Ek martaba zihad ki ek muhim ke mokha par shaam ke vaqht hazrate suleman alaihis salam ne ghodon ko astabal se lane ka hukum diya. jab vo pesh kiye gaye to chunki Aap ko ghodon ki nasalon aur in ke zati avsaf ke ilm ka kamal hasil tha iss liye jab Aap ne in ghodon ko asil sabq Ru aur Khush Ru paya aur ye mulahaza farmaya ki in ki tadad bahut ziyada hai to Aap par masarrath va ambistar ki kaifiyath tari ho gayi aur Aap farmane lage ki in ghodon se meri sahabbath yesi mali mahabbath me shamil hai jo parvar dagar ke zikr hi ka ek shoba hai. hazrate suleman alaihis salam ke iss ghoro fikr ke darmiyan ghode astabal ko ravana ho gaya. chunanche, jab Aap ne nazar uthayi to vo ghode nigah se Oyil ho gaye the to Aap ne hukum diya ki un ghodon ko vapas lao.
Jab vo ghode vapas laye gaye to hazrate suleman alaihis salam ne joshe mahabbat me un ghodon ki pindaliyon aur dardano par haath ferna aur thap thapana shuru kar diya. Kuinki ye ghode jihad ka saman the iss liye Aap in ki izzath va tokhir karte huve ek mahir fan ki tarha se in ghodon ko manus karne lage aur izhare mohabbat farmane lage. Quran e Majid ne iss vakhiye ko hasbe zail ibrath me bayan farmaya hai.
Tarzuma e Kanzul Imaan:
Aur ham ne dawood ko suleman Aata farmaya kai Achcha banda beshak vo bahut rujuA lane vala jab ki uss par pesh kiye gaya tisre pahar ko ki Ru kiye to tin paon par khade ho chaothe sum ka kanara zamin par lagaye huve aur chalayiye to hava ho jayen to suleman ne kaha mujhe in ghodon ki mahabbat pasand Aayi hai apne raab ki yaad ke liye fir unhen chalne ka hukum diya yaha tak ki nigah se parde me chup gaye fir hukum diya ki unhen mere pas vapas lao to in ki pindliyon aur gardano par haath ferne laga.
Darse Hidayath
In ayath ki jo tafsir ham ne tahrir ki hai iss ko ibne jarir tabri aur imam razi ne tarzih di hai aur hazrate Abdullah bin Abbas raziyallahu tala anha ne bhi yehi tafsir farmayi hai. jis ke nakhal Ali Bin Abi Talha hain in Ayat ki tafsir me baaz mufassirin ne ghodon ki Pindaliyan aur ghodon ki gardano ko talvar se kaat dalna tahrir kiya hai aur yisi khism ke baaz dusre kamzor akval bhi tahrir kiye hain jin ki sihhat par koi dlil nahi hai aur vo mahaz hikayath aur dastane hai jo dalayile kaviyya ke samne kisi tarha khabile khabul nahi aur ye tafsir jo ham ne tahrir ki hai iss par na koi ashkal va yetiraz padta hai na kisi tavil ki zarurath pesh Aati hai.