aur biyabano me chakkar lagate rahana, ye hargiz hargiz islami tarikha nahi hai. khoob samajh lo ki jo muft khor baba log iss tarha ki zindagi guzar kar apni durveshi ka dhong racha kar kutiyon ya maidano me baite huve apni babayiyath ka prachar kar rahe hain aur zahilon ko apne dame tajvir me fase huve hain. khub Aankh khol kar dekh lo aur kaan khol kar sun lo ki ye sadhuon ka rang dhang islami tarikha nahi hai balki asal aur sachcha vohi hai jo rasoole akram sallallahu alaihi o sallam ki sunnath aur in ke mukhaddas tarikhe ke mutabik ho.lihaza jo shakhs sunnaton ka daman tham kar zindagi basar kar raha ho, dar hakhikhat usi ki zindagi islami zindagi hai aur sufiyaye kiram ki durveshana zindagi bhi yehi hai.

           Khoob samajh lo ki nabuvath ki sunnaton ko chod kar zindagi ka jo tarikha bhi ikhtiyar kiya jaye vo dar hakhikhat na islami zindagi hai na sufiya ki durveshana zindagi.lihaza Aaj kal zin babaon ne rahibana aur sadhuon ki zindagi ikhtiyar kar rakhi hai un ke iss tarze amal ko islam aur buzurgi se door ka bhi koi talluk nahi hai musalmano ko iss se hoshiyar rahana chahiye. aur yakhin chahiye ki ye saab makru kaid ka khubsurath jaal bichaya huve hain jis me bhole bhale akhidath mand musalman fase rahte hain aur iss bahane baba log apna ullu shidha karte rahte hain. ek sachchi hakhikath ka izhar aur haq ka aylan ham alimo ka farz hai jis ko ham ada kar rahe hain.
  

Kafiron Ki Mayusi


Hijrath ke Baad Gho Barabar Islam tarakki karta raha aur har mahaz par kuffar ke mukhable me musalmano ko futuhath bhi hasil hoti rahi aur kuffar apni chalon me nakam va namurad bhi hote rahe. magar fir bhi kuffar barabar islam ki bekh kani me masruf hi rahe.

        Aur ye Aas lagaye huve the ki kisi na kisi din zarur islam mit jayega aur fir arab me bhut parasti ka charcha ho kar rahega. kuffar apni isi mohum ummid ki bina par barabar apni islam dushmani ke chalon me lage rahe aur tarha tarha ke fitne bapa karte rahe.

        Magar 10 Hi. Hujjatul vadaA ke mokha par jab kafiron ne Musalmano ka azim majma maidane arafath me dekha aur in hazaron musalmano ke islami josh aur rasool ke saath in ke valihana jazbate akhidath ka nazara dekh liya to kuffar ke hoslon aur un ki mohum ummidon par aus pad gayi aur vo islam ki tabahi va barbadi se bilkul hi mayus ho gaye. Chunanche, iss vakhiye ki Akkasi karte huve khas maidane arfath me bade asar ye ayath nazil huyi.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aaj tumhare deen ki taraf se kafiron ki Aas tut gayi to un se na daro aur mujh se daro Aaj main ne tumhare liye tumhara din kamil kar diya aur tum par apni nemath puri kar di aur tumhare liye islam ko din pasand kiya.

         Rivayath hai ki ek yahudi ne amirul mominin hazrate umar farooqe azam raziyallahu tala anhu se kaha ki tumhari kitab me ek yesi ayath hai ki agar ham yahudiyon par yesi ayath nazil huyi hoti to ham log is din ko eid ka din bana lete. to Aap ne farmaya ki kon si Ayath? to uss ne kaha ki
vali ayath to Aap ne farmaya ki jis din aur jis jagah aur jis vakht ye ayath nazil huyi ham uss ko achchi tarha jante aur pahchante hain vo zuma ka din tha aur arafath ka maidan tha aur Huzur Alaihis Salam asar ke bad khutba irshad farma rahe the ki ye ayath nazil huyi.

         Aap ka matlab ye tha ki iss ayath ke nuzul ke din to hamari do eiden thi. ek to arafa ka din ye bhi hamari eid ka din hai. dusra zuma ka din ye bhi hamari eid hi ka din hai iss liye Aab alag se ham ko eid manane ki koi zarurath hi nahi hai.

           Ye bhi Rivayath hai ki iss ayath ke nuzul ke baad hazrate amirul mominin farooqe azam raziyallahu tala anhu rone lage. to Huzur Alaihis Salam ne daryafth farmaya ki ye Umar! tum rote kuin ho? To Aap ne arz kiya ki ya rasoollallah! hamara din roz baroz badta ja raha hai lekin Ab jab ki ye deen kamil ho gaya hai to ye khaida hai ki " Har kamal raaz vale" ki jo chiz apne kamal ko pahunch jati hai vo ghatna shuru ho jati hai fir iss ayath se vafate nabavi ki taraf bhi ishara mil raha hai kuinki huzur alaihi o sallam deen ko kamil karne hi ke liye dunya me tashrif laye the to jab deen kamil ho chuka to zahir hai ki huzur sallallahu Alaihi o sallam Ab iss dunya me rahana pasand nahi farmayenge.

