Insan ki vo tavil umr jis me insan ke tamam kava mujmahil aur bekar ho jate hain aur admi bilkul hi nakisul kuvvath kam aqhal aur khalilul faham ho kar bachpan ki hai'at ke misal aqhal va danayi aur hosh va khurd se Aari aur nisyan ke galbe se sara ilm bhul jata hai aur utne baitne, chalne firne se majbur ho jata hai. Allah Tala ne iss umre insani ka zikr farmate huve Qurane Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur Allah ne tumhen paida kiya fir tumhari jan khabz karega aur tum me koi sab se nakis umr ki taraf fera jata hai ki janne ke baad kuch na janne beshak Allah sab kuch janta sab kuch kar sakta hai.
Iss "Arzalul Umr" ki koi mikdar muAyyan nahi hai, tarikhi tajriba hai ki baaz log saat hi baras ki umr me yese ho jate hain ki baaz log 100 baras ki umr pa kar bhi khusat umr ki manzil me nahi pahunchte. Haan imaam khatada raziyallahu tala anhu ka khol hai ki navve baras ki umr vale ke tamam kava aur havas amal va tasarruf se nakara ho jate hain aur vo har khisam ki kamayi aur haj va jihad vaghaira ke kabil nahi raha jate ye umr aur iss ki kaifiyyath vakheyi iss khabil hai ki insan iss se khuda ki panah mange. chunanche, hadis sharif me hai ki huzure akram raziyallahu tala anhu 7 chizon se panah manga karte the aur yun dua manga karte the.
Ye Allah main teri panah mangta hun Kanjusi se aur kahili se aur khusat Umr se aur khabr ke azab se aur fitna e dajjal se aur zindagi ki fitne se aur mauth ke fitne se.
isi liye mankhul hai ki mashhur buzurg aur mustanad alime deen hazrate mohammad bin ali vasti rahamatullahi tala anhu apni zaath ke liye khaas tor par ye dua manga karte the.
Yani ye Allah! Mujhe itne zamane tak zinda mat rakh ki main kisi par bhoj ban jaun tu iss se khabl meri dastagiri farma le ki main har milne vale se utte vaqth ye kahun ki tum mera haath pakad lo.
Hadis sharif me hai aur baaz logon ne iss ko hazrate ikrama ka khol bataya hai ki jo shakhs Quran ko padta rahe vo Arzalil Umr (Khusat) ko na pahunchega aur yese hi jo Quran me ghoro fikr karta rahega aur Quran par amal bhi karta rahega vo bhi iss khusat umr se mahfuz rahega.
Darse Hidayath:
Zindagi aur mauth aur kam ya zaida umr ye Allah Tala hi ke khabze va iqtiyar me hai vo jis ko chahe kam umr ata farmaye aur jis ko chahe tavil umr bakhshe. kisi insan ko hargiz hargiz isme koi dakhil nahi hai insan ko chahiye ki bahar hal khudavande khuddus ki marzi par sabiro shakir rahe. Han albatta ye dua mangta rahe ki allah tala meri zindagi ko nekiyon me guzare aur har khisam ke gunahon se mahfuz rakhe kuiki thodi si umr mile aur nekiyon me guzare to iss se bada koi inam nahi aur umr tavil paye magar hasnath aur nekiyon me na guzare to vo lambi umr bahut bada khasara aur vabal hai aur iss ka vaqht dhain rakhe ki kisi budde shaqhs ki be adabi na hone paye balki hamesha budon ka yejaz va yehtiram pesho nazar rahe, kuinki
ek hadis me hai ki ek shaqhs ne darbare risalat me faqro fakha ki shikayath ki, to huzure akram sallallahu alaihi o sallam ne farmaya "La Allaka Mashaita Amma mashkhi yani ghaliban tum kisi budde admi ke age age chahe honge. ye usi ki nuhusath hai.
ek hadis me hai ki ek shaqhs ne darbare risalat me faqro fakha ki shikayath ki, to huzure akram sallallahu alaihi o sallam ne farmaya "La Allaka Mashaita Amma mashkhi yani ghaliban tum kisi budde admi ke age age chahe honge. ye usi ki nuhusath hai.