Hazrate Suleman Alaihis Salam Aur Ek Chunti

Hazrate Suleman Alaihis Salam Hazrate Dawood Alaihis Salam ke farzand hain. Ye Apne mukhaddas Baap ke Janashin huve aur Allah Tala ne in ko bhi nabuvath aur saltanath dono saAdaton se sarfaraz farma kar tamam ruhe zamin ka badshaah bana diya aur chalis baras tak Aap takhte saltanath par jalva gar rahe. Jin va Insan va shayatin aur charindon, parandon, darindon saab par Aap ki hukumath thi saab ki zabano ko Aap ko ilm Ata kiya gaya aur tarha tarha ki azibo gharib sanaten Aap ke zamane me ba ruyekar ayi.Chunanche, Quran e Majid me hain:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur Suleman Dawood ka janashin huva aur kaha ye logon hame parindon ki boli sikhayi gayi aur har chiz me se haam ko Aata huva beshak yehi zahir fazal hai.

         Isi tarha Quran e Majid me dusri jagah irshad huva.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur Suleman ke bas me hava kar di uss ki subah ki manzil ek mahine ki rah aur shaam ki manzil ek mahine ki rah aur ham ne uss ke liye pidle huve tambe ka chashma bahaya aur jinno me se vo jo uss ke age kaam karte uss ke raab ke hukum se aur jo un me hamare hukum se fire ham use bhadakti Aag ka azab chakhayenge. Uss ke liye banate jo vo chahata unche unche mahal aur tasviren aur bade haizon ke barabar lagan aur langardar deghen.

       Rivayath hai ki ek martaba Hazrate Suleman Alaihis Salam Jinno Ins vaghaira apne tamam lashkaron ko le kar tayif ya shaam me "Vadiye Naml" se guzare jahan chundiyan ba kasrath thi to chuntiyon ki malika jo mada aur langdi thi uss ne tamam chundiyon se kaha ki ye chuntiyon! Tum saab apne gharon me chali jao varna hazrate suleman aur un ka lashkar tumhen be khabri me kuchal dalega. Chunti ki iss takhrir ko Hazrate Suleman Alaihis Salam ne 3 mil ki duri se sun liya aur muskura kar hass diye. Chunanche, Raab Tala ne Quran e Majid me farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Yahan tak ki jab chuntiyon ke nale par aye ek chunti boli ye chuntiyon! Apne gharon me chali jao tumhen kuchal na dale suleman aur un ke lashkar be khabari me to uss ki baath se muskura kar hasa.

Darse Hidayath:

             Iss Qurani Vaqhiye se chand asbakhe hidayath malum huve.

       1. Chunti ki avaz ko 3 mil ki duri se sun lena ye Hazrate Suleman Alaihis Salam ka mojiza hai aur iss se malum huva ki Hazrate Ambiya e Kiram Alaihis Salam ki basarath va samaAt ko Aam Insano ki basarath va samaAt par khiyas nahi kar sakte balki haq ye hai ki Ambiya e Kiram ka sunna aur dekhna aur dusri taqhaten Aam Insano ki taqhaton se bad chad kar huva karti hai.

       2. Chunti ki takhrir se malum huva ki chuntiyon ka bhi ye akhida hai ki kisi nabi ke sahibi jaan buj kar kisi par zulm nahi kar sakte kuinki chunti ne Vahum La Yash'Urun kaha yani Hazrate Suleman Alaihis Salam Aur in ki foj Agar chuntiyon ko kuchal dalenge to bekhabri ke Alam me lashuUri tor par yesa karenge. Varna jaan buj kar ek nabi ke sahabi hote huve vo kisi par zulm va ziyadati nahi karenge afsos ki chuntiyan to ye akhida rakhti hai ki nabi ke sahabi jaan bujh kar kisi par zulm nahi kar sakte. Magar rafijiyon ka guroh in chuntiyon se bhi gaya guzra sabith huva ki in zalimo ne huzur sayyidul mursalin Sallallahu Alaihi O Sallam ke Mukhaddas Sahaba par Tohmath lagyi ki un buzurgon ne jaan bujh kar hazrate bibi fatima Raziyallahu Tala Anha aur ahle baith par zulm kiya.(Mazallah)

       3. Ye bi malum huva ki Hazrate Ambiya e Kiram Alaihis Salam ka Hasna, Tabassum aur Muskurahat hi hota hai. Jaisa ki A Hadis me varid huva hai ki ye Hazrath kabhi kahakaha mar kar nahi haste.

Latifa:

            Mankul hai ki ek martaba Hazrate Khatada Muhaddis Rahamath Ullahi Tala Anha jo nihayath hi buland paya Alim aur jameul ulum Allama the.Bil Khusus Ilme Hadis Aur Tafsir me to apna Misl nahi rakhte te. Kufa tashrif laye to in ki ziyarath ke liye ek azimushshan majma jama ho gaya. Aap ne Taqrir farmate huve hazirin se kayi bar ye farmaya ki "Mujh se jo chaho puch lo". Hazirin par Aap ki ilmi jalalath ka yesa sikka baita huva tha ki saab log daam bakhud va sakith va khamosh baite rahe magar jaab Aap ne bar bar lalkara to hazrate imame azam abu hanifa rahamath ullahi tala alai jo abhi bahuth kam umr the khud to kamale adab se kuch na bole magar Aap ne logon se kaha ki Aap log hazrate khatada Alaihir Rahmath se ye puchiye ki badiye naml me jis chunti ti takhrir sun kar hazrate suleman alaihis salam muskura kar hass pade the. vo chunti nar thi ya madaa! Chunanche, Jab logon ne ye suval kiya to hazrate khatada Alaihis Salam yese satpataye ki bilkul la javab ho kar khamosh ho gaye fir logon ne imam abu hanifa rahamath ullahi rala anha se daryaft kiya to Aap ne farmaya ki "Vo Chunti Mada Thi" Hazrate Khatada Alaihi Rahama" Ne farmaya ki iss ka subuth? Imaam Abu Hanifa Rahamath Ullahi Tala Anhu ne javab diya ki iss ka subuth ye hain ki Quran e Majid me iss chunti ke liye Khalat Namlatun muannas ka sigha zikr kiya gaya hai. Agar ye chunti nar hoti to khala namlum muzakkar ka sigha zikr kiya gaya hota.Hazrate Khatada Alaihir Rahmath ne is dalil ko taslim kar liya aur imaam abu hanifa rahamath ullahi tala alai ki danayi aur Quran Fahmi par hairan rah gaye aur apne bade bol par nadim huve.

Hazrat E Ayyub Alaihis Salam Ka Imtihan


Hazrate Ayyub Alaihis Salam Hazrate Isaq Alaihis Salam ki avlad me se hain aur in ki valida hazrate loot alaihis salam ke khandan se hain. Allah Tala ne Aap ko har tarha ki nematon se navaza tha. Husne surath bhi aur maal va Avlad ki kasrath bhi, Beshumar mavaishi aur kheth va bagh vaghaira ke Aap malik the. Jaab Allah Tala ne Aap ko Azmayish va imtihan me dala to Aap ka makan gir pada aur Aap ke tamam farzandan iss ke niche dab kar mar gaye aur tamam janvar jiss me senkdon unt aur hazarha bakriyan thi, saab mar gaye. Tamam khetiyan aur baghath bhi barbad ho gaya.garaz Aap ke pass kuch bhi bakhi na raha Aap ko jab in chijon ke halak va barbad hone ki khabar di jati thi to Aap hamde ilahi karte aur shukr baja late the aur farmate the ki mera kai tha aur kai hai jis ka tha uss ne le liya. Jab tak uss ne mujhe de rakha tha mere pass tha, Jaab uss ne chaha le liya. Main har haal me uss ki riza par razi hun iss ke baad Aap bimar ho gaye aur Aap ke jism mubarak par bade bade Aable pad gaye. Iss Haal me saab logon ne Aap ko chod diya, Bass fakhat Aap ki bivi jin ka naam "Rahamath Binte Afrayim" Tha. Jo hazrate yusuf Alaihis Salam ki poti thi, Aap ki khidmat karti thi salha saal tak Aap ka yehi haal raha, Aap ablon aur fodon ke zakhmo se badi taklifon me rahe.

Faida:

           Aam tor par logon me mashhur hai ki Mazallah Aap ko kod ki bimari ho gayi thi. Chunanche, Baaz gair motabar kitabon me Aap ke kod ke bare me bahuth si gair motabar dastane bhi tahrir hai, magar yaad rakho ki yeh saab baten sarta pa bilkul galath hai, aur hargiz hargiz Aap ya koi nabi bhi kabhi kod aur juzam ki bimari me mubtala nahi huva iss liye ki ye masAla muttafiq alaih hai ki ambiya alaihis salam ka tamam un bimariyon se mahfuz rahna zaruri hai jo avam ke nazdik bayise nafrath va hakarath hai. Kuinki ambiya alaihis salam ka yeh farz mansabi hai ki vo tabligh va hidayath karte rahen to zahir hai ki jab avam in ki bimariyon se nafrath kar ke in se door bhagenge to bhala tabligh ka fariza kuin kar ada ho sakega? Algharaz hazrate ayyub alaihis salam hargiz kabhi kod aur juzam ki bimari me mubtala nahi huve balki Aap ke badan par kuch Aable aur foden funsiyan nikal ayi thi jin se Aap barson taklif aur mashkkath jhelte rahe aur barabar sabiro shakir rahe fir Aap ne ba hukme ilahi apne raab se yun dua mangi:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Mujhe taklif pahunchi aur tu saab meharvalon se bad kar meharvala hai

     Jaab Aap khuda ki Azmayish me pure utare aur imtihan me kamyab ho gaye to Aap ki dua makhbul huyi Aur arhamurrahimin ne hukm farmaya ki ye ayyub alihis salam apna paun zamin par maro Aap ne zamin par paun mara to foran ek chashma fut pada. Hukme ilahi huva ki iss pani se gusl karo, Chunanche, Aap ne gusl kiya to Aap ke badan ki tamam bimariyan door ho gayi. Fir Aap chalis khadam door chale to dobara zamin par khadam marne ka hukum huva aur Aap ke khadam marte hi fir ek dusra chashma numudar ho gaya jis ka pani behad tanda, Bahuth shiri aur nihayath laziz tha Aap ne vo pani piya to Aap ke batin me noor hi noor paida ho gaya. Aur Aap ko Aala darje ki sihath va nooraniyath hasil ho gayi aur Allah Tala ne Aap ki tamam avlad ko dobara zinda farma diya aur Aap ki bivi ko dobara javani bakhshi aur un ke kasir avlad huvi, fir Aap ka tamam halak shuda maal va mavaishi aur asbab va saman bhi Aap ko mil gaya balki pahale jis khadar malo dolath ka khazana tha uss se kahin zaida mil gaya.

            Iss Bimari ki halath me ek din Aap ne apne bivi sahiba ko pukara to vo bahuth der kar ke hazir huvi iss par gusse me Aa kar Aap ne in ko 100 durre marne ki khasam kha li thi to allah tala ne farmaya ki ye ayyub alaihis salam Aap ek Senkon ki jhadu se ek martaba apni bivi ko mar dijiye iss tarha Aap ki khasam puri ho gayi. Chunanche, Allah Tala ne Quran e Majid me iss vakhiye ko iss tarha bayan farmaya hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ham ne farmaya zamin par apna paun maar ye hai Thanda Chashma nahane aur pine ko Aur ham ne use uss ke ghar vale aur iss ke barabar aur ata farma diye Apni rahamath karne aur akhalmandon ki nasihath to Aur farmaya ki apne haat me ek jhadu le kar uss se maar de aur khasam na tod beshak ham ne ise sabir paya kai achcha banda beshak voh bahuth ruzua lane vala hai.

      Al Gharaz Hazrate Ayyub Alaihis Salam iss imtihan me pure pure kamyab ho gaya. Aur Allah Tala ne in ko apni navajishon aur inayaton se har tarha sarfaraz farma diya aur Quran e Majid me in ki madaha khwani farma kar  "Avvabun" ke la javab khitab se in ke saar mubarak par saar bulandi ka taaj rakh diya.

Darse Hidayath:

              Hazrate Ayyub Alaihis Salam ke iss vakhiyaye imtihan me ye hidayath milti hai ki allah tala ke nek bandon ka bhi khuda ki taraf se imtihan huva karta hai aur jaab vo imtihan me kamyab aur azmayish me pure utarte hain to khudavande khuddus un ke maratib va darjath me itni Aala sarbulandi ata farma deta hai ki koi insan iss ko soch bhi nahi sakta aur iss vakhiye se ye sabaq bhi milta hai imtihan ki azmayish ke vaqth sabr karna aur khudavande alam azzawajal ki riza par razi rahana iss ka fala kitna achcha, kitna mitha aur kis khadar laziz hota hai.

Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Ki Butshikni


Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ne but parasti ke muamle me pahle to apni khom se munazra kar ke haq ko zahir kar diya.magar logon ne haq ko khabul nahi kiya balki ye kaha ki kal hamari eid ka din hai aur hamara ek bahuth bada mela lagega, vahan Aap chal kar dekhen ki hamare deen me kai lutf aur kaisi bahar hai.

           Iss khom ka ye dastur tha ki salana in logon ka ek mela laga tha. log ek jangal me jama hote aur din bhar lahavo lahab me mashgul rah kar shaam ko but khane me jaa kar buton ki puja karte aur buton ke chadave, mitayiyo aur khano ko parshad ke tor par khate. Hazrate ibrahim alaihis salam khom ki davath par thodi door to mele ki taraf chale lekin  fir apni bimari ka urza kar ke vapas chale Aaye aur khom ke log mele me chale gaye fir jo mele me nahi gaye Aap ne un logon se saaf saaf kah diya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur mujhe Allah ki khasam hai main tumhare buton ka bura chahunga bad iss ke ki tum fir jaO pit de kar.

     Chunanche, Iss ke Baad Aap ek kulhadi le kar but khane me tashrif le gaye aur dekha ki usss me chote bade bahut se but hain aur darvaze ke samne ek buth bada but hai. In jhute mabudon ko dekh kar tohide ilahi ke   jazbe se Aap jalal me Aa gaye aur kulhadi mar mar kar buton ko chikna chur kar dala aur saab se bade but ko chod diya aur kulhadi uss ke kandhe par rakh kar Aap buth khane se bahar chale Aaye. Khom ke log jab mele se vapas Aa kar but pujne aur parshaad khane ke liye buth khane me ghuse to ye dekh kar hairan rahgaye ki un ke devta tute fute pade huven hain. Ek dam bokhla gaye aur shor macha kar chillane lage.            
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Kisne hamare khudaon ke saath ye kaam kiya beshak vo zalim hai.

         To kuch logon ne kaha ki ham ne ek javan ko jis ka naam "Ibrahim" hai uss ki zaban se in buton ko bura bhala kahate huve suna hai. Khom ne kaha ki uss javan ko logon ke samne lao. Shayad log gavahi den ki uss ne buton ko toda hai. Chunanche, Hazrate Ibrahim Alaihis Salam bulaye gaye. To khom ke logon ne pucha ki ye ibrahim! Kai tum ne hamare khudaon ke saath ye suluk kiya hai? To hazrate Ibrahim Alaihis Salam ne farmaya ki tumhare iss bade but ne kiya hoga kuinki kulhadi iss ke kandhe par hai. Akhir tum log apne in tute fute khudaon hi se kuin nahi puchte ki kis ne tumhen toda hai ? Agar ye but bol sakte ho to in hi se puch lo vo khud bata den ki kis ne inhen toda hai. Khom ne sar jhuka kar kaha ki ye ibrahim! Ham in khudaon se kai aur kaise puchen? Aap to jante hi hai ki ye but bol nahi sakte. Ye sun kar hazrate Ibrahim Alaihis Salam ne jalal me tadap kar farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                   Kaha to kai Allah ke siva yese ko pujte ho jo na tumhen nafa de aur na nuksan pahunchaye. Tuf hai tum par aur un buton par jin ko Allah ke siva pujte ho to kai tumhen Akhal nahi?

          Aap ki iss haq goyi ka nara sun kar khom ne koi javab nahi diya balki shor machaya aur chilla chilla kar but paraston ko bulaya.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  In ko jala do aur apne khudaon ki madad karo agar tumhen karna hai.

       Chunanche, Zalimon ne itna lamba choda Aag ka Alav jalaya ki iss Aag ke shole itne buland ho rahe the ki iss ke upar se koi parinda bhi ud kar nahi ja sakta tha. Fir Aap ko nanghe badan kar ke in zulmo sitam ke mujassamon ne ek gofan ke zariye us Aag me fenk diya aur apne iss khayal me magan the ki hazrate ibrahim Alaihis Salam jal kar raakh ho gaye honge, Magar Ahkamul Hakimin ka farman iss Aag ke liye ye sadir ho gaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ham ne farmaya ye Aag ho ja Thandi Aur Salamati Ibrahim par.

       Chunanche, Natija ye huva jis ko Quran ne apne kahirana lahaje me irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur unhone iss ka bura chaha to ham ne unhen saab se bada kar ziyakar kar diya.

         Aag bujh gayi aur hazrate ibrahim Alaihis Salam jinda aur salamath rah kar nikal aye aur zalim log kafe Afsos mal kar rah gaye.

Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Ka Tavakkul:

                 Rivayath hai ki jab namrud ne apni sari khom ke ru baru hazrate ibrahim alaihis salam ko Aag me fenk diya to zamino asman ki tamam makhluqat chikh mar kar bargahe khudavandi me arz karne lagi ki khudavanda! tere khalil Aag me dale ja rahe hain aur in ke siva zamin me koi aur insan teri tohid ka alambardar aur tera parastar nahi, Lihaza tu hame ijazath de ki ham in ki imdad va nusrath karen to Allah Tala ne farmaya ki ibrahim mere khalil hain aur main un ka mabud hun to agar hazrate ibrahim tum sabon se faryad kar ke madad talab karen to meri ijazath hai ki saab un ki madad karo. Aur agar vo mere siva kisi aur se koi madad talab na karen to tum sab sun lo ki main un ka dosth aur hami va madadgar hun. lihaza tum Aab un ka muamla mere upar chod do. Iss ke baad Aap ke pass pani ka firista Aaya aur kaha ki Agar Aap farmayen to main pani barsa kar iss Aag ko bujha dun. Fir hava ka farishta hazir huva aur uss ne kaha ki agar Aap ka hukum ho to main zabardast Andhi chala kar iss Aag ko uda dun to Aap ne un dono farishton se farmaya ki mujhe tum logon ki koi zarurath nahi. Mujh ko mera Allah kafi hai aur vohi mera behtarin karsaza hai vohi jab chahega aur zis tarha uss ki marzi hogi mari madad farmayega.

Konsi Dua Pad Kar Aap Aag Me Gaye:

             Ek Rivayath me ye bhi Aaya hai ki jab kafiron ne Aap ko Aag me dala to Aap ne uss vakht ye dua padi 
Aur jab Aap Aag ke sholon me dakhil ho gaye to hazrate jibrael alaihis salam tashrif laye aur kaha ki ye khalilullah! kai Aap ko koi hajath hai? to Aap ne farmaya ki tum se koi hazath nahi hai to hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki fir khuda hi se apni hajath arz kijiye to Aap ne javab diya ki vo mere haal ko khoob janta hai. Lihaza mujhe uss se suval karne ki koi zarurath hi nahi hai. uss vaqth hazrate ibrahim alaihis salam ki umr sharif solah ya bis baras ki thi.

Aap Kitni Der Tak Aag Me Rahe?

         Iss bare me ki Aap kitni muddath tak Aag ke andar rahe, 3 Akhval hain.
  1. Baaz Mufassirin ka khol hai ki 7 dino tak Aap Aag ke sholon me rahe.
  2. Aur Baaz ne ye tahrir kiya hai ki chalis din rahe.
  3. Aur Baaz Kahate hain ki pachas din tak Aap Aag me rahen.
Darse Hidayath:

           Iss vakhiye se un logon ko tasalli milti hai jo batil ki taghuti takhaton ke bil mukhabil istikhamath ka pahad ban kar dat jate hain.

     Aaj Bhi Ho Jo Ibrahim Ka Imaa Paida          Agar Kar Sakti Hai Andaze Ghulistan Paida

Darya Ki Mojon Se Maa Ki God Me


          Firon ko Nujumiyon ne ye khabar di thi ki bani israel me ek yesa bachcha paida hoga jo teri saltanath ki barbadi ka sabab hoga.iss liye firon ne apni fojon ko ye hukum de diya tha ki bani israel me jo ladka paida ho uss ko khatal kar diya jaye isi musibath va afath ke dor me hazrate Nabi Musa Alaihis Salam paida huve to in ki balida ne firon ke khof se in ko ek sandukh me rakh kar sandukh ko mazbuti se band kar ke darya e Nil me dal diya. Darya se nikal kar ek nahar firon ke mahal hi ke niche bahti thi. Ye sandukh darya e Nil se bahte huve nahar me chal gaya.itifaq se firon aur uss ki bivi "Asiya" dono mahal me baite huve nahar ka nazara kar rahe the. Jaab in dono ne sandukh ko dekha to Khuddan ko hukum diya ki uss sandukh ko nikal kar mahl me layen.Jab sandukh khola gaya to iss me se ek nihayath khoob surath bachcha nikla jis ke chehre par husno jamal ke saath saath anvare nabuvath ki tajalliyath chamak rahi thi firon aur asiya dono iss bachche ko dekh kar dilon jaan se iss par kurban hone lage aur asiya ne firon se kaha ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ye Bachcha meri aur teri Ankhon ki Thandak hain ise khatl na karo shayad ye hame nafaa de ya ham ise beta bana len aur vo be khabar the.

 Iss pure vakhi e ko Quran e Majid ne surah taha me iss tarha bayan farmaya hai ki tarjuma ye hai:

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Jab ham ne teri maa ko ilham kiya jo ilham karna tha ki iss bachche ko sandukh me rakh kar darya me dal de to darya use kinare par dale ki ise vo utha le jo mera dushman aur iss ka dushman hai. Main ne tujh par apni taraf ki mohabbath dali aur iss liye ki tu meri nigah ke samne tayyar ho.

                 Chun ki abhi Hazrat e Musa Nabi Alaihis Salam Shir khwar bachche the. Iss liye in ko dood pilane vali kisi aurath ki talash huyi magar Aap kisi aurath ka dood pite hi nahi the. Idhar hazrat e Musa Nabi Alaihis Salam ki valida behad pareshan thi ki na malum mera bachcha kaha aur kisi haal me hoga? Pareshan ho Kar inhon ne hazrate musa nabi alaihis salam ki bahan "maryam" ko zustaju hal ke liye firon ke mahal me bhej. Aur maryam ne jaab ye haal dekha ki bachcha kisi aurath ka dood nahi pita to inho ne firon se kaha ki main ek aurath ko lati hun shayad ki ye uss ka dood pine lage. Chunanche, "Maryam" Hazrate Musa Alaihis Salam ki valida ko firon ke mahal me le kar gayi aur inho ne jaise hi joshe mhabbath me sine se chimat kar dood pilaya to app dood pine lage iss tarha hazrate musa Alaihis Salam ki valida ko in ka bichda huva lal mil gaya. Iss vakhi e ka tazkira Quran e Majid ki Surah e Khasas me Iss tarha bayan kiya gaya hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur subha ko musa ki maa ka dil be sabr ho gaya zarur kharib tha vo uss ka haal khol deti agar haam na taras bandhte uss ke dil par ki use hamare vade par yakhin rahe aur (Iss ki Maa ne) Iss ki bahan se kaha uss ke piche chali ja to vo use dur se dekhti rahi aur un ko khabar na thi aur ham ne pahale hi saab dayiyan iss par haram kar di thi to boli kai main tumhen bata dun yese dharvale ki tumhare iss bachche ko paal den aur vo iss ke khair khwah hain to ham ne ise iss ki maa ki taraf fera ki maa ki ankh thandi ho aur gham na khaye aur jaan le ki allah ka vada sachcha hai lekin aksar log nahi jante.

Hazrat E Musa Nabi Alaihis Salam Ki Valida Ka Naam:

                Hazrate Musa Nabi Alaihis Salam ki valida ka naam "Yuhanza" Aur Baap ka Naam "Imraan" hai. Aur Hazrat e Musa Nabi Alaihis Salam ki bahan ka naam "Maryam" Magar yad rakho ki ye vo maryam nahi hain jo Hazrate Isa Alaihis Salam ki Valida hain. Hazrate Isa Nabi Alaihis Salam ki valida  "Maryam" Hazrate Musa Nabi Alaihis Salam ki bahan se senkadon baras Baad ko Huyi hai.

Darse Hidayath:

1.     Iss Vakhiye se ye sabakh milta hai ki jab Allah Tala ka fazal hota hai to dushman se vo kaam kara leta hai jo dosth bhi nahi kar sakte. Dekh lijiye ki firon Hazrate Musa Alaihis Salam ka saab se bada dushman tha.Magar Hazrat e Musa Alaihis Salam ki parvarish firon hi ke ghar me huyi.

2.     Ye bhi malum huva ki jaab Allah Tala kisi ki hifazath farmata hai to koi bhi uss ko na zayaa kar sakta hai na Zaar pahuncha sakta hai.Ghor karo ki hazrate Musa Alaihis Salam ko kis tarha va Hifazath, Sehath va salamati ke saath Allah Tala ne fir un ki maa ki godh me Pahuncha diya.

Hazrate Idris Alaihis Salam


Aap Ka naam "Akhnukh" hai. Aap Hazrate Nooh Alaihis Salam ke Valid ke Dada hain. Hazrate Adam Alaihis Salam ke Bad Aap hi pahle Rasool hain. Aap ke valid Hazrate Shish Bin Adam Alaihis Salam hain. Saab se pahle jis shakhs ne kalam se likha vo Aap hi hain. Kapdon ke sine aur sile huve kapde pahanne ki ibtida bhi Aap hi se huyi. Iss se pahle log janvaron ki khalen pahante the. Saab se pahle Hatyar banane vale, Tarazu aur paimane khayim karne vale aur ilme nujum va hisab me nazar farmane vale bhi Aap hi hain. Ye saab kaam Aap hi se shuru huve.Allah Tala ne Aap par tis sahife nazil farmaye, aur Aap Allah Tala ki kitabon ka ba kasrath dars diya karte the. Iss liye Aap ka lakhab "Idris" ho gaya, Aur Aap ka ye lakhab iss khadar mashhur ho gaya ki bahut se logon ko Aap ka Asli naam malum hi nahi. Aur Quran e Majid me bhi Aap ka naam "Idris" hi zikr kiya gaya hai.

         Aap ko Allah Tala ne Asman par utha liya hai. Bukhari va Muslim ki Hadis me hai ki Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne Shabe Mehraj Hazrate Idris Alaihis Salam ko 4(Chauthe) Asman par dekha.Hazrate  KaBul Ahbar Raziyallahu Tala Anha vaghaira se marvi hai. Hazrate Idris Alaihis Salam ne malkul mauth se farmaya ki mauth ka maza chakna chahta hun, kaisa hota hai? Tum meri rooh khabz kar ke dikhao. Malkul Mauth ne is hukum ki tamil ki aur rooh khabz kar ke usi waqt Aap ki taraf lota di aur Aap zinda ho gaya. fir Aap ne farmaya ki Aab mujhe jahannam dikhao taki khofe ilahi ziyada ho. Chunanche, Ye bhi kiya gaya jahannam ko dekh kar Aap ne darogaye jahannam se farmaya ki darvaza kholo, main uss darvaze se guzarna chahta hun.Chunanche, yesa hi kiya gaya aur Aap iss par se guzre. Fir Aap ne malkul mauth se farmaya ki mujhe jannath dikhao, vo Aap ko jannath me le gaye. Aap darvajon ko khulva kar jannath me dakhil huve. Thodi der intizar ke baad malkul mauth ne kaha ki Aab Aap apne makham par tashrif le chaliye.Aap ne farmaya ki Aab main yahan se kahin nahi jaunga. Allah Tala ne farmaya hai ki Kullu Nafsin ZaAyikhatul Mauth to mauth ka maza main chakha hi chuka hun aur allah tala ne ye farmaya hai ki Va Inm Minkum Illa Va Riduha ki har shakhs ko jahannam par guzarna hai to main guzar chuka. Aab main jannath me pahunch gaya aur jannath me pahunchne valon ke liye khudavande khuddus ne ye farmaya hai ki Vama Hum Minha Bimukhrajina ki jannath me dakhil hone vale jannath se nikale nahi jayenge. Aab mujhe jannath se chalne ke liye kuin kahte ho? Allah Tala ne malkul mauth ko vahi bheji ki Hazrate Idris Alaihis Salam ne jo kuch kiya mere izn se kiya aur vo mere hi izn se jannath me dakhil huve. Lihaza tum unhen chod do. vo jannath hi me rahenge. Chunanche, Hazrate Idris Alaihis Salam Asmano ke upar jannath me hain aur zinda hain.

             Hazrate Idris Alaihis Salam ke asmano par uthaye jane aur in ko milne vali nematon ka mukhtasar aur yijmali tazkira Quran e Majid ki surah maryam hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan
                  Aur kitab me Idris ko yad karo beshak vo siddiqh tha ghaib ki khabren deta aur ham ne use buland makan par utha liya yeh hai jin par Allah ne Yehsan kiya gaib ki khabren batane valon me se adam ki avlad se.

Darse Hidayath:

             Hazrate Idrish Alaihis Salam ke waqhiye se ye hidayath ka sabak milta hai ki Allah Tala ka rasulon aur nabiyon par kitna bada fazlo karam aur yinamo ikraam hai. iss liye har musalman ke liye vazibul imaan aur lazimul amal hai ki khudavande khuddus ke rasulon aur nabiyon ki tazimo takrim aur un ka adbo yehtiram rakhe aur in ke zikre jamil se khairo barkath hasil karta rahe Quran e Majid ki mukhaddas ayaton aur hadison me bar bar khuda ke in barguzida rasoollon aur nabiyon ka zikre jamil iss baath ki dalil hai ki in buzulgon ka zikre khair aur tazkira mujibe rahamath va bayise khairo barkath hai.

Hazrate Isa Alaihis Salam Ki Pahali Takrir


Jab Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anhu Hazrate Isa Alaihis Salam ko god me le kar bani Israel ki basti me tashrif layi to Khom ne Aap par badkari ki tohmat lagayi.Aur logon ne kahna shuru kar diya ki ye maryam! Tum ne ye bahut bura kaam kiya halanki tumhare validain me to koi kharabi nahi thi aur tumhari maa bhi badkar nahi thi. Baghair Shohar ke tumhare ladka kaise ho gaya? Jab khom ne bahut ziyada tana zani aur badgoyi ki to hazrate maryam Raziyallahu Tala Anhu khud to khamosh rahi magar irshad kiya ki iss bachche se tum log saab kuch puch lo to logon ne kaha ki ham iss bachche se kai aur kuin kar aur kis tarha guftagu karen? Ye to abhi bachcha hai jo palne me pada huva hai. Khom ka ye kalam sun kar hazrate isa alaihis salam ne taqrir  shuru kar di. Jis ka zikr Allah Tala ne Quran e Majid me yun farmaya hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Bachche ne farmaya main hun Allah ka banda uss ne mujhe kitab di aur mujhe ghaib ki khabren batane vala(Nabi) kiya aur uss ne mujhe mubarak kiya main kahin houn aur mujhe namaz va zakat ki takid farmayi jab tak jiyun. Aur apni maa se achcha suluk karne vala aur mujhe zabardast bad bakht na kiya aur vohi salamati mujh par jis din main paida huva aur jis din marunga aur jis din jinda uthaya jaunga.

Darse Hidayath:

      1.    Ye Hazrate Isa Alaihis Salam ka mojiza hai ki paida hote hi fasiha zaban me yesi jameA takrir farmayi. Iss Takrir me sab se pahle Aapne ko khuda ka banda kaha taki koi unhen khuda ya khuda ka beta na kah sake. Kuinki log Ayinda Aap par tohmat lagane vale the.Aur ye tohmat Allah Tala par lagti thi. Iss liye Aap ke mansabe risalat ka yehi takhaza tha ki apni valida par lagayi jane vali tohmat ko rafA karne se pahle uss tohmat ko dafA karen jo Allah Tala par lagayi jane vali thi.Allahu Akbar ! Sach hai khudavande khuddus jis ko nabuvath ke sharaf se navazta hai yakhinan uss ki viladath nihayath hi paak aur tayyibo tahir hoti hai aur bachpan hi se uss ki nabuvath ke Aala asar zahir hone lagte hain.

    2.    Surah Maryam ke iss rukuh me Allah Tala ne hazrate Isa Alaihis Salam ka pura zikr milad sharif me bayan farmaya hai aur akhir me salam ka zikr hai. Iss se malum huva ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ka milad pad kar akhir me salatu salam padna ye khud Allah Tala ki mukhaddas sunnat hai aur yehi ahle sunnath va jamath ka mubarak amal hai.

   3.     Hazrate Isa Alaihis Salam ki Mazkura bala taqrir se malum huva ki namaz, zakath aur maa-baap ke saath husne suluk yeh yese farayiz hain jo hazrate isa alaihis salam ki shariath me bhi farz the.

Shajre Maryam [R.A] Aur Nahare Jibrael Alaihis Salam


Hazrate Isa Alaihis Salam Hazrate BiBi Maryam ke shikam se baghair Baap ke Paida huve hain. Jab Viladath ka vaqth Aaya to hazrate bibi maryam raziyallahu tala anha Abadi se kuch door ek khajur ke sukhe darakht ke niche tanhayi me bait gayi aur usi darakhth ke niche hazrate isa Alaihis Salam ki viladath huyi.Chunki Aap baghair Baap ke Kavari Paak Maryam Raziyallahu tala anhu ke shikam se paida huve iss liye hazrate maryam badi fikarmand aur behad udas thi aur badgoyi va tanazni ke khof se basti me nahi Aa rahi thi aur ek yesi sunsan zamin me khajur ke sukhe darakht ke niche baithi huyi thi ki jahan khane pine ke koi saman nahi tha nagahan hazrate jibrael alaihissalam utar pade aur apni edi zmin par mar kar ek nahar jari kar di aur achanak khajur ka sukha darakht hara bhara ho kar pukhta fal laya. aur hazrate jibrael alaihis salam ne hazrate maryam raziyallahu tala anha ko pukar kar un se yun klam farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  To use us ke tale se pukara ki gham na kha beshak tere rab ne tere niche ek nahar baha di hai aur khajur ki jad pakad kar apni taraf hila tujh par tazi paki khajuren girengi to kha aur pee aur Ankh thandi rakh

                  Sukhe darakht me fal laga jana aur nahar ka achanak jari hona,bilashuba ye dono hazrate maryam raziyallahu tala anhu ki karamath hai.

Darse Hidayath:

           Iss se pahale ke safahath me Aap pad chuke hain ki hazrate bibi maryam raziyallahu tala anhu jab bachchi thi aur baitul mukhaddas ki mehrab me ibadat karti thi to baghair kisi mehanath ke bahan bila mosim ke fal mila karte the. magar hazrate isa alaihis salam ke paidayish ke baad paki huvi khajuren to hazrate maryam raziyallahu tala anhu ko zarur milin lekin khudavande tala ka hukum huva ki khajur ki jaden hilao tab tum ko khajuren milengi iss se yeh sabak milta hai ki adami jab tak sahibe avlad nahi hota to uss ko bila mehnat ke bhi rozi mil jaya karti hai aur vo kahin na kahin khaa pee liya karta hai magar jab admi sahibe avlad ho jaye to uss par lazim hai ki mehnat kar ke rozi hasil kar dekho hazrate maryam raziyallahu tala anhu jab tak sahibe avlad nahi huvi thi to bila kisi mehnath va mashakkath ke un ke mehrabe ibadath me falon ki rozi mila karti thi magar jab un ke farzand hazrate isa alaihis salam paida ho gaye to Aab khuda ka ye hukum huva ki khajur ke darakht ko hilao aur mehnat karo aur iss ke baad khajuren milengi.

Makkah E Mukarrama Kuin Kar Abad Hua?

Hazrat E Ibrahim Alaihis Salam ke farzande Hazrat E Ismayil Alaihi Salam sar zamine shaam me Hazrat E Hajra Raziyallahu Tala Anhu ke Shikme Mubarakh se paida huve Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ki bivi Hazrate Sara Raziyallahu Tala Anhu Ke koi Avlad na thi.Iss Liye inhen rashk paida huva aur inho ne hazrat e ibrahim alaihis salam se kaha ki Aap hazrat e Hajra Raziyallahu Tala Anhu aur in ke bete ismayil ko mere pass se zuda kar ke kahi dur kar dijiye.Khudavande khuddus ki hikmat ne ek sabab paida farma diya.Chunanche,Aap par vo nazil huyi ki Aap hazrat e hazra Raziyallahu Tala Anha aur ismayil Alaihis Salam ko uss saar zamin me chod Aayen jahan be Aabo giyah maidan aur khusk pahadiyon ke siva bhi nahi hai chunanche,hazrate ibrahim alaihis salam ne hazrat e hajran raziyallahu tala anha aur hazrate ismayil alaihis salam ko saath le kar safar farmaya. aur uss jagah aya jahan kaba e muazzama hai. yahan uss vakht na koi abadi thi na koi chashma, na dur dur tak pani ya admi ka koyi namo nishan tha ek taoshadan me kuch khajuren aur ek mashk me pani hazrate ibrahim alaihis salam vahan rakh kar ravana ho gaya.hazrate hajra raziyallahu tala anha ne faryad ki,ki ye allah azzawajal ke nabi! iss sunsaan biyaban me jahan na koi munis hai na gham khwar,Aap hame be yaro madadgar chod kar hahan ja rahe hain? kayi baar hazrate hajra raziyallahu tala anhu ne Aap ko pukara magar Aap ne koi javab nahi diya. akhir me hazrat e hajra raziyallahu tala anhu ne suval kiya ki Aap itna farma dijiye ki Aap ne apni marzi se hame yahan la kar choda hai ya khudavande khuddus ke hukum se Aap ne yesa kiya hai? to Aap alaihis salam ne farmaya ki ye hajra! main ne jo kuch kiya hai voh allah tala ke hukum se kiya hai. ye sun kar hazrate hajra raziyallahu tala anha ne kaha ki Aab Aap jayiye, Mujhe yakhine kamil aur pura pura ithminan hai ki khudavande karim mujh ko aur mere bachche ko jayiA nahi farmayega.

            Iss ke Baad Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ne ek lambi dua mangi aur vahan se mulke shaam chale aye. chand dino me khajuren aur pani khatma ho jane par hazrate hajra rahiyallah par bhuk aur pais ka ghalba huva aur in ke sine me dood khushk ho gaya aur bachcha bhuk va pais se tadapne laga.Hazrate Hajra razillahu tala anhu ne pani ki talash va gustaju me saath

Chakkar safaa va marva ki dono pahadiyon ke lagaye magar pani ka koi surang door door tak nahi mila yahan tak ki hazrate ismayil alaihis salam pyas ki shiddat se yediyan patak patak kar  ro rahe the hazrate jibrael alaihis salam ne Aap ki yediyon ke pass zamin par apna pair mar kar ek chashma jari kar diya aur iss pani me sood ki khassiyath thi ki ye ghiza aur pani dono ka kaam karta tha. Chunanche, Yehi zam zam ka pani pi pi kar hazrate hajra raziyallahu tala anhu aur hazrate ismail zinda rahe. yahan tak ki hazrate ismael alaihis salam javan ho gaye aur shikar karne lage to shikar ke goshth aur zam zam ke pani par guzar basar hone lagi fir khabilaye zirham ke kuch log apni bakriyon ko charate huve iss maidan me aye aur apni ka chashma dekha kar hazrate hazra raziyallahu tala anhu ki ijazath se yahan abad ho gaya aur iss khabile ki ek ladki se hazrate ismayil alaihis salam ki shadi bhi ho gayi aur rafta rafta yahan ek abadi ho gayi.fir hazrate ibrahim alaihis salam ko khudavande khuddus ka ye hukum huva ki khwana e kaaba ki tamir karen chunanche,Aap ne hazrate ismayil alaihis salam ki madad se khana e kaaba ko tamir farmaya uss vaqth hazrate ibrahim alaihis salam ne apni apni avlad aur bashindgane makkae mukarrama ke liye jo ek tavil dua mangi voh kuran majid ki mukhtalif raston me mazkur hai,Chunanche, surah e ibrahim me Aap ki iss dua ka kuch hissa iss tarha mazkur hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                                 
                  Ye mere raab! Main ne apni kuch avlaad ek nale me basayi jis me kheti nahi hoti tere hurmath vale ghar ke paas, ye hamare raab iss liye ki voh namaz khayim rakhe to tu logon ke kuch dil un ki taraf mayil kar de aur unhen kuch fal khane ko de shayad vo yehsaan mane ye makka mukarrama ki abadi ki ibtidayi tarikha hai jo kuran e majid se sabith huyi hai.

 Dua E Ibrahimi ka Asar :
             Iss dua me hazrate ibrahim alaihis salam ne khudavande khudds se do chijen talab ki ek to ye ki kuch logon ke dil avlade ibrahim alaihis salam ki taraf mayil ho aur dusre in logon ko falon ki rozi khane ko mile Subhanallah Aap ki ye duayen makhbul huyi| Chunanche, iss tarha logon ke dil ahle makka ki taraf mayil huve ki Aaj karodha karod insan makkah mukarrama ki ziyarath ke liye tadap rahen hai aur har dor me tarha tarha ki taklifen utha kar musalman khushki aur samandar aur havayi raston se makkah mukarrama jate rahe. aur khiyamath tak jate rahenge aur ahle makkah ki rozi me falon ki kasrath ka yeh Aalam hai ki bawazud ye ki shahare makkah aur iss ke kurbo javar me kahin na koi kheti hai na koi bagh baghicha hai. Magar kakkah e mukarrama ki mandiyon aur bazaron me iss kasrath se kism kism ke meve aur fal milte hain ki farte taAjub se dekhne valon ki ankhen fati ki fati rah jati hai.Allah Tala ne "Tayf" ki zamin me har kism ke falon ki paidavar ki salahiyyath paida farma di hai ki vahan se kism kism ke meve fal aur tarha tarha ki sabjiyan aur tarkariyan makkah e muazzama me ati rahti hai aur iss ke ilava misr va iraq balki Europe ke mumalik se meve aur fal ba kasrath makkah mukarrahma aya karte hain. Ye saab hazrate ibrahim alaihissalam ki duaon ki barkaton ke asarath va samrath hai jo bilashuba dunya ke azayibath me se hai.

             Iss ke bad Aap ne yeh dua mangi jis me Aap me apni avlad ke ilava tamam mominin ke liye bhi dua mangi.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ye mere raab! Mujhe namaz ka khayim karne vala rakha aur kuch meri avlad ko ye hamare raab aur meri dua sun le ye hamare raab mujhe bakhsh de aur mere maa baap ko aur saab musalmano ko jis din hisab khayim hoga.

Darse Hidayath:- Iss vakhiye se do baten khas tor par malum huyi:

1.       Hazrat E Ibrahim Alaihis Salam apne raab tala ke bahut hi itaAt guzar aur farma bardar the ki             vo bachcha jis ko badi badi duaon ke baad budape me paya tha jo Aap ki Ankhon ka noor aur             dil ka surur tha, Fitri tor par hazrate ibrahim alaihis salam iss ko kabhi apne se juda nahi kar                 sakte the magar jab Allah Tala ka ye hukm ho gaya ki ye ibrahim! tum apne pyare farzand aur             uss ki maa ko apne ghar se nikal kar vadiyon batha ki uss sunsan jagah par le ja ka chod Aao               jahan sar chupane ko daraqth ka patta aur pyas bujha ne ko pani ka ek khatra bhi nahi hai, na               vahan koi yaro madadgar hai, na koi muniso gham khwar hai. duara koi insan hota to shayad               iss ke tasavvur  hi se uss ke sine me sil dhadakne lagta, balki shiddate gham se dil fat jata.                   magar hazrate ibrahim khalilullah alaihis salam khuda ka ye hukm suna kar na fikr mand huve,           na ek lamhe ke liye soch bichar me pade, na ranjo gham se nidal huve balki foran hi khuda ka             hukum baja lane ke liye bivi aur bachche ko le kar mulke shaam se sarzamine makkah me                   chale gaye aur vahan bivi bachche ko chod kar mulke shaam chale Aaye| Allahu Akbar! iss                 jazba e itaAt shiyari aur josh farma bardari par hamari jan kurban!

