Aap Ka naam "Akhnukh" hai. Aap Hazrate Nooh Alaihis Salam ke Valid ke Dada hain. Hazrate Adam Alaihis Salam ke Bad Aap hi pahle Rasool hain. Aap ke valid Hazrate Shish Bin Adam Alaihis Salam hain. Saab se pahle jis shakhs ne kalam se likha vo Aap hi hain. Kapdon ke sine aur sile huve kapde pahanne ki ibtida bhi Aap hi se huyi. Iss se pahle log janvaron ki khalen pahante the. Saab se pahle Hatyar banane vale, Tarazu aur paimane khayim karne vale aur ilme nujum va hisab me nazar farmane vale bhi Aap hi hain. Ye saab kaam Aap hi se shuru huve.Allah Tala ne Aap par tis sahife nazil farmaye, aur Aap Allah Tala ki kitabon ka ba kasrath dars diya karte the. Iss liye Aap ka lakhab "Idris" ho gaya, Aur Aap ka ye lakhab iss khadar mashhur ho gaya ki bahut se logon ko Aap ka Asli naam malum hi nahi. Aur Quran e Majid me bhi Aap ka naam "Idris" hi zikr kiya gaya hai.
Aap ko Allah Tala ne Asman par utha liya hai. Bukhari va Muslim ki Hadis me hai ki Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne Shabe Mehraj Hazrate Idris Alaihis Salam ko 4(Chauthe) Asman par dekha.Hazrate KaBul Ahbar Raziyallahu Tala Anha vaghaira se marvi hai. Hazrate Idris Alaihis Salam ne malkul mauth se farmaya ki mauth ka maza chakna chahta hun, kaisa hota hai? Tum meri rooh khabz kar ke dikhao. Malkul Mauth ne is hukum ki tamil ki aur rooh khabz kar ke usi waqt Aap ki taraf lota di aur Aap zinda ho gaya. fir Aap ne farmaya ki Aab mujhe jahannam dikhao taki khofe ilahi ziyada ho. Chunanche, Ye bhi kiya gaya jahannam ko dekh kar Aap ne darogaye jahannam se farmaya ki darvaza kholo, main uss darvaze se guzarna chahta hun.Chunanche, yesa hi kiya gaya aur Aap iss par se guzre. Fir Aap ne malkul mauth se farmaya ki mujhe jannath dikhao, vo Aap ko jannath me le gaye. Aap darvajon ko khulva kar jannath me dakhil huve. Thodi der intizar ke baad malkul mauth ne kaha ki Aab Aap apne makham par tashrif le chaliye.Aap ne farmaya ki Aab main yahan se kahin nahi jaunga. Allah Tala ne farmaya hai ki Kullu Nafsin ZaAyikhatul Mauth to mauth ka maza main chakha hi chuka hun aur allah tala ne ye farmaya hai ki Va Inm Minkum Illa Va Riduha ki har shakhs ko jahannam par guzarna hai to main guzar chuka. Aab main jannath me pahunch gaya aur jannath me pahunchne valon ke liye khudavande khuddus ne ye farmaya hai ki Vama Hum Minha Bimukhrajina ki jannath me dakhil hone vale jannath se nikale nahi jayenge. Aab mujhe jannath se chalne ke liye kuin kahte ho? Allah Tala ne malkul mauth ko vahi bheji ki Hazrate Idris Alaihis Salam ne jo kuch kiya mere izn se kiya aur vo mere hi izn se jannath me dakhil huve. Lihaza tum unhen chod do. vo jannath hi me rahenge. Chunanche, Hazrate Idris Alaihis Salam Asmano ke upar jannath me hain aur zinda hain.
Hazrate Idris Alaihis Salam ke asmano par uthaye jane aur in ko milne vali nematon ka mukhtasar aur yijmali tazkira Quran e Majid ki surah maryam hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur kitab me Idris ko yad karo beshak vo siddiqh tha ghaib ki khabren deta aur ham ne use buland makan par utha liya yeh hai jin par Allah ne Yehsan kiya gaib ki khabren batane valon me se adam ki avlad se.
Darse Hidayath:
Hazrate Idrish Alaihis Salam ke waqhiye se ye hidayath ka sabak milta hai ki Allah Tala ka rasulon aur nabiyon par kitna bada fazlo karam aur yinamo ikraam hai. iss liye har musalman ke liye vazibul imaan aur lazimul amal hai ki khudavande khuddus ke rasulon aur nabiyon ki tazimo takrim aur un ka adbo yehtiram rakhe aur in ke zikre jamil se khairo barkath hasil karta rahe Quran e Majid ki mukhaddas ayaton aur hadison me bar bar khuda ke in barguzida rasoollon aur nabiyon ka zikre jamil iss baath ki dalil hai ki in buzulgon ka zikre khair aur tazkira mujibe rahamath va bayise khairo barkath hai.