Amanath Kai Hai ?

Allah Tala ne Quran e Majid me amanath ka zikr farmate huve irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                 Beshak Ham ne Amanath pesh farmayi Asmano aur zamin aur pahadon par to unhone iss ke utne se inkar kiya aur iss se dar gaya aur admi ne uta li beshak vo apni jaan ko mashakkath me dalne vala bada nadan hai. Taki Allah Azab de Munafiq mardon aur munafiq auraton aur mushriq mardon aur mushriq auraton ko aur allah toba khabul farmaye musalman mardon aur musalman auraton ki aur allah bakhshne vala mehrbaan hai.

     Voh amanath jis ko allah tala ne asmano aur zamino aur pahadon par pesh farmaya to in sabhon ne khofe ilahi se dar kar iss amanath ko khabul karne se inkar kar diya lekin insan ne amanath ke iss bhoj ko utha liya. suval ye hai ki vo amanath dar haqhikath kai chiz thi? To iss bare me mufassirin ke chand akhval hai magar hazrate allama ahmad savi alaihir rahamath ne farmaya ki iss amanath ki saab se behtarin tafsir ye hai ki vo amanath sharayi pabandiyon ki zimmedari hai.

      Rivayath hai ki jab Allah Tala ne shariath ki pabandiyon ko asmano aur zamino aur pahadon ke rubaru pesh farmaya to in tino ne arz kiya ki ye bari tala! hame iss bare giran ke uthane me kai hasil hoga? Allah Tala ne farmaya ki agar tum in (Ahkame Shariath) ki pabandi karoge to tumhen behtarin sila va inaam diya jayega to tino ne javab me arz kiya ki ye bari tala! ham to baharhal tere hukum ke farmaa bardar hain, bakhi savab va azab se hame koi matlab nahi hai lekin khofe ilahi se dar kar kampte huve in tino ne iss amanath ko khabul karne se apni mazuri zahir karte huve inkar kar diya. Fir Allah Tala ne iss amanath ko hazrate adam alaihis salam ke samne pesh farmaya to Aap ne bhi daryafth kiya ki amanath ki zimmedari khabul kar lene se hame kai milega? to bari tala ne farmaya ki agar tum achchi tarha iss ki pabandi karoge to tumhen bade bade inam va ikraam se navaza jayega aur agar tum ne nafarmani ki to tarha tarha ke azabon me tumhen giriftar kiya jayega to hazrate adam alaihis salam ne iss bare amanath ko utha liya to uss vaqht allah tala ne farmaya ki ye adam ! me iss silsile me teri madad karunga.

Darse Hidayath:

            Iblis ne sajdaye adam alaihis salam ke bare me khuda ka hukum manane se inkar kiya to vo randye darghahe ilahi ho kar dono jahan me murda ho gaye. Magar asmano aur zamino aur pahadon ne  amanath ko uthane ke kare me hukume ilahi manane se inkar kiya to vo bilkul matub nahi huve iss ki kai vajah hai? aur iss ka raaz kai hai? Tu iss saval ka javab ye hai ki iblis ka inkar batore istiqbar(takabbur) tha aur asmano vaghaira ka inkar batore istisghar (tavazea) tha. Yani iblis ne apne ko bada samjh  kar sajdaye adam alaihis salam se inkar kiya tha aur zahir hai ki takabbur vo gunahe azim hai jo allah Tala ko bahut napasand hai aur tavajo vo pyari ada hai jo khudavande khuddus ko behad mahabub hai yehi vajah hai ki iblis inkar kar ke azabe drain ka hakdar ban gaya aur Asman va zamin vaghaira inkar kar ke moride ittaba bhi nahi huve balki khuda ke rahamo karam ke mustahik ho gaye. Allahu Akbar ! kahan istikbar ? aur kahan istiksagar kahan takabbur ? aur kahan tavajo ? kahan apne ko bada samajhna ? aur kahan apne ko chota samajhna dono me bahut azim farq hai allah tala ham sab ko takabbur se bachaye aur tavajjo ka khugar banaye. amin

Hazrate Lukman Hakim


Hazrate Lukman ki madho sana aur in ki baaz nasihaton ka tazkira Quran me badi azmath va shaan ke saath bayan kiya gaya hai aur inhi ke naam par Quran e Majid ki ek surah ka naam "Surah E Lukman" rakha gaya.

Mohammad Bin Ishaaq(Sahibe Maghazi) ne in ka nasab nama iss tarha bayan kiya hai lukman bin bahur bin tarukh. ye tarukh vohi hai jo hazrate ibrahim khalilullah alaihis salam ke valid hai aur moarrikhin ne farmaya ki Aap hazrate Ayyub alaihis salam ke bhanje the aur baaz ka khol hai ki Aap Hazrate Ayyub Alaihis Salam ke khalazad bhai the.

Hazrate Lukhman ne ek hazar baras ki umr payi yahan tak ki hazrate dawood alaihis salam ki sohbath me raah kar un se ilm sikha aur hazrate dawood alaihis salam ki biasath se pahle Aap bani israyil ke mufti the magar jaab hazrate dawood alaihis salam mansabe nabuvath par fayiz ho gaye to Aap ne fatva dena tark kar diya aur baaz kitabon me likha hai ki hazrate lukhnam ne farmaya hai ki mai ne char hazar nabiyon ki khidmat me haziri di hai aur in paighambaron ke mukhaddas kalamo me se 8 baton ko mai ne chun kar yaad kar liya hai, jo ye hai:

  1. Jab Tum namaaz pado to dil ki hifazath karo.
  2. Jab tum khana khao to apne halak ki hifazath karo 
  3. jab tum kisi ghor ke maan me raho to apni ankhon ki hifazat karo.
  4. jab tum logon ki majlis me raho to apni zaban ki hifazath rakho.
  5. Allah Tala ko hamesha yaad rakho.
  6. Apni mauth ko hamesha yaad karte raha karo.
  7. Apne yehsano ko bhula do.
  8. Dusron ke zulm ko faramosh kar do
Hazrate ikrama aur imam shabi ke siva jamhur ulma ka yehi khol hai ki Aap nabi nahi the balki Aap hakim the aur bani israel ke nihayat hi buland martaba sahibe imaan aur bahut hi namvar marde saleh the aur allah tala ne Aap ke sine ko hikmaton ka khazina bana diya tha. Quran e Majid me hai:
Tarzuma e Kanzul Imaan:

                  Aur beshaq ham ne Lukman ko hikmath Ata farmayi ki Allah ka shukr kar aur jo shukr kare vo apne bhale ko shukr karta hai aur nashukri kar to beshak allah be parvah hai saab khubiyon saraha.

          Hazrat e Lukman umr bhar logon ko nasihaten farmate rahe. tafsire fatahurrahman me hai ki Aap ki khabar makhame "sarfand" me hai jo "Ramala" ke karib hai aur hazrate khatada ka khol hai ki Aap ki khabar "Ramal" me masjid aur bazar ke darmiyan me hai aur uss jagah sattar ambiya alaihis salam bhi madfun hain. jin ko Aap ke baad yahudiyon ne baitul mukhaddas se nikal diya tha aur ye log bhuk pais se tadap tadap kar vafath pa gaye the. Aap ki Khabr par ek buland nishan hai aur log iss khabar ki ziyarath ke liye dur dur se aya karte hain.

         Hikmath Kai Hai ?

  "Hikmath" Aakhal va faham ko kahte hain aur baaz ne kaha ki "Hikmath" Marifath aur Asabath fil umur ka naam hai. aur baaz ke nazdik hikmath ek yesi shai hai ki allah tala jis ke dil me rakh deta hai uss ka dil roshan ho jata hai vaghaira vaghaira mukhtalif akhval hai allah tala ne hazrat e lukhman ko nind ki halath me achanak hikmath ata farma di thi. Bahar haal Nabuvath ki tarha hikmath bhi ek vahabi chiz hai, koi shaks apni ziddo jahad aur kasab se hikmath hasil nahi kar sakta. jis tarha ki baghair khuda ke ata kiye koi shaks apni koshishon se nabuvath nahi pa sakta ye aur baath hai ki nabuvvath ka darja hikmath ke martabe se bahut Aala aur Buland Tar hai.

 Hazrate Lukman ne apne farzand ko jin ka naam "Anaam" tha. Chand nasihaten farmayi hai jin ka zikr Quran e Majid ki Surah Lukman me hai In ke ilava aur bhi bahut si dusri nasihaten Aap ne farmayi hai jo tafasir ki kitabon me mazkur hai.

 Mashhur hai ki Aap darji ka pesha karte the aur baaz ne kaha ki Aap bakriyan charate the. Chunanche, ek martaba Aap hikmath ki baten bayan kar rahe the to kisi ne kaha ki kai tum fulan charvahe nahi ho? To Aap ne farmaya ki kuin nahi, main yakhinan vohi charvaha hun to uss ne kaha ki Aap hikmath ke iss martabe par kis tarha fayiz ho gaye? To Aap ne farmaya ki baton me sachchayi aur amanaton ki adayegi aur bekar baton se parhez karne ki vazah se 

Pahadon Aur Parindon Ki Tasbhi


Hazrate Dawood Alaihis Salam Khudavande Khuddus ki tasbhi va Takhdis me bahut ziyada mashgul va masruf rahte the aur Aap iss khadar khush ilhan the ki jab Aap zabur sharif padte the to Aap ke vajud afarin naghmon se na sirf insan balki bahush va tuyur bhi vajd me Aa jate aur Aap ke gird Jaama ho kar khuda ki hamd ke tarane gate aur apni apni surili aur pur kaif avazon me tasbih va takdis me hazrate dawood alaihis salam ki hamnavayi karte aur charindon parand hi nahi balki pahad bhi khudavande tala ki hamdo sana me gung udte the. Chuchanche, hazrate dawood alaihis salam ke in mojizath ka zikre jamil allah tala ne surah ambiya surah saba va surah e "Saad" me sarahath ke saath bayan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Dawood ke saath pahad musakkhat farmadiye ki tasbhi karte aur parinde aur ye hamare kaam the.

Surah e Saba me iss Tarha irshad farmaya ki
       
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Aur Beshak ham ne dawood ko apna bada fazal diya ye pahadon uss ke sath allah ki taraf ruzuA karo aur ye parindon.

Aur Surah e Saad me irshade Rabbani iss tarha huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Beshak  ham ne uss ke saath pahad musakkhar farma diye tasbih karte shaam ko aur suraj chamakte aur parande jamaa kiye huve saab uss ke farmaa bardar the.

Darse Hidayath

             Be Akhal parinde aur be jaan pahad jab khudavande khuddus ki tasbih va takdis ka naghma gaya karte hain. jaisa ki Quran e Majid ki mazkura e Bala ayaton me Aap pad chuke to iss se ham insano ko ye sabaq milta hai ki ham insan jo akhal vale, hoshmand aur sahibe zaban hain ham par bhi lazim hai ki ham khudavande khuddus ki tasbih aur uss ki hamdo sana ke afkar ko virde zaban banayen aur uss ki tasbih va takdis me barabar mashgul va masruf rahen.

          Hazrate Sheikh Saa'di alaihir Rahman ne iss silsile me ek bahut hi latif va laziz aur nihayath hi muassir hikayath bayan farmayi hai. iss ko padiye aur ibrath va nasihat hasil kijiye vo farmate hain.
         Ek parinda subah ko chah chaha raha tha to iss ki avaz se meri akhal va sabr aur taqhat va hosh saab gharath ho gaya.

                          Mere ek mukhlis dost ke kaan me shayad meri avaz pahunch gayi.
        To uss ne kaha ki mujhe yakhin nahi Aata ki ek parinda ki avaz tum ko iss tarha madhosh kar degi
         To main ne kaha ki ye admiyyat ki shaan nahi hai? ki parind to tasbih pade aur main khamosh rahun!

Hava Par Hukumath


Hazrate Suleman Alaihis Salam ka ye bhi ek khas mojiza aur Aap ki nabuvath ka khususi imtiyaz tha ki allah tala ne "Hava" ko in ke haq me musakhar kar diya tha aur vo in ke zere farman kar di gayi thi. chunanche, Hazrate Suleman Alaihis Salam jab chahte to subah ko ek mahine ki masafath aur shaam ko ek mahine ki masfath ki mikdar hava ke desh par safar kar lete the.

           Quran e Karim ne Aap ke iss mojize ke mutallik 3 baten bayan ki hai. ek ye ki hava ko hazrate suleman alaihis salam ke haq me musakhkhar kar diya. dusre ye ki hava in ke hukum ke iss tarha tabeA thi ki shadid tez va tund hone ke bavazud in ke hukm se narm aur ahista ravi ke bayis rahta ho jati thi, tisri baath ye ki hava ki narm raftari ke bavajud uss ki tez raftari ka ye alam tha ki hazrate suleman alaihis salam ke subah va shaam ka zuda zuda safar ek shaah suvar ke musalsal ek maah ki raftar ke barabar tha gaya hazrate suleman alaihis salam ka taqth engien  aur machine jaise zahiri asbab se bala tar sirf in ke hukum se ek bahut tez raftar havayi jahaz se bhi zaida tez magar sabak ravi ke saath hava ke kande par uda chala jata tha.

        Iss makham par takhte Suleman aur Aap ke safar ke mutallik jo tafsilath sirath ki kitabon aur tafsiron me mankhul hai in me bahut se vakhiath israeliyath ka zakhira hai jin ko baaz vaizin bayan karte hain magar vo khabile etibar nahi aur in par bahut se yetirazath bhi varid hote hain Quran e Majid ne iss vakhiye ke mutallik sirf iss khadar bayan kiya hai ki:

Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Suleman ke liye tez hava musaqqar kar di ki iss ke hukum se chalti uss zamin ki taraf jis me ham ne barkath rakhi aur ham ko har chiz malum hai.

    Aur Surah "Saba" me ye irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Suleman ke bas me hava kar di uss ki subha ki manzil ek mahine ki raah aur shaam ki manzil ek mahine ki rah.

       Aur Surah Saah me farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  To ham ne hava uss ke bas me kar di ki uss ke hukum se narm naram chalti jaha vo chahta.

Hazrate Suleman Alaihis Salam Ke Ghode


Ek martaba zihad ki ek muhim ke mokha par shaam ke vaqht hazrate suleman alaihis salam ne ghodon ko astabal se lane ka hukum diya. jab vo pesh kiye gaye to chunki Aap ko ghodon ki nasalon aur in ke zati avsaf ke ilm ka kamal hasil tha iss liye jab Aap ne in ghodon ko asil sabq Ru aur Khush Ru paya aur ye mulahaza farmaya ki in ki tadad bahut ziyada hai to Aap par masarrath va ambistar ki kaifiyath tari ho gayi aur Aap farmane lage ki in ghodon se meri sahabbath yesi mali mahabbath me shamil hai jo parvar dagar ke zikr hi ka ek shoba hai. hazrate suleman alaihis salam ke iss ghoro fikr ke darmiyan ghode astabal ko ravana ho gaya. chunanche, jab Aap ne nazar uthayi to vo ghode nigah se Oyil ho gaye the to Aap ne hukum diya ki un ghodon ko vapas lao.

          Jab vo ghode vapas laye gaye to hazrate suleman alaihis salam ne joshe mahabbat me un ghodon ki pindaliyon aur dardano par haath ferna aur thap thapana shuru kar diya. Kuinki ye ghode jihad ka saman the iss liye Aap in ki izzath va tokhir karte huve ek mahir fan ki tarha se in ghodon ko manus karne lage aur izhare mohabbat farmane lage. Quran e Majid ne iss vakhiye ko hasbe zail ibrath me bayan farmaya hai.
Tarzuma e Kanzul Imaan:

                  Aur ham ne dawood ko suleman Aata farmaya kai Achcha banda beshak vo bahut rujuA lane vala jab ki uss par pesh kiye gaya tisre pahar ko ki Ru kiye to tin paon par khade ho chaothe  sum ka kanara zamin par lagaye huve aur chalayiye to hava ho jayen to suleman ne kaha mujhe in ghodon ki mahabbat pasand Aayi hai apne raab ki yaad ke liye fir unhen chalne ka hukum diya yaha tak ki nigah se parde me chup gaye fir hukum diya ki unhen mere pas vapas lao to in ki pindliyon aur gardano par haath ferne laga.

Darse Hidayath

              In ayath ki jo tafsir ham ne tahrir ki hai iss ko ibne jarir tabri aur imam razi ne tarzih di hai aur hazrate Abdullah bin Abbas raziyallahu tala anha ne bhi yehi tafsir farmayi hai. jis ke nakhal Ali Bin Abi Talha hain in Ayat ki tafsir me baaz mufassirin ne ghodon ki Pindaliyan aur ghodon ki gardano ko talvar se kaat dalna tahrir kiya hai aur yisi khism ke baaz dusre kamzor akval bhi tahrir kiye hain jin ki sihhat par koi dlil nahi hai aur vo mahaz hikayath aur dastane hai jo dalayile kaviyya ke samne kisi tarha khabile khabul nahi aur ye tafsir jo ham ne tahrir ki hai iss par na koi ashkal va yetiraz padta hai na kisi tavil ki zarurath pesh Aati hai.

Farishton Ke Baal Va Paar


Allah Tala ne farishton ke Bazu aur Paar bana diye hain jin se vo fazaye asmani me ud kar kayinate alam me faramine rabbani ki tamil karte rahte hain. kisi farishte ke 2 Paar kisi ke 3 aur kisi ke 4 Paar hain. Allama zamkhashri ka bayan hai ki main ne baaz kitabon me pada hai ki farishton ki ek khisam yesi bhi hai jin ko khallake alam zallazalalahu ne 6-6 bazu aur paar ata farmaya hai. Do bazuon se to vo apne badan ko chupaye rakhte hain aur do bazuon se vo udte hain aur do bazu un ke chehre par hain jin se vo khuda se haya karte huve apne chehron ko chupaye rakhte hain.

        Aur hadis sharif me hai ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne bayan farmaya ki mai ne "Sidratul Muntaha" ke pass Hazrate Jibrael alaihis salam ko dekha ki in ke 600 bazu the aur ye bhi ek rivayath me hai ki huzur alaihis salam ne Hazrate Jibrael alaihis salam se farmaya ki Aap apni asal surath mujhe dikha dijiye to inhone javab diya ki Aap iss ki Taab na Laa sakenge to Aap sallallahu alaihi o sallam ne farmaya ki mujhe iss ki khwahish balki tamanna hai to hazrate jibrael alaihis salam ek martaba apni asal surath me vahi le kar Aap ke paas hazir huve to in ko dekhte hi Aap par Ghashi tari ho gayi to Hazrate Jibrael Alaihis Salam ne Apne Badan se tek laga kar Aap ko sambhale rakha aur apna ek haath huzur alaihis salam ke sine par aur ek haath dono ke darmiyan rakh diya. Jaab Aap ko ifakha huva to hazrate jibrael alaihis salam ne arz kiya ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam Agar Aap Hazrate Israfil ko dekh lete to Aap ka kai haal hota? Un ko to Allah Tala ne 12000 Bazu Aata farmaya hai aur un ka ek bazu mashrik me hai aur dusra bazu maghrib me hai aur vo arshe ilahi ko apne kandhon par uthaye huve hain.

          Farishton ke bazuon aur paron ka zikr surah fatiha ki is ayat me hai ki
Saab Khubiyan Allah ko jo asmano aur zamin ka banane vala farishton ko rasool karne vala jin ke 2-2, 3-3, 4-4 paar hain. badata hai afarinish(paidayish) me jo chahe beshak Allah har chiz par khadir hai.

Darse Hidayath

              Farishton ke wazud par imaan lana zaruriyate deen me se hai aur is par imaan lana bhi zaruri hai ki farishton ke bazu aur par bhi hain kisi ke 2-2 kisi ke 3-3 kisi ke 4-4. aur kisi ke iss se bhi ziyada hain. Aab raha ye saval ki farishton ke itne ziyada par kuin kar aur kisi tarha hai? To Quran ne iss ka shafi aur musakit javab de diya hai ki allah tala ki khudrath ki koi had nahi hai vo har chiz par khadir hai. lihaza vo saab kuch kar sakta hai. vo farishton ko Baal Va Paar bhi Aata farma sakta hai aur bila shuba Aata farmaye bhi hain lihaza iss silsile me bahas va mubahasa aur saval va javab ye saab gumrahi ke darvaze hain. Imaan ki khairiyyath isi me hain ki baghair chun va chara ke iss par Imaan layen aur kuin aur kaise ke ilm ko Allahu Tala Alam kah kar khuda ke sipurd kar den.

Fasiq Ki Khabar Par Yetimad Maat Karo


San 5.Hij. ke gazvaye bani mustalak me jab musalman fatahyab ho gaye aur huzure akram sallallahu alaihi o sallm ne iss khabile ke sardar ki beti hazrate juveriyya raziyallahu tala anha se nikah farma liya to shabaye kiram ne tamam asirane jang ko ye kah kar riha kar diya ki jis khandan me rasoollullah sallallahu alaihi o sallam ne shadi kar li, uss khandan ka koi admi londi ghulam nahi rah sakta. musalmano ke iss husne suluk aur akhlakhe karimana se mutasir ho kar tamam kabila mushraf ba islam ho gaya. iss ke baad huzur sallallahu alaihi o sallam ne "Valid Bin Ukhba" ko iss khabile valon ke pass bheja taki vo khabile ke dolath mandon se zakat vasul kar ke in ke fukra par taksim kar den.

          Khabilaye Bani Ala Mustalak ke logon ko jab "Valid" ki iss amad ka ilm huva to vo amile islam ke istiqbal ke liye khushi khushi hatyar le kar basti se bahar maidan me nikale zamanaye jahiliyath me iss khabile aur valid me kuch nachaki rah chuki thi iss liye purani adavath ki bina par istiqbal ke liye iss yehtimam ko valid ne dusri nazar se dekha aur samjh aur khabile valon se asal muamla daryaft kiye bagair hi madina vapas chala aya, aur darbare nabuvvat me hazir ho kar arz kiya ki khabila e bani mustalak ke log to murtad ho gaye aur unho ne zakat dene se inkar kar diya iss khabar se huzur sallallahu alaihi o sallam ranjida huve aur musalman behad bura farokht ho gaye balki mukhable ke liye zihad ki tayyariyan hone lagi idhar bani mustalak ko valid ke iss azib tarze amal se badi hairath huyi aur jab in logon ko malum huva ki valid ne darbare nabuvath me ghalath bayani aur tohmath tarazi kar di hai to in logon ne ek muazzaz aur ba vakhar vafad darbare nabuvath me bheja jis ne bani al mustalak ki taraf se safayi pesh ki. ek janib apne amil valid ka bayan aur dusri janib bani ala mustalak ke vafad ka ye bayan dono baten sun kar huzur alaihis salam ne khamoshi iqhtiyar farma li aur vahiye ilahi ka intizar farmane lage, akhir vahi utar padi aur surah "Hujurath" ki ayath ne nazil ho kar na sirf muamle ki haqhiqat hi vazeh kar di balki iss khusus me ek mustalik kanun aur me yare tahkik bhi ata farma diya vo ayat ye hai.
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Ye imaan valon agar koi fasiq tumhare paas koi khabar laye to tahkhik kar lo ki kahin kis khom ko be jane iza na de baitho fir apne kiye par pachtate rah jao aur jan lo ki tum me allah ke rasool ke rasool hain bahut muamlon me agar ye tumhari khushi karen to tum zarur mashakkat me pado lekin allah ne tumhen imaan paira kar diya hai aur use tumhare dilon me arasta kar diya aur kufr aur hukm aduli aur nafarmani tumhen nagavar kar di yese hi log raah par hain allah ka fazal aur yehsan aur allah ilm va hikmat vala hai.

Darse Hidayath

   1. Khabaron ke bayan karne me Aam tor par logon ka yehi mijaz aur tarikha ban chuka hai ki jo khabar bhi un ke kano tak pahunche uss ko bila taklluf bayan kar diya karte hain aur hakhikhate haal ki taftish aur zustaju bilkul nahi karte. khwah iss khabar se kisi be gunah par iftira kiya jata ho ya kisi ko nuksan pahunchta ho.

Islam ne iss tarikhe ko bilkul ghalat karar diya hai balki Quran e Islami adab ka ye khanun bataya hai ki har khabar ko sun kar pahale uss ki tahkhik kar leni chahiye jab vo khabar paye subuth ko pahunch jaye to fir uss khabar ko logon se bayan karna chahiye isi baat ki taraf mutavajjeh karne ke liye nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ne ye tambih farmayi hai ki 
 Yani admi ke jhuta hone ke liye yehi kafi hai ki vo jo baat bhi sune logon se (Bila Tahkhik) bayan karne lage.

   2. Iss Ayat se sabit huva ki ek shaks agar adil aur pabande shariath ho to uss ki khabar motbar hai.

   3. Baaz mufassirin ne farmaya ki ye ayath valid bin ukba hi ke saath khas nahi balki ye ayath Aam hai aur har fasikh ki khabar ke bare me zahil huyi hai.

   4. Valid Bin Ukhba ko sahabi hote huve Quran e Majid ne fasiq kaha to iss me koi iskal nahi hai kuinki iss vakhiye ke baad jaab valid bin ukhba ne sidqh dil se sachchi toba kar li to un ka fiska jayil ho gaya. lihaza kisi sahabi ko fasik kahana hargiz hargiz jaiz nahi hai kuinki iss par ijmaa hai ki har sahabi sadikh, adil aur pabande sharaa hai.

Malaika Mehman Baan Kar Aye


Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Bahut Mehman nawaz the. mankhul hain ki jab tak Aap ke dastarkhwan par mehman nahi Aa jate he Aap Khana nahi Tanavul farmate he. Ek din mehmano ka ek yesa kafila Aap ke ghar utar pada ki un mehmano se Aap khofzada ho gaye ye hazrat e Jibrael alaihis salam the jo 10 ya 12 farishton ko hamrah le kar tashrif laye the aur salam kar ke makan ke andar dakhil ho gaye. ye saab firishte nihayat hi khoob surath insano ki shakal me the avvalan to ye hazrate yese vakht tashrif laye jo mehmano ke ane ka vaqth nahi tha fir ye hazrate bagair ijazath talab kiye dandnate huve makan ke andar dakhil ho gaya fir jab hazrate ibrahim alaihis salam hasbe adath iss hazrate ki mehman navazi ke liye ek farba bhuna huva bachda laye to in hazrath ne khane se inkar kar diya. in mehmano ki mazkura bala tin adaon ki vajah se hazrate ibrahim alaihis salam ko kuch khdshaa guzara ki shayad ye log dushman hain kuinki uss zamane ka yehi ravaj tha ki dushman jis ghar me dushmani ke liye jata tha uss ghar me kuch khata pita nahi tha. chunanche, Aap iss mehmano se kuch khof mahsus farmane lage ye dekh kar hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki ye allah ke nabi alaihis salam Aap ham se bilkul koi khof na karen ham allah tala ke bheje huve Firishte hain aur ham do kamo ke liye aye hain pahla maksad to ye hai ki ham Aap ko ye bisharath sunne Aaye hain ki Aap ko Allah Tala ek ilm vala farzand Aata farmayega aur hamara dusra kaam ye hai ki ham hazrate loot alaihis salam ki khom par azab le kar aye hain.

        Farzand ki bisharath sunkar hazrate ibrahim alaihis salam ki mukhaddas bivi hazrate "sara"chonk padi kuinki in ki umr ninnanve baras ki ho chuki thi aur vo kabhi hamila bhi nahi huyi thi tajjub se vo chillati huyi ayi aur haath se matha tonk kar kahne lagi ki kai mujh budiya banj ke bhi farzand hoga to hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki haan Aap ke raab ka yehi farman hai aur vo parvar dagar badi hikmaton vala bahut ilm vala hai. chunanche, Hazrate ishak alaihis salam paida huve.

Quran e Majid ne iss vaqhiye ko in lafzon me bayan farmaya hai ki
Tarjuma E Kanzul Imaan:

                   Ye mahbub kai tumhare paas ibrahim ke muazzaz mehmano ki khabar ayi? jab vo uss ke pass Aa kar bole salam kaha salam na shanasa log hain fir apne ghar gaya to ek farba bachda le aya fir use un ke pass rakha kaha kai tum khate nahi to apne ji me un se darne laga. vo bole darye nahi aur use ek ilm vale ladke ki bisharath di iss par iss bivi chillati ayi fir apna matha thoka aur boli kai budiya banj? unhone  kaha tumhare raab ne yunhi farma diya hai aur vohi hakim dana hai.

Darse Hidayath:

             Iss vakhiye se ye hidayath ki roshni milti hai ki malayika kabhi kabhi admi ki surath me logon ke pass aya karte hain chunanche, Baaz rivayaton me Aaya hai ki haaj ke mokha par harme kaba aur mina va arfath va muzdalifa vagaira me kuch firishton ki jamath insano ki shakal va surath me mukhtalif bhes bana kar Aati hai jo hajiyon ke imtihan ke liye khuda ki taraf se bheji jati hai iss liye hujjaje kiram ko lazim hai ki makkaye mukarrama aur mina va arafath va muzdalifa aur tavafe kaba va ziyarate madinaye munavvara ke hujum me hoshiyar rahen ki hargiz hargiz kisi insan ki bhi be adabi va dil azari na hone paye aur taziron ya hamlon ya fakhiron se jhagda takrar na hone paye. tumhen kai khabar hai ki ye admi hai ya admi ki surath me koi farishta hai jo tumhen dhakka de kar ya dant kar tumhare hilm va sabr ka imtihan le raha hai ye vo nukta hai jis se Aam tor par log navakhif hai iss liye safre haj me khadam khadam par logon se ulajhte aur jhagadte rahte hai aur baaz avkhat dunya va akhirath ka shadid nuksaan va khasara udate hain. lihaza iss nuksane azim se bachne ki behtarin tadbir yehi hai ki har shaks ke bare me yehi khatra mahsus karte rahen ki shayad ye koi firishta ho jo tazir ya sayil ya mazdur ke bhes me hain aur fir usse sambhal kar baath chit karen aur hatta imkan uss ko razi rakhne ki koshik karen aur hargiz hargiz kisi talkha kalami ya sakht goyi ki nobath na ane den isi me salamati hai.

Chand 2 Tukde Ho Gaye


Kuffare Makka ne Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam se Mojiza talab kiya to Aap ne chand ko 2 tukde kar ke dikha diya ek tukda " Jabale Abu Khubais" par nazar aya aur dusra tukda "jabale  Kayikhaan" par dekha gaya iss tarha chand ko do para kar ke huzur alaihis salam ne kuffare makka ko dikha diya aur farmaya ki tum log gavah ho jao.

      Ye dekh kar kuffare makka ne kaha ki mohammad sallallahu alaihi o sallam ne jadu kar hamari nazar bandi kar di hai iss par unhi ki zamaAth ke logon ne kaha ki agar ye nazar bandi hai to makka se bahar ke kisi admi ko chad ke hisse nazar na aye honge.lihaza Aab bahar se jo kafile ane vale hain un ki zastaju rakho aur musafiron se daryaft karo agar dusre makhamath se bhi chand ka shak hona dekha gaya hai to beshak ye mojiza hai. chunanche, safar se ane valon se daryaft kiya gaya to unho ne bayan kiya ki ham ne dekha ki uss roz chaand ke do tukde ho gaye the iss ke baad mushrikin ko inkar ki guzarish na rahi lekin vo log Aapne inad se iss ko jadu hi kahte rahe. ye mojizaye azim sihah ki Aahadise kasira me mazkura hai aur ye hadis iss khadar darja e shohrath ko  pahunch gayi hai ki iss ka inkar karna akhal va insaaf se dushmani aur be dini hai.

        Allah Tala ne iss mojize ka bayan Quran Ki Surah e khamar me in alfaaz ke saath bil yelaan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                 Paas Aayi khiyamath aur shak ho gaya chand aur agar dekhen koi nishani to muh ferte aur kahte hain ye to jadu hai chala Aata aur unhon ne jhutlaya aur apni khwahish ke piche huve aur har kaam karar pa chuka hai.

Darse Hidayath:

              Mojizath "Shakkul Kamar" Huzur Khatimunnabiyin Sallallahu Alaihi O Sallam ka ek be misal mojiza hai jo iss ayate karima aur bahut si mashhur hadison se sabit hai ham ne apni kitab "siratul Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam" main iss masale par sire hasil bahas ki hai iss ke mutale se itminane kalb aur jilaye imaan hasil kijiye.

Kisi Khom Ka Mazaq Na Udao


Hazrate Sabit Bin Kais Raziyallahu Tala Anhu kuch uncha sunte the iss liye jaab voh majlis sharif me hazir hote to sahaba unhenh age jagah de diya karte the. ek din jaab vo darbare risalath me Aaye to majlis pur ho chuki thi, likin vo logon ko hatate huve huzur alaihis salam ki karib pahunch gaye. magar fir bhi ek admi in ke aur huzur ke darmiyan rah gaya hazrate sabit bin kais uss ko bhi hatane lage lekin vo shakhs apni jagah se bilkul nahi hata to hazrate sabit bin kais raziyallahu tala anhu ne gusse me bhar kar pucha ki tum kon ho ? to uss shaks ne kaha ki fulan admi hun ye sun kar hazrate sabit bin kais ne hakarath ke lahaje me kaha ki achcha tu fulanni aurat ka ladka hai ye sun kar uss shaks ne sharminda ho kar sar jhuka liya aur uss ko badi taklif huyi iss mokha par mundarija zail ayat nazil huyi.

         Aur hazrate zahhak se mankhul hai ki khabilaye bani tamim ke kuch log behtarin poshak pahan kar basurate vafad bargahe nabvi sallallahu alaihi o sallam me aya aur jab in logon ne "Ashabe suffa" ke gharib va muflis musalmano ko farsuda haal dekha to un ka mazakh udane lage iss mokha par ye ayath nazil huyi.