2.      Hazrat E Ibrahim Alaihis Salam ne apne farzand Hazrate Ismael Alaihis Salam aur un ki avlad            ke liye nihayat hi mohabbat bhare andaz me un ki makhbuliyath aur rizkh ke liye jo duayen                mangi. Iss se ye sabak milta hai ki apni avlad se mohabbath karna aur un ke liye duayen                      mangna ye hazrate ambiya e kiram Alaihis Salam ka mubarakh tarikha hai jis par ham saab                  musalmano ko amal karna hamari salah va falahe darain ka zaria hai

Surah E Yusuf Ka Khulasa

Allah Tala ne Hazrat E Yusuf Alaihis Salam ke kisse ko "Ahsanul Khasas" yani tamam kisson me sab se Achcha khissa farmaya hai. Iss liye ki Hazrate Yusuf Alaihis Salam ki mukhaddas jindagi ke
Utar chadav me aur ranj va rahath aur gham va surur ke mddo jarz me har ek vakhia badi badi ibraton aur nasihaton ke saman apne daman me liye huve hain iss liye ham iss kissa e ajibiyya ka khulasa tahrir karte hain. taki nazirin iss se ibrath hasil karen aur khudavande khuddus ki khudraton ka mushahada karen.
             Hazrate Yakhub Bin Is hakh Bin Ibrahim(Alaihis Salam) ke barah Bete the jin ke naam ye hai:
  1. Yahuda
  2. Robil
  3. Shamun
  4. Lavi
  5. Zabulun
  6. Yasjar
  7. Daan
  8. Nafatayi
  9. Jaad
  10. Aashar
  11. Yusuf
  12. Banyamin
               Hazrate Banyamin Hazrate Yusuf ke haqhiki bhai the.Baki dusri maaon se the. Hazrate Yusuf Alaihis Salam Apne Tamam Bhaiyon me saab se ziyada apne baap ke paire the aur chunki in ki peshani par nabuvath ke nishan darkhsha the iss liye Hazrate Yakhub Alaihis Salam In ka behad ikraam aur in se intihayi mohabbath farmate the. Saath baras ki umr me hazrate yusuf Alaihis Salam ne ye khwab dekha ki gairah sirare aur chand va suraj in ko sajda kar rahe hai. Hazrate yusuf Alaihis Salam ne jaab Aapna ye khwab apne balide majid hazrate yakhub alaihis salam ko sunaya to Aap ne in ko manAa farma diya ki paire bete! Khabar dar! Tum apna ye khwab apne bhaiyon se maat bayan kar dena varna vo log jazba e hasd me tumhare khilaf koi khufya chal chal denge. Chunanche, Yesa hi huva ki in ke bhaiyon ko in se hasda hone laga yahan tak ki saab bhaiyon ne apas me mashvara kar ke yeh mansub tayyar kar liya ki in ko kisi tarha ghar se le ja kar jangal ke kuvve me dal den iss mansube ki takmil ke liye saab bhai jamAa ho kar hazrate ya khub Alaihis Salam ke paas gaya. Aur bahuth issar kar ke shikar aur tafrih ka bahana bana kar in ko jangal me le jane ki ijazath hasil kar li. Aur in ko ghar se kandhon par bitha kar le chale lekin jangal me pahunch kar dushmani ke josh me in ko zamin par patkha diya.aur saab ne bahut zaiyada mara. fir in ka kurta utar kar aur haath paun bandh kar ek gahare aur andhere kunve me gira diya lekin foran hi hazrate jibrael alaihis salam ne kuven me tashrif laa kar in ko gharkh hone se in tarha bacha liya ki in ko ek paththar par bitha diya jo iss kuve me tha! aur haath paon khol kar tasalli dete huve in ka khofon haras door kar diya.Aur ghar se chalte vaqth hazrate yakhub alaihis salam ne hazrate yusuf alaihis salam ka jo kurta taviz bana kar
Aap ke gale me dal diya tha voh nikal kar in ko pahna diya jis se uss andhere kuven me roshni ho gayi.

          Hazrate Yusuf Alaihis Salam ke bhai Aap ko kuven me dal kar aur Aap ke pairahan ko ek bakri ke khoon me lat pat kar ke apne ghar ko ravana ho gaye aur makan ke bahar hi se chikhen par kar rone lage.Hazrate  yakhub alaihis salam ghabra kar ghar se bahar nikale aur rone ka sabab pucha ki tum log kuin ro rahe ho? Kai tumhari bakriyon ko koi nuksaan pahunch gaya hai? fir hazrate yakhub alaihis salam ne daryafth farmaya ki mera yusuf kahan hain? main us ko nahi dekh rakha hun to bhaiyon ne rote huve kaha ki ham log khel me dodte huve door nikal gaya aur yusuf alaihis salam ko apne saman ke paas bitha kar chale gaye to ek bhediya Aaya aur vo un ko faad kar kha gaya.Aur ye un ka kurta hai.Un logon ne kurte me khoon to laga liya tha lekin kurte ko fadna bhool gaya the.Hazrate yakhub alaihis salam ne ashk bar ho kar apne noor e nazar ke kurte ko jab haath me le kar ghor se dekha to kurta bilkul salamat hain aur kahin se bhi fata nahi hai to Aap un logon ke mark aur jhut ko bhamp gaya. aur farmaya ki bada hoshiyar aur siyana bhediya tha ki mere yusuf ko to fad kar kha gaya magar un ke kurte par ek zarasi kharash bhi nahi ayi aur Aap ne saf saf farma diya ki ye saab tum logon ki karastani aur marko fareb hai.Fir Aap ne dukhe huve dil se nihayath dard bhari avaz me farmaya:
Hazrate Yusuf Alaihis Salam 3 Din uss kuve me tashrif farma rahe. ye kuva khara tha.Magar Aap ki barkath se iss ka pani bahuth bahut laziz aur nihayath shirin ho gaya.Ittifak se ek kafila madyan se misr ja raha tha.Jab kafile ka ek admi jis ka nam malik bin zuAar Khazayi tha, Pani barne ke liye aya aur kuven me dol dala to hazrate yusuf alaihis salam dhol pakad kar latak gaya malik bin zuAar ne dhol khincha to Aap kuven se bahar nikal aye. Aab uss ne Aap ke husno jamal ko dekha to "Yabushra Haza Ghulamu" kah kar apne sathiyon ko khush khabri suna ne laga hazrate yusuf alaihis salam ke bhai jo iss jangal me rozana bakriyan charaya karte the, barabar rozana kuven me jhank jhank kar dekha karte the. Jab in logon ne Aap ko kuven me nahi dekha to talash karte huve kafile me pahunche aur Aap ko dekh kar kahne lage ki ye to hamara bhaga huva ghulam hai jo bilkul hi nakara aur nafarman hai. ye kisi kaam ka nahi hai.agar tum log iss ko kharido to ham bahut hi sasta tumhare haath farokhth kar dege magar shart ye hai ki tum log iss ko yaha se itni door le jaa kar farokht karna ki yahan tak iss ki khabar na pahunche.Hazrate Yusuf Alaihis Salam bhaiyon ko khof se khamosh khade rahe aur ek lafz bhi na bhole.fir in ke bhaiyon ne in ko malik bin zuAar ke haat sirf dirhamo me farokht kar diya.

              Malik bin zuAar in ko kharid kar misr ke bazar me le gaya aur vahan azize misr ne in ko bahut giran khimat de kar kharid liya aur apne shahi mahal me le ja kar apne malika "Zulekha" se kaha ki tum iss ghulam ko nihayath Yejaz va ikram ke saath apni khidmath me rakho.Chunanche,Aap Azize misr ke shahi mahal me rahne lage aur malik zulekha in se bahut mohabbath karne lagi balki in ke husno jamal par farafta ho kar ashikh ho gayi aur us ka joshe ishq yahan tak bada ki ek din "Zulekha" ishqkho mohabbath me valihana tor par Aap ko fuslane aur lubhane lagi.Aur Aap ko ham bistari ki davat dene lagi Aap ne Mazallah kah kar intkar farma diya aur saaf kah diya ki main apne malik azize misr ke saath khiyanath kar ke uss ke yehsano ki nashukri nahi kar sakta.,Aur Aap ghar me se bhag nikle.To malika zulekha ne dod kar piche se Aap ka pairahan pakad liya.Aur Aap ka pairahan piche se fat gaya yen isi halat me azize misr makan me Aa gaye aur dono ko dekh liya to zulekha ne Aap par tohmath laga di.Azize misr hairan ho gaya ki in dono me se kon sachcha hai? ittifaq se makan me ek char mah ka bachcha palne me laita huva tha. uss ne shahadath di ki agar kurta age se fata ho to yusuf alaihis salam kusurvar hai aur agar kurta piche se fata ho to zulekha ki khata hai aur yusuf alaihis salam be kusur hain. Jab azize misr ne dekha to kurta piche se fata huva tha.Foran azize misr ne zulekha ko khatavar karar de kar danda aur hazrate yusuf alaihis salam se ye kaha ki iss ka khayal va malal na kijiye fir zulekha ke mashvare se azize misr ne yusuf Alaihis Salam ko kaid khane me bhijva diya iss tarha achanak  hazrate yusuf alaihis salam azize misr ke shahi mahal se nikal kar jel khane ki kotri me chale gaye.Aur Aap ne jel me pahunch kar ye kaha ki ye allah Azzawajal ye kaid khane ki kotri mujh ko iss bala se zaida mahabub hai jis ki taraf zulekha mujhe bhula rahi thi fir Aap saath baras ya barha baras jel khane me rahe aur kaidiyon ko tohid aur amale saleha ki davath dete aur vaz farmate rahe.

            Ye azib ittifaq ki jis din Aap kaid khane me dakhil huve usi din Aap ke saath badshahe misr ke do khadim ek sharab pilane vala, Dusra Bavarchi dono jel khane me dakhil huve aur dono ne apna ek ek khwab hazrate yusuf alaihis salam se bayan kiya aur Aap ne un dono ke khwabon ki tabir bayan farma di jo so fisadi sahih sabith huyi iss liye Aap ka naam muAabbar(Tabir dene vala) hona mashhur ho gaya.

             Isi doran misr ke badshahe Aazam rayyan bin balid ne ye khwab dekha ki saath farba gayon ko saath dubli gayen kha rahi hai aur saath hari baliyan hain aur saath sukhi baliyan hain. badshahe Aazam ne apne darbariyon se iss khwab ki tabir daryaft ki to logon ne iss khwab ko khwabe pareshan kah kar iss ki koi tabir nahi batayi itne me badshaah ka sakhi jo kaid khane se riha ho kar Aa gaya tha, uss ne kaha ki mujhe iss khwab ki tabir malum karne ke liye jel khane me jane ki ijazath di jaye. Chunanche,ye badshaa ka farstada ho kar kaid khane me hazrate yusuf alaihis salam ke pas gaya aur badshaah ka khwab bayan kar ke tabir daryafth ki, ki saath dubli gaain saath moti gaaiyon ko kha rahi hai aur saath hari baliyan hai aur saath hari baliyan hain aur saath sukhi, Hazrate Yusuf Alaihis Sallam ne farmaya ki saath baras musalsal kheti karo aur un ke anajon ko baliyon me mahfuz rakho.fir saath baras tak sakhth khushk sali rahegi, kahath ke in saath barason me pahale saath barason ka mahafuz kiya huva anaj log khayenge iss ke baad fir haryali ka saal ayega.khasid ne wapas ja kar badshah se uss ke khwab ki tabir batayi to badshah ne hukum diya ki hazrate yusuf alaihis salam ko jel khane se nikal kar mere darbar me lao khasid rihayi ka parvana le kar jel khane me pahuncha to Aap ne farmaya ki pahle zulekha aur dusri auraton ke zariye meri be gunahi aur paak damani ka izhar kara liya jaye iss ke baad hi main zail se bahar niklunga.Chunanche,badshaa ne iss ki tahkhik karayi to tahkhikhat ke doran zulekha ne ikhrar kar liya ki main ne khud hi hazrate yusuf alaihis salam ko fuslaya tha. khata meri hai. Hazrate yusuf sachche aur paak daman hain. iss ke baad badshaah ne hazrate yusuf alaihis salam ko darbar me bula kar kah diya ki Aap hamare motamad aur hamare darbar ke muazzaz hain.Hazrate yusuf alaihis salam ne kaha ki Aap zamin ke khazano ke intizami umur aur hifazath nizam ke intizam par mera takharrur kar den. Main pure nizam ko sambhal lunga.Badsha ne khazane ka intizami muamla aur mulk ke nizam va insiram ka pura shoba Aap ke supurd kar diya iss tarha mulke misr ki hukmrani ka ikhtidar Aap ko mil gaya.

              Iss ke Baad Aap ne khazano ka nizam apne haath me le kar saath saal tak kheti ka plan chalaya aur anajon ko baliyon me mahfuz rakha yahan tak ki khahut aur khushk salikha jor shuru ho gaya to puri saltanath ke log galle ki kharidari ke liye misr Aana surua ho gaya aur Aap ne jallon ki farokhth shuru kar di.

               Isi silsile me Aap ke Bhai kinAan se misr aye.Hazrate Yusuf Alaihi Salam ne to in logon ko dekhte hi pahli nazar me pahchan liya magar Aap ke bhaiyon ne Aap ko bilkul hi nahi pahchana Aap ne in logon ko galla de diya aur fir farmaya ki tumhara ek bhai (Banyamain) hai ayinda uss ko bhi saath le kar Aana agar tum log iyinda uss ko na laye to tumhen galla(gandum) nahi milega.

               Bhaiyon ne javab diya ki ham uss ke valik ko rizamand karne ki koshish karenge fir Hazrate Yusur Alaihis Salam ne Apne gulamo se kaha ki tum log in ki nakhdiyon ko in ki boriyon me dal do taki ye log jab apne ghar pahunch kar in nakhdiyon ko dekhengen to ummid hai ki zarur ye log wapas ayenge. Chunanche,jab yeh log apne walid ke pas pahunche to kahne lage ki Aabba jaan! Aab kai hoga! Azize misr ne to yeh kah diya hai ki jab tak tum log "Banyamain" ko saath le kar na Aavoge tumhen ghalla(Gandum) nahi milega. Lihaza Aap "Banyamain" ko hamare saath bhej den taki ham in ke hisse ka bhi ghalla (gandum) le len. Aur Aap itminan rakhen ki ham log in ki hifazath karenge iss ke Baad jab in logon ne apni boriyon ko khola to hairan rah gaya ki in ki rakhame aur  nakhdiyan in ki boriyon me maujud thi ye dekh kar baradrane yusuf ne fir apne walid se kaha ki Aabba jaan! iss se bad kar achchi sulukh aur kai chahiye? dekh lijiye Aazize misr ne ham ko pura pura ghalla bhi diya hai aur hamari nakhdiyon ko bhi vapas kar diya hai lihaza Aap bila khofo khwatar hamare bhai "Banyamain" ko hamare saath bhej den.

               Hazrate Yakhub Alaihis Salam ne farmaya ki main ek martaba "Yusuf" ke muAmle me tum logon par bharosa kar chuka hun to rum logon ne kai kar dala, Aab dobara main tum logon par kaise bharosa kar lun? main iss tarha "Banyamain" ko hargiz tum logon ke saath nahi bhezunga. Lekin hain agar tum log half utha kar mere samne Aahad karo to albatta main iss ko bhej sakta hun ye sun kar saab bhaiyon ne half le kar Ahmad kiya aur bhej sakta hun. Ye sun kar saab bhaiyon ne Half le kar ahmad kiya aur Aap ne in logon ke saath "Banyamain" ko bhej diya.

           Jab yeh log Azize misr ke darbar me pahunche to hazrate yusuf alaihis salam ne apne bhai "Banyamain" ko apni masnad par bitha liya. aur chupke se in ke kaan me kah diya ki main tumhara bhai."Yusuf" Hun lihaza tum koi firkr va gham na karo fir Aap ne saab ko Aanaj diya aur sab ne apni apni boriyon ko sambhal diya jab sab chalne lage Aap ne "Banyamain" ko apne pas rok liya. Aab baradarane yusuf sakht pareshan huve apne walida ke ru baru ye ahmad kar le Aay the ki ham Apni jaan par khel kar banyamain ki hifazath karenge aur yahan "banyamain" in ke saath  se chin liye gaye Aap ghar jayen to khuin kar aur yahan taharen to kaise ? ye muAmla dekh kar saab se bada bhai "yahuda" kahne laga ki ye mere bhaiyon! socho ki tum log balida sahib ko kai kai ahdon maiman de kar Aay ho? Aaur iss se pahle tum apne bhai yusuf ke saath kitni badi takhsir kar chuke ho lihaza main to jab tak valida sahib hukm na den iss zamin se hat nahi sakta hain tum log ghar jao aur valid sahib se sara mazara arz kar do chunanche, yahuda ke siva  dusre saab bhai lot kar ghar Aay aur apne valid se sara hal bayan kiya to hazrate yakhub Alaihis salam ne farmaya ki yusuf ki taraf Banyamain ke muamle me bhi tum logon ne hila saji ki hai. To khair, main sabr karta hun aur sabr bahut achchi chiz hai.Fir Aap ne muh fer kar rona shuru kar diya. aur kaha ki haiy afsos! aur hazrate yusuf alaihis sallam ko yad kar ke itna roye ki shiddate gham se nidal ho gaye aur rote rote ankhen safed ho gayi.Aap ki zaban se yusuf alaihis salam ka naam sun kar hazrate yakhub alaihis salam se in ke beton poton ne kaha ki abba jaan! Aap hamesha yusuf alaihis salam ko yad karte rahenge yahan tak ki labe ghor ho jayen ya jaan se guzar jayen. apne beton poton ki baath sun kar Aap ne farmaya ki main apne gham aur pareshani ki faryad allah azzawajal hi se karta hun aur main jo kuch janta hun vo tum logon ko malum nahin ye mere beton! Tum log jao aur yusuf aur uss ke bhai "banyamin" ko talash karo. aur khuda ki rahamat se mayus math ho jao kuinki khuda ki rahamat se mayus ho jana kafiron ka kaam hai.
       
           Chunanche,Baradarane  yusuf fir misr ko ravana huve aur ja kar azize misr se kaha ki ye azize misr! hamare ghar valon ko bahut badi musibath pahunch gayi aur ham chand khote sikke le kar aye hain.Lihaza Aap batore khairath ke kuch ghallah de dijiye apne bhaiyon ki zaban se ghar ki dastan aur kairath ka lafz sun kar hazrate yusuf alaihis salam par rikkath tari ho gayi aur Aap ne bhaiyon se pucha ki tum logon ko yaad hai ki tum logon ne yusuf aur us ke bhai banyamin ke saath kai kai suluk kiya hai? ye sun kar bhaiyon ne hairan ho kar pucha ki sach much Aap yusuf alaihis salam hi hain? to Aap ne farmaya ki han main hi yusuf hun aur banyamin mera bhai hai. Allah Tala ne ham par bada fazlo yehsan farmaya hai ye sunkar bhaiyon ne nihayat sharmindagi aur lajazat ke saath kahana shuru kiya ki bila shuba ham log vakhayi bade khatakar hain aur allah tala ne Aap ko ham logon par bahut fazilath bakhshi hai bhaiyon ki sharmindgi aur lajazat se mutassir ho kar Aap ka dil bhar Aaya aur Aap ne farmaya ki Aaj main tum logon ko malamath nahi karunga. Jao main ne sab kuch muaf kar diya. Allah Tala tumhen muaf farmaye.Aab tum log mera ye kurta le kar ghar jao aur abba jaan ke chehre par iss ko dal do to un ki ankhon me roshni Aajayegi fir tum log sab ghar valon ko saath le kar misr chale Aao.

           Bada Bhai yahuda kahne laga ki ye kurta main le kar jaunga kuinki hazrate yusuf alaihis salam ka kurta bakri ke khun me rang kar main hi un ke pas le gaya tha to jis tarha main ne unhen voh kurta de kar ghamghin kiya tha Aaj ye kurta le ja kar un ko khush kar dunga. Chunanche, yahuda ye kurta le kar ghar pahuncha aur apne valid ke chehre par dal diya to un ki ankhon me binayi Aa gayi fir hazrate yakhub alaihis salam ne tahajud ke waqth ke bad apne sab beton ke liye dua farmayi aur ye dua makhbul ho gayi chunanche, Aap par yeh vahi utari ki Aap ke sahibzadon ki khatayen bakhash di gayi.

           Fir misr ko ravangi ka saman hone laga hazrate yusuf alaihis salam ne apne valid aur saab ahlo iyal ko lane ke liye bhaiyon ke saath 200 suvariyan bhej di thi hazrate yakhub alaihis salam ne apne ghar valon ko jamA kiya to kul bahattar ya tihattar admi the jin ko saath le kar Aap misr ravana ho gaye magar allah tala ne Aap ki nasl me itni barkat Aata farmayi ki jab hazrate musa alaihis salam ke waqth me bani Israel misr se nikale to 6 lack se zaida the. halanki hazrate musa alaihis salam ka zamana hazrate yakhub alaihis salam ke misr jane se sirf char so saal baad ka zamana hai jab hazrate yakhub alaihis salam apne ahlo ayal ke saath misr ke kharib pahunche to hazrate yusuf ne char hazar lashkar aur bahuth se misri suvaron ko saath le kar Aap ka istiqhbal kiya aur sadah reshmi jhande aur khimti parcham laharate huve khitaren bandhe huve misr bashinde zulus ke saath ravana huve hazrate yakhub alaihis salam apne farzand "Yahuda" ke saath par tek lagaye tashrif la rahe the jab in lashkaron aur suvaron par Aap ki nazar padi to Aap ne daryaft farmaya ki ye firone misr ka lashkar hai? To yahuda ne arz kiya ki ji nahi ye Aap ke farzand hazrate yusuf alaihis salam hain jo apne lashkaron suvaron ke saath Aap ke istikhbal ke liye aye huve hain! Aap ko mutaAjjib dekh kar hazrate jibrael alaihis salam ne farmaya ki ye allah azzawajal ke nabi zara sar utha kar fazaye asmani me nazar farmayiye ki Aap ke surur va shadmani me shirkath ke liye malayika ka jamme ghafir hazir hain jo muddaton Aap ke gham me rote rahe hain. malayika ki tasbih aur ghodon ki hanhanahat aur talab va bhok ki avazon ne ajib samayen paida kar diya tha.

          Jab Bap bete dono kharib ho gaye aur hazrate yusuf alaihis salam ne salam ka irada kiya to hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki Aap zara tavakkuf kijiye aur apne pidre buzurgvar ko un ke rikkhat angrez salam ka maoka dijiye chunanche. hazrate yakhub alaihis salam ne in lafjon ke saath salam kaha ki
Yani ye tamam ghamo ko door karne vale Aap par salam ho fir Baap Beton ne nihayath garmjoshi ke saath muAankha kiya aur farte masarrath me dono khub roye. fir ek istakhbaliyath khaime me tashrif le gaye jo khoob muzyan aur arasta kiya gaya tha vahan thodi der tahar kar jab shahi mahal me ronak afroz huve to hazrate yusuf alaihis salam ne sahara de kar apne valid mohtaram ko takhte shahi par bithaya.aur in ke ird gir Aap ke 11 bhai aur Aap ki balida saab bait gaye aur saab ke saab bayak vkhat hazrate yusuf alaihis salam ke age sajde me gir pade. uss waqth hazrate yusuf alaihis salam ne Aapne valide buzurgvar ko mukhatab kar ke yeh kaha:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
               
                 Ye mere Baap yeh mere pahale khwab ki tabir hai beshak ise mere raab ne sachcha kiya aur beshak uss ne mujh par yehsan kiya ki mujhe kaid se nikala aur Aap saab ko gaon se le Aaya bad iss ke ki shaitan ne mujh me aur mere bhaiyon me nachaki kara di thi beshak mera raab jis baath ko chahe asan kar de beshak vohi ilmo hikmat vala hai.

             Yani mere 11 bhai sitare hain aur mere baap suraj aur meri valida chan hai aur ye saab mujh ko sajda kar rahe hain. yehi Aap ka khwab tha jo bachpan me dekha tha ki 11 sitare aur suraj va chand mujhe sajda kar rahe hain ye tarikhi vakhia muharram ki das tarikh(Ashura ke din) wukuA pajir huva.

Hazrat E Yakhub Alaihis Salam Ki Vafat:

                Asahabe tavarikh ka bayan hai ki hazrate yakhub alaihis salam misr me apne farzand hazrate yusuf alaihis salam ke paas 24 saal tak nihayat aram va khushhali me rahe. jab Aap ki vafat ka waqth kharib aya to Aap ne ye vasiyath farmayi ki mera janaza mulke shaam me le ja kar mujhe mere valid hazrate ishaq alaihis salam ki khabr ke pahalu me dafan karna chunanche,Aap ki vafath ke baad Aap ke jism mukhaddas ko lakdi ke sandukh me rakh kar misr se shaam laya gaya thik usi vaqth Aap ke bhai hazrate "Ghais" ki wafat huyi aur Aap dono bhaiyon ki viladath bhi ek saath huyi thi.Aur dono ek hi khabr me dafan kiye gaye aur dono bhaiyon ki umar 147 baras ki huyi hazrate yusuf alaihis salam apne valid aur chacha ko dafan farma kar fir misr tashrif laye aur apne valide majid ke baad 23 saal tak misr par hukumath farmate rahe iss ke baad Aap ki bhi vafat ho gayi.


Hazrate Yusuf Alaihis Salam Ki Khabr

                Aap ki vafat ke baad Aap ke makhame dafan me sakhth ikhtilafa paida ho gaya.Har mahalle vale husule varkat ke liye apne hi mahalle me dafan par israr karne lage.Akhir iss baath par sab ka ittifaq ho gaya ki Aap ko bich darya nil me dafan kiya jaye taki darya ka pani Aap ki khabr munavvar ko chuta huva guzre aur tamam misr vale Aap ke fuyuzo varkat se faizyab hote rahen.Chunanche, Aap ko sange mar mar ke sandukh me rakh kar darya e neel ke bich me dafan kiya gaya yahan tak ki 400 baras ke baad hazrate musa alaihis salam ne Aap ke tabuth sharif ko darya se nikal kar Aap ke Aabao ajdad ki khabro ke pas mulke sham me dafan farmaya ba vakhte vafat Aap ki umr sharif 120 baras ki thi aur Aap ke valide mohtaram hazrate yakhub alaihis salam ne 147 baras ki umr payi. Aur Aap ke dada hazrate Isahaq alaihis salam ki umr sharif 180 saal ki huyi aur Aap ke pardada Hazrate Ibrahim Khalilullah Alaihis Salam ki umr sharif 175 saal ki huyi.