Pahadon Aur Parindon Ki Tasbhi


Hazrate Dawood Alaihis Salam Khudavande Khuddus ki tasbhi va Takhdis me bahut ziyada mashgul va masruf rahte the aur Aap iss khadar khush ilhan the ki jab Aap zabur sharif padte the to Aap ke vajud afarin naghmon se na sirf insan balki bahush va tuyur bhi vajd me Aa jate aur Aap ke gird Jaama ho kar khuda ki hamd ke tarane gate aur apni apni surili aur pur kaif avazon me tasbih va takdis me hazrate dawood alaihis salam ki hamnavayi karte aur charindon parand hi nahi balki pahad bhi khudavande tala ki hamdo sana me gung udte the. Chuchanche, hazrate dawood alaihis salam ke in mojizath ka zikre jamil allah tala ne surah ambiya surah saba va surah e "Saad" me sarahath ke saath bayan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Dawood ke saath pahad musakkhat farmadiye ki tasbhi karte aur parinde aur ye hamare kaam the.

Surah e Saba me iss Tarha irshad farmaya ki
       
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Aur Beshak ham ne dawood ko apna bada fazal diya ye pahadon uss ke sath allah ki taraf ruzuA karo aur ye parindon.

Aur Surah e Saad me irshade Rabbani iss tarha huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Beshak  ham ne uss ke saath pahad musakkhar farma diye tasbih karte shaam ko aur suraj chamakte aur parande jamaa kiye huve saab uss ke farmaa bardar the.

Darse Hidayath

             Be Akhal parinde aur be jaan pahad jab khudavande khuddus ki tasbih va takdis ka naghma gaya karte hain. jaisa ki Quran e Majid ki mazkura e Bala ayaton me Aap pad chuke to iss se ham insano ko ye sabaq milta hai ki ham insan jo akhal vale, hoshmand aur sahibe zaban hain ham par bhi lazim hai ki ham khudavande khuddus ki tasbih aur uss ki hamdo sana ke afkar ko virde zaban banayen aur uss ki tasbih va takdis me barabar mashgul va masruf rahen.

          Hazrate Sheikh Saa'di alaihir Rahman ne iss silsile me ek bahut hi latif va laziz aur nihayath hi muassir hikayath bayan farmayi hai. iss ko padiye aur ibrath va nasihat hasil kijiye vo farmate hain.
         Ek parinda subah ko chah chaha raha tha to iss ki avaz se meri akhal va sabr aur taqhat va hosh saab gharath ho gaya.

                          Mere ek mukhlis dost ke kaan me shayad meri avaz pahunch gayi.
        To uss ne kaha ki mujhe yakhin nahi Aata ki ek parinda ki avaz tum ko iss tarha madhosh kar degi
         To main ne kaha ki ye admiyyat ki shaan nahi hai? ki parind to tasbih pade aur main khamosh rahun!

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »