Namaz

Namaz
  • Namaz Padh ne ka Jo Tariqa Hai Usme Baaz Cheezen Farz hain ke Inke Baghair Namaaz hogi hi Nahi, 
  • Baaz Wajib Hain Ke Agar Qasdan(Jaanbujh kar/Knowlingly) Chod Diya jaye to Gunah bhi Hoga aur Namaaz Ko bhi Dohrana Padega.Aur Agar Bhool Kar(Sahwan) inku Choda to Sajda e Sahu Karna Wajib hoga 
  • Baaz Baten Sunnate Mokadda hain, ke inku Chodne ki Aadat Gunah hai.
  • Aur Baaz Mustahab Hain ke Inko Karen To Sawaab Aur agar na kare to koi Gunah Nahi .

Faraiz e Namaaz

7 Cheezen Namaaz me Farz hain, Ke Agar Inme se Ek 1 Ko bhi Chod Diya to Namaaz hogi Hi Nahi.
  1. Takbeer e Tehrimah.
  2. Qiyaam.
  3. Qiraat.
  4. Ruku.
  5. Sajda.
  6. Qaidah-e-Aakhir.
  7. Khurooj-e-Bisun'ihee (Salam Pherna). 

1.Takbeer E Tehrimah

             Takbeer e Tehrima ka ye Matlab hai ke Allahu Akbar keh Kar Namaaz Shuru Karna.Namaaz Me To Bahot Martaba Allahu Akbar Kaha Jata hai, Magar Shuru Namaaz Me Pehli Martaba jo Allahu Akbar Kehte Hian Iska Naam Takbire Tehrima Hai.Ye Farz Hai.Isku Agar Chod Diya To Namaaz hogi hi Nahi.

2.Qiyaam

              Qiyaam Farz hone ka Matlab Ye hai Ke Khade Ho Kar Namaaz Padna Zaruri hai.To Agar kisi Mard ya Awrat me Bagair Uzr ke Baith Kar Namaaz Padhi To Iski Namaaz Ada Nahi Huwi.Haan Nafil Namaaz Ku Bila Uzr Ke bhi Baith Kar Padhe To Ye Jaiz Hai.

3.Qiraat

              Qira'at Farz Hone Ka Ye Matlab Hai ke Farz Ke 2 Rakaton Me Aur Witr o Nawafil Aur Sunnaton Ki Har Har Rakat Me Qur'an Shareef Padhna Zaruri Hai.To Agar kisine In Rakaton me Qur'an Nahi Padha to Iski Namaaz Na Hogi.

4.Ruku

              Ruku Ka Adna Darja ye Hai ke Itna Jhukna ke Hath Badhaye to Ghutne Tak Pahonch Jaye.Aur Pura Ruku ye Hai ke Itna Jhuke ke Peeth Seedhi Bichade.( Awarten Ruku Me Ziyada na jhuken balke Thoda Jhuken Yani Sirf Is Qadar ke Hath Ghutno Tak Pahonch Jaye.Isi Tarha Awraten Peeth Seedhi Na Karen, Aur Guthno Per Zoor Na Den Balke Mahaz Ghutno Per Hath Rakh den, Hathon ki Ungliyan Mili Huwi Rakhen.Aur Paon Kuch Jhuka Huwa Rakhen.Mardon Ki Tarha khoob Seedha Na Karen.)

5.Sajda

              Sajda Haqiqat Ye Hai Ke Matha Zameen Per Jama Ho aur Kam Se Kam Paon Ki Ek Ungli Ka Peth Zameen Se laga Ho.To Agar Kisine Is Tarha Sajda Kiya Ke Dono Paon Zameen Se Uthe Rahe Ya Sirf Ungli Ki Nook Zameen Se Lagi Rahi To Namaaz Na Hogi
(Durre Muqtar , Fatawa E Razviya, Bahare Shariat)

Ek Ungli Ke Pet Ka Sajde Me Zameen Se Lagna To Farz hai.Magar Dono Paon Ki 3 3 Ungliyoun Ka Pet Zameen Se Lagna Wajib Hai.Aur Dono Paon Ki Dason(10) Ungliyoun Ka Pet Sajde me Zameen Se Laga Hona Sunnat Hai.

( Awraton Ku Bikul Simat Kar Sajda Karna Chahiye.Yani Bazu Ko Karwaton se Mila Den, Aur Pet Ko Raan Se, Raan Ku Pindhliyoun se Aur Pindliyoun Ko Zameen Se Mila Den , Aur Qaide Me Attahiyat Padhte Waqt Awraten Bayen(left) Qadam Per Na Baithen.Balke Dono Poun Dahini(Right) Janib Nikalden.Aur Bayen Sureen Per Baithen.Mardon Ki Tarha Na Baithen.)
 

