Adrak Ke Faide



Ek Masale ke roop me adrak ka istemal sadiyon se hota raha hai.adrak ka istemal morabba,Paak,Aachar ke shakal me kiya jata hai.Sauth to adrak se hi taiyaar hota hai.Sauth ka upyog garmiyon mein nahi karna chahiye, lekin adrak ka istemal kuch mikdath mein kiya ja sakta hai.

Aaiye jane tarha tarha ki bimariyon mein adrak kis tarha hamare kaam Aata hai.

KHANSI

Adrak aur nimbu ke Raas aur Sahad 3 ko sahi mikdath me milakar din me 2 baar piye.adrak ke raas main shehad milakar chatne se bhi rahat milti hai.

KHABZ

Adrak,azwain aur gud in tino ko sahi mikdath me kut le, ise ghee mein bhun kar paani dalkar pakaye.ise niyamit roop se khane se khabz ki shikayat door ho jati hai.

PEET MEIN JALAN YA DARD

apach ke karan peet main jalan ho tohdo ganne ka raas ek ganth adrak ke sath piye.gas se hone wali gale ki jalan bhi shant ho jayegi adrak aur pudina ka ras aur sendha namak milakar chai banaye.

GETHIYA

adrak ko barook katein aur taza ghee main bhunkar khaye. adrak ko til ke tel main garam karke is tel se jodon ki malish karen.

INFLUENZA YA FLU

adrak aur tulsi ke patte, kali mirch aur longinsab ko milakar chai banaye. teen char baar aisi chai ka istemal karen. influenza ya flu main rahat milegi.

MANDAGNI

adrak ka raas, nimbu ka raas aur sendha namak ek saath milakar khane se pehle lene se mandagni door hoti hai.aur khulkar bhookh lagti hai,isse cough,vayu vikar ka bhi shaman hota hai.

MASUDHON KI SUJAN

sauth ka churan paani ke sath istemal karne se masudon ki sujan aur daanton ke dard se chutkara milta hai.

BUKHAR

adrak aur pudine ka kadha banakar piye.ye thandi bukhar main bhi faydemand hai.

KAMJORI

sauth,bael ki giri,choti elichi,dalchini aur chuhara barabar matra main kut kar bareek powder bana le.ise roj subha-sham dood ke sath len.ya bimari ke baad ki kamjori ko door karta hai.


ULTI

adrak aur pyaz ka raas milakar peene se ulti door ho jati hai. 

KARBALA KE BAA'AD" Part - 05


Cont...

DIRHAM KHAAK HO GAYE.

Agle Din Subha Jab Koofiyo Ne Us Nou Muslim Se 10,000 Dirham Liye Aur Ser-E-Aqdas Ko Lekar Koonch Kar Diya Jab Raaste me Un Dirhamo Ko aapas me Baantna Chaha ro Aalam ye tha ke Kuch Dirhamo ke Alawa Baki Sab khaak ho Chuke the..

Aur Un Bache Huwe Dirhamo Me Ek Taraf Ye Ayat-E-Kareena Munkash Thi..

TARJUMA.

ZULM KARNE WALO KE ZULM SE ALLAH KO BE KHABAR NA SAMJO..

Aur Dusri Taraf Ye Ayate Kareema tehrir thi..

YANI WO WAQT QAREEB HAI KE ZALIMO PAR KESI-KESI MUSIBATE PADE.


KHAWLI AUR USKI BIWI.


Jis Raah Se Ye Bad'Nihad Koofi Safar Kar Rahe the, Usi Raah Me Khawli bin Yazeed Ka Ghar Tha, Jab Khawli Bin Yazeed Apne Maqam Me Pahucha To Ek Raat Ke Liye Apne Makan me Thehar Gaya...

Imam-E-Aali Maqam ??? ???? ??? Ke Ser Mubarak Ko Le'jakar Ghar ke Tanoor Me Rakh diya Aur Apni Biwi Ke Puchne Par Jawab Diya Ke Ek Saksh Yazeed Ka Mukhalif Ho Gaya Tha Usi Ka Ser hai..

Khawli Ki Biwi Ek Aabeda-Wa-Saleha Khatoon Thi Raat ko Tahajjud ke Liye Uthi to Dekha Ke Tanoor Se Tez Kism ki Roshni Nikal Rahi hai Sochne Lagi Ke Tanoor me Aag Ki ek Bhi Chingari Nahi thi Fir Ye Roshni Kaha Se Aayi..

Abhi Hairat Me thi Aur Ye Kefiyat Khatm bhi Na huyi Thi Ke Dekha kuch Muqaddas Bibiya aayi Aur Tanoor se Ek Ser Nikala Khawli ki Biwi ne Gour se Dekha To Wo Noorani Shu'aye Usi Ser-E-Anwar se Nikal rahi thi..

Un Aane Wali Muqaddas Khawatin Ne Ser-E-Paak ko Mushq-Wa-Gulab se Gusl Diya Aur Badi Shaf'kat-Wa-Muhabbat se Ek Khatoon-E-Mohtaram ne Ser ko Apne Seene Se Laga Liya Aur Aankho Se Aansu ki Dhaar Phoot Padi Uske Bad Farmaya..

AYE MERE LAKHTE JIGAR AYE MERE SAHEED MAZLOOM, HAQQ TAA'LA BAROZ-E-MEHSHAR TERE KHOON-E-NA'HAQQ KA INSAF FARMAYEGA AUR MERE HATHO SE US WAQT TAK ARSHE RABKA KANGURA NA CHUTEGA JAB TAK ME TERA PURA-PURA KHOON BAHA NAA LE LUNGI.

Kuch Der Bad Wo Mohtaram Khawatin Ser-E-Mubarak ko Tanoor me Rakhkar Wapas Chali Gayi Wo Noorani Shuwaye Bhi Khatm ho Gayi...

Ye Manzar Dekhne Ke bad Khawli Ki Biwi Fouran Uthi Aur Tanoor se Ser-E-Anwar ko Bahar Nikalkar Gour se Dekhne Lagi, Chunke Barha Imam-E-Aali maqam Ki Ziyarat Ka Sharf Hasil Kar Chuki Thi Pehchan Liya ke Ye To Jigar Gosha-E-Rasool Ka Ser Mubarak hai..

Ek Cheenkh mari Aur Behosh Hokar Gir Padi Aur Behoshi Ke Alam Me Dekhti hai Ke Kuch Buzurg Tashrif Laye Hai Aur Farmate hai Ke aye Afifa Hirasa Na Ho Zurm Tere Sohar ne Kiya, Baaz Purs Usse Hogi..

Usne Pucha Jo Khawatin Aayi Thi Wo Koun hai ?? Jawab mila Ke Bari-Bari Ser Ko Seene se lagane Wali Saiyeda fatima Zahra Aur Hazrate Khadijat-Ul-Qubra Thi, aur Zaar Wa Qatar Rone Wali Hazrat Siddiqa Aur Hazrate Mariyam Binte Imran Thi Uske Bad Fouran Khawli Ki Biwi ko Hosh aa gaya..

Ser-E-Aqdas Ko Intehayi Tazeem se Ek Buland maqam par Rakhkar Apne Sohar Ko Jagaya Aur Kaha Ke Aye Siyah Bakht Tune To Kaha Tha Ki Ye Yazeed ke Ek Baaghi Ke Mukable Ke liye gaya tha, ye Usi Ka Ser Hai Saaf kyo Nahi Kehta Ke Apni Sehwate Azali Ki Wajah se Jigar Gosha-E-Rasool Ke Muqable Me Gaya tha...

Aur Ye Unhi Ka Ser hai Kaan Kholkar Sun le Ke Mujhse Ab tera koi wasta nahi Ne Duniya-Wa-Akhirat Dono Jagah Tujhse Bezar Hu Ye Kehkar Chadar Odhi Aur ghar se Bahar Nikal gayi Fir Kisi Ko Ye Na Maloom Ho Saka Ke wo kaha gayi...

JARI RAHEGA...

KARBALA KE BAA'AD" Part - 04


GOSHT KHOON BAN GAYA...

Cont..

Din Bhar Safar Karne Ke Bad Shaam ko Jab Yazeedi Apni Pehli Manzil Par Theharte Hai To Ahle Baite Athar Se Cheena Huwa Ek Ount Zibah Kiya Lekin Jab Khane Bethe to Sara Gosht Khoon Ban Gaya Aur Usse Aag Ke Bhadakte Huwe Shole Nikalne Lage Nachar Khajur ka Shira Pikar Raat Guzari Aur Subha Fir Rawana Ho Gaye..

GAYBI HATH.


Aaj Jab In Zaleem Yazidiyo ne Dusri Manzil Par Qayam Kiya To Samne Hi Ek Girza Nazar Aaya Lihaza Jin Nezo Par Ye Zaleem Sohda Ke Sero ko Uthaye Huwe The, Unhe Bajaye Zameen Par Ghadne Ke Ya Kisi Dusre Maqam Par Rakhne Ke Lejakar Girze Ki Deewar Par Tikakar Khada Kar Diya Sohda-E-Kiram ke Ser-E-Muqaddas se Barabar Khoon ke Qatre Tapak-Tapak Kar Unki Hayate Javeda Ka Saboot Pesh Kar Rahe the,

Achanak Girze ki Deewar Shaak Ho Gayi Aur Usse Ek Hath Namoodar Huwa Jisme Lohe ka Kalam Tha, Us Hath ne Lohe Ke Kalam Ko Sohda Ke Khoon Me Dubokar Girze Ki Deewar Par Ye Sher Likha...

ATRAJU AMAT QATLAT HUSSAINA, SHAFA'ATO JADDEHI YOUMAL HISAB...

Tarjuma:-

KIYA HAI QATL JINHONE HUSSAIN PYARE KO HAI KYA UNHE BHI UMMID SHAFA'AT MEHSHAR ME...

Jab Yazeediyo ne Is Sher ko Padha Aur Apne Bhayanak Anjam Par Gour kiya To Saraseema Ho Gaye Aur Ghabrakar Yaha se bhi Aage Ki Janib Nikal Gaye...


Jab Yazeedi Apni Teesri Manzil Par Pahoche To Waha bhi Ek Girza Dekha Aur Ye Sher Uski Deewar Par Pehle Se Hi Likha Huwa tha Padri ko Bulakar Pucha Ke Girze ki Deewar par Ye Sher Kisne Likha hai?? Aur Kab Likha hai???

Padri ne Jawab Diya Ke Is Zamane Ka Likha Huwa Nahi hai Balke me Apne Aaba-Wa-Ajdad Se Sunta Aya Hu Ke Nabi-E-Akhiruzzama Ki Pedaish Se 500 Saal Pehle Ye Sher Is Girza ki Deewar Par Likha Paya gaya hai Aur Us Waqt Se Lekar Aaj Tak Wesa Hi Moujood hai..

Lekin Tum Log Ye Batao Ke Tum Koun ho ?? Aur Is Sher Ke Mutallik Kyo Dariyaft Kar Rahe ho Koofiyo ne Jawab Diya Ke Koi Khas Wajah Nahi, Padri Ne Sohda Ke Sero ke Mutallik Pucha Ke Ye Kin Logo ke Ser hai Jinhe Tumne Nezo Par Chada Rakha hai Yazeediyo ne Jawab Diya Ke Ameer'ul'Momineen Yazeed ke Baghiyo Ke Ser hai..

(MAAZ'ALLAH)


PADRI KA MUSALMAN HONA.


Padri ki Nazar Ser-E-Paake Imam Par Padi Aur uspar ek Ajeeb Kefiyat Taari Ho Gayi Us Girje Ke Padri ne Kaha ki Ek Raat ke Liye Ser-E-Imam-E-Paak Muje De Do Uske Badle Me Ap logo ko 10,000 Dirham Dunga....

Duniya ke Kutte Yazeedi 10,000 Dirham Ki Peshkash Ko Thukra Na Sake Aur Thukrate Bhi Kese Jabke Isi Duniyawi Maal-O-Zarr Ki Lalach Me Apne Deen-Wa-Aqibat Ko Tabah-Wa-Barbad Kar Chuke The Turant Raazi Ho Gaye Aur Raat Bhar ke Liye Imam-E-Aali Maqam Ka Ser-E-Paak Us Padri Ke Hawale Kar Diya...

Padri Ne Imam Ke Ser-E-Paak ko Lekar Gulaab-Wa-Kewda Se Dhoya Aur Ek Sandali Chowki Par Mushq-Wa-Ambar Se Bada Huwa Makhmali Gilaf Chadhakar Ser Mubarak Ko Rakh Diya Aur Raatbhar Mu'addab Hokar Hath Bandhe Samne Khada Ye Purkaif Manzar Dekhta Raha Ke..

SER-E-AQDAS SE EK NOOR NIKALKAR AASMAN KI JANIB BULAND HOTA HAI JISSE ZAMEEN-O-AASMAN SARI FIZA MUNAWWAR HO JATI HAI..

Sari Raat Se Subha Tak Anwar-Wa-Tajalliyat Ka Mushaheda Karke Be'sakhta Pukar Utha Ke Aye Ibne Rasool Aap Mare Nahi Balki Zinda hai Aur Us Batpar Gawah Rahiye Ke Me Padhta Hu "Ashhadu An Lailaha Illallahu Wa'Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluh"

Ser-E-Imame Paak ki Ye Zinda Karamat Nahi To Aur Kya hai Ke Jis Raah se Guzar Ho Raha hai Iman-Wa-Islam Ki Doulat Bantta Ja Raha hai, Gair Muslim Halka Bagoshe Islam Bante Ja Rahe hai Lekin Islam-Wa-Imaan Ke Dawedar Ese Bad Kismat Ke Naapak Duniya ki Hirs-Wa-Hawas Me Deen-Wa-Imaan Ki Doulat Tak Loota Bethe...

JARI RAHEGA....

KARBALA KE BAA'AD Part-3





To Be Continued.......

WAA BUL KHUZAYI.

Waa Bul Khuzayi Ke Ladke ka Bayan hai Ke Inteqal ke Waqt Mere Baap Ka Chehra Siyah(Kala) Ho Gaya Mene Intihayi Raazdari ke Sath Bager Kisi ko Ittela Diye Use Dafan Kar diya Lekin Apne Baap ki Ye Kefiyat Me Bahut Ranjida Aur Malool Rehta tha...

Ek Raat Mene Khawab me Dekha Ke Mere Baap ki Shakal Bahut hi Noorani Ho Gayi hai Aur Umda Safed Noorani Libas Pehne Huwe Hai, Mene Pucha Aye Baap ! ALLAH RABBUL IZZAT NE TERE SATH KYA MUAMMLA KIYA !

Jawab Diya ke Allah Taa'la ne Muje Baksh Diya Mene Kaha ke Marte Waqt Tera Chehra Siyah Aur Zuban Gungi Ho Gayi thi Mere Baap ne Jawab Diya Ke Sharab Pine ki Wajah se Marte Waqt Mera Chehra Siyah ho Gaya tha..

Aur Me Qabr me Isi Halat me Tha ke Allah ke Pyare Habib Janabe Akram Huzure Aqdas ? Tashrif laye Aur Muje Dekhkar Farmaya Tu WAA BUL HAI ?? Mene Adab se Arz kiya Ya Rasoolallah ? Me Waa Bul hi hu,

Sarkare Do Aalam ? Ne Farmaya ke Mere Jigar Goshe Hussain-W-Digar Sohda Ki Sahadat ke Mutallik Tumne Jo Ash'aar Likhe hai Muje Apni Zuban se Suna Sarkare Do Aalam ? Ka Itna Farmana Tha ke Meri Zuban ko Goyayi Mil gayi..

Aur Jo Ash'aar Mene Sohda-E-Karbala ke Mutallik Likhe The Unhe Sarkar Ko Sunaya Allah Ke Pyare Habib ? Un Ash'aar Ko Sunkar Aab Didah Ho Gaye Aur Farmaya ke Tune Sach kaha..

Aur Meri Bakshish ki Duwa ki Jisse Mera Chehra Roshan Ho Gaya Aur Apna Libas Mubarak Muje Inayat Farmaya Jise me Is Waqt Pehne Huwe hu...


JINNO(JINNATO) KA NOHA.

Qabeela Bani Tayy Ke Ek Saksh Ka Bayan hai Ke Mene Jinno Ko Noha Karte Huwe Suna..

TARJUMA:-

Rasoolallah ? Ne Jinki Peshani ka Bosa Diya Jiske Rukhsar-E-Taaba Wa Darkhasa Unke Aaba-Wa-Ajdah Aala-Wa-Akhir Khandan Se Talluk Rakhte hai...

Jab Madina Munawwara Me Baa'az Badbakhto Ne Khutba Dete Huwe Hazrat Imame hussain ??? ???? ??? Ki Sahadat Par Khushi Ka Izhar Kiya to Us Shab Madina Munawwara Me Ma'darja Zail Ye Ash'aar Sunayi Dene Lage, LEKIN INKA PADHNE WALA NAZAR NAHI AATA THA...

AYE IMAM-E-HUSSAIN ??? ???? ??? KO ZIHALAT SE QATL KARNE WALO TUMHE SAKHT RUSWA KUNN AZAB KI KHUSHKHABRI HO, AASMAN ME JITNI BHI MAKHLOOK HAI KHAWAH WO AMBIYA YA MALAIKA SAB TUMPAR HALAKAT KI DUWA KARTE HAI, TUMPAR LAA'NAT BA'ZUBANE SULEMAN IBNE DAWOOD AUR ISA ALEYHISSALAM JO SAHIBE INJEEL HAI....


KARBALA SE KOOFA TAK.

KARBALA SE RAWANGI.

Ibne Sa'ad Ne Gulshane Fatmi Taar'aj Karne ke Bad 12 Muharram Tak Medane Karbala me Thehra Raha, Apne Lashkar Ke Maqtool Jahannamiyo ki Lasho Ko Jama Karke Namaze Janaza Padhi Aur Kafan-Wa-Dafan Ki Rasm Itminan Se Ada ki....

Lekin Us Shaki Azali Ko Ye Toufiq na Huyi Ke Lasha-E-Sohda Ke Kafan-Wa-Dafan ka Intezam Karta, Aur Ye Toufiq Use Naseeb bhi Kese hoti Jab Ke Shaqawat Uske Liye Mukaddar Ho Chuki thi...

Neez Khudaye Kadeer Ko Ye Gawara Na Huwa ke Meri Raah me Saheed Huwe Mere In Mehboob Bando par Yazeediyo ka Koi Bhi Ehsan Rahe, Lihaza Ibne Sa'ad Ya Kisi bhi Yazeedi Ko Is Bat ka Khayal Tak na Aaya...

Ba'az Riwayato se Is Bat ki Sahadat Milti hai Ke Yazeediyo Ke Chale Jane Ke bad Nehre Furat Ke Kinare Aabad "GAZRIYA" Naami Ek Gaanw Ke Log Aaye Aur Bade Adab O Ehtaram K Sath Sohda Ki Lasho Ke Kafan-Wa-Dafan Ki Rasm Ada ki...


Yazeediyo ne Sohda-E-Kiram ke Sero Ko Aaps me Baant liya 12 Ser Qabeela HAWAZUN Ko Diye gaye, 13 Ibne Ash'at Ko 14 Bani Tameem Ko Baki Ser Dusre Mukhtalif Qabeele Walo ne Liye..

Ser-E-Paake Imam Aali Maqam ??? ???? ??? Khawli ko Diya gaya Khawli Bin Yazeed Lashkar ki Rawangi se Pehle hi Janibe Koofa Chal Pada..

13vi Muharram Ki Subha Yazeedi Lashkar Loota Huwa Qaflaye Hussaini Ko Apni Hirasat me Lekar Koofa ki Janib Rawana hota hai Nezo par Sohda Ke Ser hai Ahle Bait ki Iffat'Maab Khawatin ko Ke Jinke Sero se Begairat Aur Be'haya Yazeediyo ne Dupatta Tak Cheen Liya Hai Be'parda Wa Be Hijab Ounto par Bager Mahmil-Wa-Kuniwah Bitha diya hai...

Hazrate Aabid Beemar ??? ???? ??? Jinhe Bimari Ki Shiddat ne Hadd Darja Naheef-Wa-Natwa Kar Diya hai, Yazeediyo ne Pero me Bedi Hatho me Hathkadi Pehnakar Harame Muhammadi Ke Ounto ki Naqeel Aapke Hath me De di hai..

In Yazeediyo se Itna bhi na Ho Saka ke Jigar Gosha-E-Rasool Ke Liye bhi Sawari ka Intezam Kar dete Aur Intezam Karte bhi kese Unhe to Zulm-O-Sitam Ke Ek-Ek Harbe Ko Aale Rasool Par Aazam Kar Apni Zalimana Fitrat Ki Pyas Bujhani Thi.

Imame Hussain ??? ???? ??? Ke Ladle Chahite Farzand Pa'piyada Ounto ki Muhar Pakde Chal Rahe hai, Jis Waqt Ahle Bait ka Mazloom Kafla Maqtale Sohda Se Guzra to Izterari Tor par Unki Cheenkhe Buland ho Gayi Yaas-Wa-Hasrat Bhari Huyi Nigaho se Is Andohnaak Manzar ko Dekhte Huwe Kafla Aage Badh Gaya...

JARI RAHEGA.

"KARBALA KE BAA'AD" Part-02




To Be Continued.........


BARKAT WALA DARAKHT.


Hazrat Umme Ma'bad Ki Bahen Ki Sahabzadi Hazrat Hind ka Bayan hai Ke Ek Martaba Allah Ke Rasool ? Mere Kheme Me Tashrif Laye, Kuch Der Aaram Farmane Ke bad Jab Bedar Huwe To Pani Talab Farmaya Apne Dono Hatho Ko Dhoya Aur Kulli Farmayi...

Kheme Ke Bahar Jhadiyo Me Jaha par Huzur ? ne Kulli Ka Pani Dala tha Subha Humne Dekha to Waha Ek Ajeeb Kism Ka Darakht Paida ho Gaya Jisme Bade Bade Phal Lage Huwe Hai Jinme Ambar Jesi Khooshbu Aur Sehad Jesi Mithas hai..

Un Phalo me Ye Khasiyat thi Ke Agar Bhooka Khata To Sair Ho Jaye Aur Pyasa Khaye to Sairab ho Jaye Beemar Khaye to Shifayab Ho Jaye Aur Koi Ount Ya Bakri Uska Phal Kha le To Uska Doodh Zyada ho Jaye Humne Uska Naam Shajr-E-Mubarika(Barkat Wala Darakht) Rakha tha...

Aetraf Wa Jawanib Se Qaseer Ta'dat me Log Aate the Aur Usse Faiz Hasil Karte the, Achanak Ek Subha ko Humne Dekha ke Us Darakht ke Tamam Phal Gir Gaye Hai Aur Patte Sukhe Huwe hai Hum Log Bahut Pareshan Huwe Esa Kyo Huwa ??

Itne me Ittela Mili Ke Allah Ke Pyare Habib ? Ka Wisal Ho Gaya hai Fir Kuch Dino bad Darakht me Naye Patte Aa gaye Phal Bhi Lag Gaye....

Is Waqiye ke 30 Baras Ba'ad Ek Subha ko Fir Humne Dekha Us Darakht ke Tane se Lekar Upar Tak Kaante Paida Ho Gaye Aur Phal Gir Gaye Hai Hum Log Sakht Tashwish me Mubtila Ho Gaye ki Zarur koi Hadsa Huwa hai...

Waha Tak Ittela Mili ke Hazrat Ali-E-Murtuza ??? ???? ??? Ne Sahadat Ka Jaam Nosh Farma Liya hai, Uske Bad Us Darakht me Phal nahi Lage Mehaz Patte Baki Reh Gaye Hum Log Unhi Patto se Faiz Hasil Karte Rahe..

Kuch Dino Bad Ek Subha ko Humne Ye Dekha Ke Us Mubarak Darakht Se Taaza Khoon Jari hai Patte Sukhkar Gir Gaye Hum Logo ne Gumaan kiya Ke Shayad Fir koi Bada Hadsa Ru'nooma Huwa hai, Din Isi Wehshat Aur Pareshani Ke Aalam Me Guzra Raat ke Waqt Us Darakht se Rone ki Aawaz Aayu Jisse Hum Logo Ki Wehshat Aur Badh Gayi..

Yaha Tak Ke Dusre Din Ittela Mili ke Saiyedna Imam-E-Hussain ??? ???? ??? Aur Apke Ahle Bait Aur Dusre Sathiyo Ko 3 Din ki Bhook-Wa-Pyaas Ke Aalam Me Medane Karbala Me Yazeediyo Ne Saheed Kar Diya Fir Wo Darakht Kabhi Shadab(Hara) Nahi Huwa....

Allahu Akbar..

SAFED KABOOTAR


Jis Waqt Saiyedna Imame Hussain ??? ???? ??? Ne Sahadat Payi, Ek Safed Kabootar Udta Huwa Aaya Aur Apne Baal-Wa-Parr Ko Imam-E-Aali Maqam Ke Khoon me Tarr kiya Aur Udd Gaya...

Hatta ke Ye Kabootar Udta Huwa Madina Taiyeba Pahucha Tawaf Jese Andaz me Huzur ? Ke Roza-E-Paak Ke Gird Udta tha Aur Uske Paro se Khoon Ke Katrat Tapak Rahe the...

Ahle Madina Uski Ye Kefiyat Dekhkar Hairan The Ke Muammla Kya hai Aur Jab Kuch Dino Ke Bad Unhe Imame Aali Maqam ki Sahadat ki Khabar Mili to Unhone Samjha Ke Sabse Pehle Zahiri Tor pe Ye Khabar Pahuchane ke Liye Ye Kabootar Hazir Huwa hai...

Buzurgo ne Irshad Farmaya Ke Surkh Rang ke Jo Kabootar Aaj Paye Jate hai Wo Usi Kabootar ki Nasl se hai...


AJEEB PARINDA.


Kanzul Garaeeb Ke Hawale se "SAHIBE ROZATUSH SOHDA" Likhte hai,

Ek Yahoodi Tha Uski Ladki Zahiri Shakl Wa Soorat me Bahut Achi thi Lekin Achanak Wo Nabina Ho Gayi Aur Hatho-Wa-Pero me Kodh Ka Marz Ho Gaya, Muhalla Wa Pados ke Log Is Ladki ko Shadeed Nafrat ki Nigah se Dekhte The, Yaha Tak ke Yahoodi Apni Ladki ko Lekar Sehar se Bahar Apne Ek Baagh Me Mukeem Ho Gaya..

Din Bhar Sehar me Karobar Karta Shaam ko Baag me Ladki ke Pas Aa jata Ek Din Ittefaq Esa Huwa ke Yahoodi Karobar me Itna Masroof Ho Gaya Shaam ko Baag me Wapas na Aa saka..

Ladki ne Tanha Ek Darakht ke Niche Raat Guzari Subha Us Ladki ne Kareeb hi Ek Darakht Par Ek Parinde ki Giryazari Ki Dardnaak Aawaz Suni...

Use Taabe Zabt na Rahi Kisi Trah Ghasitti Huyi Us Darakht ke Niche Pahuchi Agarche Nabina thi Lekin Apne Ser ko Upar ki Janib Uthakar Rone Wale Parinde ki Janib Mutawajjah Ho Gayi..

Achanak Us Parinde Ke Parr se Khoon Ka Ek Garam Qatra Uski Dahini Aankh Me Tapka Uski Wo Aankh Roshan Ho Gayi..

Fir Khoon ka Ek Qatra Uske Dahine Hath Par Tapka Wo Hath Durust ho Gaya Ladki ne Ye Kefiyat Dekhkar Baya Hath Fela Diya Uspar Bhi Ek Qatra Tapka wo Hath Bhi Durust ho Gaya Is
Qatra-E-Khoon Ko Ladki ne Apni Bayi Aankh Par Mall Liya Wo Aankh bhi Roshan Ho Gayi...

Iske Bad Ladki ne Kuch Qatro Apne Hatho Par Lekar Pure Badan Par Laga Liya Jisse Wo Pure Tor par Sehatyaab Ho Gayi Goya Koi Marz Tha hi Nahi....

Parinde Ne Kalam Kiya ke Aye Yahoodi Hum parindo Ki Ek Jama'at Fula Jungle Me Rehti thi, Humara Ma'mool Tha Ke Subha Apne Ghoslo Se Uddkar Atraf Wa Jawanib Me Chale Jate Aur Dana Pani Hasil Karne ke Bad Dophar Tak Apne Ghoslo Me Wapas aa Jate Aur Jisne Jo Kuch Khaya Piya ho Wo Apas me Ek Dusre ko Khabar Dete...

Achanak Ek Din Humne Ek Nida(Awaz) Suni Ke Nawasa-E-Rasool Imam-E-Hussain??? ???? ??? Ne Tapti Huyi Dophar me Karbala Ki Sarzameen Par Sahadat ka Jaam Nosh Kiya hai Aur Aye Parindo Tum Darakhto Ke Saye Me Bethkar Aaram Kar Rahe ho....

Ye Aawaz Sunkar Hum Tamam Parinde Karbala Ki Sarzameen Ki Taraf Rawana Ho Gaye Jis Waqt Hum Waha Pahuche Dekha Ke Jigar Gosha-E-Rasool Saiyedna Imam-E-Hussain ??? ???? ??? Saheed Ho Chuke hai Aur Unke Jism Sharif se Abhi Tak Taza Khoon Jari hai...

Ye Kefiyat Dekhkar Tamam Parinde Girya-Zari Me Mashgool Ho Gaye Mujme Taab-E-Zabt na Rahi Mene Apne Aap ko Unke Behne Wale Khoon Sharif me Gira Diya Apne Chehre Apne Baal-Wa-Parr ko Khoon me Tarr kiya Aur Waha se Udkar Yaha Aa gaya hu,
Aur Is Mubarak Khoon Sharif ke Qatre Jaha par Tapakte the Waha Khair-O-Barkat ka Zahoor Hota hai...

Parinde ki Zuban Se Ye Guftagu Sunkar Yahoodi ne Kaha Agar Imam Hussain ??? ???? ??? Ke Nana Janab Muhammad Mustafa? Haq Par Na Hote to Unke Nawase Imam-E-Hussain ??? ???? ??? Ke Khoone Paak Ke Qatro Se Esi Khair-O-Barkat ka Zahoor na Hota..

Aur Meri Apahiz Beti Ko Shifa na Milti Chunache Yahoodi Apne Pure Ghar ke Sath Musharraf-Ba-Islam Ho Gaya Aur Kabhi Koi Uske Islam Lane ki Wajah Puchta to Is Waqiye Ko bahut Tafseel Se Bayan Karta....

JARI RAHEGA.... Part-3

KARBALA KE BAA'AD Part-01





PESH-E-LAFZ....

Gha'da(MATKA) Bharne Me Der Lagti hai, Lekin Jab Gha'da Bhar Jata Hai To Usko Dubane Ke Liye Ek Halki Si Mouj Kafi Hoti hai, Zalim Apni Tagooti Aur Maal-Wa-Doulat Ke Nashe Me Anjam Se Be'parwah Hokar Zulm Ke Kisi Bhi Imkani Tarika Ko Apnane Se Gurez Nahi Karta...

Mazloom Ki Cheekh-Wa-Pukar Uske Liye Bagma-E-Purqaif Hoti hai, Mazloom Ka Dard-Wa-Qarb Se Bechain Hokar Tadapna Uske Liye Nazaar-E-Aish Hota hai, Lekin Jab Uske Zulm Ka Ghada Bhar Jata Hai to Azab-E-Ilahi Ki Ma'muli Si Lehar Usko Hamesha Ke Liye Zillat Aur Ruswayi Ke Samandar Me Dubo Deti hai, Zalim Mitt Jata hai Lekin Duniya Hamesha Uspar La'nat Bhejti hai...

Medane Karbala Me Aale Muhammad ? Par Yazeediyo Ne Zulm Ka Wo Konsa Harba Hai Jo Na Aazmaya Ho, Unki Zalimana Rawish Ko Dekhkar Aasman Bhi Khoon ke Aansu Ro Diya, Imam-E-Aali Maqam Aur Unke Sathiyo Ne Zulm-Wa-Sitam Ke Har Waar ko Saha Aur Har Zakhm Par Muskuraye...

Aaj Anjam Humare Samne Hai, Yazeedi Ek-Ek Karke Mita Diye Gaye, Unke Aatishe Zulm Ne Unhi ko Aur Unki Har Nishani Ko Is Tarha Jalakar Khaak Kar Diya Goya Unka Wajood Tha hi Nahi, Yazeedi Mitt Gaye Lekin Us Waqt Se Aaj Tak Aur Aaj se Subhe Qayamat Tak Har Insaf Pasand Tabiyat Inpar Malamat Bhejti hai Aur Bhejti Rahegi...

Aaj Bhi Wo Islam Ke Dushman Jama'ate Jo Musalman Ko Ya To Fana Kar Dena Chahti Hai, Ya Apni Darindagi Aur Bahmiyat Ka Badtareen Muzahira Karke Musalmano Ko Imaan-Wa-Islam Se Bargashna Karke Apni Gumrahi-Wa-Zalalat Ke Rang me Rangnqa Chahti hai...

Unhe Achi Trah Ye Yakeen Kar Lena Chahiye Ke Unki Ye Koshish Kabhi bhi Bar'aawar Na ho Sakegi, Musalmano Ke Ragg-Wa-Resha Me Hussainiyat Rachi Basi Huyi hai Maal Aulad Jaan Sab De Sakte hai, Lekin Iman-Wa-Islam Ki Aabru Nahi Denge..


JO MAAL MANGO TO MAAL DE DE.

JO JAAN MANGO TO HAAN DE DE.

MAGAR YE HUMSE NA HO SAKEGA.

NABI KA JAHO JALAL DE DE.


Agarche Is Waqt Musalmano Par Zulm-Wa-Sitam Ke Teerah Wa Taar Badal Chaye Huwe hai, Aur Rozana Kahin Na Kahin Baraste Hi Rehte hai Lekin Muttmaeen Hai Agar Aaj Unke Sero Par Zulm Ki Tariq Raat Saya Kiye Huwe hai To Kal Addal Ka Sawera bhi Zarur Hoga, Jiske Ujale Me Duniya Zalimo Ka Ibratnaak Anjam Dekhegi...

Zere Bazar Qitab Me Karbala ke Roo'numa Hone Wale Un Dil Doz Waqeat Ki Tafseel Hai Jinko Sunkar Aur Padhkar Iman Laraz Uthtta hai, Karbalayi Zalimo Ka Bhayanak Anjam Duniya ke Jafa Pesha Afrad Ke Liye Nihayat Hi Ibrat Angez Aur Sabak Aamez Hai....

JAB IMAM-E-HUSSAIN ??? ???? ??? NE SAHADAT PAYI US WAQT KANKARIYO SE KHOON BAHA..

Hazrat Umme Salma ??? ???? ??? Farmati hai Ke Jis Raat Ki Subha Imam-E-Aali Maqam Ki Sahadat Huyi Us Raat mene Kisi ko Ye Sher Padhte Suna..

AYYOHAL QATILOON JAHILLAN HUSSAINA, 
AB SHERU BIL AZABE VAT'TANKIL
KAD LA'NATUL LISAAN IBNE DAWOOD WA MOOSA WA HAAMILUL INJEEL...

Ye Sunte hi Me Chonk Padi Charo Taraf Sher Padhne Walo Ko Talash Kiya Lekin Kahin Koi Bhi Nishan Na Mil Saka, Be Sakhta Aankho se Aansu Jari Ho Gaye Aur Shishe Ko Kholkar Dekha Jisme Sarkar ki Ata Karda Kankariya Rakhi Huyi thi...

Wo Kankariya Jinhe Dekar Sarkar ? Ne Irshad Farmaya Tha Ki "JIS DIN YE KHOON BAN JAYE SAMAJ LENA MERA HUSSAIN MEDAN-E-KARBALA ME SAHEED KAR DIYA GAYA" To Mene Dekha Ke In Kankariyo se Khoon Beh Raha hai...

Allahu Akbar....

JARI RAHEGA........Part-2