Darse Hidayath

  1.  Allah Tala ne iss ayath me iss bath par mohar laga di ki Aab kafiron ki koi ziddo jahad aur koshish bhi islam ko khatam nahi kar sakti. Kuinki kuffar ki ummid va Aas par na-unnidi va yaas ke badal chaa gaye hain. kuinki in ka islam ko mita dene ka khwab Aab kabhi bhi sharminda tabir na ho sakega.

  2.  Iss ayath ne yelan kar diya ki dine islam mukammal ho chuka hai Aab agar koi ye kahe ki islam me fulan fulan masayil nakhis rah gaye hain ya islam me kuch tarmim aur izafe ki zarurath hai to vo shakhs khazzab aur jhuta hai aur dar hakhikhat vo Quran ki takzib karne vala mulhid aur islam se kharij hain. deene islam bilashuba yakhinan kamil va mukammal ho chuka hai iss par imaan rakhna zaruriyate deen me se hain.

Murtadin Se Jihad Karne Vale


       Huzure Akdas Sallallahu Alaihis Sallam ki Hayate Mubaraka me chand Admi aur vafaate akdas ke baad bahut log murtad hone vale the jin se islaam ki baka ko shadid khatra lahikha hone vala tha. lekin Quran e Majid ne barson pahle ye ghaib ki khabar di aur ye pesh goyi farma di ki iss bhayanak aur khatarnak vakht par allah tala ek yesi khom ko paida farmayega jo islam ki muhafizath karegi aur vo yesi 6 sifaton ki jameA hogi jo tamam dunyavi va ukharvi fazayil va kamalath ka saar chashma hai aur yehi 6 sifath in muhafizine islam ki alamath aur in ki pahchan ka nishan hongi aur vo 6 sifath ye hain:

1.  Vo Allah Tala ke mahbub honge
2.  Vo Allah Tala se Mohabbath karenge
3.  Vo Mominin par bahut meharban honge
4.  Vo Kafiron ke liye bahut sakht honge
5.  Vo Khuda ki raah me zihad karenge
6.  Vo Kisi malamath karne vale ki malamath se khayif nahi honge.

          Sahibe tafsire jamal ne kashaaf ke havale se tahrir farmaya hai ki arab ke 11 khabile islam khabul kar lene ke baad Aage piche islam se Munharif ho kar murtad ho gaya. 3 khabayil to Huzur Alaihis Salam ki mozudgi me aur 7 khabile hazrate amirul mominin Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ke dore Khilafath me Aur ek khabila hazrate amirul mominin Umar Farooq Raziyallahu Tala Anhu ke khalifa hone ke baad magar ye 11 khabayil apni intihayi koshishon ke bavajud islam ka kuch bhi na bigad sake. Balki mujahidine islam ke sarfaroshan zihadon ki badolath ye saab murtadin tahas nahas ho kar fana ke ghat utar gaye aur parchame islam barabar buland se buland tar hota hi chala gaya. aur Quran e Majid ka vada aur gaib ki khabar bilkul sach aur sahih sabith ho kar rahi.

Zamana E Risalath Ke 3 Murtadin

   1.  Khabila E Bani Mudliz jis ka rayis "Asvad Anisi" tha jo " Zul hamar" ke lakhab se mashhur tha.
Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne Hazrate Muaz Bin Jabal Aur Yaman Ke Sardaron ko farman bheja ki murtadin se zihad karen. Chunanche, Firoz dailmi ke haath se Asvad anisi khatal huva aur uss ki jamath bikhar gayi aur huzur Alaihis Salam ko Bistare Alalath par ye khush khabri sunayi gayi ki asvad anisi khatal ho gaya hai. iss ke dusre din hi Huzur Alaihi Salam ka visal ho gaya.

   2.  Khabila e Banu Hanifa jis ka sardar "Musailima Khazzab" tha. jis se hazrate abu bakkar raziyallahu Tala anhu ne zihad farmaya aur ladayi ke baad hazrate vahshi raziyallahu tala anhu ke saath se musailimatul khazzab makhtul huva aur uss ka guroh kuch khatl ho gaya aur kuch dobara damane islam me Aagaya.

   3.  Khabila e Bun Asad, Jis ka amir talha bin khuvailad tha. Huzure akdas Sallallahu Tala Alaihi o Sallam ne uss ke mukhable ke liye hazrate khalid bin valid raziyallahu tala anhu ko bheja aur jang ke baad talha bin khuvailad shikhast kha kar mulke shaam bhag  gaya magar fir dobara islam khabul kar liya aur akhiri dam tak islam par sabith khadam raha aur uss ki foz kuch kat gayi kuch tayib ho kar fir dobara musalman ho gaye.

Khilafate Siddiqe Akbar Ke 7 Murtad Khabayil

  1.  Khabila e Fazara jis ka sardar uyena bin hasan fazari tha.
  2.  Khabila Ghathfan jis ka sardar khurra Bin Salma Khusheri tha.
  3.  Khabila e Banu Sulem jin ka sargana fajah Bin Yalail Tha.
  4.  Khabila e Bani YarbuA jis ka Sarbara Malik Bin buraida Tha.
  5.  Khabila e Banu Tamim jin ki amir sajah binte manzar ek aurath thi jis ne Musailimatul Kazzab            se Shadi kar li thi.
  6.  Khabila e Kanda jo  Ashash Bin Kais ke Pairukar the.
  7.  Khabila e Banu Bakkar jo khatami bin yazid ke tabe Adar the. Amirul mominin Hazrate Abu              Bakkar Siddikh Raziyallahu ne in Murtad hone vale saton khabilon se mahino tak badi khoon              rez jangh farmayi. Chunanche, Kuch in me se makhtul ho gaye aur kuch toba kar ke fir damane          islam me Aa gaye.

Daure Farooqi Ka Murtad Khabila

Amirul Mominin Hazrate Umar Farooqe Azam Raziyallahu Tala Anhu ke dore Khilafath me sirf ek hi khabila murtad huva aur ye khabila e Ghassan tha. jis ki sardari jabla bin yeham kar raha tha. magar Hazrate umar farooqe azam raziyallahu tala anhu ke parcham ke niche sahabaye kiram ne jihad kar ke iss guroh ka khala khamA kar diya aur fir iss ke baad koi khabila bhi murtad hone ke liye saar nahi utha saka.

        Iss tarha murtad hone vale in gairah khabilon ka sara fitna va fasad mujahidine islam ke jihadon ki badolath hamesha ke liye khatam ho gaya.



      In murtadin se ladne vale aur in shariron ka khalA khamA karne vale sahaba e kiram the. jin ke bare me barson pahle Quran e Majid ne ghaib ki khabar dete huve ye irshad farmaya tha ki.
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Ye imaan valon tum me jo koi apne din se firega to An kharib Allah yese log lagayega ki vo Allah ke pyare aur allah un ka pyara musalmano par narm aur kafiron par sakhth Allah ki rah me ladenge aur kisi malamath karne vale ki malamath ka andesha na karenge ye Allah ka fazal hai jise chahe de aur allah vusAt vala ilm vala hai.

Darse Hidayath

             In Ayath se sahabe jail anvare hidayath ki tajalliyan numudar hoti hai.
Murtadin ke fithno aur shorisho se islam ko koi nuksan nahi pahunch sakta kuinki Allah Tala murtadon ke mukhable ke liye har dor me ek yesi jamath ko paida farma dega jo tamam murtadin ki fitna pardaziyon ko khatam kar ke islam ka bol bala karti rahegi jin ki 6 nishaniyan hongi.

            In Ayate Bayyinath se sabith hota hai ki sahaba e kiram raziyallahu tala anhu jinhone murtadin ke 11 khabayil ki shorishon ko khatam kar ke parchame islam ko buland se buland tar kar diya. ye sahaba e kiram mundarija e zail 6 azim sifath ke sharaf se sarfaraz the. Yani

  1.  Sahaba e Kiram Allah Tala Ke Mahboob hain.
  2.  Vo Kafiron ke haq ke bahuth sakhth hain.
  3.  Vo Allah Tala ke muhib hain
  4.  Vo Musalmano ke liye raham dil hain.
  5.  Vo Mujahide fi sabilillah hain
  6.  Vo Allah Tala ke muamle me kisi malamath karne vale ka andesha va khof nahi rakhte.

          Fir Ayath ke akhir me khudavande khuddus ne in sahabaye kiram ke maratib va darjath ki azmath va sar bulandi par apne fazlo inam ki mohar sabth farmate huve ye irshad farma ki ye saab Allah ka fazal hai aur Allah Tala ka fazlo karam badi vusath vala hai aur allah tala hi ko khoob malum hai ki kon uss ke fazal ka haqdar hai.

        Allahu Akbar! Subhanallah Kai kahna hai sahaba e kiram ki azmaton ki bulandi ka. Rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ne sahaba e kiram raziyallahu tala anhu ke fazlo kamal ka yelan farmaya aur khudavande khuddus ne in logon ke jameul kamalath hone ka Quran e Majid me khutba pada.