6.Qaida-E-Aakhir

            Namaaz ki Rakaton Ku Puri Karlene ke Baad Puri Attahiyat Padhne ki Mighdaar Baithna Farz Hai.Aur Isi Ka Naam Qaida e Aakhira Hai. 

7. Khurooj-e-Bisun'ihee (Salam Pehrna)

              Qaida e Aakhira ke Baad Apne Qasad Wa Irada aur Kisi Amal se Namaaz Ku Khatam Kar dena khwah Salam Se Ho Ya Kisi Dosre Amal se Ye Bhi Namaaz Ke Faraiz me Se hai.Lekin Salam Ke Ilawa Agar Koi Dosra kaam Karke Namaaz Ku Khatam Kiya to Agar che Namaaz ka Farz To Ada Ho Gaya Lekin Is Namaaz Ku Dubara Padhna Wajib Hai.

Wajibaat e Namaaz

  1. Takbeere Tehrima me Lafz Allahu Akbar Hona. 
  2.  Alhamd Shareef Padhna.
  3. Farz Ki 2 Pehli Rakaton me Aur Sunnat O Nafil aur Witr Ki Har Rakaat Me Alhamd Shareef Ke Sath Koi Surat Ya 3 Choti Aayaton Ku Milana.
  4. Farz Namazon me 2 Pehli Rakaton me Qir�at Karna.
  5. Alhamd Ka Surat Se Pehle Hona.
  6. Har Rakat me Surat se pehle ek hi Baar Alhamd Padhna.
  7. Alhamd Aur Surat ke Darmiyan Ameen aur BisMillah ke Siwa Kuch Aur na Padhna.
  8. Qir�at ke Baad Fouran Hi Ruku Karna.
  9. Sajde me Dono Paoun Ki 3 3 Ungliyoun Ka pet Zameen Per Lagna, (Ye Mard Ke Liye Hai...Awrat ku Dono Poun Dahne Janib Nikaal Kar Bayen Surain Per BAithe)  
  10. Dono Sajdon ke Darmiyan Kisi Rukn Ka Fasil Na Hona.
  11. Tadeel e Arkan yani Ruku o Sujood Aur Qouma jalsa Me Kam Se Kam ek baar SubhanAllah kehne ke Baraar teherna.
  12. Jalsa Yani Dono Sajdon Ke Darmiyaan Seedha Baithna.
  13. Qouma yani Ruku Se seedha khada Ho Jana
  14. Qa�ida e ula Agar Che Nafil Namaaz Ho.
  15. Farz Aur Witr Aur Mouakkida Sunnaton Ke Qa�ida e ula me Attahiyat se Ziyada kuch na Padhna.
  16. Har Qa�ide me Pura Tashhud padhna.
  17. Lafz Assalam Do baar kehna.
  18. Witr me Due Qunoot Padhna.
  19. Witr Me Qunoot ki Takbeer.
  20. Eidain 6 Zahid Takbeeren.
  21. Eidain me Dosri Rakat ke Ruku ki Takbeer  
  22. Aur Is takbeer ke liye Lafz Allahu Akbar hona.
  23. Har Jehri Namaaz me Imam Ku Buland Awaaz Se Qira'at Karna.
  24. Aur ghair Jehri Namaazon me Aahista Qira'at Karna.
  25. Har Farz O Wajib ka iski Jagah Per Ada Hona.
  26. Har Rakat me Ek hi Ruku Hona.
  27. Aur Har Rakat Me 2 hi Sajda hona.
  28. Dosri Rakat puri Hone Se Pehle Qa'ida na Karna.
  29. Aur 4 Rakat Wali Namazon me tesri Rakat per Qaida na Karna.
  30. Aayate Sajda Padhi To Sajda e Tilawat Karna.
  31. Sahu huwa To Sajda e Sahu Karna.
  32. Do Farz Ya 2 Wajib, Ya Wajib o Farz Ke Darmiyaan 3 Martaba SubhanAllah Kehne ke Barabar Waqfa na hona.
  33. Imam Jab Qir'at Kare Buland Aawaaz Se ho Ya Aahista Is Waqt me Muqtadi Ka Chup Rehna.
  34. Qir'at ke Siwa Muqtadi ku Imam Ki Pairwi Karna.
Moula e Kareem Azzawajal Agar Likhne Me(Roman Urdu Translate Karne Me) Kuch Galti Ho Gayi ho to Maaf Farmaye. Ham Sab Ko Panch Waqt Sahi Se Namaaz Padhne Ki Toufeeq Ata Farmaye (Aameen).

Read The Next Article :-Tarikha E Namaz

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »