Namaz E Istekhara



Istakhara yani ki Aleem O Kabeer ki zaat se mashwara karna. aur Hadis E Mubarika me Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne Istekhara ki taleem,As'hab E Rasool Allah ko istekhara ki taleem dene aur tal'kin ke saboot maujud hain. Ye aisa amr hai jispay amal karne wala kabhi nuqsani me nahi rahta.Hamare liye kai bhala hai kai bura hai sivaye hamare Mabood ke kon jan sakta hai?

main ne ek hi post me istekhare ke chand istekhare likh rahanun.

istakhare me kabhi khwab nahi bhi Aata to jitne din ki muddat likhi ho utnay din karli jayen aur phir bhi khwab me koi nishandehi na ho to samajle ki ye kaam apki marzi pe choda gaya hai ki kare ya na kare matlab ki ek may karenge to koi khas faida nahi hoga na nuksan. darmiyani darjay ka hoga.

Aur kuch hazrat ko khwab yad nahi rahne ki shikayat hot hai. To wo raat ko kam khaya kare aur sote waqt nim garam dood pi kar soya kare. aur achche khwab aksar yaad na rahte ho uski wajah haram gheeza hoti hain. esliye istakhare ke ayyam me roza rakha jayen to behtar hai aur pak saf aur halal rizq ka estemal kiya jayen.waise to hame rozana halal hi lukma khana aur khilana chahiye.allah ham sab ummate muslim ko halal rizq atafarmaye.

Zindagi ke koi bhi aham faisle bagair istekhare ke na kare.shadi karobar beroni safar,partnership,kharido farokht rishta court ke mamlat ho ya rohani masaeel ho. istakhare se hi madad le, jadu aseb ka shaq hot bhi istekhara karliya jayen. zaroor nishandehi milegi hi milegi. phir elaj ki taraf ruju kiya jayen. aur har istekhare se pahle 11 martaba Ayatul kursi pad kar dono hatheliyon pe dam kar pure badan pe pherliya jayen. ye badni hisar ho jayega aur koi shaitani malhlooq roday nahi dalegi.paak saaf halat me pak saaf bistar pe bawazu aur itar laga libas pahan kar sunnat tariqhe se istakhara Aap par khul jayen use hi apnalay kabhi ye khabi wo na zamaya karen. ek hi istekhare se Aap ko bahut faida hoga.ummid hai Aap esse khub faida uthayenge.


Mujarrib istekhare


istekhara ke mani talab e kair ke hain,bhalayi ya burayi se Aagahi hasil karna.Kam Kam Aagaz karne se pahle istekhara karna yani apne apkore se mahfooz karna hai. istekhara ka ek azeem faida ye hai ki agar istekhara ka natija bhi yehi nikalta hai kam nek mufeed aur natija bakhsh sabit hone wala hai to amal ki barkat se rab ki anjam ko pahochta hain. aur agar jawab me "NA" Aata istekharah natijabash amal hai.masnoon hai.jab koi Aagahi ke liye istekharah kare, taki badme ise koi pareshani na ho hame istekhara bahut hi kaam deta hai. amaliat me istekhara jahmat se bachata hai aur agar rab ki janib se ha bhi mili to kaam pe ek kamyabi ki mohar bhi lag jati hai.

Yahan kuch Azmuda tareeqhe note kijiye.

Istekhara 01:


Ye silsila Qhadriya ka khaas istekhara hai aur bahut hi takhatvar hai.Aap zarur Azmayiye. Baad-Namaz e Isaha jab sone ka irada ho to paak saaf libas ke saath bawazu 2 rakat namaz e nafil ada kare. Namaz me har bar rakat me surah e fateha ke baad 303 martaba suraha e ikhlas sharif parhe, Ab junoob ki taraf mooh karke ye 3 Asma ko 111 bar pade aur qibla rukh ho kar ise 3 Asma ko padte padte so jayen. Insha allah pahli hi raat me jawab mil jayega,jiske liye apne ye istekhara kiya hai.
??????? ????????? ?????????
Al Nooru Al Zaahiru Al Basitu

Istekhara 02:


Aap Sallahu Alaihi wa sallam ne farmaya ki jab tum kisi kaam ke shuru karne se pahle istekhara kiarliya karo. taki eske zariye se Rabbul Izzat tumhe us kaam ki bhalayi aur burayi ya nafa ya nuqsan se Aagah farma de. Istarha banda apne kaam me rab se mashwarah talab karta hai ki karun ya nahi?aur isse baad kar ya baat ho sakti hai ki ham khuda e paak se salah le kar kaam kare . khususan mere nazdik wo kaam hargiz zawal ka mooh nahi dekh sakta jo khaliqe  haqeeqi ke isharah par shuru kiya gaya ho.esliye istekhara nihayat zaroori aur lazmi amal hai. jo buzurgon se chala araha hai.Salatul istekhara paden aur jisme kisi soorat ki qaid nahi jo dil chahe wo pade.salam ke baad 101 bar darood sharif pade aur
101 bar
 ?? ????? ????????  
101 Bar
?? ????? ???????
101 bar
?? ?????? ????????
101 bar
?? ????? ????????
Aur akhir me
101 bar darood e Paak pad kar dua mange ki falan kaam ke mutalliq Aagahi bakhshe aur phir usi jagah musalle pe so jayen. Inshaallah usi raat me Aapko Aap ka jawab mil jayega.Agar Khuda na khwasta pahli raat me maloom na ho 3 Raat tak amal kare teen raat me zaroor kamyabi ho gi aur Aapko apna jawab mil jayega.Waqht isha ke baad ka hai. aur tanhayi me kiya jaye.

Istekhara 3


Paak saaf ho kar kisi tanha kamre me musalle pe bait kar pade 100 bar istagfaar pade. aur 261 martaba darood e paak pade. aur phir apne kaam ki bhalayi ya burayi maloom karne ki niyyat dil me rakhke, do rakat namaz ba'niyyat istekhara iss tarha pade ki pahali rakat khatam karke jab dusri rakat me jab
???????? ???????? ????????? ???????????
Par pahunche to iss Aayat sharif ki bila tadad takraar kare aur us waqht tak jary rakhe jab tak Aapki gardan khud ba khud Daini janib ko ghum na jayen. Jab gardan kisi bhi janib phir jaen to baqaya namaz ko ada kare,salam pherle. Aab agar Aapki gardan daini taraf(Right Side) Ghumi ho to kaam me kamyabi hai.Aur agar bayi(left side) ghume to kaam na kare aur karne me nuqsan hai.ye khulam khulla sarkashi hai aur jiska natija hargiz achcha nahi hota.

Koi bhi kaam ho istekhara qurani karna chahiye to insha allah jawab milta hai. jis jagah soye wo jagah Apka libas Aapka badan aur Apka bister bhi Paak rakh kar istekhara kare. Insha allah pahle hi din hi jawab mil jayega. aur kabhi batayi muddat me jawab na mile aur Aapne sabhi shart ko kayim rakhte istekhara kiya tha par jawab mudat e amal me na mila to iska matlab ye hota hai ki esmey na nafa hain na koi nuqsan ye Aap pe choda jata hai ki Aap chahe to kare chahe to na kare.

Istekhara jaez kaam ke liye karna chahiye aur farz ki adaigi ke liye ya aise baat ke liye istekhara nahi kiya jata. jaise koi main dhadi rakhun? main namazi banu?aur ek baat agar paichida kaam jahan Aapki aqhal ya dil jam nahi raha ayse kaam karne se pahle istekhara karlena chahiye.