Namaz Me Jo Chezan Sunnat Hain In Ka Hukm Ye hai ke Inku Qasdan Na choda Jaye.
Aur Agar Galti Se Choot Jaye to Na Sajda e Sahu ki Zarurat hai Na Namaaz Dohrane Ki.Lekin Agar Dohrale to Achcha Hai.Kyunke Namaaz ki kisi Sunnat ku Chod Dene Se Namaaz Ke Sawab me Kami Ho Jati hai.
Aur Agar Galti Se Choot Jaye to Na Sajda e Sahu ki Zarurat hai Na Namaaz Dohrane Ki.Lekin Agar Dohrale to Achcha Hai.Kyunke Namaaz ki kisi Sunnat ku Chod Dene Se Namaaz Ke Sawab me Kami Ho Jati hai.
Namaaz Ki Sunnaten Ye Hain
- Takbeere Tehrima ke Liye Hath Uthana.
- Hathon ki Ungliyon Ko Apne Haal Per Chod Dena, Yani Na Bilkul Milaye Na Khuli Rakhe.Balke Apne Haal Per Chod den.
- Ba-Waqte Takbeer Sar Na Jhukana.
- Hatheliyoun Aur Ungliyon ke Pet Ka Qible Ruqh Hona.
- Takbeer Kehne Se Pehle Hath Uthana, Isi Tarha Qunoot Aur Eidain ki Takbiron Me Bhi .
- Kano Tak Hath le Jane Ke Baad Takbeer Kehna.
- Awrat Sirf Mundhon Tak Hath Uthana.
- Imam Ka Allahu Akbar , Sami Allahu Liman Hamida , Aur Salam Buland Aawaaz Se Kehna.
- Takbeer Ke Baad Hath Latkaye Baghair Bandhlena.
- Sana O Tawuz Aur Bismillah Padhna.
- Aur Aameen Kehna.
- Aur In Sab Ka Aahista Hona.
- Pehle Sana Phir Tawuz Phir Bismillah Aur Har Ek Ke BAad Dosre Ko Fouran Padhna.
- Ruku me 3 Baar Subhana Rabbi'al Azeem Kehna.
- Aur Ghutno Ko Haton Se Pakadna.
- Aur Ungliyon ko Khoob Khuli Rakhna.
- Awrat Ku Ghutne Per Hath Rakhna Aur Ungliyoun ko Kushada Na Rakhna.
- Halate Ruku Me Tange Seedhi Hona.
- Ruku Ke Liye Allahu Akabr Kehna.
- Ruku Me Peet Khoob Bhichi Rakhna.
- Ruku Se Uthne Per Hath Latka Huwa Chod Dena.
- Ruku Se Uthne Me Imam ku Sami Allahu Liman Hamida Kehna.
- Muqtadi Ku Rabbana Lakal Hamd kehna.
- Aur Akele Namaz Padhne Walon Ko Dono Padhna.
- Sajde ke Liye Aur Sajde Se Uthne ke liye Allahu Akbar Kehna.
- Sajde me Kam Se KAm 3 Martaba "Subhana Rabbi al-A'la " Kehna.
- Sajda Karne Ke Liye Pehle Ghutna Phir Hath Phir Naak Phir Matha Zameen Per Rakhna.
- Aur Sajde Se Uthne Ke Liye Pehle Matha, Phir Naak Phir Hath Phir Ghutna Zameen Se Uthana.
- Sajde me Bazu Ka Karwaton Se Aur Pet Ka Rano Se Alag Rehna.
- Sajde Ki Halat Me Kalaiyon Ko Zameen Per Bichana.
- Awrat Ku Sajde me Apne Bazu Ku Karwaton se Pet Ku Raan Se Raan Ku Pindliyoun Se Aur Pindliyon Ko Zameen Se Mila Dena.
- Dono Sajdon Ke Darmiyaan Misle Tashhud Ke Baithna.
- Aur Hathon ku Rano Per Rakhna.
- Sajde Me Hath Ki Ungliyon Ka Qible Ruqh Hona aur Mili Huwi Hona.
- Aur Paon Ku Dason Ungliyon ke Pet Ka Zameen Per Lagna.
- Dosri Rakat ke Liye Panjon Ke Bal Ghutno Per Hath Rakh Kar Khada Hona.
- Qaide Me BAyan Pair Bicha Kar Dono Surain Is Per Rakh Kar Baithna.
- Dahina Qadam Khada Rakhna
- Aur Dahne Qadam Ki Ungliyon Ko Qible Ruqh Karna.
- Awrat ku Dono Poun Dahne Janib Nikaal Kar Bayen Surain Per BAithna.
- Dayan Hath Dahni Raan Per .
- Aur Bayan Hath Bayen Raan Per Rakhna.
- Aur Ungliyon Ko Apni Halat Per Chod Dena.
- Kalma e Shahadat Per Kalme ki Ungli se Ishara Karna.
- Qaida e Aakhir me Atahyat ke Baad Darood Shareef Aur Dua e Masurah Padhna.