Hazrate Lukman Hakim


Hazrate Lukman ki madho sana aur in ki baaz nasihaton ka tazkira Quran me badi azmath va shaan ke saath bayan kiya gaya hai aur inhi ke naam par Quran e Majid ki ek surah ka naam "Surah E Lukman" rakha gaya.

Mohammad Bin Ishaaq(Sahibe Maghazi) ne in ka nasab nama iss tarha bayan kiya hai lukman bin bahur bin tarukh. ye tarukh vohi hai jo hazrate ibrahim khalilullah alaihis salam ke valid hai aur moarrikhin ne farmaya ki Aap hazrate Ayyub alaihis salam ke bhanje the aur baaz ka khol hai ki Aap Hazrate Ayyub Alaihis Salam ke khalazad bhai the.

Hazrate Lukhman ne ek hazar baras ki umr payi yahan tak ki hazrate dawood alaihis salam ki sohbath me raah kar un se ilm sikha aur hazrate dawood alaihis salam ki biasath se pahle Aap bani israyil ke mufti the magar jaab hazrate dawood alaihis salam mansabe nabuvath par fayiz ho gaye to Aap ne fatva dena tark kar diya aur baaz kitabon me likha hai ki hazrate lukhnam ne farmaya hai ki mai ne char hazar nabiyon ki khidmat me haziri di hai aur in paighambaron ke mukhaddas kalamo me se 8 baton ko mai ne chun kar yaad kar liya hai, jo ye hai:

  1. Jab Tum namaaz pado to dil ki hifazath karo.
  2. Jab tum khana khao to apne halak ki hifazath karo 
  3. jab tum kisi ghor ke maan me raho to apni ankhon ki hifazat karo.
  4. jab tum logon ki majlis me raho to apni zaban ki hifazath rakho.
  5. Allah Tala ko hamesha yaad rakho.
  6. Apni mauth ko hamesha yaad karte raha karo.
  7. Apne yehsano ko bhula do.
  8. Dusron ke zulm ko faramosh kar do
Hazrate ikrama aur imam shabi ke siva jamhur ulma ka yehi khol hai ki Aap nabi nahi the balki Aap hakim the aur bani israel ke nihayat hi buland martaba sahibe imaan aur bahut hi namvar marde saleh the aur allah tala ne Aap ke sine ko hikmaton ka khazina bana diya tha. Quran e Majid me hai:
Tarzuma e Kanzul Imaan:

                  Aur beshaq ham ne Lukman ko hikmath Ata farmayi ki Allah ka shukr kar aur jo shukr kare vo apne bhale ko shukr karta hai aur nashukri kar to beshak allah be parvah hai saab khubiyon saraha.

          Hazrat e Lukman umr bhar logon ko nasihaten farmate rahe. tafsire fatahurrahman me hai ki Aap ki khabar makhame "sarfand" me hai jo "Ramala" ke karib hai aur hazrate khatada ka khol hai ki Aap ki khabar "Ramal" me masjid aur bazar ke darmiyan me hai aur uss jagah sattar ambiya alaihis salam bhi madfun hain. jin ko Aap ke baad yahudiyon ne baitul mukhaddas se nikal diya tha aur ye log bhuk pais se tadap tadap kar vafath pa gaye the. Aap ki Khabr par ek buland nishan hai aur log iss khabar ki ziyarath ke liye dur dur se aya karte hain.

         Hikmath Kai Hai ?

  "Hikmath" Aakhal va faham ko kahte hain aur baaz ne kaha ki "Hikmath" Marifath aur Asabath fil umur ka naam hai. aur baaz ke nazdik hikmath ek yesi shai hai ki allah tala jis ke dil me rakh deta hai uss ka dil roshan ho jata hai vaghaira vaghaira mukhtalif akhval hai allah tala ne hazrat e lukhman ko nind ki halath me achanak hikmath ata farma di thi. Bahar haal Nabuvath ki tarha hikmath bhi ek vahabi chiz hai, koi shaks apni ziddo jahad aur kasab se hikmath hasil nahi kar sakta. jis tarha ki baghair khuda ke ata kiye koi shaks apni koshishon se nabuvath nahi pa sakta ye aur baath hai ki nabuvvath ka darja hikmath ke martabe se bahut Aala aur Buland Tar hai.

 Hazrate Lukman ne apne farzand ko jin ka naam "Anaam" tha. Chand nasihaten farmayi hai jin ka zikr Quran e Majid ki Surah Lukman me hai In ke ilava aur bhi bahut si dusri nasihaten Aap ne farmayi hai jo tafasir ki kitabon me mazkur hai.

 Mashhur hai ki Aap darji ka pesha karte the aur baaz ne kaha ki Aap bakriyan charate the. Chunanche, ek martaba Aap hikmath ki baten bayan kar rahe the to kisi ne kaha ki kai tum fulan charvahe nahi ho? To Aap ne farmaya ki kuin nahi, main yakhinan vohi charvaha hun to uss ne kaha ki Aap hikmath ke iss martabe par kis tarha fayiz ho gaye? To Aap ne farmaya ki baton me sachchayi aur amanaton ki adayegi aur bekar baton se parhez karne ki vazah se 

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »