Kisi Khom Ka Mazaq Na Udao


Hazrate Sabit Bin Kais Raziyallahu Tala Anhu kuch uncha sunte the iss liye jaab voh majlis sharif me hazir hote to sahaba unhenh age jagah de diya karte the. ek din jaab vo darbare risalath me Aaye to majlis pur ho chuki thi, likin vo logon ko hatate huve huzur alaihis salam ki karib pahunch gaye. magar fir bhi ek admi in ke aur huzur ke darmiyan rah gaya hazrate sabit bin kais uss ko bhi hatane lage lekin vo shakhs apni jagah se bilkul nahi hata to hazrate sabit bin kais raziyallahu tala anhu ne gusse me bhar kar pucha ki tum kon ho ? to uss shaks ne kaha ki fulan admi hun ye sun kar hazrate sabit bin kais ne hakarath ke lahaje me kaha ki achcha tu fulanni aurat ka ladka hai ye sun kar uss shaks ne sharminda ho kar sar jhuka liya aur uss ko badi taklif huyi iss mokha par mundarija zail ayat nazil huyi.

         Aur hazrate zahhak se mankhul hai ki khabilaye bani tamim ke kuch log behtarin poshak pahan kar basurate vafad bargahe nabvi sallallahu alaihi o sallam me aya aur jab in logon ne "Ashabe suffa" ke gharib va muflis musalmano ko farsuda haal dekha to un ka mazakh udane lage iss mokha par ye ayath nazil huyi.



        Aur Hazrate Anas Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki Hazrate Aysha Raziyallahu Tala Ahun ne Hazrate Ummul Mominin BiBi safiyya ko ek din "Yahudiyya" kah diya tha. jis se un ko bahut ranj va sadma huva. Jab Huzoor Alaihis Salam ko malum huva to Hazrate BiBi Aysha  Raziyallahu Tala Anhu par bahut ziyada khaafagi ka izhar farmaya aur hazrate bibi safiyya raziyallahu tala anha ki dil joyi ke liye farmaya ki tum ek nabi (Hazrate Musa Alaihis Salam) ki avlad me ho aur tumhare chachaon me bhi ek nabi (Hazrate Haroon Alaihis Salam) hain aur tum ek nabi ki bivi bhi ho yani meri bivi ho. Iss mokha par in ayat ka nuzul huva.


   
Bahar Haal in mazkura bala tino shane nuzul me se kisi ke bare me ye ayath nazil huyi jis me Allah Azzawajal ne kisi khom ka mazak udane ki sakht mumanath farmayi.
               Ayate karima ye hai ki.

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ye Imaan valon na mard mardon se Hasen, Azab nahi ki vo un hasne valon se behtar ho aur na auraten auraton se, dur nahi ki vo un hasne valiyon se behtar ho aur apas me tana na karo aur ek dusre ke bure naam na rakho kai hi bura naam hai musalman ho kar fasik kahlana aur jo toba na karen to vohi zalim hai.

Darse Hidayat

             Quran karim ki in chamakti huyi ayaton ko baghor padiye aur ibrat hasil kijiye ki iss zamane me jo ek fasikhana aur sarasar mujrimana ravaj nikal pada hai ki "sayyid" va "shiekh" aur "pathan" kahlane valon ka ye dastur ban gaya hai ki vo dunya, jolaha, kunjada, khasayi, nayi kah kar mukhlis va muttakhi musalmano ka mazak banaya karte hain balki in khomo ke alimo ko mahaz in ki khomiyyath ki bina par jalil va hakhir samjhte hain balki apni majlison me in ka mazak bana kar haste hasrate hain. jahal to jahal bade bade alimon aur pirane tarikhat ka bhi yehi tarikha hai ki vo bhi yehi harkaten karte rahte hain. had ho gayi ki jo log barson in khomon ke alimon ke samne zanuye talmmuz tai kar ke khuda alim aur shaikhe tarikhat bane hain magar fir bhi mahaz khomiyyat ki biya par apne ustadon ko hakhir va zalil samajh kar un ka tamsakhur karte rahte hain. aur apne nasab va zaath par faqr kar ke dusron ki zillat va hakharat ka charcha karte rahte hain. lillah batayiye ki Quran e majid ki roshni me yese log kitne bade mujrim hain?

           Mulahaza farmayiye ki Quran e Majid ne mundarijaye zail ahakam aur vayide bayan farmayi hai:
  1. Koi khom kisi khom ka mazaq na udaye.ho sakta hai ki jin ka mazak uda rahe hain vo mazaq udane valon se dunya va akhirath me behtar ho.
  2. Musalmano ke liye jayiz nahi ki ek dusre par tana zani karen.
  3. Musalmano par haram hai ki ek dusre ke liye bure bure naam rakhen.
  4. Jo yesa kare vo musalman ho kar "fasiq" hai.
  5. aur jo apni in harkaton se toba na kare vo "zalim" hai.
                Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anha ne farmaya ki agar koi gunahgar musalman apne gunah se toba kar le to toba ke baad uss ko uss gunah se Aar dilana bhi isi mumanaAt me dakhil hai. Isi tarha kisi musalman ko Kutta, Gadha ,Suvvar kah dena bhi MamnuA hai ya kisi musalman ko yese naam ya lakhab se yaad karna jis me uss ki burayi zahir hoti ho ya uss ko nagavar hota ho ye sari suraten bhi isi mumanaAt me dakhil hai.


     
Aur Hazrate Abdullah Bin Masud Sahabi Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki agar main kisi ko Hakhir samajh kar uss ka mazak banaun to mujhe dar lagta hai ki kahi allah tala mujhe kutta na bana de  
                                                                                    

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »