Cont...
DIRHAM KHAAK HO GAYE.
Agle Din Subha Jab Koofiyo Ne Us Nou Muslim Se 10,000 Dirham Liye Aur Ser-E-Aqdas Ko Lekar Koonch Kar Diya Jab Raaste me Un Dirhamo Ko aapas me Baantna Chaha ro Aalam ye tha ke Kuch Dirhamo ke Alawa Baki Sab khaak ho Chuke the..
Aur Un Bache Huwe Dirhamo Me Ek Taraf Ye Ayat-E-Kareena Munkash Thi..
TARJUMA.
ZULM KARNE WALO KE ZULM SE ALLAH KO BE KHABAR NA SAMJO..
Aur Dusri Taraf Ye Ayate Kareema tehrir thi..
YANI WO WAQT QAREEB HAI KE ZALIMO PAR KESI-KESI MUSIBATE PADE.
KHAWLI AUR USKI BIWI.
Jis Raah Se Ye Bad'Nihad Koofi Safar Kar Rahe the, Usi Raah Me Khawli bin Yazeed Ka Ghar Tha, Jab Khawli Bin Yazeed Apne Maqam Me Pahucha To Ek Raat Ke Liye Apne Makan me Thehar Gaya...
Imam-E-Aali Maqam ??? ???? ??? Ke Ser Mubarak Ko Le'jakar Ghar ke Tanoor Me Rakh diya Aur Apni Biwi Ke Puchne Par Jawab Diya Ke Ek Saksh Yazeed Ka Mukhalif Ho Gaya Tha Usi Ka Ser hai..
Khawli Ki Biwi Ek Aabeda-Wa-Saleha Khatoon Thi Raat ko Tahajjud ke Liye Uthi to Dekha Ke Tanoor Se Tez Kism ki Roshni Nikal Rahi hai Sochne Lagi Ke Tanoor me Aag Ki ek Bhi Chingari Nahi thi Fir Ye Roshni Kaha Se Aayi..
Abhi Hairat Me thi Aur Ye Kefiyat Khatm bhi Na huyi Thi Ke Dekha kuch Muqaddas Bibiya aayi Aur Tanoor se Ek Ser Nikala Khawli ki Biwi ne Gour se Dekha To Wo Noorani Shu'aye Usi Ser-E-Anwar se Nikal rahi thi..
Un Aane Wali Muqaddas Khawatin Ne Ser-E-Paak ko Mushq-Wa-Gulab se Gusl Diya Aur Badi Shaf'kat-Wa-Muhabbat se Ek Khatoon-E-Mohtaram ne Ser ko Apne Seene Se Laga Liya Aur Aankho Se Aansu ki Dhaar Phoot Padi Uske Bad Farmaya..
AYE MERE LAKHTE JIGAR AYE MERE SAHEED MAZLOOM, HAQQ TAA'LA BAROZ-E-MEHSHAR TERE KHOON-E-NA'HAQQ KA INSAF FARMAYEGA AUR MERE HATHO SE US WAQT TAK ARSHE RABKA KANGURA NA CHUTEGA JAB TAK ME TERA PURA-PURA KHOON BAHA NAA LE LUNGI.
Kuch Der Bad Wo Mohtaram Khawatin Ser-E-Mubarak ko Tanoor me Rakhkar Wapas Chali Gayi Wo Noorani Shuwaye Bhi Khatm ho Gayi...
Ye Manzar Dekhne Ke bad Khawli Ki Biwi Fouran Uthi Aur Tanoor se Ser-E-Anwar ko Bahar Nikalkar Gour se Dekhne Lagi, Chunke Barha Imam-E-Aali maqam Ki Ziyarat Ka Sharf Hasil Kar Chuki Thi Pehchan Liya ke Ye To Jigar Gosha-E-Rasool Ka Ser Mubarak hai..
Ek Cheenkh mari Aur Behosh Hokar Gir Padi Aur Behoshi Ke Alam Me Dekhti hai Ke Kuch Buzurg Tashrif Laye Hai Aur Farmate hai Ke aye Afifa Hirasa Na Ho Zurm Tere Sohar ne Kiya, Baaz Purs Usse Hogi..
Usne Pucha Jo Khawatin Aayi Thi Wo Koun hai ?? Jawab mila Ke Bari-Bari Ser Ko Seene se lagane Wali Saiyeda fatima Zahra Aur Hazrate Khadijat-Ul-Qubra Thi, aur Zaar Wa Qatar Rone Wali Hazrat Siddiqa Aur Hazrate Mariyam Binte Imran Thi Uske Bad Fouran Khawli Ki Biwi ko Hosh aa gaya..
Ser-E-Aqdas Ko Intehayi Tazeem se Ek Buland maqam par Rakhkar Apne Sohar Ko Jagaya Aur Kaha Ke Aye Siyah Bakht Tune To Kaha Tha Ki Ye Yazeed ke Ek Baaghi Ke Mukable Ke liye gaya tha, ye Usi Ka Ser Hai Saaf kyo Nahi Kehta Ke Apni Sehwate Azali Ki Wajah se Jigar Gosha-E-Rasool Ke Muqable Me Gaya tha...
Aur Ye Unhi Ka Ser hai Kaan Kholkar Sun le Ke Mujhse Ab tera koi wasta nahi Ne Duniya-Wa-Akhirat Dono Jagah Tujhse Bezar Hu Ye Kehkar Chadar Odhi Aur ghar se Bahar Nikal gayi Fir Kisi Ko Ye Na Maloom Ho Saka Ke wo kaha gayi...
JARI RAHEGA...