Saron Ke Upar Pahad

Rasool Mohammed Mustafa Sallallau Alaihi O Sallam
         Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ne Toraith Sharif ke ahkam pad kar bani israel ko sunaya aur farmaya ki tum iss par amal karo.Jab Bani Israel ne Toraith Sharif ke ahkam ko suna to ek daam unhone in ahkam ko khabul karne se hi inkar kar diya. Iss sarkashi par Allah Tala ka ye gazab nazil huva ki nagahan Kohe Toor jad se ukhad kar hava me udta huva Bani Israel ke saron ke upar hava me muallakh ho gaya jo 3 mil lambi aur 3 mil chodi zamin me dere daale huve mukhim the. Jab Bani Israel ne ye dekha ki pahad in ke saron par latak raha hai to saab ke saab sajde me gir kar ahad karne lage ki ham ne Toraith ke saab Ahkamath ko Khabul kiya. Aur ham in par amal bhi karenge. Magar in logon ne sajde me apne rukhsaar aur bayi Baun ko zamin par rakha aur dahini ankh se pahad ko dekhte rahe ki kahin hamare upar gir to nahi raha hai. Yehi vajah hai ki ab bhi Yahudi isi tarha sajda karte hain ki bayan rukhsaar aur bayan Ba-Un zamin par rakhte hain. Bahar haal Bani Israel ne jab toba kar li aur toraith ke ahkam par amal karne ka ahad kar liya to fir ye pahad Ud kar apni jagah par chala gaya. Quran e Majid ne iss vakhiye ko chand jagahon par bayan farmaya hai maslan surah Araf me hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Aur jab ham ne pahad un par uthaya goya vo saybaan hai aur samajhe ki vo un par gir padenga lo jo ham ne tumhen  diya jor se aur yad karo jo iss me hai ki kahin tum parhezgar ho.

Darse Hidayath:

              Iss vakhiya se malum huva ki navakhifon ya sarkasho ko kisi nek kaam ke karne ya achchi baath ko khabul karne par dara dhamka kar majbur karna ye yen hikmath aur khudavande khuddus ki mukhaddas sunnath hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »