AMEER-UL-MOMINEEN SAIYEDNA UMAR FAROOQ - Part 03


Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? ki Madani Zindagi

         Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? jab hijrat kar Madeenah aaye tow apne saath kuchh khaas cheezien naa laaye.

RasoolALLAH ? ne Muhaajir O ansaar ko Aapas mein bhai kar diya aur Ansaar ne apni har chiz ke Aadha-Aadha hissa kar Mahajir (Hijrat Kiye Hue) ko de diya .

Is tarah Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? ke Ansaari bhai Hazrat Utbaan (Banu Saalim Ke Sardaar) the Aap ??? ???? ??? ne bhi apni har chiz ko aadha kar ke ek hisaa Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? ko de diya.

Chuke Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? abhi Madeena se 2 mile ke faasle par the baad mein AAQA ? ne unhe zameen ka ek chota hissa Madeenah hi mein de diya tow Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? ne wahi apna ghar banayaa aur kuchh hisse ko Zara't (Kheti Baardi) ke liye Istemaal karne lage...

Masjid-e-Nabawi ki taamir mein Hazrat Umar Farooq ??? ???? ??? ne bhi khoob badh chad kar hissa liya .

Hazrat Sayyadina Farooq-e-Aazamn ??? ???? ??? Ka RasoolALLAH ? Se Qareebi Rishta

1.Walid Ki Taraf Se "Chachazaad Nasabi Bhai"

2.Waalidah Ki Taraf Se Rasoolallah ? Ka Gharaana Hazrat Sayyadina Farooq-e-Aazam ??? ???? ??? Ka Naniyaal Hai .

3.Badar Ki Ladaai Mein Hazrat Sayyadina Farooq-e-Aazam ??? ???? ??? Ki Laadli Beti Umm-ul-Mu'mineen Sayyidah Hafsah ??? ???? ??? Ke Shohar Ko Kuch Zakham Ho Gaye Jis Wajah Se Kuch Waqat Baad Wo Dunya Se Rukhsat Ho Gaye, Tab AAQA ? Ki Guzaarish Par Sayyidah Hafsah ??? ???? ??? Ko Farooq-e-Aazam ??? ???? ??? Ne Rasoolallah ? Ke Saath Nikah Mein De Diya .

Banu Nadheer Se Bahes

Madeenah mein yahoodiyon ke jo qabile aabaad the un mein se Ek Qabilah "Banu Nadheer" ka tha.
Zaahir mein Qabile ke logo ne Musalmaanon se sulah kar li thi magar dil se wo bohat nafrat kiya karte the.

Jangh-e-Uhud ke baad 4 hijri mein Rasoolallah ? ne ek roz Hazrat Sayyadina Abu Bakar Aur Umar ??? ???? ????? ko saath liya aur kisi mamle par ghuftagu karne ke liye Banu Nadheer ke muhalle mein tashreef le gaye.

In khazzabon ne ek shakhas "Amru Bin Hajaash" ko tayyar kiya ke wo ek maqaan ki chat par jaaye aur jab Rasoolallah ? waha se ghuzre tow Maa'ALLAH Azzawjal unke Sar-e-Mubaarak par ek bhaari pattar giraa den.Wo zaalim chat par chadh chukaa tha magar Rasoolallah ? ko is harkat ka pata chal gaya Aap ? fawran hi wapas aagaye.

Ab Banu Nadheer ko paighaam bheja ke 10 din ke Andar-Andar Madeenah se Nikal jaaye magar wo jang par utar aaye.Aaqa Kareem ? ne apne mujaahidon ko tayyar kiya aur Banu Nadheer ke qile ka 15 dino tak muhaasrah kiya , tab in logo ne apni haar maan li aur jang na hui.

In logo ko is sharat par chodh diya gaya ke ,Apne tamam jangi hathiyaar yahi chhodh jaaye aur jitna maal o samaan Oonton par le jaa sakte hai sab le kar wo Madeenah se nikal jaaye.Is tarah 600 oonton par wo samaan samet apne khaandaanon ke saath nikal gaye.

In mein se kuchh Shaam (Syria) chale gaye aur kuchh Khaibar mein jaa kar Aabaad ho gaye .

Hazrat Sayyadina Farooq-e-Aazam ??? ???? ??? Ke Kuch Zaruri Farmaan

Buzurgh Banne Ke Liye Ilam Haasil Karo .

 1. Aaj Ka Kaam Kal Par Na Jama Na Karo .

 2. Jo Shakhas Apna Raaz Chupaata Hai Wo Apna Ikhtiyaar Apne Haath Mein Rakhta Hai .

 3. Jo Khud Ko Aalim Kahe Wo Jaahil Hai .

 4. Jisse Tum Ko Nafrat Hai Usse Daro (Yaani Wo Tumhe Kabhi Bhi Dhoka De Sakta Hai) .

 5. Aye W'az Karne Waalo -Bayaan Karne Waalo) Logo Ki Fikar Mein Tum Apne Ko Na Bhool Jaao .

 6. Budhaape Se Pehle Jawaani Aur Mout Se Pehle Budhaapne Ko Ghaneemat Jaano .

 7. Sab Se Buri Do Aawazein Hain,

 8. Raag Ki Aawaaz (Gaano Ki Aawaaz)

 9. Noha Ki Aawaaz .

 10.Kam Bolna Danaai (Aqalmandi) Hai, Kam Khaana Sehat, Kam Sona Ibaadat, Aur Aam Logo Se    Kam Milna Aafiyat Hai .

 11. Kisi Musalmaan Ke Liye Munaasib Nahi Ke Rizq Ki Talaash Mein Baith Jaaye Aur Dua Kare Ke "Aye ALLAH ! Mujh Ko Rizq De" Kyon Ke Tum KO Maaloom Hai Ke Aasmaan Se Chaandi Sona Nahi Barsta .....

 12. Momin ALLAH aur Rasool ? ke dushmano se dosti nahi karte agarcha woh Maa Baap hon.

 13. Aadami ke Namaz Rozah ko nahi balke un ki Insaani Humdardi, Daanaai (Intelligence),         Sachchaai, aur mamlaat mein dayaanatdaari ko dekhna chahiye.

 14. Maal se dunya mein izzat milti hai aur Nek Aamaal se aakhirat mein .

 15. Jab Aalim ko thokar lagti hai tow us se ek dunya ko thokar lagti hai.

 16. Imaan us ka naam hai ke, ALLAH ko dil se maane aur Zubaan se is ka Iqrar kare aur Shariat ke    Hukum par amal kare.....

 17. Aadami 3 qisam ke hote han, Kaamil Kaahil Aur Laashe ...

 18. Kaamil = Wo jo logo se mashwarah kar ke us par Gour kare.

 19. Kaahil = Wo jo apni raaye par chale aur kisi se mashwarah na kare.

 20. Laashe = Wo jo na khud apni raay qaaim kar sakta ho aur na hi kisi se mashwarah kare.

 21. ALLAH us shakhas ka bhala kare Jo mere aib mujh par zaahir kare.

 22 Bura chahne waalo ki dosti se parhez kare kyon ke agar wo bhalai bhi karna chahe tow usse            buraai sarzad hoti hai 

 23. Jo aib se waaqif karaaye wo dost hai aur muh par tareef karna aisa hai jaise dusre ko zibah karna 

 24. Hasne se Umar kam hoti hai aur Rua'b jaata rehta hai. Ziyadah hasnaa mout se ghaafil hone ki      nishaani bhi hai.

Continue..

Read More:

AMEER-UL-MOMINEEN SAIYEDNA UMAR FAROOQ - Part 04

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »