Hazrate Adam Alaihis Salam ka Lakhab "Khalifatullah" hai. Jab Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Sallam ko apni Khilafath se Sarfaraz farmane ka irada farmaya to iss silsile me Allah Tala aur farishton me jo mukamla huva vo bahuth hi tajjub khoz hone ke saath saath nihayath hi fikr angrez va ibrath amoz bhi hai, Jo hasbe zail hain:
Allah Tala: "Ye Firishto! Main zamin me apna khalifa banane vala hun jo mera nayib ban kar zamin me mere ahkam ko afiz karega.
Malaika: Ye Bari Tala! kai tu zamin me yese shakhs ko apni khilafath va niyabath ke sharf se sarfaraz farmayega jo zamin me fasad barpa karega aur khatlo gharathgiri se khunrezi ka bazar garm karega? Ye Khudavande Tala ! Iss shakhs se ziyada teri khilafat ke haqdar to ham malayika ki zamath hai, kuinki ham malayika na zamin me fasad failayenge, Na khunrezi karenge balki ham teri hamdo sana ke saath teri sabuhiyyath ka yelan aur teri kuddusiyyath aur paki ka bayan karte rahte hain aur teri tasbih va takhdis se har lahaza va har Aan ratbulissan rahte hain iss liye ham firishton ki zamath hi me se kisi ke saar par apni khilafath va niyabath ka taaj rakh kar uss ko "Khalifatullah" ke muazzaz lakhab se sar buland farma.
Allah Tala : Ye Farishto! Adam Alaihis Salam ke khalifa banane me jo hikmate aur maslehaten hain un ko main hi janta hun, Tum gurohe malayika un hikmaton aur maslehaton ko nahi jante.
Farishte Bari Tala ke iss irshad ko sun kar agarche khamosh to ho gaye magar unhon ne apne dil me ye khayal chupaye rakha ki Allah Tala khwah kisi ko bhi apna khalifa bana de magar vo fazlo kamal me ham farishton se bad kar na hoga. Kuinki ham malayika fazilath ki jis manzil par hain vahan tak kisi makhluq ki bhi rasayi na ho sakegi. Iss liye fazilath ke tajdar bahar haal ham farishton ki jamath hi rahegi.
Iss ke Baad Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam ko paida farma kar tamam choti badi chizon ka ilm un ko Ata farma diya iss ke baad fir Allah Tala aur malayika ka hasbe zail Mukalma huva.
Allah Tala : Ye Farishto! Agar Tum apne iss dave me sachche ho ki tum se afzal koi dusri makhluq nahi ho sakti to tum tamam un chizon ke naam batao jin ko main ne tumhare pesho nazar kar diya hai.
Malayika: Ye Allah Tala! Tu har naks va yeb se paak hai hame to bas itna hi ilm hai jo tu ne hame Aata farma diya hai iss ke siva hame aur kisi chiz ka koi ilm nahi hai ham bil yakhin ye jante hai aur mante hain ki bila shuba ilmo hikmat ka khalikho malik to sirf tu hi hai.
Fir Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam ko Mukhatab farma kar irshad farmaya ki ye Adam tum in farishton ko tamam chizon ke naam batao. To Hazrate Adam Alaihis Salam ne tamam Ashya ke naam aur un ki hikmaton ka ilm farishton ko bata diya jis ko sun kar farishte mutAjib va mahve hairath ho gaye.
Allah Tala : Ye Farishton! kai mai ne tum se ye nahi farma diya tha ki main asmano zamin ki chupi huyi tamam chizon ko janta hun aur tum jo alaniyya ye kahte the ki Adam Fasad barpa karenge iss ko bhi main janta hun aur tum jo khayalath apne dilon me chupaye huve the ki koi makhluq tum se bad kar afzal nahi paida hogi, main tumhare dilon me chupe huve un khayalath ko bhi janta hun.
Fir Hazrate Adam Alaihis Salam ke fazlo kamal ke izhar va yelan ke liye aur farishton se in ki azmath va fazilath ka yetiraf karne ke liye Allah Tala ne saab farishton ko hukum farmaya ki tum saab hazrate Aadam Alaihis Salam ko sajda karo. Chunanche, Saab firishton ne Aap ko sajda kiya lekin iblis ne sajde se inkar kar diya aur takabbur kiya to kafir ho kar mardude bargah ho gaya.
Iss Pure mazmun ko Quran e Majid ne apne mojizana tarze bayan me iss tarha zikr farmaya hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur yad karo jab tumhare Raab ne Farishton se farmaya main Zamin me Apna Nayib banane vala hun. Bole : Kai yese ko nayib karega jo iss me fasad failaye aur khoon rezinyan kare aur ham tujhe sarahate huve teri tasbih karte aur teri paki bolte hain. Farmaya : Mujhe malum hai jo tum nahi jante aur Allah Tala ne Adam ko tamam ashya ke naam sikhaye fir saab ashya malayika par pesh kar ke farmaya sachche ho to in ke naam to batao, Bole paki hai tujhe hame kuch ilm nahi magar jitna tu ne hame sikhaya. Beshak tu hi ilmo hikmath vala hai. Farmaya : Ye adam bata de inhen saab ashya ke naam. Jab adam ne unhen saab ke naam bata diye, Farmaya main na kahta tha ki main janta hun Asmano aur Zamin ki saab chupi chizen aur main janta hun jo kuch tum zahir karte aur jo kuch chupate ho aur yaad karo jab ham ne firishton ko hukum diya ki adam ko sajda karo to saab ne sajda kiya sivaye iblis ke munkir huva aur gurur kiya aur kafir ho gaya.
Darse Hidayath:
In ayate kareema se mundariza e zail hidayath ke asbakh milte hain.
1. Allah Tala ki shaan FaAlullima Yuridu hai. Yani vo jo chahta hai karta hai na koi uss ke irade me dakhal andaz ho sakta hai na kisi ki majal hai ki uss ke kisi kaam me chuno charaa kar sake. Magar iss ke baad Vazud Hazrate Adam Alaihis Salam ki Takhlikh va khilafath ke bare me khudavande khuddus ne malayika ki jamath se mashvara farmaya. iss me ye hidayath ka sabaq hai ki bari tala jo saab se zaida ilm va khudrath vala hai aur fayile mukhtar hai jab vo apne malayika se mashwara farmata hai to bande jin ka ilm aur iqhtidar va iqhtiyar bahut hi kaam hai to unhen bhi chahiye ki vo jis kisi kaam ka irada karen to apne mukhlis doston, aur sahibane akhlaq hamdardon se apne kaam ke bare me mashvara kar liya karen ki ye allah tala ki sunnath aur uss ka mukhaddas dastur hai.
2. Farishton ne Hazrate Adam Alaihis Salam ke bare me ye kaha ki vo fasadi aur khunrez hai. Lihaza un ko khilafate ilahiyya se sarfaraz karne se behtar ye hai ki ham firishton ko khilafath ka sharaf bakhsha jaye. Kuinki ham malayika khuda ki tasbiho takdis aur uss ki hamdo sana kao apna shiare zindagi banaye huve hain lihaza ham malayika Hazrate Adam Alaihis Sallam se Ziyada Khilafath ke mustahik hain.
Farishton ne apni ye ray iss bina par di thi ki unhon ne apne ijtihad se ye samjha liya ki paida hone vale khalifa me 3 kuvvaten bari tala vadiat farmayega, ek Kuvvate Shahaviyya, Dusri Kuvvate Gazbiyya, Tisri Kuvvate Aqhliyya aur chunki Kuvvate Shahaviyya aur Kuvvate Gazabiyya in dono se lutmar aur khatlo gharath vaghaira kism kism ke fasadath rooh numa honge, Iss liye Firishton ne bari Tala ke javab me ye arz kiya ki ye khudavande tala! kai tu yesi makhlukh ko apni khilafath se sarfaraz farmayega jo zamin me khism ke fasad barpa karegi aur khatlo gharath giri se zamin me khoon rezi ka tufan layegi. iss se behtar to ye hai ki tu ham firishton me se kisi ko apna khalifa bana de. Kuinki ham teri hamd ke Saath teri tasbih padte hain aur teri taqdis aur paki ka charcha karte rahte hain to allah tala ne ye farma kar farishton ko khamosh kar diya ki main jis makhlooq ko khalifa bana raha hun uss me jo jo maslehaten aur jaisi jaisi hikmaten hain un ko bas main hi janta hun tum farishton ko un hikmaton aur maslehaton ka ilm nahi hai.
Vo maslehate aur hikmaten kai thi? Iss ka pura pura ilm to sirf Alimul Ghaib hi ko hai. Magar Zahiri tor par ek hikmath aur maslehath ye bhi malum hoti hai ki firishton ne Hazrate Adam Alaihis Salam ke badan me Kuvvate Shahviyyath va Kuvvate Gazabiyya ko fasad va Khoon rezi ka Mamba aur sar chashma samajh akr in ko khilafath ka ahal nahi samjha. Magar farishton ki nazar iss par nahi padi ki Hazrate Adam Alaihis Salam ke Kuvvate Shahviyya aur Kuvvate Ghazabiyya ke saath saath Kuvvate Akhliyya bhi hai aur Kuvvate Aqhliyya ki ye shaan hai ki Agar vo ghalib ho kar kuvvate shahviyya aur kuvvate gazabiyya ko apna Mutia va Farma bardar bana le to Kuvvate Shahviyya va Kuvvate Gazabiyya bajay fasad va khoon rezi ke har kair va khubi ka mamba aur har khism ki salaho falah ka sarchashma ban jaya karti hai, ye nukta farishton ki nigah se Aaojal rah gaya. Isi liye bari tala ne farishton ke javab me farmaya ki main jo janta hun uss ko tum nahi jante aur farishte ye sun kar khamosh ho gaye.
Iss se ye hidayath ka sabaqh milta hai ki chunki bande khudavande khuddus ke afAal aur uss ke kamo ki maslehaten aur hikmaton se kamaa haqqahu vakhif nahi hain iss liye bandon par lazim hai ki Allah tala ki kisi fel par tankhid va tabsere se apni zaban ko roke rahen. aur apni kaam akhli va kotah fahmi ka yetiraf karte huve ye imaan rakhe aur zaban se yelaan karte rahen ki Allah Tala ne jo kuch kiya aur jaisa bhi kiya bahar hal vohi haq hai aur allah tala hi apne kamo ki hikmaton aur maslehaton ko khoob janta hai jin ka ham bandon ko ilm nahi hai.
3. Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam ko tamam ashya ke namo, aur un ki hikmaton ka ilm va zariaa ek lamhe me ata farma diya. iss se malum huva ki ilm ka husul kitabon ke sabkhan sabkhan padne hi par mokuf nahi hai balki Allah Tala jis bande par apna fazal farma de uss ko bighor sabakh padne aur bighor kisi kitab ke ba zariaye ilham chand lamhon me ilm hasil kara deta hai aur bighor tahsile ilm ke uss ka sina ilmo irfan ka khazina ban jaya karta hai. Chunanche, bahuth se auliyaye kiram ke bare me motabar rivayath se sabith hai ki unho ne kabhi kisi maddrase me khadam nahi rakha. na kisi ustad ke samne zanuye talamuz kiya na kabhi kisi kitab ko hath lagaya, magar shokhe kamil ki batini tavajjoh aur fazle rabbi ki ba dolath chand minton balki chand sekendon me ilham ke zariye vo tamam ulum va marif ke zameye kamalath ban gaye aur buzurgon ke ilmi tabhhur aur alimana maharath ka ye alam ho gaya ki bade bade darasgahi molvi jo ulum va marif ke pahad shumar kiye jate the in buzurgon ke samne tifle makhtab nazar ane lage.
4. In Vakhiyath se Malum huva ki khuda ki niyabath aur khilafath ka daro madar kasrate ibadath aur tasbih va takdis nahi hai balki iss ka daro madar ulum va muarif ki kasrath par hai. Chunanche Hazrate Malayika Alaihimus Salam bavazude kasrate ibadath aur tasbih va takdis "Khalifatullah" ke lakhab se sarfaraz nahi kiye gaye aur Hazrate Adam Alaihis Salam Ulum va Marifa ki kasrath ki bina par khilafath ke sharaf se mumtaz bana diye gaye jis par Quran e Majid ki ayate karima shahide Adla hain.
5. Iss se ye bhi malum huva ki ulum ki kasrath ko ibadath ki kasrath par fazilath hasil hai aur ek alim ka darja ek Abid se bahuth zaiyada buland tar hai. Chunanche, Yehi vajah hai ki Hazrate Adam Alaihis Salam ke ilmi fazlo kamal aur buland darjath ke izhar va yelan ke liye aur malayika se iss ka yetiraf karane ke liye allah tala ne tamam firishton ko hukum farmaya ki tamam farishte hazrate Adam Alaihis Salam ke roobaru sajda karen. Chunanche, tamam malayika ne hukme ilahi ki tamil karte huve Hazrate Adam ko sajda kar liya aur iss ki badolath aur mahbubiyyate khudavandi ki buland manzil par fayiz ho gaye aur iblis chunki apne takabbur ki manhusiyyath me giriftar ho kar iss sajde se inkar kar baitha to vo mardude bargahe ilahi ho kar zillath va gumrahi ke yese Aamikh Ghar me gir pada ki khiyamat tak vo iss ghar se nahi nikal sakta aur hamesha hamesha vo dono jahan ki lanaton ka haqdaar bangaya aur kahare kahhar va ghazabe jabbar me giriftar ho kar dayimi azabe naar ka sazavar ban gaya.
6. Iss se ye bhi malum huva ki kisi ke ilm ko janchne aur ilm ki killath va kasrath ka andaza lagane ke liye imtihan ka tarikha jo Aaj kal rayij hai ye Allah Tala ki sunnate khadim hai ki khudavande Alam ne farishton ke ilm ko kam aur hazrate adam Alaihis Salam ke ilm ko zayid zahir karne ke liye farishto aur hazrate Adam Alaihis Sallam ka imtihan liya. To firishte iss imtihan me nakam rah gaye aur hazrate adam Alaihis Salam kamyab ho gaye.
7. Iblish ne Hazrate Adam Alaihis Sallam ko khak ka putla kah kar in ki tahkhir ki aur apne ko Aatashi makhlukh kah kar apni badayi aur takabbur ka izhar kiya aur sajdaye adam Alaihis Salam se inkar kiya, dar hakhikhat shaitan ke iss inkar kaa bayis uss ka takabbur tha iss se ye sabaq milta hai ki takabbur vo buri shai hai ki bade se bade buland maratib va darjath vale ko zillath ke azab me girifdar kar deti hai balki baz avkath takabbur kufr tak pahunch deta hai aur takabbur ke saath saath jab mahabubane bargahe ilahi ki tohin aur tahkhir ka bhi jazba ho to fir to uss ki shanaAth va khabasath aur be panah manhusiyyath ko koi andaz hi nahi kar sakta aur uss ke iblise layin hone me koi shako shuba kiya hi nahi ja sakta. Iss liye un logon ko ibrath Amoz sabakh lena chahiye jo buzurgane deen ki tohin kar ke apni ibadaton par izhare takabbur karte rahte hain ki vo iss dor me iblis kahlane ke mustahiq nahi to fir kai hai ?