ADAL-E-FAROOQI
Ek dafah ek Yahoodi aur Munaafiq ke beech kisi baat par bahes ho gai, dono mein teh paya ke koi aisa shakhas faislah karenga jo kisi ka tarafdaar na ho.Yahoodi ne Rasoolallah (?) ki tareef karte hue kaha mujhe Unka faislah manzoor honga, par Munaafiq ke dil mein chor tha, Munaafiq ne Yahoodi se kaha ye faislah hum tumhaare sardaar K'ab bin Ashraf ke paas karenge.Yahoodi ne munaafiq ki ek baat na suni aur apni baat par jama raha Bilaakhir ye maamlah Rasoolallah (?) ke huzoor pahucha aur Aaqa (?) ne haq faislah farmaa diya jis mein Munaafiq ko haar hui aur faislah Yahoodi ke haq mein hua.Munaafiq ko ye baat hazam na hui usne Yahoodi se kaha chalo Umar ke paas chalo wo sahih faislah sunaa denge, Yahoodi ko ye baat sun kar ta'jub hua magar munaafiq ka dil rakhne ke liye wo Sayyadina Umar (??? ???? ???) ke baarghah mein mamlah le kar pahuch gaye .
Umar ??? ???? ??? ne saara mamlah suna phir pucha kya is Yahoodi ne jo kuchh kaha hai such kaha hai ? Munaafiq ne jawaab diya ha such kaha hai hum Rasoolallah (?) ke paas faislah karne pahuche jo ke is ke haq mein hua mujhe itminaan na hua is liye Aap ke paas aaye hai aap hi faislah kar de.Ye sunte hi Sayyadina Farooq-e-Aazam Ne Kaha Ruko Me Abhi Faisla Kar Deta hu Aap ghar ke andar gaye aur Talwaar liye baahar aaye aur Munaafiq kar sar qalam kar diya, aur Farmaaya,"Jo shakhas Musalmaan hone ka dawa' kare phir Rasoolallah (?) ke faisle ko manne se inkaar kare uski saza yahi hai".
Isse Kafi Shor Ho gaya ki Umar ne Ek Momin ko Qatl Kar diya Jab ye Bat Allah Ke Rasool ? Ke Pas Pahuchi To Allah ke Rasool ? Ne Farmaya ki Mera Umar Kabhi Kisi "MOMIN" Ko Qatl Nahi Kar Sakta.
To Isse Sabit Huwa ki Jo Rasoolallah ? Ke Faisle Ko Na Mane Wo Momin Nahi Munafik hai.
Isi Liye Saiyedi Sarkar Tajushshriya Irshad Farmate hai.
Umar Ne Tann Se Juda Kardiya Tha Sar Jiska.
Wo Apna Hai Ke Paraya Huzur Jante Hain.
Hazrat Umar (??? ???? ???) Ka RasooALLAH (?) se Judaai Ka Gham
Mah Saffar 11 Hijri ke aakhir mein Rasoolallah (?) ko Sar Dard Aur Tez Bukhaar Hua Ko Din Ba Din Badh'ta Hi Jaa Raha Tha.Aakhir Is Bimaari Ke Taqreeban 13 Din Baad Aaqa (?) ne apni zaahiri hayaat se pardah kar farmaa liya .(Apke Wisal Par Kafi Riwayate Alag Alag Mojud hai)
Jaise hi ye khabar Sahabah ko pahuchi sadme aur Ghum ki chaadar Aalam-e-Islam par phel gai kuchh ek jagah saakin ho gaaye kuch behosh ho gaye kuchh ne Ro Ro kar bura haal kar liya .Aise mein Humaare Sayyadina Umar (??? ???? ???) jo ke Aaqa (?) ke sab se Qareeb Sahabi the aur Be intehaa Muhabbat karne waale the unhone Khabar ko manne se inkaar kar diya, aur Talwaar ko miyaan se nikaal kar bole,Jo koi ye kahe ke Rasoolallah (?) ne wafaat paai main uski Gardan maar dunga. jald hi ALLAH Aap (?) ko phir Uthaayga aur Aap (?) Munaafiqon ke haath paao kaatenge (Yaani munaafiqon ke khilaaf jang hongi) "Abhi Umar (??? ???? ???) bayaan farmaa hi rahe the ke itne mein Abu Bakar (??? ???? ???) tashreef laaye aur Elaan kiya ke Waqai Rasoolallah (?) is dunyaa se pardah farmaa chuke hai phir unhone Surah Aal Imraan Ki 2 aayaat padhi ye Sunte hi Umar (??? ???? ???) ka dil is qadar maayus ho gaya ke Sadme se zameen par gir pade .Umar ??? ???? ??? aise sahabi hai jo bade se bade gham ke mawqe par bhi hosla dete rahe magar Har baaar jab bhi rasoolallah (?) se judaai ka khayaal ya khabar aai aap sadme se behosh ho jaaya karte the .
SAIYEDNA UMAR FAROOK ??? ???? ????? ??? AAPKI EK AZEEM KARAMAT
Ek Martaba Aapne Jumma Ke Khutbe Ke Doran 3 Martaba Farmaya "YA SARIYA'TUL JABAL" Hazrin Mutazzib Hue Ke Khutbe ke Darmiyan Ye Kya Kalam Hai,Bad me Jab Aapse Daryaft Kiya Gaya Ke Aaj Apne Khutbe Ke Douran Ye Kya Kalma Farmaya To Hazrat Umar Farook ??? ???? ????? ??? Ne Irshad Farmaya....
Lashkare Islam mulke ajam me maqam e nhawand me kuffar ke sath mashruf-e-jung hai mene dekha ki kuffar lashkare islam ko do taraf se gher kar marna chahte hain isi halat me maine pukar kar kaha ke "Ye Sariya! Pahsd Ki Aad Lo"
Ye Sunkar Log Muntazir Rahe Ke Laskare Islam se Koi Khabar Aae To Tafsili Halat Maloom ho, Kuch Arsa Bad Hazrat Sariya ??? ???? ????? ??? Jo Islami Laskar ke Sipah Salar The Unka Qasid Khat Lekar Aaya Jisme Ye Tehrir Tha.
Jumma Ke Din Dushman Ke Lashkar se muqabla ho raha tha khas namaz-e-jumma ke waqt humne suna "Ya Sariya'Tul jabal" Ye sunkar hum pahad se mil gaye aur hume dushman par galba hasil hua yaha tak ki dushman ko shiqaste fash hui.
(BEHAIQI SHARIF)
??Subhanallah Khalifa-E-Islam ki Nazar Madina Taiyeba Se Nahawand Me Lashkare Islam ko Mulahiza Farmae Aur Yaha se Pukare to Lashkar Ko Apni Awaz Bhi Sunae Na Taar, Na Telephone hai...
Ye sirf aur sirf Rasool e Kareem ? ki Sachchi Ghulami ka sadqa hai.
SAIYEDNA FARUK-E-AZAM AUR TAZEEM-E-AHLE BAIT
Ameer-Ul-Momineen Saiyedna Umar Farooq ??? ???? ????? ??? Masjide Nabawi Sharif Me Mimbar Par Jalwa Farma Hokar Khutba Irshad Farma Rahe the Ke Saiyedna Imam Hussain ??? ???? ????? ??? Jinka Abhi Bachpana Tha Tashrif Lae Aur Mimber Par Chad Gae Aur Saiyedna Umar Farooq ??? ???? ????? ??? Se Kaha "MERE BAAP KE MIMBER SE UTARIYE AUR APNE BAAP KE MIMBER PER JAIYE" Hazrat Saiyedna Farooq-E-Azam ??? ???? ????? ??? Ne Farmaya Sehzade Mere Baap Ka Mimber Nahi tha Aur Ye Keh Kar Hazrat Saiyedna Imam Hussain ??? ???? ????? ??? ko Apne Pas Bitha Liya.Fir Saiyedna Imam Huussain ??? ???? ????? ??? Ko Kuch Der Ke Bad Apne Ghar Le Gae Aur Farmaya Aye Sehzad-E-Rasool Kabhi-Kabhi Aap Yaha Tashrif Laya Karo to Bahut Behter hota.
Saiyedna Imaam Hussain ??? ???? ????? ??? Farmate hai Ki Me Ek Martaba Ameer-Ul-Momineen Hazrat Umar Farooq ??? ???? ????? ??? Se Mulaqat ke Liye Gaya to Dekha Ke Aap Hujre me Hazrat Ameer Muaviya ??? ???? ????? ??? Ke Sath Tanhai me Kuch Guftagu Kar Rahe hai Aur Apke Sahzade Hazrat Abdullah Bin Umar Bahar Darwaze Par Khade hai Thodi der me Jab Hazrat Abdullah Bin Umar Vapas Hue to Me bhi Unke Sath Vapas Ho Gaya.Uske Bad Hazrat Umar ??? ???? ????? ??? Se Mulaqat Hui To Apne Farmaya Sehzad-E-Rasool Kya Baat Hai Ke Mene Apko Dekha Nahi To Mene Kaha Ke Ameer-Ul-Momineen Me Aya tha Aap Hazrat Ameer-Muaviya ??? ???? ????? ??? Se Guftagu Farma Rahe the To Apke Sahibzade Abdullah Bin Umar ke sath Vpas Aa gaya Is Bat par Saiyedna Umar Farooq-E-Azam ??? ???? ????? ??? Ne Farmaya. Aap mere bete Abdullah Bin Umar Se Zyada Haqdar Hai, Humare saro ke Baal Allah Taala ne apki barkat se ugae hai.(Darj e Zel Waqiyat Barkate Aale Rasool Nami Qitab Ke Puri Sanad ke Sath Tazwiz hai)
SAIYEDNA UMAR FAROOK ??? ???? ????? ??? KI KHILAFAT
Ameer-ul-Momineen Saiyedna Umar Farook ??? ???? ????? ??? Maah-E-Jamadil Ukhra 13 Hijri Me Masnade Aarae Takhte Khilafat Hue 10 Saal Kuch Mahine Umure Khilafat ko Anjam diya Aapke Is 10 Saala Khilafat ke Ayyam Ne Salamati Ne Aalam Ko Mutahayyar Kar Diya.Apke Ahade Khilafat Me Zameen Addal Wa Insaf Se Bhar gai Dunia me Sacchai Wa Dayanat Dari Ka Sikka Raiz hua Makhluk-E-Khuda Ke Dilo Me Haqq Parasti Wa Paak Bazi Ka Jazba Paida Hua Islam ki Barkat Se Dunia Faizyaab Hui Futuhat Is Qasrat Se hui ke Aaj Tak Mulk-Wa-Saltanat Ke Wali Sipah-Wa-Lashkar Ke Malik Hairat me Hai.
Ibne Asakir Ne Ismail Bin Ziyad se Riwayat Ki Ke Hazrat Saiyedna Ali-E-Murtuza ??? ???? ????? ??? Raat ke Waqt Masjido Par Guzre Jinpar Qindile Roshan thi Unhe Dekhkar Farmaya Allah Taa'la Hazrat Umar Ki Qabr Roshan Farmae Jinhone Humari Masjido Ko Munawwar Kar diya.
AAPKI SAHADAT
Maah 28, ZilHajj 23 Hijri , Aap Abu Lulu Majusi Ke Hath se Masjid-E-Nabwi Me Saheed Hue, Zakhm Khane ke Bad Apne Farmaya "Ka-Na Amrullahi Qadram Maqdura"Fir Allah Taa'la ki Tareef Jisne Meri Mout Kisi Muddai-E-Islam Ke Hath par Na Rakhi, Bad Wafat Sharif Ummul Momineen Saiyeda Ayesha Siddiqa ??? ???? ????? ??? Ki Ijazat Se Aap Apne Mehboob Huzur ? Ke Qareeb Roza-E-Aqdas Ke Andar Pehlu-E-Siddiqe Akbar Me Dafan Hue.Zyada Qoul Yahi Rahe hai ki Wafat ke Waqt Apki Umar Sharif 63 Saal Ki Thi.
(GULZARE SHOHDA, Safa-42)
HAZRAT UMAR FAROOK NE SAHADAT KE BAD BHI UMMAT KO FAYDA PAHUCHAYA HAI
Allah Tabarak O Taa'la Hazrat Ali ??? ???? ????? ??? ko Aalam E Barzakh Se Bhi Nawaza Tha Jab Saiyedna Farooq E Azam ??? ???? ????? ??? Ka Wisal-E-Paak Hua Aur Apko Nabi E Kareem ??? ???? ?????? ???? ???? ???? Ke Roza-E-Paak Me Hazrat Siddiq-E-Akbar ??? ???? ????? ??? Ke Pehlu me Dafan Kiya Gaya To Hazrat Ali ??? ???? ????? ??? Apki Qabr Par Ek Taraf Beth kar Farishto Se Aapki Bate Sunne Lage Sawal Jawab ke Bad Farishto ne Kaha Ke Ab aap Aaram Farmaiye.Hazrat Saiyedna Farooq-E-Azam ??? ???? ????? ??? Ne Farmaya Aaram kaise Karun Jab Tumhara Mere Pas Aana Hua to Tumhare Haibat naak Chehra Dekh Kar Muje Khouf Mehsoos Hua Aur Abhi Tak Uska Asar hai Bawajud Ye ke Me Nabi e Paak ??? ???? ?????? ???? ???? ???? Ka Sahabi hun Aur Unke Sath Zindagi Bashar ki hai Ab Meri Aapse ye Tamanna Hai ki :
ME TUMHE ALLAH TAA'LA AUR USKE FARISHTO KO GAWAH BANA KAR TAQEED KARTA HU KE JAB TUMHARE HABIB ??? ???? ?????? ???? ???? ???? KE UMMATI KE PAS QABR ME JANA HO TO ACHI SURAT ME JAE.
Ameer-ul-Momeenin Saiyedna Farooq-E-Azam ??? ???? ????? ??? Ke Is Irshad par Munkar Nakeer Ne Waa'da Kiya Ke Hum Aainda Ese hi Karenge Ye Sunkar Hazrat Ali ??? ???? ????? ??? Ne Muskurate Hue Farmaya :
AYE UMAR BIN KHATTAB !
AB AAP AARAM FARMAIYE ALLAH TAA'LA MUSALMANO KI TARAF SE APKO BEHTAREEN JAZAA ATA FARMAE AAPNE APNI ZINDAGI AUR WISAL DONO ME MUSALMAN KO NAFA PAHOCHAYA HAI.
(TAZKIRA E SAIYEDNA ALI E MURTUZA (??? ???? ???) PAGE NO :-125/126)
ABU-BAKR-AUR UMAR FAROOQ MOULA-E-QAYNAT ALI-E-MURTUZA ??? ???? ??? KI NAZAR ME
Hazrat Jafar Bin Muhammad ??? ???? ????? ??? Apne Walid Se Riwayat Karte hai ki Ek Saksh Ne Ameer-Ul-Momineen Saiyedna Ali E Murtuza ??? ???? ????? ??? Se Daryaft kiya ke.
Aap Aksar Khutbo me Irshad Farmate hai Ilahi Humko bhi Aysi hi Salahiyate Ata Farma Jesi tune Apne Habib Ke Khulfa-E-Rasheedin ko Ata Farmai thi To Wo Khulfa koun hai ????
Aapki Aankho me Aansu Bhar aaye Aur Aapne Farmaya.
ABU-BAKR-O-UMAR MERE HABIB THE WO DONO HIDAYAT KE IMAAM AUR SHEKHUL ISLAM THE AUR RASOOLALLAH SALLAHU ALAYHI WASALLAM KE BAD QURESH KE MUQTADA THE.
Jis Shaksh ne in dono ki Iqtida ki usne nazat pai aur jisne raah me sabit qadmi ikhtiyar ki wo Allah ki Jamaat me ho gaya.
(TARIKH-UL KHULFA SAFA -69)
NAAM AATE HI ABU BAKR-O-UMAR KA LABB PAR.
KYU BIGADTA HAI WO PEHLU ME SULAYE HUWE HAI.
Part End.