Hazrate Isa Alaihis Salam ke Havariyon ne ye Arz kiya ki ye Isa Bin Maryam ! Kai Aap ka Raab Azzawajal ye kar sakta hai ki vo Asman se hamare pass Dastarkhwan utar de ? To Hazrate Isa Alaihis Salam ne Farmaya ki iss tarha ki nishaniyan talab karne se agar tum log momin ho to Khuda se daro. Ye sun kar Havariyon ne kaha ki ham nishani talab karne ke liye ye suval nahi kar rahe hain balki hamara makhdas ye hai ki ham shikam sair ho kar khoob khayen aur ham ko achchi tarha Aap ki sadakhath ka ilm ho jaye taki hamare dilon ko kharar Aa jaye aur ham iss baath ke gavah ban jayen taki Bani Israel ko hamari shahadath se yakhin aur ithminane kulli hasil ho jaye aur mominin ka yakhin aur bad jaye aur kuffar Imaan layen.
Tarjuma e Kanzul Imaan:- Havariyon ki iss darkhwasth par Hazrate Isa Alaihis Salam ne bargahe Khudavandi me iss tarha dua mangi :
Ye Raab Azzawajal hamare ! Ham par Asman se ek Khwan utar ki vo hamare liye Eid ho hamare agle pichlon ki aur teri taraf se nishani aur hame rizk de aur tu sab se behtar rozi dene vala hai.
Hazrate Isa Alaihis Salam ki dua par Allah Tala ne farmaya ki dastarkhwan to utar dunga lekin iss ke baad Bani Isarael me se jo kufr karega main uss ko yesa azab dunga ki tamam jahan valon me se kisi ko yesa azab nahi dunga. Chunanche, Allah Tala ke hukum se chand farishte ek dastarkhwan le kar Asman se uthre jis me 7 machliyan aur 7 rotiyan thi.
Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala se rivayath hai ki farishte dastarkhwan me roti goshth le kar asman se zamin par nazil huve aur baaz rivayaton me ye bhi aya hai ki tali huyi ek bahuth badi machli thi jis me kanta nahi tha aur uss me se roghan tapak raha tha aur iss ke saar ke pass namak aur dum ke pass sirka tha aur iss ke ird gird khisam khisam ki sabjiyan thi aur panch rotiyan thi. Ek roti ke upar roghane zaitun, dusri par shahad, tisri par ghee,chawthi par panir, panchvin par goshth ki botiyan thi. Dastarkhwan ke iss samano ko dekh kar Hazrate Isa Alaihis Salam ke ek havari Shamun ne kaha jo tamam havariyon ka sardar tha, ki ye Rasoollallah ! Ye dastarkhwan dunya ke khano me se hai ya akhirath ke. To Aap ne farmaya ki ye na to dunya ke khano me se hai na akhirath ke balki Allah Tala ne apni khudrate kamila se tumhare liye iss khane ko abhi abhi ijad farma kar bheja hai.
Fir Hazrate Isa Alaihis Salam ne Bani Israel ko Hukum diya ki khoob shikam sair ho kar khao. Aur khabardar iss me kisi khism ki khayanath na karna. Aur kal ke liye zakhira bana kar na rakhna. Magar Bani Israel ne iss me khayanath bhi kar dali aur kal ke liye zakhira bana kar bhi rakh liya. Iss nafarmani ki wajah se Allah Tala ka in logon par ye azab aya ki ye log raath ko soye to achche khase the magar suboh ko uthe to maskh ho kar kush khinzir aur kuch bandar ban gaye fir Hazrate Isa Alaihis Salam ne in logon ki mauth ke liye dua mangi to tisre din ye log mar kar dunya se nasto nabud ho gaya aur kisi ko ye bhi nahi malum huva ki in ki lashon ko zamin nigal gayi ya Allah Tala ne in ko kai kar diya.
Allah Tala ne iss ajib aur azimushaan vakhiye ka tazkira Quran e Majid ki surah maidah me farmaya hai.
Aur isi vakhiye ki vajah se iss surah ka naam "Maidah" rakha gaya. "Maidah" dastarkhwan ko kahte hain.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Isa Ibne Maryam ne Arz ki : Ye Allah ye Raab Azzawajal hamare ham par asman se ek dastarkhwan utara ki vo hamare liye eid ho hamare agle pichlon ko aur teri taraf se nishani aur hame rizzakh de aur tu sab se behtar rozi dene vala hai. Allah ne farmaya ki main ise tum par utarta hun fir Aab jo tum me kufr karenga to beshak main use vo azab dunga ki sare jahan me kisi par na karunga.
Darse Hidayath:
Vakhiya Mazkura se bahuth si ibraten aur nasihaten milti hai. Jin me se ye do sabakh to bahuth hi vazeh hai :
1. Hazrate Ambiya Alaihis Salam ki mukhalfath aur nafarmani kitna khofnak zurme azim hai. Dekh lo ! Ki Bani Israel ne jab apne Nabi Alaihis Salam ki mukhalfath va nafarmani karte huve asmani dastarkhwan me khayanath ki aur kal ke liye zakhira bana kar rakh liya to azabe Ilahi ne in ko Khinzir, Bandar bana kar dunya se iss tarha nasto nabud kar diya ki khabron ka nishan bhi bakhi na raha. Jo log Allah va Rasool ki amanaton me khayanath karte hain. Unhen iss holnak azab se ibrath hasil karni chahiye aur toba kar leni chahiye.2. Hazrate Isa Alaihis Salam ki dua me ye zumla ki jis din dastarkhwan nazil hoga vo din hamare aglon aur pichlon ke liye eid ka din hoga. Iss se ye sabak milta hai ki jis din Khudrate Khudavandi ka koi khas nishan zahir ho, uss din khushi manana aur masrath va shadmani ka izhar kar ke eid manana ye Hazrate Isa Alaihis Salam ki mukhaddas sunnath hai.
3. Isi tarha Huzure Anwar Sallallahu Alaihi o Sallam ki viladate ba saadath ki raath aur uss ka din yakhinan Khudavande Khuddus ke ek nishane Azam ke zuhur ki raath aur din hai lihaza miladun Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam ki khushi manana aur iss tarikh ko Eid Milad kahna yakhinan Quran e Majid ki talim ke yen mutabik hai. Khushi manana, Gharon aur mahafilon ki arayish karna, achche achche pakvan paka kar khud bhi khana aur dusron ko bhi khilana yehi sab Eid ki nishaniyan, aur eid manane ke tarikhe hain jin par barhavin sharif ko ahle sunnath va jamath amal kar ke Eid Milad ki khushi manate hain aur jo log iss se chidte hain aur iss tarikh ko apne ghar andhera rakhte hain, jhadu bhi nahi lagate aur maile kuchele kapde pahan kar muh latkaye firte hai aur eid e milad ki khush manane valon ko bidati kah kar fabatiyan kaste hain, unhen un ke hal par chod dena chahiye aur ahle sunnath ko chahiye ki khub khub khushi manayen aur kasrath se milad shifa ki majlish munakhkhida karen aur khub jhum jhum kar salaton salam paden.
Misle Faras Zal Zale Hon Najd Me Zikre Ayate Viladath Kijiye