Jab Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anhu Hazrate Isa Alaihis Salam ko god me le kar bani Israel ki basti me tashrif layi to Khom ne Aap par badkari ki tohmat lagayi.Aur logon ne kahna shuru kar diya ki ye maryam! Tum ne ye bahut bura kaam kiya halanki tumhare validain me to koi kharabi nahi thi aur tumhari maa bhi badkar nahi thi. Baghair Shohar ke tumhare ladka kaise ho gaya? Jab khom ne bahut ziyada tana zani aur badgoyi ki to hazrate maryam Raziyallahu Tala Anhu khud to khamosh rahi magar irshad kiya ki iss bachche se tum log saab kuch puch lo to logon ne kaha ki ham iss bachche se kai aur kuin kar aur kis tarha guftagu karen? Ye to abhi bachcha hai jo palne me pada huva hai. Khom ka ye kalam sun kar hazrate isa alaihis salam ne taqrir shuru kar di. Jis ka zikr Allah Tala ne Quran e Majid me yun farmaya hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Bachche ne farmaya main hun Allah ka banda uss ne mujhe kitab di aur mujhe ghaib ki khabren batane vala(Nabi) kiya aur uss ne mujhe mubarak kiya main kahin houn aur mujhe namaz va zakat ki takid farmayi jab tak jiyun. Aur apni maa se achcha suluk karne vala aur mujhe zabardast bad bakht na kiya aur vohi salamati mujh par jis din main paida huva aur jis din marunga aur jis din jinda uthaya jaunga.
Darse Hidayath:
1. Ye Hazrate Isa Alaihis Salam ka mojiza hai ki paida hote hi fasiha zaban me yesi jameA takrir farmayi. Iss Takrir me sab se pahle Aapne ko khuda ka banda kaha taki koi unhen khuda ya khuda ka beta na kah sake. Kuinki log Ayinda Aap par tohmat lagane vale the.Aur ye tohmat Allah Tala par lagti thi. Iss liye Aap ke mansabe risalat ka yehi takhaza tha ki apni valida par lagayi jane vali tohmat ko rafA karne se pahle uss tohmat ko dafA karen jo Allah Tala par lagayi jane vali thi.Allahu Akbar ! Sach hai khudavande khuddus jis ko nabuvath ke sharaf se navazta hai yakhinan uss ki viladath nihayath hi paak aur tayyibo tahir hoti hai aur bachpan hi se uss ki nabuvath ke Aala asar zahir hone lagte hain.
2. Surah Maryam ke iss rukuh me Allah Tala ne hazrate Isa Alaihis Salam ka pura zikr milad sharif me bayan farmaya hai aur akhir me salam ka zikr hai. Iss se malum huva ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ka milad pad kar akhir me salatu salam padna ye khud Allah Tala ki mukhaddas sunnat hai aur yehi ahle sunnath va jamath ka mubarak amal hai.
3. Hazrate Isa Alaihis Salam ki Mazkura bala taqrir se malum huva ki namaz, zakath aur maa-baap ke saath husne suluk yeh yese farayiz hain jo hazrate isa alaihis salam ki shariath me bhi farz the.