Surah E Yaseen Sharif Part-01







Yaseen Sharif ko Quran ka dil kaha gaya hain. aur be'panah faide ka hamil hai. har tarha ki hajaat ravayi iss surah ke tilawat se hoti hai. aur khas ise padne se Allah Azzawajal bahut razi hota hai. A'Hadis me iske bahut fawayid Aaye hain.

Darmi Sharif ki Hadis hai ki jo Aadmi din ke shuru me surah e yaseen Sharif pade uski tamam zaruriat puri kar di jayegi.

Hazrat Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anhu se rivayath hai ki Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya ki meri tamanna hai ki ye surah e Yaseen har Ummati ki dil me hoti.Yaseen Sharif Padne se deen duniya ki bhalayi Naseeb hoti hai.

Aagar koi shakhs Surah e Yaseen ko Fajar Ki Namaz Ke baad ek martaba pad ne ka mamul banale to wo bahut jald logo me har dil azeez ho jaen. uski izzat me bepanah ezafa ho.har tarha ki burayi khatam ho jayen aur tabiyath achchayi ki taraf maayil ho. Shaitan se mahfooz ho, Bala se door ho, Bimariyon se shifa ho, Nek aulad hogi.Qaidi kasrat se pade to rihayi naseeb ho,Gharaz ki yaseen Sharif ki tilawat se har Aarzoo puri hoti hain.


Ek baath hai ki yaseen sharif ke muakkilin bahut hi shareef hain aur yaseen ke pad ne walon se muhabbat kartay hain, par rijjat bhi jald karte hain.par usay jo jo yaseen shareef ko mamool se nikal dete hain. Agar Aap Yaseen Sharif ki tilawat Muhabbat se karenge to eske Muaakilin Aapko Ghaibban Madad karte hain. aur Aapke geerd ek bahut hi behtarin khushbu mahsoos hoti hai jo duniya ki koi khushboo uska muqabla nahi kar sakti. Par ye 3 ya 4 mahine me nahi hota bahot saal baad Aapko mahsoos hoga. Han Agar saaf din insan hai to wo jald dost banjata hai.

Aab main yahan ek tareeqa yaseen sharif ka likhta hun jissay Aap pe yaseen sharif ke Ameel ban jayenge aur appe yaseen shareef ka  faiz jari ho jayen.

Baroz E Nauchandi Jumeraat ko ek pyale me sharbat le aur Allah Azzawajal ko Razi ke Gharz se khub mohabbat va Eksuyi se 70 martaba Yaseen Sharif pade.Aur Phir Sharbat pe dam karke pile.Insha Allah Aab Aap Yaseen Sharif ke Amil hain, Aab jo bhi Aap yaseen sharif ke amal karenge usmay asar Aayega. Amal din ke kisibhi waqht karle agar ek nashisth me 70 martaba padle to behtar hai,varna chand nashisth me pura karle, Jisse zabani yad hai uske liye mushkil nahi.ba-wazu khushbu laga kar khushbudar Mahol me pade. Aab Rozana baad e Fajar Va Isha 1-1 Martaba Yaseen Sharif parhney ke mamool banale.

Yahan pe kuch part me Yaseen Sharif ki har Ayath ke Amal likhraha hun.Taki Aapko us ek ek Aayath se faida hasil karne ki tarkib malum ho jayen.Iss surah me 83 Aayath hain aur har Aayath ke kuch hisse ko alag alag amaliyath me likhna chahta hun.

    1. Yaseen
        -??

         Iss Aayath ko chalte Phirte kasrat se padte rahne se gunah muaf hote hain aur islah e batin hoti            hai.

    2.  Wal'Qurani Al'Hakeemi
          -???????????? ??????????

         Rozana 100 Martaba wird me rakhne se Niamat me Izafa hota hai.

    3.  Innaka Lamina Almursaleena
         - ??????? ?????? ??????????????

         Kisi Diwane Ya Jinn Aseb Ke mariz pe 1000 martaba parh kar pani pe dam karke pilate rahne            se shifa wa nijat hori hai.

    4.  Aala Siratin Mustaqeemin
         - ????? ??????? ????????????

         Rab ki Khushi ke liye aur naraz dosth ko razi karne ke liye 100 martaba Fajar ke baad pada                  kare.

    5.  Tanzeelal Aazeezir Rahima
         - ???????? ?????????? ??????????

          Shaitani waswase ko door karne Fajar ki Namaz ke baad jab tak dil lage wird kiya kare.

    6.  Litunzhira Qawman Maa Unzira Aba o hum Fahum Ghafiloon
         - ????????? ??????? ???? ??????? ?????????? ?????? ??????????

         Khauf Dushman ho zalim ka ho to likh kar pack karke apne pass rakhle.

    7.  Laqad Haqqa Alqawlu Aala Aksarihim Fahum La Yuminoona
         - ?????? ????? ????????? ????? ???????????? ?????? ??? ???????????

         Kisi tanha makham pe ya jahan khauf mahsoos ho wahan 100 martaba wird karne se Aman                  rahta hai.

    8.  Inna Ja'Aalna fee Aanaqihim Aghlalan Fahiya Ila Alazqani Fahum Muqmahoon
         - ?????? ????????? ??? ????????????? ?????????? ?????? ????? ??????????? ????? ????????????

         Iss Aayath ko nagine pe kunda karwa kar sidhe hath ki choti ungli me pahnaye to taskheer khas          ho Aam ho logon me maqbuliyat ho.

    9.  WajaAalna min bayni aydeehim saddan wamin khalfihim saddan faaghshaynahum fahum la                yubsiroon.
         - ??????????? ??? ?????? ??????????? ?????? ?????? ?????????? ?????? ????????????????? ?????? ??? ???????????

          Zalim Dushman Se nijat ke liye dushman ke naam ke huroof ki tadad ke barabar sufaid mirch             pe usi tadad me iss ayath ko pad kar Aag me dal diya kare. Kuch din ke Amal se dushman                   pareshan karna band kardega ya khud pareshani ka shikar ho jayega.

    10.  WasawaaOn Aalaihim Aanzartahum amlam tunzirhum la yuminoon
           - ???????? ?????????? ??????????????? ???? ???? ??????????? ??? ???????????

           koi mard kisi aurat se najaez taluqath rakhta ho to iss Aayath ko ek martaba pad kar Aasmani              rang ke dhage pe ek girah de aur kahe ki ya allah tere iss qalam ki barkat se fulan bin fulan wa            fulan binte fulan me judayi karday. es tarha 8 girah laga kar dhage ko kisi purani qabar me                  dafan karde kuch dino me dono me judayi ho jaegi.

    11.  Innama Tunziru Manit tabaaz zikra va khashiyar Rahmana Bil-ghaibi Fabashshirhu                              bimaghfiratin waajrin kareem
           - ???????? ??????? ???? ???????? ????????? ???????? ?????????? ??????????? ??????????? ???????????? ???????? ???????

           Jisse Nind Na Aati ho to kisi purani qhabar ki mitti uthaye aur iss Aayath ko 100 martaba pad              kar uss mitti pe dam karre 7 martaba apne sar se utar kar phir wo qhabar pe mitti rakhde jahan            se uthayi hai.Nind na Aane ki shikayath dur ho jayegi.

    12.  Inna nahanu nuhyee almawta wanaktubu ma qaddamoo waasarahum wakulla shayin                            ahsaynahu fee imamin mubeen
           -?????? ?????? ??????? ?????????? ?????????? ??? ????????? ???????????? ??????? ?????? ???????????? ??? ??????? ???????

           Haakim,ya bade afsaron ki taskheer ke liye iss Aayat ko zafran wa mushq se likh kar apne pass            rakha jayen

    13.  wadrib lahum masalan as'haba alqaryati iz jaaha almursaloon
           - ????????? ????? ???????? ????????? ??????????? ???? ??????? ??????????????

           Jo log badnasibi ki shikayath karte hain wo iss Aayath ko rozana Arq Gulab wa zafran se                    tastari pe likh kar subah piliya kare, Nahosat wa badnasibi jati rahegi.

    14.  Iz Arsalna ilaihimush naini fakazzabu huma fa'azzazna bisalisin faqaloo inna ilaykum                          mursaloon
           -???? ??????????? ?????????? ????????? ??????????????? ???????????? ????????? ????????? ?????? ????????? ????????????

           Chechak ke mariz ko likh kar bandh ne se shifa hasil ho.

    15.  Qaloo ma antum illa basharun misluna wama anzalar rahmanu min shaiyin in antum illa                      takziboon
           -??????? ??? ??????? ?????? ?????? ?????????? ????? ??????? ????????? ??? ?????? ???? ??????? ?????? ???????????

            Aankh dukhti ho ya Aankh uthi ho to zafran se likh kar gale me pahane to shifa ho.

    16.  Qaloo rabbuna YaAlamu inna ilaykum lamursaloon
           - ??????? ???????? ???????? ?????? ?????????? ?????????????

            Galay ki tamam bimariyon ke liye likh kar gale me pahana jayen.

    17.  Wama Aalaina illa albalaghu almubeen
           - ????? ????????? ?????? ?????????? ??????????

           dusmani ko khatam karne ke liye kamzor likh kar apne pass rakhle.

    18.  Qaloo inna tatayyarna bikum laa'inlam tantahum lanarjumannakum wala yamassannakum                    minna Aazabun aleem
           - ??????? ?????? ???????????? ?????? ????? ????? ????????? ????????????????? ????????????????? ??????? ??????? ???????

            Shareer janwar ko kabu karne ke liye zard(yellow) kagaz pe likh kar uske gale me pahnaya                 jayen.

    19.  Qaloo Taairukum maAAakum Aa'in zukkirtum bal antum qawnum musrifoon
           - ??????? ??????????? ???????? ????? ?????????? ???? ??????? ?????? ????????????

            Hamela ko dard e jah uthe to us waqht isse likh kar mom jama karke bazu pe bandhe to                       Aasani se bachcha paida ho jaen.Aur 100 martaba pad kar bhi pani pe dam karke pila diya                   jayen.

    20.  WajaA min Aqsal madeenati rajulun yasAAa qala ya qawmit tabioo almursaleen
           - ?????? ???? ??????? ???????????? ?????? ??????? ????? ??? ?????? ?????????? ??????????????

            Baanj autath isse zafran wa mushq se likh kar apne bazu ya gale me pahane to khuda aulad                 inayat karega.

    21.  Ittabioo man la yasalukum ajran wahum muhtadoon
           - ?????????? ??? ???? ???????????? ??????? ????? ????????????

           Jis Aurath ko 2 ladkiyan ho aur wo ab beta talab karna chahti ho to roza rakhe aur iss Aayath              ko zafran wa araq gulab se likh kar gale me ya bazu pe mom jama karke pahane to inshaa                    Allah agli aulad beta hoga.

    22.  Wamaliya la aAabudullazee fataranee wa'ilaihi turjaoon
           - ????? ??? ??? ???????? ??????? ????????? ?????????? ???????????

            Jis aurath ka bachcha abhi doodh pi raha hai aur naye hamal nahi rakhna chahte hain to iss                  Aayath ko likh kar gale me pahane to Hamal nahi taharta. Aayath ke liye aurath ka naam                      m,walida likh de.

    23.  Aa'Aattakhizu min doonihi alihatan in yuridnir rahman biddurrin la tughni AAannee                            shafaAAatuhum shayan wala yunqizooni
           - ??????????? ??? ??????? ??????? ??? ???????? ?????????? ??????? ???? ?????? ?????? ????????????? ??????? ????? ??????????

          Kisi bhi bimari se shifa ke liye iss Aayath ko zafran wa Araq gulab se kagaz pe likh kar usse               raath ko ek glass pani me dal kar rakh de aur subah nahar mooh yehi pani bismillah bol kar                 piliya karre,3 din iss tarha amal karne se bimari se shifa hasil hogi.

    24.   Innee izan lafee dalalin mubeen
            - ?????? ????? ?????? ??????? ????????

             Jis aurath ki aulad paida hote hi mar jati ho wo pahle achche se gusul kare aur phir iss Aayat                ko kisi hafiz qari se 1000 martaba padva kar pahle bhar pet pani pile itna piye ki uske bad ek             ghunt bhi na pi ja sake utna pet bhar jaye. Phir kuch pani jo pahale hi usme se alag karle use               dusre pak pani me mila kar usse dubara gusul karre. gusul ya to zamin me gadha khod kar                   karre ya phir kisi bade tab me kare ki pani kisi gandi jagah na jayen.gusal ke bad wo pani kisi             jagah dafan karde inshaa allah iss amal se Ayinda uski aulad hayyat rahegi.

    25.  Innee Amantu Birabbikum faismaAAoon
           - ?????? ?????? ??????????? ????????????

            Bukhar dur karne ke liye iss Aayath ko har girah pe ek martaba pade ayse 12 girha laga kar                 gale me pahnaye insha Allah Bukhar dur ho jaega.

    26.  Qeela Odkhuli al jannata qala ya laita qawmee yaAAlamoona
           -  ????? ??????? ?????????? ????? ??? ?????? ??????? ???????????

           Es Aayath ko likh kar safar ke waqht bazu pe bandh kar jayen to thakaan mahsoos na ho.

    27.  Bima ghafara lee rabbee waja'Aalanee mina almukrameen
           -  ????? ?????? ??? ?????? ??????????? ???? ??????????????

           Sar dard ke liye iss Aayath ko zafran wa araq gulab ki siahi se kagaz pe likh kar sar pe bandha            jayen ya phir gale me pahane insha allah kaisa bhi dard hoga thik ho jayega.

    28.  Wama anzalna Aala qawmihi min baAdihi min jundin minas samai wama kunna munazileen
           -  ????? ?????????? ????? ???????? ??? ???????? ???? ????? ????? ????????? ????? ?????? ??????????

            Jise qabz ki shikayath ho to mitti ke ek dhele pe iss Aayath ko 21 martaba qhabz dur hone ki               niyyath ko 21 martaba qhabz dur hone ki niyyath se pada jayen aur ek bartan jis me pani                     bhara ho usme dal de. Jab dhela pigal jayen to wo paani kisi pak saf jagah pe ya ped ki jad me             dal diya jayen insha allah chaand din aisa karne se kaisa hi purana khabz kyu na ho door ho                 jayega.

    29.  In kanath illa saihatan wahidatan fa'izzahum khamidoon
           - ??? ??????? ?????? ???????? ????????? ??????? ???? ??????????

            Jo bachcha rota rahta ho zid karta ho to iss Aayath ko likh kar uske jhule me bandhe ya phir                 sar ke niche sote waqht rakh diya kare.

    30.  Ya hasratan Aala al'yibadi ma yateehim mir Rasoolin illa kanu bihi yastahzioon
           - ??? ???????? ????? ?????????? ??? ?????????? ???? ???????? ?????? ??????? ???? ??????????????

            Dushman se aman hasil karne ke liye isse likh kar apne pas rakha jaye.

    31.  Alam Yarao kam ahlakna qablahum minal quruni annahum ilaihim la yarjioon
           - ?????? ??????? ???? ??????????? ????????? ????? ?????????? ????????? ?????????? ??? ???????????

           Isse likh kar sath me rakhne se hasidin se mahfooz rahe aur ruswa karne wale khud ruswa ho.              bahtar hai ki 30 aur 31 ko sath me likh kar pas rakha jayen taki sahih faida hasil ho.

    32.  Wa'iz kullal lamma jameeAun ladaina muhdaroon
           - ????? ????? ??????? ??????? ?????????? ???????????

            Jisse jinnath sataata ho pareshan karta ho to ye Aayath likh kar pahan len.

    33.  Wa'Ayatul lahumul Ardul maitatu ahyaynaha va akhrajna minha habban faminhu yakulu
           - ??????? ??????? ????????? ??????????? ?????????????? ????????????? ??????? ?????? ???????? ???????????

            Jisse bars sufaid daag ki bimari ho esse zafran wa araq gulab se likh kar bandhe aur subah                   sham pite rahe to insha allah iss marz se nijat hasil ho.

    34.  wajaalna fiha jannatin minnakhilin vaAanabin va fajjarna fiha mil Auyoon
           - ??????????? ?????? ???????? ??? ???????? ??????????? ???????????? ?????? ???? ??????????

            Dushman mukhalifin ki zuban bandi ke liye iss Aayath ko kaali roshnayi se likh kar wazni                   patthar se daba kar kisi andheri jagah rakh de. Aayath ke niche mukhalifin ke naam aur                       maqsad likhe.

    35.  Liyakuloo min samarihi wama Aamilathu Aydihim afala yashkurun
           -  ???????????? ??? ???????? ????? ?????????? ??????????? ??????? ???????????

           iss Aayath ko likh kar mayyat ke kafan me rakh de to mayyath ke azab e qabar se mahfooz                  rahne ki ummid hai.

    36.  Subhanallazi khalakhal azvaja kullaha mimma tunbitul arzu va min anfusihim o mimma la                  yalamuna
           -  ????????? ??????? ?????? ???????????? ???????? ?????? ??????? ????????? ?????? ??????????? ???????? ??? ???????????

           Nakseer yani naak se khoon baha raha ho aur band na ho raha ho to kalme ki ungli se peshani              pe is Aayath ko likhe to khoon bahna band ho jayega.

    37.  Wa'Ayatul lahumul lailu naslakhu minhun nahara fa'iza hum muzlimuna
           - ??????? ??????? ????????? ???????? ?????? ?????????? ??????? ??? ????????????

            Jo ye chahta ho ki uske ghar wale aur digar jo unsay milnay wale sath kaam karne wale log                 hain wo uski baath mana kare to iss ayath ko tanhayi me 300 martaba pozana padha kare.

    38.  Wa'Alash shamsu tajree limustaqarrin laha zalika taqdeeru alAazeezi alAaleem
           - ??????????? ??????? ????????????? ?????? ?????? ????????? ?????????? ??????????

            Dushman ko be izzath karne ke liye jab bhi dushman ko dekhe iss Aayath ko dil me padna                   shuru karday dushman be izzath ho jayega.

    39.  Wal Qhamara Qaddarnahu manazila hatta Aada KaalAurjooni alqadeem
           -  ??????????? ???????????? ????????? ?????? ????? ?????????????? ??????????

            Jo diwana ho gaya ho use is Aayath ko likh kar bandha jaen aur likh kar dho kar pilate bhi                   rahen to insha allah thik ho jayega.

    40.  Lashshamsu yanbaghi laha an tudrikal khamara valal lailu sabikhun nahari va kullu fee falakin            yasbahuna
           -  ??? ????????? ???????? ????? ??? ???????? ????????? ????? ????????? ??????? ?????????? ??????? ??? ?????? ???????????

           jumerath guzar kar jo jumma ki raat Aayen usme Aadhi raath yani karib 2 baje uth kar iss                   Aayath ko 7 martaba pad kar Allah se apni jaez hajath talab kare insha allah dusra jumma se               pahle puri ho jayen.
         


                                                                                                                                              Samar Ali.

Bada Pet Kam Karne Ke Liye 5 Tarikhon Se Karen Shahad Ka Istemal

shahad ke faide

Tamam koshishon ke bavajud agar bada huva pet kam nahi ho pa raha hai to shahad ka istemal karen. Ya bina kisi side effects  ke apko behtarin natija dega.

shahad ke istemal se zism me jami charbi yani fat ko galaya ja sakta hai. To in 5 tarikhon se Aap shahad ko apni diet me shamil kar sakte hain:

   1. Brown Bread Ko Shahad Ke Saath

Agar Aap vaqhayi pet kaam karna chahte hain to apne dinnar ki adat me thoda badlav lane ki koshish kijiye. Aap chahen to apne dinner me Brown Bread aur shahad le sakte hain. Brown Bread ke ek aor shahad ki ek patli leyar lagakar kha sakte hain. yah kam calorie me zaida energy dega. Raat me vaise bhi halka dinner karna achcha rahta hai.

   2. Khane me Shahad Ka Istemal

Aap khane me Tel ki jagah shahad ka istemal kar sakte hain. Halanki Aap isme kuch tal to nahi sakte lekin isme khana zarur paka sakte hain. iss tarha paka khana mazedar hone ke saath hi vazan ghatane me bhi madadgar hoga.

   3.  Dood Me Dalkar

Halke garm dood me shahad ki kuch bunden dalkar pine se badi huyi charbi jaldi kam hone lagti hai. uble huve dood me kam calorie hoti hai jiski vajah se isse wajan nahi badta hai aur isme kuch bunden shahad ki dal dene se ye aur faidemand ho jata hai.

   4. Garam Pani Me Shahad Dalkar

Halke Garam pani me Shahad Ki Kuch bunden dalkar achchi tarha mila len. Agar Aap isme kuch bunden nimbu ke raas ko daal dete hain to ye aur behtar tarikhe se asar karega. subo khali pet istemal karna adhik faidemand rahega.

   5. Ots Ke Saath Shahad Ka Istemal

Suboh ke Breakfast me Aap jo bhi kuch Aab tak khate aye hain use chodkar aur shahad apnayiye. Ots aur Shahad ke istemal apki suboh ko healthy shuruat dega. Saath hi pet kam karne me ye dohre roop se faida pahunchayega

Tambe Ke Chashme


Hazrate Suleman Alaihis Salam Chunki Azimushan imaraton aur pur shokat khalvon ki tamir ke bahut shayiq the iss liye zarurath thi ki ghare aur chune ke bazai pigli huyii dhat ghare ki jagah istimal ki jaye lekin iss khadar kasir mikdar me ye kaise mayssar aya ye suval tha jis ka hal hazrate suleman alaihis salam chahte the. chunanche, Allah Tala ne hazrate suleman alaihis salam ki iss mushkil ko iss tarha hal kar diya ki in ko pigle huve tambe ke chashme ata farmaye.

            Baaz mufassirin kahte hain ki allah tala hasve zarurath hazrate suleman alaihis salam ke liye tambe ko pigla deta tha aur ye hazrate suleman alaihis salam ke liye ek khas nishan aur in ka mojiza tha Aap se pahale koi shaqs dhat piglana nahi janta tha.

           Aur nazzara kahte hain ki allah tala ne hazrate suleman alaihis salam par ye inaam farmaya ki zamin ke jin hisson me Aatshi maddon ki vajah se tamba pani ki tarha pigal kar bah raha tha un chashmo ko hazrate suleman alaihis salam par ashkar farmaya. Aap se pahle koi shaqs bhi zamin ke andar dhat ke chashmo se agah na tha. Chunanche, ibne kasir ba rivayate khatada nakhal hai ki pigle huve tambe ke  chashme yaman me the jin ko allah tala ne hazrate suleman alaihis salam par zahir farma diya.

          Quran e Majid ne iss khisam ki koi tafsil nahi bayan farmayi hai ki tambe ke chashme kis shakal me hazrate suleman alaihis salam ko mile magar Quran ki jis ayath me iss mojize ka zikr hai mazkura bala dono tozihath iss ayath ka misdakh ban sakti hai aur vo ayath ye hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                 Aur ham ne uss ke liye pigle huve tambe ka chashma bahaya.  


Darse Hidayath

             Hava par hukumath aur pigle huve tambe ke chashmo ka mil jana ye hazrate suleman alaihis salam ka mojiza hai jo Quran e Majid se sabit hai iss par imaan lana zaruriyate din me se hai | Baaz mulhidin jin ko mozizat ke inkan ki bimari ho gayi hai vo in mojizath ke bare me azib azib muzahika khaiz baten bakte aur rakik tavilath karte rahte hain. Musalmano par lazim hai ki in mulhidon ki baton par koi tavajjoh na karen aur mojizath par yakhin rakhte huve imaan layen.

Jinn Aur Janvar Farma Bardar


Hazrate Suleman Alaihis Salam ka ek khas mojiza aur in ki saltanath ka ek khususi imtiyaz ye hai ki in ke zere nagin sirf insaan hi nahi the balki jinn aur haivanath bhi tabe farman the aur saab Aap ke hakimana iqtidar ke zere hukum the aur ye sab kuch iss liye huva ki hazrate sulaiman alaihis salam ne ek martaba darbare khudavandi azzavajal me ye dua ki thi ki.
Tarzuma e Kanzul Imaan

                   Ye mere Raab mujhe bakhsh de aur mujhe yesi saltanath ata kar ki mare baad kisi ko layiq na ho, beshak tu hi hai badi den vala.

   Chunanche, Allah Tala ne Aap ki dua makhbul farma li  aur Aap ko yesi azibo gharib hukumath aur badshahi ata farmayi ki na Aap se pahle kisi ko mili, na Aap ke baad kisi ko mayassar huyi.

  Hazrate Abu huraira raziyallahu rivayath karte hain ki nabiyye akram sallallahu Alaihi O Sallam ne ek irshad farmaya ki gujashta ki gujashta raabh ek sarksh jin ne ye koshish ki, ki meri namaz me khalal dale to khudavande tala ne mujh ko uss par kaab de diya aur main ne uss ko pakad liya, iss ke baad main ne irada kiya ki uss ko masjid ke sutun se banddun taki tum saab din me uss ko dekh sako. magar uss vaqth mujh ko apne bhai suleman alaihis salam ki ye dua yaad Aa gayi ki
Ye yaad ate hi main ne uss ko chod diya.
    Huzur Alaihi Salatu vassalam ke iss irshad ka matlab ye hai ki agarche khudavande tala ne tamam ambiya va rasool ke khasayis va mojizath va khususi imtiyazath va kamalath mujh me jama farma diye hain iss liye khome jinn ki taskhir par bhi mujh ko khudrath hasil hai lekin chunki hazrate suleman alaihis salam ne iss ikhtisas ko apna khususi tugharaye imtiyaz karar diya hai iss liye main ne iss silsile ka muzahira karna munasib nahi samajha. Quran e Karim ki hasbe zail ayaton me bhi hazrate suleman alaihis salam ke iss me mojizana ikhtidare hukumath ka tazkira hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                 Aur Shaitano me se vo jo uss ke liye ghota lagate aur iss ke siva aur kaam karte aur ham unhen roke huve the.

        isi tarha surah "Saba" me irshad farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur jinno me se vo jo uss ke age kaam karte uss ke raab ke hukum se aur jo in me hamare hukum se fire ham use bhadakti Aag ka azab chakhayenge uss ke liye banate jo vo chata unche unche mahal aur tasviren aur bade haijon ke barabar lagan aur langardar dengen.

Aur Surah "Namal" me ye farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur jamaa kiye gaye suleman ke liye uss ke lashkar jinno aur admiyon aur parandon se to vo reke jate the.

      Aur Surah "Saah" me iss tarha irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur dev bas me kar diye har memar aur ghota khor aur dusre aur bediyon me jakade huve ye hamari Aata hai Aab tu chahe to yehsaan kar ya rok rakha tujh par kuch hisab nahi.

Darse Hidayath

       Baaz mulahidin jin ko mojizath ke inkar aur inkare jinn ka maraz ho gaya hai vo log in ayaton ke bare me azib azib muzahika kaiz baten bakte rahte hain aur kahte hain ki "jinn" se murad insano ki ek yesi khom hai jo uss zamane me bahut kafi haikal aur deva paikar thi aur vo hazrate suleman alaihis salam ke ilava kisi ke kabu me nahi ati thi aur haivanath ki taskhir ke bare me bakte hain ki Quran me iss silsile ka zikr sirf "Hud Hud" se mutallik hai aur yahan "Hud Hud " se parande murad nahi hain balki hud hud ek admi ka naam tha jo pani ki taftish par mukharrar tha. is khisam ki lagviyyath aur rakik baten karne vale ya to jazbulhad me khasdan Quran e Majid ki tahrif karte hain ya Quran ki talimath se zahil hone ke baad wajud apne dava bila dalil par israr karte rahte hain.

        Khub samajh lo ki Quran e Majid ne "Jinn" Ke mutallik jaa'Baaz basrahath ye aylan kiya ki vo insano se juda khuda ki ek makhlukh hai sirf ek ayath pad lo jo iss bare me khole faisal hai.
    Yani ham ne jinn aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ki vo khuda ke ibadath guzar bane.

    dekh lo iss Ayath me jinn ko ek insan se juda aur ek makhluk zahir kar ke dono ki takhlikh ki hikmath bayan ki gayi hai lihaza iss ayath ko samne rakhte huve ye kahna ki jinn insano hi me se ek kavi haikal khom ka naam hai, ghor kijiye ki ye kitni badi jahalath ki baath hai.

      isi tarha jab "Hud Hud" ko Allah Tala ne Quran e Majid me saaf saaf parinda farmaya hai aur irshad farmaya hai ki 
    Yani Hazrate Suleman Alaihis Salam ne Parindon ka jayiza liya to iss tasrih ke baad kisi ko kai haq hai ki iss ke khilaf koi rakhik aur lachar tavil kare. aur ye kahe ki hud hud parinda nahi tha balki ek admi ka naam tha. sochiye ki ye magrib zada mulhidon ka ilm hai ya un ki jahalath ka kutub minar hai.

Hamilane Arsh Ki Dua

Arshe Ilahi ke Uthane vale malayika farishton ke saab se Aala tabkhat me hain. in me se haar farishte ke bazuon par 4 Paar hain aur 2 paar in ke chehron ke upar hain. Jin se ye apni ankhon ko chupaye rakhte hain aur khofe khudavandi ke bayis ye farishte satven asman ke farishton se zaida khuda ka khof rakhte hain satven asman vale farishte 6 asman vale panchven asman valon se aur panchven asman vale 4 asman valon se aur 4 asman vale 3 asman  valon se aur tisre asman vale dusre asman valon se aur dusre asman vale pahle asman valon se khof va khashiyyate rabbani me Aala darja rakhte hain. fir arshe ilahi ke gird rahne vale farishte jin ko "Qhurubiyyin" kahte hain ye bakhi farishton ke sardar hain aur bahut hi vajahat vale hain.

       Mnkhul hai ki arsh ke gird malayika ki 70,000 safe hain.iss tarha ki ek saaf ek saaf ke piche hai. ye saab arsh ka tavaf karte rahte hain fir in sabhon ke baad 70,000 malayika ki saf hai aur vo apne haath apne kandhon par rakhte huve khuda ki tasbhi va takbir padte hain. fir in ke baad aur ek 100 safen farishton ki hai jo apna dahina haath bayen haath par rakhe huve tasbih va takbir aur dua me mashgul hain.

           Aur saab farishton ki dua kai hai. iss ko Quran e Majid ke alfaz me mulahaza kijiye. Irshade Rabbani hai ki

 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Vo jo arsh uthate hain aur jo uss ke gird hain apne raab ki tarif ke saath uss ki paki bolte aur uss par iman late aur musalmano ki magfirath mangte hain ye raab hamare tere rahamath va ilam me har chiz ki samayi hai tu unhen bakhsh de zinhone toba ki aur teri rah par chale aur unhen dozakh ke azab se bcha le ye hamare raab aur unhen basne ke baghon me dakhil kar jin ka tu ne un se vada farmaya hai aur un ko jo nek ho un ke baap dada aur bibiyon aur avlad me beshak tu hi izzath va hikmath vala hai.

Darse Hidayath

             Aap ne Arshe Ilahi ke uthane vala aur Arsh ka tavaf karne vale farishton ki dua mulahaza kar li ki vo saab mukhaddas farishte ham musalmano aur hamare validain aur bibiyon aur hamari avlad ke liye jahannam se najat pani aur jannte Adan me dakhil hone ki dua mangte hain. Allahu Akbar! Kitna bada yehsane Azim hai ham musalmano par huzure akram sallallahu alaihi o sallam ka ki Aap hi ke tufail me ham musalmano ko ye rutbaye buland aur darjaye aliyya hasil huva hai ki beshumar tabkhaye Aala ke farishte ham gunahgar musalmano ke liye duayen mangte rahte hain vo bhi kon se farishte? Arshe Ilahi ke uthane vale farishte aur arshe ilahi ka tavaf karne vale farishte Subhannallah kahan ham aur kahan malaye Aala ke malayeka, magar Huzur Sayyade Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ki nisbath ka tufail hai ki uss ne ham khataron ko samandare napaida kinar aur ham zarron ko aftabe alamtab bana diya. Subhanallah! Subhanallah ek baar basad ikhlas nabiyye mukarram rahamate alam sallallahu alaihi o sallam par darud sharif padiye.

Amanath Kai Hai ?

Allah Tala ne Quran e Majid me amanath ka zikr farmate huve irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                 Beshak Ham ne Amanath pesh farmayi Asmano aur zamin aur pahadon par to unhone iss ke utne se inkar kiya aur iss se dar gaya aur admi ne uta li beshak vo apni jaan ko mashakkath me dalne vala bada nadan hai. Taki Allah Azab de Munafiq mardon aur munafiq auraton aur mushriq mardon aur mushriq auraton ko aur allah toba khabul farmaye musalman mardon aur musalman auraton ki aur allah bakhshne vala mehrbaan hai.

     Voh amanath jis ko allah tala ne asmano aur zamino aur pahadon par pesh farmaya to in sabhon ne khofe ilahi se dar kar iss amanath ko khabul karne se inkar kar diya lekin insan ne amanath ke iss bhoj ko utha liya. suval ye hai ki vo amanath dar haqhikath kai chiz thi? To iss bare me mufassirin ke chand akhval hai magar hazrate allama ahmad savi alaihir rahamath ne farmaya ki iss amanath ki saab se behtarin tafsir ye hai ki vo amanath sharayi pabandiyon ki zimmedari hai.

      Rivayath hai ki jab Allah Tala ne shariath ki pabandiyon ko asmano aur zamino aur pahadon ke rubaru pesh farmaya to in tino ne arz kiya ki ye bari tala! hame iss bare giran ke uthane me kai hasil hoga? Allah Tala ne farmaya ki agar tum in (Ahkame Shariath) ki pabandi karoge to tumhen behtarin sila va inaam diya jayega to tino ne javab me arz kiya ki ye bari tala! ham to baharhal tere hukum ke farmaa bardar hain, bakhi savab va azab se hame koi matlab nahi hai lekin khofe ilahi se dar kar kampte huve in tino ne iss amanath ko khabul karne se apni mazuri zahir karte huve inkar kar diya. Fir Allah Tala ne iss amanath ko hazrate adam alaihis salam ke samne pesh farmaya to Aap ne bhi daryafth kiya ki amanath ki zimmedari khabul kar lene se hame kai milega? to bari tala ne farmaya ki agar tum achchi tarha iss ki pabandi karoge to tumhen bade bade inam va ikraam se navaza jayega aur agar tum ne nafarmani ki to tarha tarha ke azabon me tumhen giriftar kiya jayega to hazrate adam alaihis salam ne iss bare amanath ko utha liya to uss vaqht allah tala ne farmaya ki ye adam ! me iss silsile me teri madad karunga.

Darse Hidayath:

            Iblis ne sajdaye adam alaihis salam ke bare me khuda ka hukum manane se inkar kiya to vo randye darghahe ilahi ho kar dono jahan me murda ho gaye. Magar asmano aur zamino aur pahadon ne  amanath ko uthane ke kare me hukume ilahi manane se inkar kiya to vo bilkul matub nahi huve iss ki kai vajah hai? aur iss ka raaz kai hai? Tu iss saval ka javab ye hai ki iblis ka inkar batore istiqbar(takabbur) tha aur asmano vaghaira ka inkar batore istisghar (tavazea) tha. Yani iblis ne apne ko bada samjh  kar sajdaye adam alaihis salam se inkar kiya tha aur zahir hai ki takabbur vo gunahe azim hai jo allah Tala ko bahut napasand hai aur tavajo vo pyari ada hai jo khudavande khuddus ko behad mahabub hai yehi vajah hai ki iblis inkar kar ke azabe drain ka hakdar ban gaya aur Asman va zamin vaghaira inkar kar ke moride ittaba bhi nahi huve balki khuda ke rahamo karam ke mustahik ho gaye. Allahu Akbar ! kahan istikbar ? aur kahan istiksagar kahan takabbur ? aur kahan tavajo ? kahan apne ko bada samajhna ? aur kahan apne ko chota samajhna dono me bahut azim farq hai allah tala ham sab ko takabbur se bachaye aur tavajjo ka khugar banaye. amin

Hazrate Lukman Hakim


Hazrate Lukman ki madho sana aur in ki baaz nasihaton ka tazkira Quran me badi azmath va shaan ke saath bayan kiya gaya hai aur inhi ke naam par Quran e Majid ki ek surah ka naam "Surah E Lukman" rakha gaya.

Mohammad Bin Ishaaq(Sahibe Maghazi) ne in ka nasab nama iss tarha bayan kiya hai lukman bin bahur bin tarukh. ye tarukh vohi hai jo hazrate ibrahim khalilullah alaihis salam ke valid hai aur moarrikhin ne farmaya ki Aap hazrate Ayyub alaihis salam ke bhanje the aur baaz ka khol hai ki Aap Hazrate Ayyub Alaihis Salam ke khalazad bhai the.

Hazrate Lukhman ne ek hazar baras ki umr payi yahan tak ki hazrate dawood alaihis salam ki sohbath me raah kar un se ilm sikha aur hazrate dawood alaihis salam ki biasath se pahle Aap bani israyil ke mufti the magar jaab hazrate dawood alaihis salam mansabe nabuvath par fayiz ho gaye to Aap ne fatva dena tark kar diya aur baaz kitabon me likha hai ki hazrate lukhnam ne farmaya hai ki mai ne char hazar nabiyon ki khidmat me haziri di hai aur in paighambaron ke mukhaddas kalamo me se 8 baton ko mai ne chun kar yaad kar liya hai, jo ye hai:

  1. Jab Tum namaaz pado to dil ki hifazath karo.
  2. Jab tum khana khao to apne halak ki hifazath karo 
  3. jab tum kisi ghor ke maan me raho to apni ankhon ki hifazat karo.
  4. jab tum logon ki majlis me raho to apni zaban ki hifazath rakho.
  5. Allah Tala ko hamesha yaad rakho.
  6. Apni mauth ko hamesha yaad karte raha karo.
  7. Apne yehsano ko bhula do.
  8. Dusron ke zulm ko faramosh kar do
Hazrate ikrama aur imam shabi ke siva jamhur ulma ka yehi khol hai ki Aap nabi nahi the balki Aap hakim the aur bani israel ke nihayat hi buland martaba sahibe imaan aur bahut hi namvar marde saleh the aur allah tala ne Aap ke sine ko hikmaton ka khazina bana diya tha. Quran e Majid me hai:
Tarzuma e Kanzul Imaan:

                  Aur beshaq ham ne Lukman ko hikmath Ata farmayi ki Allah ka shukr kar aur jo shukr kare vo apne bhale ko shukr karta hai aur nashukri kar to beshak allah be parvah hai saab khubiyon saraha.

          Hazrat e Lukman umr bhar logon ko nasihaten farmate rahe. tafsire fatahurrahman me hai ki Aap ki khabar makhame "sarfand" me hai jo "Ramala" ke karib hai aur hazrate khatada ka khol hai ki Aap ki khabar "Ramal" me masjid aur bazar ke darmiyan me hai aur uss jagah sattar ambiya alaihis salam bhi madfun hain. jin ko Aap ke baad yahudiyon ne baitul mukhaddas se nikal diya tha aur ye log bhuk pais se tadap tadap kar vafath pa gaye the. Aap ki Khabr par ek buland nishan hai aur log iss khabar ki ziyarath ke liye dur dur se aya karte hain.

         Hikmath Kai Hai ?

  "Hikmath" Aakhal va faham ko kahte hain aur baaz ne kaha ki "Hikmath" Marifath aur Asabath fil umur ka naam hai. aur baaz ke nazdik hikmath ek yesi shai hai ki allah tala jis ke dil me rakh deta hai uss ka dil roshan ho jata hai vaghaira vaghaira mukhtalif akhval hai allah tala ne hazrat e lukhman ko nind ki halath me achanak hikmath ata farma di thi. Bahar haal Nabuvath ki tarha hikmath bhi ek vahabi chiz hai, koi shaks apni ziddo jahad aur kasab se hikmath hasil nahi kar sakta. jis tarha ki baghair khuda ke ata kiye koi shaks apni koshishon se nabuvath nahi pa sakta ye aur baath hai ki nabuvvath ka darja hikmath ke martabe se bahut Aala aur Buland Tar hai.

 Hazrate Lukman ne apne farzand ko jin ka naam "Anaam" tha. Chand nasihaten farmayi hai jin ka zikr Quran e Majid ki Surah Lukman me hai In ke ilava aur bhi bahut si dusri nasihaten Aap ne farmayi hai jo tafasir ki kitabon me mazkur hai.

 Mashhur hai ki Aap darji ka pesha karte the aur baaz ne kaha ki Aap bakriyan charate the. Chunanche, ek martaba Aap hikmath ki baten bayan kar rahe the to kisi ne kaha ki kai tum fulan charvahe nahi ho? To Aap ne farmaya ki kuin nahi, main yakhinan vohi charvaha hun to uss ne kaha ki Aap hikmath ke iss martabe par kis tarha fayiz ho gaye? To Aap ne farmaya ki baton me sachchayi aur amanaton ki adayegi aur bekar baton se parhez karne ki vazah se 

Pahadon Aur Parindon Ki Tasbhi


Hazrate Dawood Alaihis Salam Khudavande Khuddus ki tasbhi va Takhdis me bahut ziyada mashgul va masruf rahte the aur Aap iss khadar khush ilhan the ki jab Aap zabur sharif padte the to Aap ke vajud afarin naghmon se na sirf insan balki bahush va tuyur bhi vajd me Aa jate aur Aap ke gird Jaama ho kar khuda ki hamd ke tarane gate aur apni apni surili aur pur kaif avazon me tasbih va takdis me hazrate dawood alaihis salam ki hamnavayi karte aur charindon parand hi nahi balki pahad bhi khudavande tala ki hamdo sana me gung udte the. Chuchanche, hazrate dawood alaihis salam ke in mojizath ka zikre jamil allah tala ne surah ambiya surah saba va surah e "Saad" me sarahath ke saath bayan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Dawood ke saath pahad musakkhat farmadiye ki tasbhi karte aur parinde aur ye hamare kaam the.

Surah e Saba me iss Tarha irshad farmaya ki
       
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Aur Beshak ham ne dawood ko apna bada fazal diya ye pahadon uss ke sath allah ki taraf ruzuA karo aur ye parindon.

Aur Surah e Saad me irshade Rabbani iss tarha huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Beshak  ham ne uss ke saath pahad musakkhar farma diye tasbih karte shaam ko aur suraj chamakte aur parande jamaa kiye huve saab uss ke farmaa bardar the.

Darse Hidayath

             Be Akhal parinde aur be jaan pahad jab khudavande khuddus ki tasbih va takdis ka naghma gaya karte hain. jaisa ki Quran e Majid ki mazkura e Bala ayaton me Aap pad chuke to iss se ham insano ko ye sabaq milta hai ki ham insan jo akhal vale, hoshmand aur sahibe zaban hain ham par bhi lazim hai ki ham khudavande khuddus ki tasbih aur uss ki hamdo sana ke afkar ko virde zaban banayen aur uss ki tasbih va takdis me barabar mashgul va masruf rahen.

          Hazrate Sheikh Saa'di alaihir Rahman ne iss silsile me ek bahut hi latif va laziz aur nihayath hi muassir hikayath bayan farmayi hai. iss ko padiye aur ibrath va nasihat hasil kijiye vo farmate hain.
         Ek parinda subah ko chah chaha raha tha to iss ki avaz se meri akhal va sabr aur taqhat va hosh saab gharath ho gaya.

                          Mere ek mukhlis dost ke kaan me shayad meri avaz pahunch gayi.
        To uss ne kaha ki mujhe yakhin nahi Aata ki ek parinda ki avaz tum ko iss tarha madhosh kar degi
         To main ne kaha ki ye admiyyat ki shaan nahi hai? ki parind to tasbih pade aur main khamosh rahun!

Hava Par Hukumath


Hazrate Suleman Alaihis Salam ka ye bhi ek khas mojiza aur Aap ki nabuvath ka khususi imtiyaz tha ki allah tala ne "Hava" ko in ke haq me musakhar kar diya tha aur vo in ke zere farman kar di gayi thi. chunanche, Hazrate Suleman Alaihis Salam jab chahte to subah ko ek mahine ki masafath aur shaam ko ek mahine ki masfath ki mikdar hava ke desh par safar kar lete the.

           Quran e Karim ne Aap ke iss mojize ke mutallik 3 baten bayan ki hai. ek ye ki hava ko hazrate suleman alaihis salam ke haq me musakhkhar kar diya. dusre ye ki hava in ke hukum ke iss tarha tabeA thi ki shadid tez va tund hone ke bavazud in ke hukm se narm aur ahista ravi ke bayis rahta ho jati thi, tisri baath ye ki hava ki narm raftari ke bavajud uss ki tez raftari ka ye alam tha ki hazrate suleman alaihis salam ke subah va shaam ka zuda zuda safar ek shaah suvar ke musalsal ek maah ki raftar ke barabar tha gaya hazrate suleman alaihis salam ka taqth engien  aur machine jaise zahiri asbab se bala tar sirf in ke hukum se ek bahut tez raftar havayi jahaz se bhi zaida tez magar sabak ravi ke saath hava ke kande par uda chala jata tha.

        Iss makham par takhte Suleman aur Aap ke safar ke mutallik jo tafsilath sirath ki kitabon aur tafsiron me mankhul hai in me bahut se vakhiath israeliyath ka zakhira hai jin ko baaz vaizin bayan karte hain magar vo khabile etibar nahi aur in par bahut se yetirazath bhi varid hote hain Quran e Majid ne iss vakhiye ke mutallik sirf iss khadar bayan kiya hai ki:

Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Suleman ke liye tez hava musaqqar kar di ki iss ke hukum se chalti uss zamin ki taraf jis me ham ne barkath rakhi aur ham ko har chiz malum hai.

    Aur Surah "Saba" me ye irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Suleman ke bas me hava kar di uss ki subha ki manzil ek mahine ki raah aur shaam ki manzil ek mahine ki rah.

       Aur Surah Saah me farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  To ham ne hava uss ke bas me kar di ki uss ke hukum se narm naram chalti jaha vo chahta.

Hazrate Suleman Alaihis Salam Ke Ghode


Ek martaba zihad ki ek muhim ke mokha par shaam ke vaqht hazrate suleman alaihis salam ne ghodon ko astabal se lane ka hukum diya. jab vo pesh kiye gaye to chunki Aap ko ghodon ki nasalon aur in ke zati avsaf ke ilm ka kamal hasil tha iss liye jab Aap ne in ghodon ko asil sabq Ru aur Khush Ru paya aur ye mulahaza farmaya ki in ki tadad bahut ziyada hai to Aap par masarrath va ambistar ki kaifiyath tari ho gayi aur Aap farmane lage ki in ghodon se meri sahabbath yesi mali mahabbath me shamil hai jo parvar dagar ke zikr hi ka ek shoba hai. hazrate suleman alaihis salam ke iss ghoro fikr ke darmiyan ghode astabal ko ravana ho gaya. chunanche, jab Aap ne nazar uthayi to vo ghode nigah se Oyil ho gaye the to Aap ne hukum diya ki un ghodon ko vapas lao.

          Jab vo ghode vapas laye gaye to hazrate suleman alaihis salam ne joshe mahabbat me un ghodon ki pindaliyon aur dardano par haath ferna aur thap thapana shuru kar diya. Kuinki ye ghode jihad ka saman the iss liye Aap in ki izzath va tokhir karte huve ek mahir fan ki tarha se in ghodon ko manus karne lage aur izhare mohabbat farmane lage. Quran e Majid ne iss vakhiye ko hasbe zail ibrath me bayan farmaya hai.
Tarzuma e Kanzul Imaan:

                  Aur ham ne dawood ko suleman Aata farmaya kai Achcha banda beshak vo bahut rujuA lane vala jab ki uss par pesh kiye gaya tisre pahar ko ki Ru kiye to tin paon par khade ho chaothe  sum ka kanara zamin par lagaye huve aur chalayiye to hava ho jayen to suleman ne kaha mujhe in ghodon ki mahabbat pasand Aayi hai apne raab ki yaad ke liye fir unhen chalne ka hukum diya yaha tak ki nigah se parde me chup gaye fir hukum diya ki unhen mere pas vapas lao to in ki pindliyon aur gardano par haath ferne laga.

Darse Hidayath

              In ayath ki jo tafsir ham ne tahrir ki hai iss ko ibne jarir tabri aur imam razi ne tarzih di hai aur hazrate Abdullah bin Abbas raziyallahu tala anha ne bhi yehi tafsir farmayi hai. jis ke nakhal Ali Bin Abi Talha hain in Ayat ki tafsir me baaz mufassirin ne ghodon ki Pindaliyan aur ghodon ki gardano ko talvar se kaat dalna tahrir kiya hai aur yisi khism ke baaz dusre kamzor akval bhi tahrir kiye hain jin ki sihhat par koi dlil nahi hai aur vo mahaz hikayath aur dastane hai jo dalayile kaviyya ke samne kisi tarha khabile khabul nahi aur ye tafsir jo ham ne tahrir ki hai iss par na koi ashkal va yetiraz padta hai na kisi tavil ki zarurath pesh Aati hai.

Farishton Ke Baal Va Paar


Allah Tala ne farishton ke Bazu aur Paar bana diye hain jin se vo fazaye asmani me ud kar kayinate alam me faramine rabbani ki tamil karte rahte hain. kisi farishte ke 2 Paar kisi ke 3 aur kisi ke 4 Paar hain. Allama zamkhashri ka bayan hai ki main ne baaz kitabon me pada hai ki farishton ki ek khisam yesi bhi hai jin ko khallake alam zallazalalahu ne 6-6 bazu aur paar ata farmaya hai. Do bazuon se to vo apne badan ko chupaye rakhte hain aur do bazuon se vo udte hain aur do bazu un ke chehre par hain jin se vo khuda se haya karte huve apne chehron ko chupaye rakhte hain.

        Aur hadis sharif me hai ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne bayan farmaya ki mai ne "Sidratul Muntaha" ke pass Hazrate Jibrael alaihis salam ko dekha ki in ke 600 bazu the aur ye bhi ek rivayath me hai ki huzur alaihis salam ne Hazrate Jibrael alaihis salam se farmaya ki Aap apni asal surath mujhe dikha dijiye to inhone javab diya ki Aap iss ki Taab na Laa sakenge to Aap sallallahu alaihi o sallam ne farmaya ki mujhe iss ki khwahish balki tamanna hai to hazrate jibrael alaihis salam ek martaba apni asal surath me vahi le kar Aap ke paas hazir huve to in ko dekhte hi Aap par Ghashi tari ho gayi to Hazrate Jibrael Alaihis Salam ne Apne Badan se tek laga kar Aap ko sambhale rakha aur apna ek haath huzur alaihis salam ke sine par aur ek haath dono ke darmiyan rakh diya. Jaab Aap ko ifakha huva to hazrate jibrael alaihis salam ne arz kiya ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam Agar Aap Hazrate Israfil ko dekh lete to Aap ka kai haal hota? Un ko to Allah Tala ne 12000 Bazu Aata farmaya hai aur un ka ek bazu mashrik me hai aur dusra bazu maghrib me hai aur vo arshe ilahi ko apne kandhon par uthaye huve hain.

          Farishton ke bazuon aur paron ka zikr surah fatiha ki is ayat me hai ki
Saab Khubiyan Allah ko jo asmano aur zamin ka banane vala farishton ko rasool karne vala jin ke 2-2, 3-3, 4-4 paar hain. badata hai afarinish(paidayish) me jo chahe beshak Allah har chiz par khadir hai.

Darse Hidayath

              Farishton ke wazud par imaan lana zaruriyate deen me se hai aur is par imaan lana bhi zaruri hai ki farishton ke bazu aur par bhi hain kisi ke 2-2 kisi ke 3-3 kisi ke 4-4. aur kisi ke iss se bhi ziyada hain. Aab raha ye saval ki farishton ke itne ziyada par kuin kar aur kisi tarha hai? To Quran ne iss ka shafi aur musakit javab de diya hai ki allah tala ki khudrath ki koi had nahi hai vo har chiz par khadir hai. lihaza vo saab kuch kar sakta hai. vo farishton ko Baal Va Paar bhi Aata farma sakta hai aur bila shuba Aata farmaye bhi hain lihaza iss silsile me bahas va mubahasa aur saval va javab ye saab gumrahi ke darvaze hain. Imaan ki khairiyyath isi me hain ki baghair chun va chara ke iss par Imaan layen aur kuin aur kaise ke ilm ko Allahu Tala Alam kah kar khuda ke sipurd kar den.

Fasiq Ki Khabar Par Yetimad Maat Karo


San 5.Hij. ke gazvaye bani mustalak me jab musalman fatahyab ho gaye aur huzure akram sallallahu alaihi o sallm ne iss khabile ke sardar ki beti hazrate juveriyya raziyallahu tala anha se nikah farma liya to shabaye kiram ne tamam asirane jang ko ye kah kar riha kar diya ki jis khandan me rasoollullah sallallahu alaihi o sallam ne shadi kar li, uss khandan ka koi admi londi ghulam nahi rah sakta. musalmano ke iss husne suluk aur akhlakhe karimana se mutasir ho kar tamam kabila mushraf ba islam ho gaya. iss ke baad huzur sallallahu alaihi o sallam ne "Valid Bin Ukhba" ko iss khabile valon ke pass bheja taki vo khabile ke dolath mandon se zakat vasul kar ke in ke fukra par taksim kar den.

          Khabilaye Bani Ala Mustalak ke logon ko jab "Valid" ki iss amad ka ilm huva to vo amile islam ke istiqbal ke liye khushi khushi hatyar le kar basti se bahar maidan me nikale zamanaye jahiliyath me iss khabile aur valid me kuch nachaki rah chuki thi iss liye purani adavath ki bina par istiqbal ke liye iss yehtimam ko valid ne dusri nazar se dekha aur samjh aur khabile valon se asal muamla daryaft kiye bagair hi madina vapas chala aya, aur darbare nabuvvat me hazir ho kar arz kiya ki khabila e bani mustalak ke log to murtad ho gaye aur unho ne zakat dene se inkar kar diya iss khabar se huzur sallallahu alaihi o sallam ranjida huve aur musalman behad bura farokht ho gaye balki mukhable ke liye zihad ki tayyariyan hone lagi idhar bani mustalak ko valid ke iss azib tarze amal se badi hairath huyi aur jab in logon ko malum huva ki valid ne darbare nabuvath me ghalath bayani aur tohmath tarazi kar di hai to in logon ne ek muazzaz aur ba vakhar vafad darbare nabuvath me bheja jis ne bani al mustalak ki taraf se safayi pesh ki. ek janib apne amil valid ka bayan aur dusri janib bani ala mustalak ke vafad ka ye bayan dono baten sun kar huzur alaihis salam ne khamoshi iqhtiyar farma li aur vahiye ilahi ka intizar farmane lage, akhir vahi utar padi aur surah "Hujurath" ki ayath ne nazil ho kar na sirf muamle ki haqhiqat hi vazeh kar di balki iss khusus me ek mustalik kanun aur me yare tahkik bhi ata farma diya vo ayat ye hai.
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Ye imaan valon agar koi fasiq tumhare paas koi khabar laye to tahkhik kar lo ki kahin kis khom ko be jane iza na de baitho fir apne kiye par pachtate rah jao aur jan lo ki tum me allah ke rasool ke rasool hain bahut muamlon me agar ye tumhari khushi karen to tum zarur mashakkat me pado lekin allah ne tumhen imaan paira kar diya hai aur use tumhare dilon me arasta kar diya aur kufr aur hukm aduli aur nafarmani tumhen nagavar kar di yese hi log raah par hain allah ka fazal aur yehsan aur allah ilm va hikmat vala hai.

Darse Hidayath

   1. Khabaron ke bayan karne me Aam tor par logon ka yehi mijaz aur tarikha ban chuka hai ki jo khabar bhi un ke kano tak pahunche uss ko bila taklluf bayan kar diya karte hain aur hakhikhate haal ki taftish aur zustaju bilkul nahi karte. khwah iss khabar se kisi be gunah par iftira kiya jata ho ya kisi ko nuksan pahunchta ho.

Islam ne iss tarikhe ko bilkul ghalat karar diya hai balki Quran e Islami adab ka ye khanun bataya hai ki har khabar ko sun kar pahale uss ki tahkhik kar leni chahiye jab vo khabar paye subuth ko pahunch jaye to fir uss khabar ko logon se bayan karna chahiye isi baat ki taraf mutavajjeh karne ke liye nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ne ye tambih farmayi hai ki 
 Yani admi ke jhuta hone ke liye yehi kafi hai ki vo jo baat bhi sune logon se (Bila Tahkhik) bayan karne lage.

   2. Iss Ayat se sabit huva ki ek shaks agar adil aur pabande shariath ho to uss ki khabar motbar hai.

   3. Baaz mufassirin ne farmaya ki ye ayath valid bin ukba hi ke saath khas nahi balki ye ayath Aam hai aur har fasikh ki khabar ke bare me zahil huyi hai.

   4. Valid Bin Ukhba ko sahabi hote huve Quran e Majid ne fasiq kaha to iss me koi iskal nahi hai kuinki iss vakhiye ke baad jaab valid bin ukhba ne sidqh dil se sachchi toba kar li to un ka fiska jayil ho gaya. lihaza kisi sahabi ko fasik kahana hargiz hargiz jaiz nahi hai kuinki iss par ijmaa hai ki har sahabi sadikh, adil aur pabande sharaa hai.

Malaika Mehman Baan Kar Aye


Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Bahut Mehman nawaz the. mankhul hain ki jab tak Aap ke dastarkhwan par mehman nahi Aa jate he Aap Khana nahi Tanavul farmate he. Ek din mehmano ka ek yesa kafila Aap ke ghar utar pada ki un mehmano se Aap khofzada ho gaye ye hazrat e Jibrael alaihis salam the jo 10 ya 12 farishton ko hamrah le kar tashrif laye the aur salam kar ke makan ke andar dakhil ho gaye. ye saab firishte nihayat hi khoob surath insano ki shakal me the avvalan to ye hazrate yese vakht tashrif laye jo mehmano ke ane ka vaqth nahi tha fir ye hazrate bagair ijazath talab kiye dandnate huve makan ke andar dakhil ho gaya fir jab hazrate ibrahim alaihis salam hasbe adath iss hazrate ki mehman navazi ke liye ek farba bhuna huva bachda laye to in hazrath ne khane se inkar kar diya. in mehmano ki mazkura bala tin adaon ki vajah se hazrate ibrahim alaihis salam ko kuch khdshaa guzara ki shayad ye log dushman hain kuinki uss zamane ka yehi ravaj tha ki dushman jis ghar me dushmani ke liye jata tha uss ghar me kuch khata pita nahi tha. chunanche, Aap iss mehmano se kuch khof mahsus farmane lage ye dekh kar hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki ye allah ke nabi alaihis salam Aap ham se bilkul koi khof na karen ham allah tala ke bheje huve Firishte hain aur ham do kamo ke liye aye hain pahla maksad to ye hai ki ham Aap ko ye bisharath sunne Aaye hain ki Aap ko Allah Tala ek ilm vala farzand Aata farmayega aur hamara dusra kaam ye hai ki ham hazrate loot alaihis salam ki khom par azab le kar aye hain.

        Farzand ki bisharath sunkar hazrate ibrahim alaihis salam ki mukhaddas bivi hazrate "sara"chonk padi kuinki in ki umr ninnanve baras ki ho chuki thi aur vo kabhi hamila bhi nahi huyi thi tajjub se vo chillati huyi ayi aur haath se matha tonk kar kahne lagi ki kai mujh budiya banj ke bhi farzand hoga to hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki haan Aap ke raab ka yehi farman hai aur vo parvar dagar badi hikmaton vala bahut ilm vala hai. chunanche, Hazrate ishak alaihis salam paida huve.

Quran e Majid ne iss vaqhiye ko in lafzon me bayan farmaya hai ki
Tarjuma E Kanzul Imaan:

                   Ye mahbub kai tumhare paas ibrahim ke muazzaz mehmano ki khabar ayi? jab vo uss ke pass Aa kar bole salam kaha salam na shanasa log hain fir apne ghar gaya to ek farba bachda le aya fir use un ke pass rakha kaha kai tum khate nahi to apne ji me un se darne laga. vo bole darye nahi aur use ek ilm vale ladke ki bisharath di iss par iss bivi chillati ayi fir apna matha thoka aur boli kai budiya banj? unhone  kaha tumhare raab ne yunhi farma diya hai aur vohi hakim dana hai.

Darse Hidayath:

             Iss vakhiye se ye hidayath ki roshni milti hai ki malayika kabhi kabhi admi ki surath me logon ke pass aya karte hain chunanche, Baaz rivayaton me Aaya hai ki haaj ke mokha par harme kaba aur mina va arfath va muzdalifa vagaira me kuch firishton ki jamath insano ki shakal va surath me mukhtalif bhes bana kar Aati hai jo hajiyon ke imtihan ke liye khuda ki taraf se bheji jati hai iss liye hujjaje kiram ko lazim hai ki makkaye mukarrama aur mina va arafath va muzdalifa aur tavafe kaba va ziyarate madinaye munavvara ke hujum me hoshiyar rahen ki hargiz hargiz kisi insan ki bhi be adabi va dil azari na hone paye aur taziron ya hamlon ya fakhiron se jhagda takrar na hone paye. tumhen kai khabar hai ki ye admi hai ya admi ki surath me koi farishta hai jo tumhen dhakka de kar ya dant kar tumhare hilm va sabr ka imtihan le raha hai ye vo nukta hai jis se Aam tor par log navakhif hai iss liye safre haj me khadam khadam par logon se ulajhte aur jhagadte rahte hai aur baaz avkhat dunya va akhirath ka shadid nuksaan va khasara udate hain. lihaza iss nuksane azim se bachne ki behtarin tadbir yehi hai ki har shaks ke bare me yehi khatra mahsus karte rahen ki shayad ye koi firishta ho jo tazir ya sayil ya mazdur ke bhes me hain aur fir usse sambhal kar baath chit karen aur hatta imkan uss ko razi rakhne ki koshik karen aur hargiz hargiz kisi talkha kalami ya sakht goyi ki nobath na ane den isi me salamati hai.

Chand 2 Tukde Ho Gaye


Kuffare Makka ne Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam se Mojiza talab kiya to Aap ne chand ko 2 tukde kar ke dikha diya ek tukda " Jabale Abu Khubais" par nazar aya aur dusra tukda "jabale  Kayikhaan" par dekha gaya iss tarha chand ko do para kar ke huzur alaihis salam ne kuffare makka ko dikha diya aur farmaya ki tum log gavah ho jao.

      Ye dekh kar kuffare makka ne kaha ki mohammad sallallahu alaihi o sallam ne jadu kar hamari nazar bandi kar di hai iss par unhi ki zamaAth ke logon ne kaha ki agar ye nazar bandi hai to makka se bahar ke kisi admi ko chad ke hisse nazar na aye honge.lihaza Aab bahar se jo kafile ane vale hain un ki zastaju rakho aur musafiron se daryaft karo agar dusre makhamath se bhi chand ka shak hona dekha gaya hai to beshak ye mojiza hai. chunanche, safar se ane valon se daryaft kiya gaya to unho ne bayan kiya ki ham ne dekha ki uss roz chaand ke do tukde ho gaye the iss ke baad mushrikin ko inkar ki guzarish na rahi lekin vo log Aapne inad se iss ko jadu hi kahte rahe. ye mojizaye azim sihah ki Aahadise kasira me mazkura hai aur ye hadis iss khadar darja e shohrath ko  pahunch gayi hai ki iss ka inkar karna akhal va insaaf se dushmani aur be dini hai.

        Allah Tala ne iss mojize ka bayan Quran Ki Surah e khamar me in alfaaz ke saath bil yelaan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                 Paas Aayi khiyamath aur shak ho gaya chand aur agar dekhen koi nishani to muh ferte aur kahte hain ye to jadu hai chala Aata aur unhon ne jhutlaya aur apni khwahish ke piche huve aur har kaam karar pa chuka hai.

Darse Hidayath:

              Mojizath "Shakkul Kamar" Huzur Khatimunnabiyin Sallallahu Alaihi O Sallam ka ek be misal mojiza hai jo iss ayate karima aur bahut si mashhur hadison se sabit hai ham ne apni kitab "siratul Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam" main iss masale par sire hasil bahas ki hai iss ke mutale se itminane kalb aur jilaye imaan hasil kijiye.

Kisi Khom Ka Mazaq Na Udao


Hazrate Sabit Bin Kais Raziyallahu Tala Anhu kuch uncha sunte the iss liye jaab voh majlis sharif me hazir hote to sahaba unhenh age jagah de diya karte the. ek din jaab vo darbare risalath me Aaye to majlis pur ho chuki thi, likin vo logon ko hatate huve huzur alaihis salam ki karib pahunch gaye. magar fir bhi ek admi in ke aur huzur ke darmiyan rah gaya hazrate sabit bin kais uss ko bhi hatane lage lekin vo shakhs apni jagah se bilkul nahi hata to hazrate sabit bin kais raziyallahu tala anhu ne gusse me bhar kar pucha ki tum kon ho ? to uss shaks ne kaha ki fulan admi hun ye sun kar hazrate sabit bin kais ne hakarath ke lahaje me kaha ki achcha tu fulanni aurat ka ladka hai ye sun kar uss shaks ne sharminda ho kar sar jhuka liya aur uss ko badi taklif huyi iss mokha par mundarija zail ayat nazil huyi.

         Aur hazrate zahhak se mankhul hai ki khabilaye bani tamim ke kuch log behtarin poshak pahan kar basurate vafad bargahe nabvi sallallahu alaihi o sallam me aya aur jab in logon ne "Ashabe suffa" ke gharib va muflis musalmano ko farsuda haal dekha to un ka mazakh udane lage iss mokha par ye ayath nazil huyi.



        Aur Hazrate Anas Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki Hazrate Aysha Raziyallahu Tala Ahun ne Hazrate Ummul Mominin BiBi safiyya ko ek din "Yahudiyya" kah diya tha. jis se un ko bahut ranj va sadma huva. Jab Huzoor Alaihis Salam ko malum huva to Hazrate BiBi Aysha  Raziyallahu Tala Anhu par bahut ziyada khaafagi ka izhar farmaya aur hazrate bibi safiyya raziyallahu tala anha ki dil joyi ke liye farmaya ki tum ek nabi (Hazrate Musa Alaihis Salam) ki avlad me ho aur tumhare chachaon me bhi ek nabi (Hazrate Haroon Alaihis Salam) hain aur tum ek nabi ki bivi bhi ho yani meri bivi ho. Iss mokha par in ayat ka nuzul huva.


   
Bahar Haal in mazkura bala tino shane nuzul me se kisi ke bare me ye ayath nazil huyi jis me Allah Azzawajal ne kisi khom ka mazak udane ki sakht mumanath farmayi.
               Ayate karima ye hai ki.

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ye Imaan valon na mard mardon se Hasen, Azab nahi ki vo un hasne valon se behtar ho aur na auraten auraton se, dur nahi ki vo un hasne valiyon se behtar ho aur apas me tana na karo aur ek dusre ke bure naam na rakho kai hi bura naam hai musalman ho kar fasik kahlana aur jo toba na karen to vohi zalim hai.

Darse Hidayat

             Quran karim ki in chamakti huyi ayaton ko baghor padiye aur ibrat hasil kijiye ki iss zamane me jo ek fasikhana aur sarasar mujrimana ravaj nikal pada hai ki "sayyid" va "shiekh" aur "pathan" kahlane valon ka ye dastur ban gaya hai ki vo dunya, jolaha, kunjada, khasayi, nayi kah kar mukhlis va muttakhi musalmano ka mazak banaya karte hain balki in khomo ke alimo ko mahaz in ki khomiyyath ki bina par jalil va hakhir samjhte hain balki apni majlison me in ka mazak bana kar haste hasrate hain. jahal to jahal bade bade alimon aur pirane tarikhat ka bhi yehi tarikha hai ki vo bhi yehi harkaten karte rahte hain. had ho gayi ki jo log barson in khomon ke alimon ke samne zanuye talmmuz tai kar ke khuda alim aur shaikhe tarikhat bane hain magar fir bhi mahaz khomiyyat ki biya par apne ustadon ko hakhir va zalil samajh kar un ka tamsakhur karte rahte hain. aur apne nasab va zaath par faqr kar ke dusron ki zillat va hakharat ka charcha karte rahte hain. lillah batayiye ki Quran e majid ki roshni me yese log kitne bade mujrim hain?

           Mulahaza farmayiye ki Quran e Majid ne mundarijaye zail ahakam aur vayide bayan farmayi hai:
  1. Koi khom kisi khom ka mazaq na udaye.ho sakta hai ki jin ka mazak uda rahe hain vo mazaq udane valon se dunya va akhirath me behtar ho.
  2. Musalmano ke liye jayiz nahi ki ek dusre par tana zani karen.
  3. Musalmano par haram hai ki ek dusre ke liye bure bure naam rakhen.
  4. Jo yesa kare vo musalman ho kar "fasiq" hai.
  5. aur jo apni in harkaton se toba na kare vo "zalim" hai.
                Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anha ne farmaya ki agar koi gunahgar musalman apne gunah se toba kar le to toba ke baad uss ko uss gunah se Aar dilana bhi isi mumanaAt me dakhil hai. Isi tarha kisi musalman ko Kutta, Gadha ,Suvvar kah dena bhi MamnuA hai ya kisi musalman ko yese naam ya lakhab se yaad karna jis me uss ki burayi zahir hoti ho ya uss ko nagavar hota ho ye sari suraten bhi isi mumanaAt me dakhil hai.


     
Aur Hazrate Abdullah Bin Masud Sahabi Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki agar main kisi ko Hakhir samajh kar uss ka mazak banaun to mujhe dar lagta hai ki kahi allah tala mujhe kutta na bana de