        Aur Hazrate Anas Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki Hazrate Aysha Raziyallahu Tala Ahun ne Hazrate Ummul Mominin BiBi safiyya ko ek din "Yahudiyya" kah diya tha. jis se un ko bahut ranj va sadma huva. Jab Huzoor Alaihis Salam ko malum huva to Hazrate BiBi Aysha  Raziyallahu Tala Anhu par bahut ziyada khaafagi ka izhar farmaya aur hazrate bibi safiyya raziyallahu tala anha ki dil joyi ke liye farmaya ki tum ek nabi (Hazrate Musa Alaihis Salam) ki avlad me ho aur tumhare chachaon me bhi ek nabi (Hazrate Haroon Alaihis Salam) hain aur tum ek nabi ki bivi bhi ho yani meri bivi ho. Iss mokha par in ayat ka nuzul huva.


   
Bahar Haal in mazkura bala tino shane nuzul me se kisi ke bare me ye ayath nazil huyi jis me Allah Azzawajal ne kisi khom ka mazak udane ki sakht mumanath farmayi.
               Ayate karima ye hai ki.

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ye Imaan valon na mard mardon se Hasen, Azab nahi ki vo un hasne valon se behtar ho aur na auraten auraton se, dur nahi ki vo un hasne valiyon se behtar ho aur apas me tana na karo aur ek dusre ke bure naam na rakho kai hi bura naam hai musalman ho kar fasik kahlana aur jo toba na karen to vohi zalim hai.

Darse Hidayat

             Quran karim ki in chamakti huyi ayaton ko baghor padiye aur ibrat hasil kijiye ki iss zamane me jo ek fasikhana aur sarasar mujrimana ravaj nikal pada hai ki "sayyid" va "shiekh" aur "pathan" kahlane valon ka ye dastur ban gaya hai ki vo dunya, jolaha, kunjada, khasayi, nayi kah kar mukhlis va muttakhi musalmano ka mazak banaya karte hain balki in khomo ke alimo ko mahaz in ki khomiyyath ki bina par jalil va hakhir samjhte hain balki apni majlison me in ka mazak bana kar haste hasrate hain. jahal to jahal bade bade alimon aur pirane tarikhat ka bhi yehi tarikha hai ki vo bhi yehi harkaten karte rahte hain. had ho gayi ki jo log barson in khomon ke alimon ke samne zanuye talmmuz tai kar ke khuda alim aur shaikhe tarikhat bane hain magar fir bhi mahaz khomiyyat ki biya par apne ustadon ko hakhir va zalil samajh kar un ka tamsakhur karte rahte hain. aur apne nasab va zaath par faqr kar ke dusron ki zillat va hakharat ka charcha karte rahte hain. lillah batayiye ki Quran e majid ki roshni me yese log kitne bade mujrim hain?

           Mulahaza farmayiye ki Quran e Majid ne mundarijaye zail ahakam aur vayide bayan farmayi hai:
  1. Koi khom kisi khom ka mazaq na udaye.ho sakta hai ki jin ka mazak uda rahe hain vo mazaq udane valon se dunya va akhirath me behtar ho.
  2. Musalmano ke liye jayiz nahi ki ek dusre par tana zani karen.
  3. Musalmano par haram hai ki ek dusre ke liye bure bure naam rakhen.
  4. Jo yesa kare vo musalman ho kar "fasiq" hai.
  5. aur jo apni in harkaton se toba na kare vo "zalim" hai.
                Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anha ne farmaya ki agar koi gunahgar musalman apne gunah se toba kar le to toba ke baad uss ko uss gunah se Aar dilana bhi isi mumanaAt me dakhil hai. Isi tarha kisi musalman ko Kutta, Gadha ,Suvvar kah dena bhi MamnuA hai ya kisi musalman ko yese naam ya lakhab se yaad karna jis me uss ki burayi zahir hoti ho ya uss ko nagavar hota ho ye sari suraten bhi isi mumanaAt me dakhil hai.


     
Aur Hazrate Abdullah Bin Masud Sahabi Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki agar main kisi ko Hakhir samajh kar uss ka mazak banaun to mujhe dar lagta hai ki kahi allah tala mujhe kutta na bana de  
                                                                                    

Makdi Ka Ghar


Kuffar ne buton ko mabud bana kar un ki imdad va yianath aur nusrath va nafaa rasani par jo yetimad aur bharosa rakha hai, Allah Tala ne kuffar ki iss hamakath maAbi ke izhar aur in ki khud farebiyon ka parda chak karne ke liye ek azib misal bayan farmayi hai jo bahut zaida ibrath kaiz aur Aala darje ki nasihath amoz hai chunanche, Quran e Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Un ki misal jinhone Allah ke siva aur malik bana liye hain makdi ki tarha hai uss ne jale ka ghar banaya aur beshak saab gharon me kamzor ghar makdi ka ghar kai achcha hota agar jante.

         Matlab ye hai ki makdi jale ka ghar bana kar apne khayal me magan rahti hai ki mai makan me baithi huyi hun magar iss ke makan ka ye haal hai ki vo na dhoop se bacha sakta hai na barish se, na garmi se mahfuz rakh sakta hai na sardi se hifazath kar sakta hai aur hava ke ek mamuli jhonke se tahas nahas ho kar barbad ho jaya karta hai yehi haal kuffar ka hai ki in logon ne buton ko apne nafa va nuksan ka malik bana liya hai aur in buton ki imdad va nusrath par yetimad aur bharosa kar rakha hai. halanki buton se hargiz hargiz koi nafa va nuksan nahi pahunch sakta aur kafiron ka buton par yetimaad itna hi kamzor sahara hai jitna ki makdi ka jala kamzor hot hai. kaash kuffar iss baath ko samaj lete to ye un ke haq me bahut hi achcha hota.

Makdi:

               Makdi ek ajibul khalkat janvar hai iss ke 8 paon aur 6 Ankhen hoti hai ye bahut hi kanaAth pasand janvar hai. Magar khuda ki shaan ki saab se haris janvar yani makhkhi aur machchar iss ki ghiza hai. makdi kai kai dino tak bhuki paisi baiti rahti hai magar apne jale se nikal kar ghiza talash nahi karti jab jale ke andar koi makkhi ya machchar fas jata hai to ye uss ko kha leti hai varna sabr va kanaAth kar ke padi rahti hai.

        Makdi ke fazail me ye baath khas tor par khabile zikr hai ki hijrath ke vaqht jab rasoole akram sallallahu alaihis sallam ghare sair me tashrif farmaa the to makdi ne ghar ke muh par jala tan diya tha aur kabutari ne ande de diye the. jis ko dekh kar kuffar vapas chale gaye ki agar ghaar me koi shakhs gaya hota to makdi ka jala aur anda tut gaya hota.

        Hazrate Ali radiyallahu anhu se marvi hai Aap ne farmaya ki apne gharon se makdiyon ke jalon ko door karte raho ki ye muflisi aur nadari ka bayis hote hain.


Hazrate Musa Alaihis Salam Ki Hijrath


Hazrate Musa Alaihis Salam Bachpan hi se Firon ke mahal me pale bade magar jab javan ho gaye to firon aur uss ki khom khibtiyon ke mazlim dekh kar bezar ho gaye aur fironiyaon ke khilaf avaz buland karne lage. iss par firon aur uss khom jo "Kibti" kahlate the, Aap ke dushman ban gaye aur Aap firon ka mahal balki uss ka shahar chod kar Atraf me chup kar rahne lage. ek din jaab shahar vale dopahar me khailula kar rahe the to Aap chupke se shahar me dakhil ho gaye aur uss shahar ka naam "manaf" tha jo misr ke hudud me vakhe hai aur "manaf" dar asal "mafa" tha jo arabi me "manaf" ho gaya aur baaz ka khol ye hai ki ye shahar "yenushshams" tha aur baaz mufassirin ne kaha ki ye shahar "haibain" tha jo misr se do kos door hai.

          Ya "Umme Khanan" Ya misr tha. Jaab Aap shahar me pahunche to ye dekha ki ek shakhs Aap ki khom ka israeli aur ek shaqhs firon ki khom ka khibti dono lad jhagad rahe hain. Israeli ne Hazrate Musa Alaihis Salam se faryad kar ke madad mangi. Iss par Hazrate Musa Alaihis Salam ne kibti ko ek dhunsa mar diya jis se uss dam nikal gaya. iss par Aap ko bahut afsos huva aur Aap khuda se istigfar karne lage. Firon ki khom ke logon ne firon ko ittilaa di ki kisi israeli ne hamare ek kibti ko mar dala hai iss par firon ne khatil aur gavahon ki talash ka hukum diya.

        Fironi choron tarfa gasht karte firte the magar koi surag nahi milta tha. Raath  bhar subah tak Hazrate Musa Alaihis Salam fikr mand rahe ki khuda jane iss kibti ke mare jane ka kai natija niklega aur iss ki khom ke log kai karenge? Dusre roz jab musa alaihis salam ko fir yesa ittifaq pesh aya ki vohi israeli jis ne ek din pahle Aap se madad talab ki thi Aaj fir ek fironi se lad raha tha to Aap ne israeli ko thanda ki tu roz roz logon se ladta hai apne ko bhi pareshani me dalta hai aur apne madadgaron ko bhi fikr me mubtala karta hai lekin fir hazrate musa alaihis salam ko israeli par raham Aa gaya aur Aap ne chaha ki uss ko fironi ke zulm se bachayen to fironi vola ki ye Musa! Kai tum mujhe bhi yese hi khatl karna chahte ho jaisa ki kaal tum ne ek Aadmi ko khatal kar diya. kai tum yehi chahte ho ki zamin me sakht gir bano aur allah chahte hi nahi? itne me shahar ke kinare se ek admi dodta huva Aaya aur ye khabar di ki darbare firon ke khibti Aapas me Aap ke khatl ka mashvara kar rahe hain. Lihaza Aap shahar se nikal jayiye me Aap ka khair khwa hun to Aap shahar se bahar nikal gaye aur iss intizar me rahe ki dekhiye Aab kai hota hai? Fir Aap ne ye dua mangi ki ye mere raab! mujhe zalimo se bacha le ye dua mang kar Aap hizrath kar ke madyan hazrate shoyeb alaihis salam ke paas pahunch gaye. unho ne Aap ko panah di aur fir apni ek sahibzadi bibi safura se Aap ka nikah bhi kar diya.

         Jis shakhs ne shahr ke kinare se dodte huve Aa kar hazrate musa alaihis salam ko Aap ke khatal ka mansuba tayyar hone ki khabar di aur hijrath ka mashvara diya vo firon ke chacha ka ladka tha, jis ka naam hazakil ya shamun ya samAn tha ye khandane firon me se hazrate musa alaihis salam par imaan la chuka tha.

Darse Hidayath

              Iss vakhiye se Ulmaye haq ko ibrath va nasihath hasil karni chahiye ki hazrate musa alaihis salam aur dusre ambiya kiram alaihis salam rahe tabligh me kaise kaise hadisath se do char huve magar sabro istikhamath ka daman in hazrat ke haton se nahi chuta. yahan tak ki nusrate khudavandi ne in hazrat ki yesi dastafiri farmayi ki ye hazrat kamyab ho kar rahe aur in ke dushmano ko hazimath aur halakath nasib huyi.

Ashabe Yika Ki Halakath


"Yika" jhadi ko kahte hain in logon ka shahar sar sabz zangalon aur hare bhare darakhton ke darmiyan tha allah tala ne in logon ki hidayath ke liye hazrate shoyeb alaihis salam ko bheja. Aap ne "Ashabe Yika" ke samne jo vajah farmaya vo Quran e Majid me iss tarha bayan kiya gaya hai, Aap ne farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Kai darte nahi beshak main tumhare liye Allah ka amanath dar rasool hun to Allah se dari aur mera hukum mano aur main iss par kuch tum se ujrath nahi mangta mera arz to usi par hai  jo sare jahan ka rab hai, naap pura karo aur dhatne valon me na ho aur sidhi tarazu se tolo aur logon ki chizen kam kar ke na do aur zamin me fasad failate na firo aur uss se daro jis ne tum ko paida kiya aur agli maqhluq ko bole tum par jadu huva hai tum to nahi magar ham jaise admi aur beshak ham tumhen jhuta samajte hain to ham par asman ka koi tukda gir do agar tum sachche ho. Farmaya: Mera Raab khub janta hai jo tumhare kotak(kartut) hain to unhone use jhutlaya to unhen shamiyane vale din ke azab ne Aa liya. Beshak vo bade din ka azab tha.

      Khulasa ye ki "Ashabe Yika" ne Hazrate Shoyeb Alaihis Salam ki Muslehana takrir ko sun kar bad zabani ki aur apni sarkashi aur ghurur va takabbur ka muzahara karte huve apne paighambar ko jhutla diya aur yahan tak apni sarkashi ka izhar kiya ki paighambar se ye kah diya ki agar tum sachche ho to ham par asman ka koi tukda gira kar ham ko halaq kar do.

     Iss ke baad iss khom par khudavande kahhar va jabbar ka kahirana azab Aa gaya azab kai tha? suniye aur ibrat hasil kijiye.

      Hadis Sharif me Aaya hai ki Allah Tala ne in logon par jahannam ka ek darvaza khol diya jis se puri abadi me shadid garmi aur lu ki hararath va tapish fel gayi aur basti valon ka dam ghutne laga to vo log apne gharon me ghusne lage aur apne upar pani ka chidkav karne lage magar pani aur saye se inhen koi chain aur sukun nahi milta tha. Aur garmi tapish se in ke badan jhulse ja rahe the. Fir Allah Tala ne ek badli bheji jo shamyane ki tarha puri basti par chaa gayi aur iss ke andar thandak aur farhat bakhsh hava thi. ye dekh kar saab gharon se nikal kar uss badli ke shamyane me Aa gaye jab tamam admi badli ke niche Aa gaye to zalzala Aaya aur asman se Aag barsi. jis me sab ke sab tiddiyon ki tarha tadap tadap kar jal gaye. in logon ne apni sarkashi se ye kaha tha ki ye shoyeb! Ham par Asman ka koi tukda gira kar ham ko halak kar do.Chunanche, vohi azab iss surath me iss sarkash khom par Aa gaya aur saab ke saab jal kar raqh ka dher ban gaye.

Ek Zaruri Tauzih:

         Vazeh rahe ki Hazrate Shoyeb Alaihis Salam do khomo ki taraf rasool bana kar bheje gaye the. ek khom "Madyan" dusre "Ashabe Yika" in dono khomo ne Aap ko jhutla diya, aur apne tughyan va isyan ka muzahara aur apni sarkashi ka izhar karte huve in dono khomo ne Aap ke saath be adabi aur bad zabani ki aur dono khome azabe ilahi se halak kar di gayi. "Ashabe Madyan" par to ye azab Aaya ki "FaAkhazath humus saihatu" Yani Hazrate Jibrael Alaihis Salam ki chikh aur chidhad ki holnak avaz se zamin dahal gayi aur logon ke dil khofe dahshath se fat gaye aur saab dam zadan me mauth ke ghat utar gaye. Aur "Ashabe Yikha", "Azabu Yomiz Zullati"  se halak kar diye gaye jis ka tafsili bayan Aabhi Abhi Aap pad chuke hain

Ashaburras Kon Hai ?


"Raas" Lugat me purane kuvve ke mana me ata hai iss liye "Ashaburras" ke mana huve "Kuvve vale"
Allah Tala ne Qurane Majid me "Ashaburras" ke naam se ek khom ki sarkashi aur nafarmani ki vajah se uss ki halakat ka zikr farmaya hai. Chunanche, Surah e Furkhan me Irshad Farmaya ki:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur Aad aur Samud aur Kuvve valon ko aur in ke bich me bahut si sangaton aur ham ne saab se misalon byan farmayi aur saab ko tabah kar ke mita diya.

         Aur surah Khaa me halak shuda khomo ki fehristh bayan karte huve allah tala ne iss tarha farmya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                   In se pahle jhutlaya nooh ki khom aur raas valon aur samud aur Aaad  aur firon aur looth ke ham khomo aur ban valon aur tubba ki khom ne in me har ek ne rasoolon ko jhutlaya to mere azab ka vada sabith ho gaya.

         "Ashaburras Kon The? aur kahan rahte the ? iss bare me mufassirin ke akhval iss khadar muqhtalif hain ki hakhiqhate haal bajaye munkashif  hone ke aur ziyada mastur ho gayi hai. bahar haal ham mukhtasaran chand akhval yahan zikr kar ke ek apni bhi pasandida baath tahrir karte hain.

Khol E Avval:

              Allama Ibne Zarir ki ray ye hai ki "Raas" ke maana Ghaar ke bhi ate hain. iss liye "ashabul akhadud" (gadevalon hi ko "Ashaburras" bhi kahte hain.

Khol E Duvum:

                Ibne asakir ne apni tarikh me iss khol ko haq bataya hai ki "ashaburras" khome Aad se bhi sadiyon pahle ek khom ka naam hai ye log jis jagah Aabad the vahan Allah Tala ne ek Paighambar hazrate hanzala bin safvan ko mabus farmaya tha uss sarkash khom ne apne nabi ki baath nahi mani aur kisi tarha bhi haq ko khabul nahi kiya balki apne Paighambar ko khathl kar diya. Jis saza me puri khom azabe ilahi se halak va barbad ho gayi.

Khol E Sivum:

               Ibne Abi hatim ka khol hai ki azar bayijaan ke kharib ek kuva tha uss kuvve ke kharib jo khom Aabad thi uss ne apne nabi ko khvve me daal kar zinda dafan kar diya tha. iss liye in logon ko "ashaburras" kaha gaya.

Khol E Charum:

                Khatada kahte hain ki "Yamama" ke alakhe me "Falaj" nami ek basti thi "ashaburras" vahi abad the aur ye vohi khom hai jis ko Quran e Majid me  "Ashabul Khariyah" bhi kaha gaya hai aur ye mukhtalif nisbaton se pukare se pukare jate hain.

Khol e Panjum:

               Abu bakkar umar nakkash aur suhaili kahte hain ki "ashaburras" ki abadi me ek bahut bada kuvvan tha jis ka pani vo log pite the aur iss se apne kheton ki Aabpashi bhi karte the aur in logon ne gumrah ho kar apne Paighambar ko khatal kar diya tha, Iss jurm me Azab Ilahi utar pada aur ye puri khom halak va barbad ho gayi.

Khol e Shashum:

               Mohammed Bin Kaa'b khurzi farmate hain ki Huzur Alaihis Salam ne farmaya ki 
                     Yani jannath me saab se pahle jo shakhs dakhil hoga vo ek kala ghulam hoga.

          Aur ye iss liye ki ek basti me allah tala ne apna ek nabi bheja magar ek kale ghulam ke siva koi un par imaan nahi laya fir ahle shahar ne uss nabi ko ek kuvve me daal kar kuvve ke muh ko ek bhari phattar se band kar diya, taki koi khol na sake. magar ye siyah farma ghulam rozana jangal se lakdiyan kaat kar lata aur in ko farokh kar ke khana kharidta aur kuvve par pahunch kar patthar uthata aur nabi ki khidmath me khana pesh karta tha. Kuch dino ke baad allah tala ne iss ghulam par jangal me nind tari kar di aur ye 14 saal tak sota hi rah gaya iss darmiyan me khom ka dil badal gaya aur in logon ne nabi ko kuvven me se nikal kar toba kar li aur Imaan khabul kar liya fir chand dino ke baad nabi ki vafath ho gayi. 14 saal ke baad jab kale ghulam ki Aankh khuli to uss ne samajha ki main chand ghante soya hun janldi lakdiyan kaat kar vo shahar me pahuncha to ye dekh kar ki shahar ke halath badle huve hain daryaft kiya to sara khissa malum huva aur yisi ghulam ke mutalliq nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ne irshad farmaya ki jannath me sab se pahle ek kala ghulam jayega.

Khol E Haftum:

                  Mashhur muarrikh allama masoodi bayan karte hain ki "ashaburras" hazrate ismayil alaihis salam ki avlad me se hai aur ye do khabile the "khaidma"(kaidmah) aur dusra "yamin" ya "Raa'vil' aur ye dono khabile yaman me abad the.

Khol e Shashtum:

               Missar ke ek alim farzullah zakkir kurdi kahte hain ki lafz "Raas","Aars" ka mukhaffa hai aur ye shahar kafakaz ke alakhe me vakhe hai iss vadi me allah tala ne ek nabi ko mabaus farmaya jin ka naam ibrahim zardasht tha. inhone apni khom ko dine haq ki davath di magar in ki khom ne sarkashi aur baghavath iqtiyar ki chunanche, ye khom azabe ilahi se halak kar di gayi. 

              "Ashaburras" ke bare me ye 8 Akhval hain jin me se sabhi akhval maruze bahas me hain aur logon ne in akhvaal va rivayath par kafi raddo kadha kiya hai jin ki tafsilath ko zikr kar ke ham apni mukhtasar kitab ko tul dena pasand nahi karte khulasa e kalam ye hai ki "Ashaburras" ke bare me Quran e Majid se itna to Pata chalta hai ki in logon ka vajud yakhinan hazrate Isa alaihis salam ke darmiyan ke zamane ki kisi khom ka tazkira hai ya kisi khadimul ahad khom ka zikr hai to Quran e Majid ne iss ke bare me kuch bhi bayan nahi farmaya hai aur mazkuraye bala tafsiri rivayaton se iss ka katayi faisla hona bahut hi mushkil hai.

Takhlikhe insani ke marahil


Allah Tala bada khadiro kayyum hai. Agar vo chahe to ek lamhe me hazaron insano ko paid farma de magar vo khadire mutalak apni khudrate kamila ke ba wajud apni hikmate kalima se insano ko ba tadriz sharfe wujud bakhashta hai. Chunanche, nutfa maa ki bachcha dani me pahunch kar tarha taraha ki kaifiyyat aur khism khism ke tagayyurath se ek khas khis ka mijaz hasil kar ke jama huva khoon ban jata hai fir vo jama huva khoon gosht ki ek boti ban jata hai. fir gosh ki boti haddiyan ban jati hai. fir in haddiyon par gosht chad jata hai aur pura jism tayyar ho jata hai fir iss me rooh dali jati hai aur ye be jan badan jandar ho jata hai aur iss me nutkha aur smaa va basar vaghaira ki mukhtalif takhaten va deta rakhi jati hai. fir maa iss bachche ko janti hai iss tarha mukhtalif manazil va marahil ko tai kar ke ek insan batadrij alame wajud me ata hai chunanche,

     Quran e Majid ne takhlikhe insani ke in marahil ka naksha in alfaz me pesh farmaya hai ki
  Fir use pani ki bund kiya ek mazbuth tahrav me fir ham ne uss pani ki bund ko khoon ki fatak kiya fir khoon ki fatak ko gosht ki boti fir goshth ki boti ko haddiyan fir un haddiyon par goshth pahnaya fir use surath me udan di to badi barkath vala hai allah saab se behtar banane vala hai.

Darse Hidayath:

              Takhlikhe insani ke in mukhtalif marahil se gujarne me khudavande khuddus ki kon kon si hikmaten aur kai kai maslehaten poshida hai?in ko bhala ham insaan kai aur Quinkar samajh sakte hain? lekin kam se kam har insan ke liye iss me ibraton aur nasihaton ke bahuth se saman hain taki insan ye sochta rahe aur kabhi iss se gafil na rahe ki aur asal me kai tha? aur khudavande khuddus ne mujhe kai se kai bana diya? ye ghor kar ke khudavande tala ki khudrate kamila par imaan laye aur kabhi fakhr va takabbur aur khud numayi ko apne karib tak na ane de aur ye soch kar ki main nutfe ki ek bund se paida huva hun hamesha azizi va farutani ke saath munkasirul mizaj ban kar zindagi basar kar aur ye soch kar kiyamath par bhi imaan laye ki zis khuda ne mujhe ek bund nutfaye pani se insan bana diya vo bila shuba iss par bhi khadir hai ki marne ke baad dobara mujhe zinda kar ke mere amale nek va bad ka hisab lega.

Hazrate Zul Kifl Alaihis Salam



Qurane Majid me Hazrate Zul Kifl Alaihis Salam ka zikr sirf do suraton yani "Surah Ambiya" aur "Surah SaA" me kiya gaya hai aur in dono suraton me sirf Aap ka naam mazkur hai. naam ke ilava Aap ke halath ka mujmal ya mufassal koi tajkira nahi hai. Sura ambiya me ye hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
               
                   Aur Ismayil aur Idris aur Zul Kifl ko (Yad Karo) Vo sab sabr vale the.

Aur Surah "SaA" me iss tarha irshad huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                   Aur yaad karo ismayil aur yasA aur zul kifl ko aur saab achche hain.

         Hazrate zul kifl alaihis salam ke mutallik quran e mazid ne naam ke siva kuch nahi bayan kiya hai isi tarha hadison me bhi Aap ka koi tazkira mankhul nahi hai. lihaza Quran va Hadis ki roshni me iss se zaida nahi kaha ja sakta hai zul kifl alaihis salam khuda ke barguzida nabi aur paighambar the jo kisi khom ki hidayath ke liye mabus huve the.

         Albatta hazrate shaah abdul khadir sahib dehalvi irshaad farmate hain ki hazrate zul kifl alaihis salam hazrate ayyub alaihis salam ke farzand hai aur inho ne kahlisan li-vazahillah kisi ki zamanath kar li thi. jis ki vajah se in ko kai baras kaid ki taklif bardasht karni padi.

          Aur baaz mufassirin ne tahrir farmaya ki hazrate zul kifl alaihis salam dar hakhikath hazrate hazakil alaihis salam ka lakhab hai.

Aur zamanaye haal ke kuch logon ka khayal hai ki zul kifl "Gotam Bud" ka lakhab hai iss liye ki iss ke darul saltanath ka naam " kafal vastu" tha jis ka marub "Kifl" hai aur arabi me  "Jhoo","Sahib" aur "Malik" aur Badshaah ko "Zul Kifl" kaha gaya aur in logon ka dava hai ki "Ghotam Bud" ki asal talim tohid aur hakhiqi islam hi ki thi magar baad me ye deen dusre adyan ba malla ki tarha maskha va maharuf ho gaya. magar vazeh rahe ki zamanaye haal ke  chand logon ki ye ray ki "zul kifl" Ghotam Bud ka lakhab hai mere nazdik ye mahaz ek khayali tuk bandi hai. tarikhi aur tahkhiki haisiyath se iss ray ki koi yukkath nahi hai.

      Ba zahir yesa malum hota hai ki hazrate zul kifl alaihis salam ambiyaye bani israel me se hain bani israel ke in halath va vaqhiyath ke siva jin ki tafsilath Quran e majid me mukhtalif ambiyaye bani israel ke zikr me ati rahi hai, hazrate zul kifl alaihis salam ke zamane me koi vakhia yesa darpesh nahi huva jo Aam tabligh va hidayath se zaida apne andar ibrath va moizath ka pahal rakhta ho iss liye Qurane majid ne fakath in ke naam hi ke zikr par iktilaf kiya aur halat va vakhiyath ka zikr nahi farmaya fakath 

Hari Sabjiyon Ke Istemal Se Ghataye Vazan

green Vegetables

              Agar Apne in hari sabjiyon ko apni diet ka hissa bana liya to apke liye vazan ghatana vaqhayi bahut asan ho jayega. In sabjiyon me kafi mikdar me Protein aur dusre ghizaye ajza paye jate hain. jo non-veg khane se kahi zaida faidemand hain.

Inke Istemal se Motabalijim badane ke saath hi sharir bhi dinbhar active rahta hai. Mahiran ki mane to din ke waqht hari sabjiyon ka istemal bahut faydemand hota hai. Isse zism dinbhar shurtvan bana rahata hai . janiye ye sabziyan kon si hai:

   1. Methi Ka Saga

              Ek cup pani me methi ki kuch pattiyon ko dalkar 10 minute tak ubal len. iss pani ko chaan                   kar suboh khali pet pijiye. ye pani bahut tezi se calorie  ghatata hai.

   2. Green Tea

              Khali pet green tea pina sehath ke liye to achcha hai hi, isse motapa bhi control hota hai.                    Agar Aap chahe to isme ek chamcha shahad aur nimbu ki kuch bunden mila sakte hain. isse                ye aur tezi se kaam karega.

   3. Hari Chizen

           Agar Aap Vaqhayi Chahte hain ki apka vazan jaldi kam ho jaye to tarikhe se ek baul hari                    chizen khane ki adath daliye. Aap chahe to isme bracli, patta gobi, khira aur salad patta shamil            kar sakte hain. Agar Aap isse salad banakar kha rahe ahai to isme kuch miqdar dahi ki bhi mila           den. Aap chahe to isme nimbu ka raas bhi mila sakte hain.

   4. Pattagobi Ka Raas

           Vazan Ghatane ke liye pattagobi ka juice bahut hi faidemand hai. agar Aap iska juice nahi pee            sakte hain to isse ubalkar bhi khaa sakte hain. ye juice fat kam karne ke saath hi imyunity bhi              badata hai.

   5. Sprouts

          Agar Aap vaqhayi vazan ghatane ko lekar  fikarmand hain to sprouts ka istemal apke liye bahut           faidemand hoga apko kachche sprouts pasand nahi hai to inko halki bhap me paka kar bhi le               sakte hain.

   6. Palak

         Hafte me 2 baar palak ka istemal karna bahut faidemand hain. palak me paryapth miqhdat me              vitamin ke aur calcium paya jata hai, jo haddiyon aur danth ke liye kafi faidemand hain.Aap               chahe to palak ki pattiyon ko ubalkar ya fir iska juice nikalkar bhi isse istemal me la sakte hain.

Dil Ki Sehath Ke Liye Bahut Faidemand Hai Kaju

Kaju

Shayad hi koi yesa ho jise kaju ya usse bani chijen pasand na ho. dried fruit me se kaju sabse adhik pasand kiya jane vala dried fruit hai. lekin iske faide vakhayi hairath me dalne vale hai.

Kaju khane se ek aur jahan kayi tarha ki bimariyan rokajasakta hai. vahi ye khubsurati badane ka bhi kaam karta hai. par iska mukhtasar istemal hi faidemand hota hai. isse khane se motabalijam sahi rahta hai aur dil se judi kai bimariyon me rahath milti hai.

Kaju me kayi khaas khisam ke namkin jaise potassium,copper,iron,manganic,jink aur  selenium paya jata hai. in sabhi anasar ki maujudgi ke chalte ye swast ke liye bahut faidemand hota hai.

   1. Dil Ke Liye Faidemand

Kaju me monounsaturated fat paya jata hai. ye dil ko tandurust rakhne ka kaam karta hai. Achchi baath ye hai ki ye kolostral free hota hai.

   2. Zism Ko Taqhat Dene Ka Kaam Karta Hai.

Kaju me paye jane vale namak zism ko mazbuth banane ka kaam karte hain. Isme maujud magnesium haddiyon ke liye bahut achcha hota hai.

   3. Khubsurati Nikhar Ne Ke Liye

Kaju me ya gulab jal me kaju ko piskar chehre lagane se chehre par nikhar ata hai. iske istemal se rangath gori hoti hai vahi chehra nazuk-mulayam bhi ho jati hai. agar Aap iska hamesha istemal karte hain to apke bal bhi achche bane rahenge.

   4. Blood Pressure Ko Control Rakhne Me Madadgar

Kaju me Sodium aur Potassium ki matra bahut kaam hoti hai. jiski vajah se blood pressure niyantrit bana rahta hai

   5. Danton Ke Liye Faidemand

Kaju danton aur masudon ko sehatmand rakhne ka kaam karta hai. iske bakhaida istemal se danth zaida vaqht tak mazbuth rahte hain.

Iske Alava kaju khane se vazan control rahta hai par isse control miqhdar me khana bahut zaruri hai.

Zaikha Badane Ke Saath Hi Roop Bhi Nikharta Hai Ghee


Ham sabhi Ghee ka Istemal Khadya Padarth ke tor par karte hain. isse khane ka swad bad jata hai. swad aur achchi khushbu ke liye istemal hone wala desi Ghee ek bahut achcha beauty product bhi hai.

Ho Sakta hai ki apko ye Atpata lag raha ho lekin ye bilkul sahi hai. Ghee ko chehre par lagane se chehere ki nami bani rahti hai aur chehra rukhi nahi hoti hai. saath hi agar Aap apne  lip baa m  ke parinam se khush nahi hain to ek bar Ghee ka istemal karke dekhen Ghee ka istemal karne se chehra mulayam bani rahti hai. Aagar apke pass taza ghee hai to ye aur bhi achcha hai.

Ghee Ko Bator Beauty Product Istemal Karne Ke Faide

   1. Ghee ko chehre par lagane se facial sa glo ata hai. har roz nahane se pahle do bund ghee ko apne chehre par achchi tarha se maal len. Kuch din me hi apko asar nazar ane lagega.

   2. Agar Lip Baa m lagane ke bavajud apke hot fate hain to ek bar ghee ka istemal karke dekhen. Sone se pahle har raath apne hoton par ghee ki ek se do bund ko achchi tarha se laga len. yesa karne se apke hont fatenge nahi aur unka moisture bhi bana rahega.

   3. Agar apki ankhon ke niche kale dhere ho gaye to har raath sone se pahle ghee ki kuch bundon ko kale dhere ke jagah par halke haath se lagayen. ghee ko achchi tarha lagakar so jayiye. subah utkar thande pani se mooh saf kar len.

   4. Agar apke pass makeup remover nahi hai to Aap ghee se bhi makeup saaf kar sakti hain. khastor par Ankhon ke mekap ke liye Aap ghee ka istemal kar sakti hain.

   5. Agar apke baal bahut rukhe ho gaye hain to bhi Aap ghee ka istemal kar sakti hain. ye chehre ko moisture karne ke saath hi balon me bhi kudrati nami banaye rakhta hai.