Makdi Ka Ghar


Kuffar ne buton ko mabud bana kar un ki imdad va yianath aur nusrath va nafaa rasani par jo yetimad aur bharosa rakha hai, Allah Tala ne kuffar ki iss hamakath maAbi ke izhar aur in ki khud farebiyon ka parda chak karne ke liye ek azib misal bayan farmayi hai jo bahut zaida ibrath kaiz aur Aala darje ki nasihath amoz hai chunanche, Quran e Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Un ki misal jinhone Allah ke siva aur malik bana liye hain makdi ki tarha hai uss ne jale ka ghar banaya aur beshak saab gharon me kamzor ghar makdi ka ghar kai achcha hota agar jante.

         Matlab ye hai ki makdi jale ka ghar bana kar apne khayal me magan rahti hai ki mai makan me baithi huyi hun magar iss ke makan ka ye haal hai ki vo na dhoop se bacha sakta hai na barish se, na garmi se mahfuz rakh sakta hai na sardi se hifazath kar sakta hai aur hava ke ek mamuli jhonke se tahas nahas ho kar barbad ho jaya karta hai yehi haal kuffar ka hai ki in logon ne buton ko apne nafa va nuksan ka malik bana liya hai aur in buton ki imdad va nusrath par yetimad aur bharosa kar rakha hai. halanki buton se hargiz hargiz koi nafa va nuksan nahi pahunch sakta aur kafiron ka buton par yetimaad itna hi kamzor sahara hai jitna ki makdi ka jala kamzor hot hai. kaash kuffar iss baath ko samaj lete to ye un ke haq me bahut hi achcha hota.

Makdi:

               Makdi ek ajibul khalkat janvar hai iss ke 8 paon aur 6 Ankhen hoti hai ye bahut hi kanaAth pasand janvar hai. Magar khuda ki shaan ki saab se haris janvar yani makhkhi aur machchar iss ki ghiza hai. makdi kai kai dino tak bhuki paisi baiti rahti hai magar apne jale se nikal kar ghiza talash nahi karti jab jale ke andar koi makkhi ya machchar fas jata hai to ye uss ko kha leti hai varna sabr va kanaAth kar ke padi rahti hai.

        Makdi ke fazail me ye baath khas tor par khabile zikr hai ki hijrath ke vaqht jab rasoole akram sallallahu alaihis sallam ghare sair me tashrif farmaa the to makdi ne ghar ke muh par jala tan diya tha aur kabutari ne ande de diye the. jis ko dekh kar kuffar vapas chale gaye ki agar ghaar me koi shakhs gaya hota to makdi ka jala aur anda tut gaya hota.

        Hazrate Ali radiyallahu anhu se marvi hai Aap ne farmaya ki apne gharon se makdiyon ke jalon ko door karte raho ki ye muflisi aur nadari ka bayis hote hain.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »