Ulat Palat Ho Jane Vala Shahar

Ya Nabi
     Ye Hazrate Loot Alaihis Sallam ka shahar  "Sadum" hai. Jo mulke shaam me suba "Hams" ka ek mashur shahar hai. Hazrate Loot Alaihis Salam Bin Haran Bin tarikh, Ye hazrate ibrahim Alaihis Salam ke bhatije hain. Ye log iraq me shahar "Babil" ke bashinde the fir hazrate ibrahim Alaihis Salam vahan se Hijrath kar ke "Philistine" tashrif le gaye aur Hazrate Loot Alaihis Salam mulke shaam ke ek shahar "Urdan" me mukhim ho gaya aur Allah Tala ne Aap ko nabuvath Aata farma kar "Sadum" valon ki hidayath ke liye bhej diya.

     Shahar Sadum:
                   Shahare Sadum ki bastiyan bahut abad aur nihayath saar  sabjo shadab thi vahan tarha tarha ke anaj aur khism khism ke fal aur meve ba kasrath paida hote the. Shahar ki Khushhali ki vajah se aksar ja baja ke log mehman ban kar in abadiyon me aya karte the aur shahar ke logon ko in mehmano ki mehman navazi ka bar utana padta tha. iss liye iss shahar ke log mehmano ki amad se bahut hi kabida khatir aur tang ho chuke the.Magar mehmano ko rokne aur baghane ki koi surath nazar nahi Aa rahi thi. Iss mahol me Iblis e Layin ek  budde ki surath me numudar huva. Aur in logon se kahane laga ki agar tum log mehmano ki amad se najath chahte ho to iss ki ye tadbir hai ki jab bhi koi mehman tumhari basti me aye to tum log zabardasti uss ke saath bad feli karo. Chunanche, Saab se pahle Iblis khud ek khub surath ladke ki shakal me mehman ban kar iss basti me dakhil huva. Aur in logo se khub bad feli karayi iss tarah ye fele bad in logon ne shaitan se sikha. Fir rafta rafta iss bure kaam ke ye log iss khadar andhi ban gaye ki auraton ko chod kar mardon se apni shahavath pur karne lage.

         Chunanche, Hazrate Loot Alaihis Salam ne in logon ko iss fele baad se mana karte huve iss tarha vaaz farmaya ki.
Hazrate Loot
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Apni Khom se kaha : Kai vo behayayi karte ho jo tum se pahle jahaan me kisi ne na ki tum to mardon ke pas shahavath se jate ho auraten chod kar balki tum log had se guzar gaye.

       Hazrate Loot Alaihis Salam ke iss islahi aur muslihana vaaz ko sun kar in ki khom ne hihayat be bakhi aur aur intihayi be hayayi ke saath kai kaha ? Iss ko Quran Ki zaban se suniye :
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Aur uss ki khom ka kuch javab na tha magar yehi kahna ki in ko apni basti se nikal do ye log to pakizagi chahte hain.

          jab khome loot ki sarkashi aur bad feli khabile hidayat na rahi to Allah Tala ka azab Aa gaya. Chunanche, Hazrate Jibrael Alaihis Salam chand farishton ko hamrah le kar asman se utar pade. fir ye farishte mehman ban kar hazrate loot Alaihis Salam ke pass pahunche aur ye saab farishte bahut hi hasin aur khub surat ladkon ki shakal me the. In mehmano ke husno jamal ko dekh kar aur khom ki badkari ka khayal kar ke Hazrate Loot Alaihis Salam bahuth fikar mand huve. Thodi der baad khom ke baad felon ne Hazrate Loot Alaihis Salam ke ghar ka muhasara kar liya aur un mehmano ke saath bad faili ke irade se divar par chadne lage. Hazrate Loot Alaihis Salam ne nihayath dil soji ke saath in logon ko samajna aur iss bure kam se manAa karna shuru kar diya. Magar ye bad fel aur sarkash khom apne be huda javab aur bure ikhdam se baaz na ayi.To Aap apni tanhayi aur mehmano ke samne rusvayi se tang dil ho kar ghamgin va ranjida ho gaya. Ye manzar dekh kar Hazrate Jibrael Alaihis Salam ne farmaya ki ye Allah Azzawajal ke Nabi Aap bilkul koi fikr na karen ham log Allah Tala ke bheje huve farishte hain jo in badkaron par Azab le kar utre hain. Lihaza Aap mominin aur apne ahlo ayal ko saath le kar subah hone se kabl hi iss basti se dur nikal jayen aur khabardar koi shakhs piche mud kar iss basti ki taraf na dekhe varna vo bhi iss azab me giriftar ho jayenga. Chunanche, Hazrate Loot Alaihis Salam apne ghar valon aur mominin ko hamraah le kar basti se bahar nikal gaye. Fir Hazrate Jibrael Alaihis Salam iss shahar ki panchon bastiyon ko apne paron par utha kar asman ki taraf buland huve aur kuch upar ja kar in bastiyon ko ulat diya aur ye abadiyan zamin par gir kar chakna chur ho kar zamin par bikhar gayi. Fir kankar ke pattharon ka mih barsa aur iss zor se sang bari huvi ki khome loot ke tamam log mar gaye aur in ki lashen bhi tukde tukde ho kar bikhar gayi. Ayn uss vakhth jab ki ye shahar ulat palat ho raha tha. Hazrate Loot Alaihis Salam ki ek bivi jiss ka naam "Vayila" tha jo dar haqhiqath munafiq thi aur khom ke badkaron se mahabbath rakhti thi uss ne piche mud kar dekh liya aur ye kaha ki " Hay re meri khom" ye kah kar khadi ho gayi fir azabe ilahi ka ek patthar uss ke upar bhi gir pada aur vo bhi halak ho gayi. Chunanche, Quran e Majid me haq tala ka irshad hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  To ham ne use aur uss ke ghar valon ko najat di magar uss ki aurath vo rah jane valon me huyi aur ham ne uss par ek mih barsaya to dekho kaisa anzam huva mujrimo ka 

          Jo patthar iss khom par barsaye gaye vo kankaron ke tukde the.aur har patthar par uss shaqs ka naam likha huva tha jo uss patthar se halak huva.

Darse Hidayath:

              Iss vakhiye se malum huva ki livatat kis khadar shadid aur holnak gunahe kabira hai ki iss zurm me khome loot ki bastiya utal pathal kar di gayi aur mujrimin pathrav ke azab se mar kar dunya se nasto nabud ho gaye.

               Mankul hai ki Hazrate Sulaiman Alaihis Salam ne ek martaba iblise layin se pucha ki Allah Tala ko saab se bada kar kon sa gunah na-pasand hai ? To iblis ne kaha ki saab se zaida Allah Tala  ko ye gunah na-pasand hai ki mard, mard se bad feli kare aur aurath, autath se apni khwahish puri kare. Aur hadis me hai ki aurath ka apni furuj ko dusri aurath ki furuj se ragad-na ye in dono ki zinakari hai jo gunahe kabira hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »