Jamaat O Imamat Ka Bayan

Muslim Namaz

Jamaat Ki Bahut Takeed Hai.Aur Iska Sawaab Bahot Ziyada Hai. Yahan Tak Ke Be-Jamaat Ki Namaaz se Jamaat Wali Namaaz Ka Sawaab 27 Guna hai.
(Mishkat Shareef Jild 1Safa 95)




Masla: Mardon Ku Jamaat Ke Sath Namaaz Padhna Wajib Hai. Bila Uzr 1 Baar Bhi Jamaat Chodne Wala Gunahgaar Aur Saza ke Layiq Hai.Aur Jamaat Chodne Ki Aadat Dalne Wala Fasiq Hai.Jiski Gawahi Qubool Nahi Ki Jayegi, Aur Badeshahe Islam Isku Sakht Saza Dega. Aur Agar Padosiyon Ne Sukoot kiya To O bhi Gunahgaar Honge .(Raddul Muhtaar Jild 1 Safa :371)

Masla: Juma O Eidain Me Jamat Shart Hai.Yani Baghair Jamaat Ye Namaazen Hogi Hi Nahi.Taraweh Me Jamaat Sunnat e Kifaya Hai, Yani Mohalle ke Kuch Logon Ne Jamat Se Padhi To Sab Ke Zimma Se Jammat Chodne Ki Burayi Jati Rahi Aur Agar Sabne Jamaat Chodi To Sabne Bura Kiya, Ramzan Shareef Me Witr Ku Jamaat Se Padhna Ye Mustahab Hai. Sunnaton Aur Niflon me Jamaat Makru Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 371)

Masla: Jin Uzron Ki Wajeh Se Jamaat Chod Dene Me Gunah Nahi O Ye Hain.  
  1. Aysi Bimari ke Masjid Tak Jane Me Mushaqat Aur Dushwari ho.
  2. Sakht Barish
  3. Bahot Ziyada Kichad.
  4. Sakht Sardi.Sakht Andheri Raat
  5. Aaandhi
  6. Pakhana Pishaab ki Hajat
  7. Riyah Ka Bahot Zoor Hona
  8. Zalim Ka khouf.
  9. Qafila Choot jane Ka Qouf.
  10. Andha Hona.
  11. Apahij hona 
  12. Itna Budha Hona Ke Masjid Tak Jane Se Majboor ho.
  13. Maal Ya Samaan Ya Khana Hilaak Ho Jane Ka Dar.
  14. Muflis Ku Qarz Khwah Ka Dar.
  15. Bimaar Ki Degbhaal Ke Agar Ye Chala Gayega To Bimaar Ku Takleef Hogi Ya O Ghabrayega.
Ye Sab Jamaat Chodne Ke Uzr Hain
(Dur e Mukhtar Jild 1 Saa 373)


Masla: Awraton Ku Kisi Halat me Jamaat Ki Hazri Jaiz Nahi.Din ki Nmaaz Ho Ya Raat Ki. Jumma ki ho Ya Eidain Ki. Awrat Chahe Jawaan Ho Ya Budhiya.Yunhi Awraton Ku Ayse Majmu'on me Jana Bhi Na Jaiz Hai Jahan Awraton Mardon ka Ijtema ho.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 370)

Masla: Akela Muqtadi Mard Agar Che Ladka Ho Imam Ke Barabar Dahne Taraf Khada Ho. Bayen Taraf Ya Piche Khada Hona Makru Hai.Do Muqtadi Hon to Piche Khade Hon Imam ke Barabar Khada Hona Makru-e-Tanzeehi Hai. Do Se Ziyada Ka Imam ke Baghal me Khada Hona Makru-e-Tahrimi Hai.(Dur e Mukhtar jild 1 Safa 371)

Masla: Pehli Saf me Aur Imam Ke Qareeb Khada Hona Afzal Hai. Lekin Janaze Me Pichli Saf Me Hona Afzal Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 372)

Masla: Imam Hone Ka Sabse Ziyada Haqdaar O Shaksh Hai Jo Namaaz O Taharat Waghaira Ke Ahkaam Sabse Ziyada Janne Wala Ho.Phir O Shaksh Jo Qir'at Ka Ilm Ziyada Rakhta Ho.Agar Kayi Shaksh in Baton Me Barabar Ho to O Shaksh Ziyada Haqdaar Hai Jo Ziyada Muttaqi Ho.Agar Isme Bhi Barabar Hon to Ziyada Umr Wala.Phir Jiske Aqlaq Ziyada Achche Hon.Phir Ziyada Tahajuud Guzaar, Gharz Ke Chand Aadmi Barabar Darje Ke Hoon to Inme Jo Shari Haisiyat se Fouqiyat Rakhta Ho. Wahi Ziyada Haqdaar Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 373)

Masla: Fasiq Moalin Jaise Sharabi, Zina Kaar, Juwari, Sood Khor , Dadhi MudaneWala, Ya Kata Kar Ek Musht Se Kam Rakhne Wala In Logon ko Imam Banana Gunah Hai. Aur In Logon Ke Piche Namaaaz Makruh-e-Tehrimi Hai. Aur Namaaz Ku Dhurana Wajib Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 376)

Masla: Rafzi , Khwargi , Wahabi Aur Dosre Tamam Badmazhabon Ke Piche Namaaz Padhna Najaiz O Gunah Hai. Agar Galti Se Padh Li to Phir Se Padhe. Agar Dubara Nahi Padhega to Gunahgaar Hoga.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 377)

Masla: Ganwaar, Andhe , Harami, Kodhi, Falij ki Bimaari Wala ,Bars Ki Bimaari Wala in Logon Ko Imam Banana Makruh-e-Tanzeehi Hai.Aur Karahat Us Waqt Hai Jab Ke Jamaat Me Aur Koi In Logon Se Behtar ho, Aur Yahi Imamat Ke Haqdaar Hoto Karahat Nahi.Aur Andhe Ki Imamat Me to Khafeef Karahat hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 377)          

Read The Next Article : Namaz Ke Baad Zikr O Dua              

Namaz Ke Baad Zikr O Dua

namaz

Namaaz Ke Baad Bahot Se Duaon Ke Padhne Ka Hadeeson Me Zikr Hai, Unme Se Jis Qadar Padh Sake Padhen.Lekin Zohar o Maghrib Isha Me Tamam Wazaif Sunnaton Se Farigh Hone Ke Baad Padhen. Sunnat Se Pehle Muqtasar Dua Per Qina'at Chahiye .Warna Sunnaton Ka Sawaab Kam Hogayega Iska Khiyal Rahe.
(Radd ul Muhtaar)

Faida: Hadeeson me Jin Duaon ke bare Me jo Ta'dad Muqarrar Hai, Isse Kam Ya Ziyada Na Karen.Kyunke Jo Fazail In Duaon ke Hain O inhi Adadon ke Sath Maqsoos Hain, Inme Kam o Beshi Karne Ki Misal Ye Hai Ke Tala Kisi Khaas Qisam ki Kunji Se Khulata hai to Agar Is Kunji ke Dandane Kuch Kam Ya Zayid Kar den To Usse o Tala Na Khulega.Haan Albatta agar Ginti Shumaar Karne Me Shak Ho Jaye To Ziyada Kar sakte Hain Aur Ye Ziyada Karna Ginti Badhane Ke Liye Nahi Hai. Balke Ginti ku Yaqini Tour Per Puri Karne Ke Liye Hai.
(Radd ul Muhtaar)

Ek Masnoon Wazifa:

Har Namaaz Ke Baad 3 Martaba "Astaghfar" Aur 1 Baar "Ayatul Kursi" Aur Ek Ek Baar "Qul Huwallahu" aur "Qul Auzu Bi Rabbil Falaq" aur "Qul A'uzu Bi-Rabbi-n-Naas" aur SubhanAllahi 33 Baar, Alhamdulillahi 33 Baar, Allahu Akbar 34 Baar, aur
(?? ??? ??? ???? ???? ?? ???? ??? ?? ????? ??? ?????? ??? ??? ?? ??? ????) 
1 Baar Padh len.to Iske Gunah Baksh Diye Jayenge Agar Che Samadar Ke Jhag Bara Bar ho, Aur Wo Na Murad Nahi Rahenge.
(Muslim Shareef)

Namaz Padhne Ka Tariqa

namaz

Namaaz Padhne Ka Tariqa Ye Hai Ke Wazu Karke Qible Ki Taraf Muh Kare.Aur Is Tarha Khada Ho Ke 

Dono Pairon Ke Darmiyaan 4 Ungul Ka Fasila Rahe.Aur Dono Hathon Ko Dono Kano Tak Uthaye Ke Dono Angothe Dono Kanon Ke Lou se Chu Jaye.Baqi Ungliyan Apne Haal Per Rahen.Na Bilkul Mili Huwi Na Bahot Phaili Huwi. Is Haal Me Ke Kano Ki Lou Chute Huwe Dono HatheLiyan Qible Ki Taraf Hoon aur Nigah Sajde Ki Jagah Per Ho. 

Phir Niyyat Karke Allahu Akbar (???? ????)Kehte Huwe Hath Neeche La Kar Naaf Ke Neeche Is Tarha Bandh Len Ke  Dahni Hatheli Ki gaddi Bayen Kalayi Ke Sare Per Pahonchon Ke Pass Rahe, Aur Beech Ki 3 Ungliyan Kalayi ki Peet Per, Aur Angotha Aur Choti Ungli Kalayi Ke Aghal Baghal Halkhe Ki Surat Me Rahe.


 Phir Sana Padhe.

Phir Ta'awuz Aur Tasmiya Phir Al-Hamd Shareef Puri Padhe,Aur Khatam Per Aashista Se Aameen Kahe.

Iske Baad Koi Surat Ya 3 Aayaten Ya 1 Lambi Aayat Jo 3 Aayaton ke Barabar Ho Padhen.


Phir Allahu Akbar(???? ????) Kehte Huwe Ruku me Jaye.


Aur Ghutno Ku Hathon Se Is Tarha Pakde ke  Hatheliyan Dono Ghutno Per Ho Aur Ungliyan khoob Pahili Ho Aur Peet Bichi Ho Aur Sar Peet Ki Barabaar ho Uncha Neecha Na ho Aur Nazar Pairon ki Pusht Par Ho.


Aur Kam Se Kam 3 Martaba "Subhana Rabbi'al Azeem " ( ????? ??? ??????) Kahe.


Phir "Sami' Allahu Liman Hamidah"(?????? ???? ?????? ???????) Kehte Huwe Seedhe Khade Ho Jayen.


Aur Akele Namaaz Padhte Hain to Iske Baad "Rabbana Lakal Hamd" (???????? ???? ?????????) Bhi Kahe.Aur Dono Hath Latkaye Rahe.Hathon Ku Bandhe Nahi.


Phir Allahu Akbar Keh Kar Sajde Me Jaye, Is Tarha Ke  Pehle Ghutna Zameen Per Rakhe Phir Hath, Phir Dono Hathon Ke Darmiyaan Me Sar Rakhe, Is Tarha Par Ke  Pehle Naak Zameen Per Rakhe, Phir Matha Aur Naak Ki Haddi Ku Daba Kar Zameen Per Jamaye , Aur Nazar Naak Ki Taraf Rahe , Aur Bazuon Ku Karwaton Se Aur Pet Ku Rano se Aur Rano Ku Pindhliyon Se Juda Rakhe , Aur Paon Ki Sab Ungliyoun Ku Qible Ki Taraf Rakhe , Is Tarha Ke Ungliyon Ka pet Zameen Per Jama Rahe , Aur Hatheliyaan Bichi Ho, Aur Ungliyan Qible Ki Taraf Ho, Aur Kam Se Kam 3 Baar "Subhana Rabbiyal A'la" (????????? ??????? ??????????) Kahe.


Phir Sar Uthaye Is Tarha Ke  Pehle Matha Phir Naak ,Phir Muh , Phir Hath Aur Dahina Qadam Khada karke Iski Ungliyan Qibla Rukh Kare aur Bayan Qadam Bicha Kar Is Per Khoob Seedha Baith Jaye , Aur Hatheliyan Bicha Kar Rano Per Ghutno Ke Pass Rakhe Is tour Per Ke Dono Hathon Ki Ungliyan Qibla Rukh Hon, Aur Ungliyon Ka Sira Ghutno Ke Pass Ho, Phir Zara Tehar Kar Allahu Akbar Kehte Huwe Dosra Sajda Kare, Ye Sajda bhi Pehle Ki Tarha Kare,


Phir Sar Uthaye Aur Dono Hathon Ku Ghutno Per Rakh Kar Panjon Ke Bal Khade Ho Jaye, Uthte Waqt Bila Uzr Hath Zameen Per Na teke. 


Ye Ek Raka'at Puri Ho Gayi. 


Ab Phir Tasmiya Padh Kar Al-Hamd Puri Aur Koi Suart Padhe Aur Pehle Ki Tarha Ruku Aur Sajda Kare,


Phir Jab Sajde Se Sar Uthaye To Dahina Qadam Khada Karke Bayan Qadam Bicha Kar Baith Jaye, Aur Attahiyat Padhe.


Isku Tashahhud Kehte Hain Jab Ashadu Allah Ke Qareeb Pahonche To Dahine Hath Ki Beech Ki Ungli Aur Angothe Ka Halkha Banaye Aur Choti Ungli Aur Uske Pass Wali Ungli ku Hatheli Se Mila De Aur Lafz "Laa" Per Kalme Ki Ungli Uthaye Magar Idhar Udhar Na hilaye , Aur " illa" Per Girade.


Aur Sab Ungliyan Fouran Seedhi Kare,


Ab Agar Do se Ziyada Raka'ate Padhni hai To Uth Khade Ho Jaye,Aur Isi Tarha Padhe ,Magar Farz Ki In Raka'aton Me Al-Hamd Shareef Ke Sath Surat Milana Zaruri Nahi,
Ab Pichla Qaida Karne Ke Baad Namaz Khatam Kare,


Is Me Tashahhud Ke Baad Darood e Ibraheem Padhe,Phir Dua e Masurah Padhe.Phir Dahne Shane Ki Taraf Muh Karke "AssalamuAlaikum Wa Rahmatullah" Kahe, Phir Bayen Shane K Taraf Muh Karke
"AssalamuAlaikum Wa Rahmatullah" Kahe.

Ab Namaaz Khatam Ho Gayi Iske Baad Dono Hath Utha Kar Koi Dua Maslan Allahumma Antas-Salam Padhe Aur Muh Per Hath Pher len,

Namaaz Ka ye Tariqa jo Likha Gaya Imam Ya Tanha Mard Ke Padhne Ka Hai. Lekin Agar Namaazi Muqtadi ho Yani Jama'at ke Sath Imam Ke Peeche Namaaz Padhta Ho To Al-Hamd Aur Surah Na Padhe, Chahe Imam Zoor Se Qir'at Karta Ho Ya Aahista Imam Ke Piche Kisi Namaaz Me Qir'at Jaiz Nahi.


Namaz Me Auraton Ke Chand Khaas  Masail

 Awraton Ku Chahiye Ke Takbeer-e-Tahrima Ke Waqt Mardon ki Tarha Kano Tak Hath Na Uthayen, Balke Sirf Mondhe Tak Hi Hath Utha Kar Bayen Hatheli Seene Per Rakh Kar Iski Peet Par Dahni Hatheli Rakhe, 

Ruku Me Ziyada Na Jhuke, Balke Thoda Jhuken, Yani Sirf Is Qadar Ke Hath Ghutno Tak Pahonch Jaye.


Isi Tarha Awraten Ruku Me Peet Seedhi Na Karen , Aur Ghutno Per Zoor Na Den, Balke Mahaz Ghutno Per Hath Rakh Den, Aur Hathon Ki Ugliyan Mili Huwi Rakhen , Aur Paon Kuch Jhuka Huwa Rakhen, Mardon Ki Tarha Khoob Seedha Na Karden, 


Awraton Ku Bilkul Simat Kar Sajda Karna Chahiye, Yani Bazu Ku Karwaton Se Mila Den, Aur Pet Ku Raan Se Aur Raan Ku Pindliyon Se Aur Pindliyoun Ku Zameen Se Miladen,
Aur Qaide Me Aatahiyat Padhte Waqt Awraten Bayen Qadam Per Na Baithen, Balke Dono Paon Dahni Janib Nikal Den Aur Bayen Suarain Per Baithe, Mardon ki Tarha Na Baithen.

Awraten Bhi Khadi Ho Kar Namaaz Padhen, Bahot Si Jahil Auraten Farz o Wajib Aur Sunnat o Nafil Sari Namazen Baith Kar Padhti Hain, Ye Bilkul Galat Tariqa Hai, 


Nafil Ke Siwa Koi Namaz Bhi Bila Uzr ke Baith Kar Padhni Jaiz Nahi,Ye Jahil Awraten Farz O Wajib Jitni Namazen Baghair Uzr Baith Kar Padh Chuki Hain Un Sab Namazon Ki Qaza Karen.Aur Tauba Karen.

Maslah: Awrat Mardon Ki Imamat Karen Ye Najaiz Hai, Hargiz Awrat Mardon Ki Imam Nahi Ban Sakti. Aur Sirf Awraton Ki Jam'at Ke Awrat Hi Imam Ho Aur Awraten Hi Muqtadi Ho Ye Makru e Tehrimi Aur Najaiz Hai.

Maslah: Awraton Per Jumma Aur Edian Ki Namaaz Wajib Nahi. Panj Waqta Namazaon Ke Liye Bhi Awraton Ka Masjid Me Jana Mana Hai.


Read The Next Article : Namaz Ke Mustahabaat

Raka'aton Ki Tadad Aur Niyyat Ka Tariqa

Namaaz

Niyyat Se Muraad Dil me Pakka Irada Karna Hai.Khali Khayal Kafi Nahi Jab Tak Irada Na Ho.

Mas'ala:

                 Agar Zabaan Se bhi Keh de To Achcha Hai.Maslan Youn Ke Niyyat ki Myne 2 Raka'at Farz Fajar Ki Waste AllahTa'ala Ke Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

 Mas'ala:

                   Muqtadi Ho to Niyyat Me Usko Itna Aur Kehna Chahiye Ke "Piche Is Imam ke".

Mas'ala:

                 Imam ne Imam Hone ki Niyyat Nahi Ki Jab Bhi Muqtadiyoun Ki Namaaz Inke Piche ho Jayegi, Lekin Jamaat Ka Sawaab Na Payega.

                 Ab Ham Tamam Namazon Ki Raka'aton Aur Inki Niyyaton ke Tariqon Ka Alag Alag Sawaal o Jawaab ki Surat Me Bayaan Karte Hain.Unku Khoob Achchi Tarha Yaad Karlo.

Fajar

Sawaal : Fajr ke Waqt Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati HAi ?
Jawaab: Kul 4 Raka'at. Pehle 2 Raka'at Sunnat-e-Muakkadah Phir 2 Rakat Farz.

 Sawaal : 2 Rakat Sunnat Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
 Jawaab: Niyyat Ki Myne 2 Rakaat Namaaz Sunnat Fajr Ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat Rasoolallah Ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

 Sawaal : 2 Rakat Fazr ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?

Jawaab: Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Farz Fajar Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna Aur Kahe Piche Is Imam Ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

Zohar

 Sawaal : Zohar Ke Waqt Kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati Hai?

 Jawaab:12 Raka'at, Pehle 4 Raka'at Sunnat-e-Muaakkada Phir 4 Raka'at Farz, Phir 2 Raka'at Sunnat-e-Muaakkada, Phir 2 Raka'at Nafil.

 Sawaal :4 Raka'at Sunnat ki Niyyat Kis Tarha Ki Jaye gi ?

 Jawaab:Niyyat Ki Myne 4 Raka'at Namaaz Sunnat Zohar ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat RasoolAllah Ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Sawaal :4 Raka'at Fazr Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi ?

 Jawaab:Niyyat Ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Zohar Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur Kahe Piche Is Imam Ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Sawaal :Aur 2 Raka'at Sunnat Zohar Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?

 Jawaab:Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Sunnat Zohar ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Sawaal :2 Rakat Nafil Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?

  Jawaab:Niyyat Ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil Ki Allah Ta'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Faida :Nafil Namaaz Baith Kar Padhna Jaiz Hai..Lekin Khade Ho kar Padhne me Dugna Sawaab Milta Hai. Aur Baith Kar Nafil Padhne me Adha Sawaab.

Asr

 Sawaal :Asr Ke Waqt kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati Hai?

 Jawaab:8 Raka'at. Pehle 4 Raka'at Sunnat-e-Ghair Muakkada Phir 4 Raka'at Farz.

 Sawaal :4 Rakat Sunnat Ghair Muakkada Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?

 Jawaab:Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Sunnat Asr ki Allah Ta'ala ke Liye Sunnat RasoolAllah Ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Sawaal :Phir 4 Raka'at Farz Ki Niyaat Kaise Kare ?

 Jawaab:Niyyat Ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Asr Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Maghrib

Sawaal: Maghrib Ke Waqt Kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati hai?

Jawaab: 7 Raka'at. Pehle 3 Raka'at Farz Phir 2 Raka'at Sunnat e Muakkada Phir 2 Raka'at Nafil.

Sawaal: 3 Raka'at Fazr ki Niyyat kis Tarha Ki Jayegi ?

Jawaab: Niyyat ki Myne 3 Raka'at Namaaz Farz Maghrib Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: 2 Raka'at Sunnat e Muakkada Ki Niyyat kis tarha ki jayegi?

Jawaab:Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Sunnat Maghrib ki Allah Ta'ala ke liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: 2 Raka'at Nafil Ki Niyyat kis tarha ki jayegi?

Jawaab:Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil ki Allah Ta'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Isha

Sawaal: Isha Ke Waqt Kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati Hai?

Jawaab:17 Raka'at. Pehle 4 Raka'at Sunnat Ghair Muaakada Phir 4 Raka'at Farz., Phir 2 Raka'at Sunnate Muakkada, Phir 2 Raka'at Nafil Phir 3 Raka'at Witr Wajib Phir 2 Raka'at Nafil.

Sawaal: 4 Raka'at Sunnat Ghair Muakkada Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?

Jawaab:Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Sunnat Isha ki Allah Ta'ala ke Liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: Phir 4 Raka'at Farz ki Niyaat Kaise Kare ?

Jawaab???Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.Jawaab???Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.Jawaab:Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

 Sawaal: 2 Raka'at Sunnat e Muakkada Ki Niyyat kis tarha ki jayegi??

Jawaab:Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Sunnat Isha ki Allah Ta'ala ke Liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: 2 Raka'at Nafil Ki Niyyat kis tarha ki jayegi??

Jawaab:Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil ki Allah Ta'ala ke liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: Phir Witr Ki Niyyat kis Tarha ki Jayegi?

Jawaab:Niyyat Ki Myne Namaaze Wajib Witr Ki Allah Ta'ala Ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: Phir 2 Raka'at Nafil Ki Niyyat kis tarha ki jayegi?

Jawaab:Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil ki Allah Ta'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal: Agar Niyyat ke Alfaaz bhul Kar Kuch ke Kuch Zabaan Se Nikal Gaye To Namaaz Hogi Ya Nahi?

Jawaab: Niyyat Dil ke Pakke Irade Ku Kehte Hain, Yani Niyyat me Zabaan Ka itebaar Nahi to Agar Dil me Maslan Zohar Ka Pakka Irada kiya Aur Zabaan Se Zohar Ki Jagah Asr Ka Lafz Nikal Gaya To Zohar Ki Namaaz ho Jayegi.

Sawaal: Qaza Namaaz ki Niyaat KisTarha Karna Chahiye?

Jawaab:Jis Roz(Din) Aur Jis Waqt Ki Namaaz Qaza Ho Us Roz Aur Us Waqt Ki Niyyat Qaza Me Zaruri Hai.

Maslan: Agar Jumma ke Roz Fajar Ki Namaaz Qaza Ho Gayi To Is TArha Niyyat Kare ke Niyyat Ki Myne 2 Rakat Namaaz e Qaza Jumma ke Farz Fajar Ki Allah Ta'ala Ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

Sawaal: Agr Kai Saal Ki Namaazen Qaza Hoon To Niyaat Kaise Karen?

Jawaab:Aysi Surat Me Jo Namaaz Maslan Zohar Ki Qaza Padhni Hai To Is Tarha Niyyat Kare Ke Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz e Qaza jo Mere Zimma Baqi hain. Inme se Pehle Farz Zohar Ki Allah TA'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe shareef Ke Allahu Akbar.Isi Tariqe per Dusri Qaza Namaazon ki Niyaaton Ku Qiyaas Kar lena Chahiye.

Sawaal: 5 Waqt Ki Namazon Me Kul Kitni Raka'at Qaza Padhi jayegi?

Jawaab:20 Raka'at , 2 Raka'at Fajar, 4 Raka'at Zohar , 4 Raka'at Asr , 3 Raka'at Maghrib, 4 Raka'at Isha, 3 RAka'at Witr . Khulasa Ye ke Farz Aur Witr Ki Qaza Hai. Sunnaton Aur Nafilon Ki Qaza Nahi Hai.(Aamaye Kutub Fiqha)

 (Jannati Zewar)                
Jawaab???Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar. Jawaab???Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akb

Read The Next Article: Jamaat O Imamath Ka Bayan