Jamaat O Imamat Ka Bayan

Muslim Namaz

Jamaat Ki Bahut Takeed Hai.Aur Iska Sawaab Bahot Ziyada Hai. Yahan Tak Ke Be-Jamaat Ki Namaaz se Jamaat Wali Namaaz Ka Sawaab 27 Guna hai.
(Mishkat Shareef Jild 1Safa 95)




Masla: Mardon Ku Jamaat Ke Sath Namaaz Padhna Wajib Hai. Bila Uzr 1 Baar Bhi Jamaat Chodne Wala Gunahgaar Aur Saza ke Layiq Hai.Aur Jamaat Chodne Ki Aadat Dalne Wala Fasiq Hai.Jiski Gawahi Qubool Nahi Ki Jayegi, Aur Badeshahe Islam Isku Sakht Saza Dega. Aur Agar Padosiyon Ne Sukoot kiya To O bhi Gunahgaar Honge .(Raddul Muhtaar Jild 1 Safa :371)

Masla: Juma O Eidain Me Jamat Shart Hai.Yani Baghair Jamaat Ye Namaazen Hogi Hi Nahi.Taraweh Me Jamaat Sunnat e Kifaya Hai, Yani Mohalle ke Kuch Logon Ne Jamat Se Padhi To Sab Ke Zimma Se Jammat Chodne Ki Burayi Jati Rahi Aur Agar Sabne Jamaat Chodi To Sabne Bura Kiya, Ramzan Shareef Me Witr Ku Jamaat Se Padhna Ye Mustahab Hai. Sunnaton Aur Niflon me Jamaat Makru Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 371)

Masla: Jin Uzron Ki Wajeh Se Jamaat Chod Dene Me Gunah Nahi O Ye Hain.  
  1. Aysi Bimari ke Masjid Tak Jane Me Mushaqat Aur Dushwari ho.
  2. Sakht Barish
  3. Bahot Ziyada Kichad.
  4. Sakht Sardi.Sakht Andheri Raat
  5. Aaandhi
  6. Pakhana Pishaab ki Hajat
  7. Riyah Ka Bahot Zoor Hona
  8. Zalim Ka khouf.
  9. Qafila Choot jane Ka Qouf.
  10. Andha Hona.
  11. Apahij hona 
  12. Itna Budha Hona Ke Masjid Tak Jane Se Majboor ho.
  13. Maal Ya Samaan Ya Khana Hilaak Ho Jane Ka Dar.
  14. Muflis Ku Qarz Khwah Ka Dar.
  15. Bimaar Ki Degbhaal Ke Agar Ye Chala Gayega To Bimaar Ku Takleef Hogi Ya O Ghabrayega.
Ye Sab Jamaat Chodne Ke Uzr Hain
(Dur e Mukhtar Jild 1 Saa 373)


Masla: Awraton Ku Kisi Halat me Jamaat Ki Hazri Jaiz Nahi.Din ki Nmaaz Ho Ya Raat Ki. Jumma ki ho Ya Eidain Ki. Awrat Chahe Jawaan Ho Ya Budhiya.Yunhi Awraton Ku Ayse Majmu'on me Jana Bhi Na Jaiz Hai Jahan Awraton Mardon ka Ijtema ho.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 370)

Masla: Akela Muqtadi Mard Agar Che Ladka Ho Imam Ke Barabar Dahne Taraf Khada Ho. Bayen Taraf Ya Piche Khada Hona Makru Hai.Do Muqtadi Hon to Piche Khade Hon Imam ke Barabar Khada Hona Makru-e-Tanzeehi Hai. Do Se Ziyada Ka Imam ke Baghal me Khada Hona Makru-e-Tahrimi Hai.(Dur e Mukhtar jild 1 Safa 371)

Masla: Pehli Saf me Aur Imam Ke Qareeb Khada Hona Afzal Hai. Lekin Janaze Me Pichli Saf Me Hona Afzal Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 372)

Masla: Imam Hone Ka Sabse Ziyada Haqdaar O Shaksh Hai Jo Namaaz O Taharat Waghaira Ke Ahkaam Sabse Ziyada Janne Wala Ho.Phir O Shaksh Jo Qir'at Ka Ilm Ziyada Rakhta Ho.Agar Kayi Shaksh in Baton Me Barabar Ho to O Shaksh Ziyada Haqdaar Hai Jo Ziyada Muttaqi Ho.Agar Isme Bhi Barabar Hon to Ziyada Umr Wala.Phir Jiske Aqlaq Ziyada Achche Hon.Phir Ziyada Tahajuud Guzaar, Gharz Ke Chand Aadmi Barabar Darje Ke Hoon to Inme Jo Shari Haisiyat se Fouqiyat Rakhta Ho. Wahi Ziyada Haqdaar Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 373)

Masla: Fasiq Moalin Jaise Sharabi, Zina Kaar, Juwari, Sood Khor , Dadhi MudaneWala, Ya Kata Kar Ek Musht Se Kam Rakhne Wala In Logon ko Imam Banana Gunah Hai. Aur In Logon Ke Piche Namaaaz Makruh-e-Tehrimi Hai. Aur Namaaz Ku Dhurana Wajib Hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 376)

Masla: Rafzi , Khwargi , Wahabi Aur Dosre Tamam Badmazhabon Ke Piche Namaaz Padhna Najaiz O Gunah Hai. Agar Galti Se Padh Li to Phir Se Padhe. Agar Dubara Nahi Padhega to Gunahgaar Hoga.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 377)

Masla: Ganwaar, Andhe , Harami, Kodhi, Falij ki Bimaari Wala ,Bars Ki Bimaari Wala in Logon Ko Imam Banana Makruh-e-Tanzeehi Hai.Aur Karahat Us Waqt Hai Jab Ke Jamaat Me Aur Koi In Logon Se Behtar ho, Aur Yahi Imamat Ke Haqdaar Hoto Karahat Nahi.Aur Andhe Ki Imamat Me to Khafeef Karahat hai.(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 377)          

Read The Next Article : Namaz Ke Baad Zikr O Dua              

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »