Hazrate Musa Alaihis Salam Bachpan hi se Firon ke mahal me pale bade magar jab javan ho gaye to firon aur uss ki khom khibtiyon ke mazlim dekh kar bezar ho gaye aur fironiyaon ke khilaf avaz buland karne lage. iss par firon aur uss khom jo "Kibti" kahlate the, Aap ke dushman ban gaye aur Aap firon ka mahal balki uss ka shahar chod kar Atraf me chup kar rahne lage. ek din jaab shahar vale dopahar me khailula kar rahe the to Aap chupke se shahar me dakhil ho gaye aur uss shahar ka naam "manaf" tha jo misr ke hudud me vakhe hai aur "manaf" dar asal "mafa" tha jo arabi me "manaf" ho gaya aur baaz ka khol ye hai ki ye shahar "yenushshams" tha aur baaz mufassirin ne kaha ki ye shahar "haibain" tha jo misr se do kos door hai.
Ya "Umme Khanan" Ya misr tha. Jaab Aap shahar me pahunche to ye dekha ki ek shakhs Aap ki khom ka israeli aur ek shaqhs firon ki khom ka khibti dono lad jhagad rahe hain. Israeli ne Hazrate Musa Alaihis Salam se faryad kar ke madad mangi. Iss par Hazrate Musa Alaihis Salam ne kibti ko ek dhunsa mar diya jis se uss dam nikal gaya. iss par Aap ko bahut afsos huva aur Aap khuda se istigfar karne lage. Firon ki khom ke logon ne firon ko ittilaa di ki kisi israeli ne hamare ek kibti ko mar dala hai iss par firon ne khatil aur gavahon ki talash ka hukum diya.
Fironi choron tarfa gasht karte firte the magar koi surag nahi milta tha. Raath bhar subah tak Hazrate Musa Alaihis Salam fikr mand rahe ki khuda jane iss kibti ke mare jane ka kai natija niklega aur iss ki khom ke log kai karenge? Dusre roz jab musa alaihis salam ko fir yesa ittifaq pesh aya ki vohi israeli jis ne ek din pahle Aap se madad talab ki thi Aaj fir ek fironi se lad raha tha to Aap ne israeli ko thanda ki tu roz roz logon se ladta hai apne ko bhi pareshani me dalta hai aur apne madadgaron ko bhi fikr me mubtala karta hai lekin fir hazrate musa alaihis salam ko israeli par raham Aa gaya aur Aap ne chaha ki uss ko fironi ke zulm se bachayen to fironi vola ki ye Musa! Kai tum mujhe bhi yese hi khatl karna chahte ho jaisa ki kaal tum ne ek Aadmi ko khatal kar diya. kai tum yehi chahte ho ki zamin me sakht gir bano aur allah chahte hi nahi? itne me shahar ke kinare se ek admi dodta huva Aaya aur ye khabar di ki darbare firon ke khibti Aapas me Aap ke khatl ka mashvara kar rahe hain. Lihaza Aap shahar se nikal jayiye me Aap ka khair khwa hun to Aap shahar se bahar nikal gaye aur iss intizar me rahe ki dekhiye Aab kai hota hai? Fir Aap ne ye dua mangi ki ye mere raab! mujhe zalimo se bacha le ye dua mang kar Aap hizrath kar ke madyan hazrate shoyeb alaihis salam ke paas pahunch gaye. unho ne Aap ko panah di aur fir apni ek sahibzadi bibi safura se Aap ka nikah bhi kar diya.
Jis shakhs ne shahr ke kinare se dodte huve Aa kar hazrate musa alaihis salam ko Aap ke khatal ka mansuba tayyar hone ki khabar di aur hijrath ka mashvara diya vo firon ke chacha ka ladka tha, jis ka naam hazakil ya shamun ya samAn tha ye khandane firon me se hazrate musa alaihis salam par imaan la chuka tha.
Darse Hidayath
Iss vakhiye se Ulmaye haq ko ibrath va nasihath hasil karni chahiye ki hazrate musa alaihis salam aur dusre ambiya kiram alaihis salam rahe tabligh me kaise kaise hadisath se do char huve magar sabro istikhamath ka daman in hazrat ke haton se nahi chuta. yahan tak ki nusrate khudavandi ne in hazrat ki yesi dastafiri farmayi ki ye hazrat kamyab ho kar rahe aur in ke dushmano ko hazimath aur halakath nasib huyi.