Showing posts with label Islami Ilaj. Show all posts
Showing posts with label Islami Ilaj. Show all posts

Mulazmat aur doulat ke darwaze kholne ke liye


Ye wo alfaz hain jin ki barkat se Allah Paak tamam kainath ko rozi or rizq Aata farmata hai or jab banda inhen padta hai to dunya ki dolat balki puri dunya uss ke pass ghasit kar qadmo me chali ati hai to Aap  bhi inko apna wird banalen. Rozana jab bhi waqt mile 500 martaba in ka wird kar ke dua karliya karen or phir dekhen ki Aap khush na huye to mujhe kehna. bus duaon me yaad rakhna. wird(wazifa) karne se pahale pahale Darood Sharif aur Bismillah Sharif zarur padiye.

Har kaam asan honekeliye wazifa 100% working

surah Tauba Ayat 128-129

(surah Tauba Ayat 128-129)

Sab se pahle to Aap in Ayath ko quran paak se sahi sahi talaffuz ke sath yaad kar len. in Ayat ki bahut hi Shaan hai or in main bahut se khazane pinhan hain. in ayath main saaf saaf Huzoor Paak Sallallahu Alaihi O Sallam ki tarif bayan ki gayi hai. Aap ko ye karna hai rozana har waqt ziada se zaida jitna bhi ho sake in  ayat ka wird karte rahana hai,chalte phirte uthte paithte wadu be-wadu padte rahena hai. Aap aik hafte ke under hi is ke asraat dekhna shuru kar dein ge. Aap ke officers/boss ki nazron main app ka rob or dabdaba qaim ho jaye ga wo or dusrey log rishtedaar app ko ahmiyat dena shuru kardenge iss mai aik or maze ki baat ye hai ki iss me koi pabandian waghaira bhi nahi hain. yani agar padne ke doran Aap ki tawajju nahi hai tab bhi koi masla nahi hai bus Aap parhte rahena or phir Insha Allah Azzawajal Aap ki mushkilaat ka hal ghaib se nikalna shuru ho jaye ga dunya ki koi museebat Aap ko gham nahi pohncha sakega Aap is par amal kar ke dekhen is main to koi qaid o pabandi bhi nahi hai. bas sabr or yaqeen o ummid se ise padte rahana hain aur padne ke dauran waqtan-fawaqtan darood paak bhi parhtay rahen hai.

Jadu Tone se Bachne ka Mujarrib Amal



Aaj kal ye masla bada hi Aam hogaya hai ki logon ne apni dushmani ki andaz ko change kar dia hai. Aab log rivaiti tareeqai say nahi ladte balke roohani tor par nuksan pahunchate hain jaise jadu bandish karva ke lihaza agar koi jadu ke asrat main giraftar hai usay ye karna hai ke panchon namazon ke baad 100 martaba "BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM" padkar pani pe dam kar ke peele or Awal akhir 7 baar darood pak bhi pade. Aur pani peene ke baad allah pak se madad mange is amal ke wasilay se apni problem door hone keliye.

khooni Bawaseer ke liye



Aaj kal gandagi Aam hone ke waja se bawaseer ka masla badgaya hai.Sab se pahle to ye cheez Aap ko bata doon ki jitna bhi ho sake to apne ghar ke ilawa kisi or jaga ka washroom istemaal na karen.Aur garam or taiz masalon wali cheezain na kaayen or apne zehan ko gande khayalaat se paak rakhen. Ab ata hun ilaj ki taraf Agar koi khooni bawaseer main mubtala hai to use bus itna karna hai ke Surah Al Baqhra ki Ayat Number 127 ko rozana subah or shaam 41 baar pad kar kisi bhi mashroob pai dam kar ke pee lia kare or is ke saath saath din bhar " Ya Quddusu Ya Salamu" ka wird karta rahe. aur chaiy(Tea) ka istemaal bahut kam karen.

MUASHRE ME IZZAT PANE KE LIYE



Har insaan ki ye khwahish hoti hai ke o sab log jin se bhi wo milta julta hai wo us ki izzat karen or wo muashre me izzat paye. To is khwahish  ko pura karne ke liye ye Asaan sa wazifa pesh-e-khidmat hai. Aap ko sirf itna karna hai ke rozana baad namaz-e-Isha "Ya Wadudu Ya Raufu Ya Raheemu" ko 303 baar padna hai or awal aur akhir 3 bar darood sharif padna hai phir is ke baad Allah Pak se is ibadat ke waseele se apne maqsad ke liye dua karain.

Namaz E Istekhara



Istakhara yani ki Aleem O Kabeer ki zaat se mashwara karna. aur Hadis E Mubarika me Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne Istekhara ki taleem,As'hab E Rasool Allah ko istekhara ki taleem dene aur tal'kin ke saboot maujud hain. Ye aisa amr hai jispay amal karne wala kabhi nuqsani me nahi rahta.Hamare liye kai bhala hai kai bura hai sivaye hamare Mabood ke kon jan sakta hai?

main ne ek hi post me istekhare ke chand istekhare likh rahanun.

istakhare me kabhi khwab nahi bhi Aata to jitne din ki muddat likhi ho utnay din karli jayen aur phir bhi khwab me koi nishandehi na ho to samajle ki ye kaam apki marzi pe choda gaya hai ki kare ya na kare matlab ki ek may karenge to koi khas faida nahi hoga na nuksan. darmiyani darjay ka hoga.

Aur kuch hazrat ko khwab yad nahi rahne ki shikayat hot hai. To wo raat ko kam khaya kare aur sote waqt nim garam dood pi kar soya kare. aur achche khwab aksar yaad na rahte ho uski wajah haram gheeza hoti hain. esliye istakhare ke ayyam me roza rakha jayen to behtar hai aur pak saf aur halal rizq ka estemal kiya jayen.waise to hame rozana halal hi lukma khana aur khilana chahiye.allah ham sab ummate muslim ko halal rizq atafarmaye.

Zindagi ke koi bhi aham faisle bagair istekhare ke na kare.shadi karobar beroni safar,partnership,kharido farokht rishta court ke mamlat ho ya rohani masaeel ho. istakhare se hi madad le, jadu aseb ka shaq hot bhi istekhara karliya jayen. zaroor nishandehi milegi hi milegi. phir elaj ki taraf ruju kiya jayen. aur har istekhare se pahle 11 martaba Ayatul kursi pad kar dono hatheliyon pe dam kar pure badan pe pherliya jayen. ye badni hisar ho jayega aur koi shaitani malhlooq roday nahi dalegi.paak saaf halat me pak saaf bistar pe bawazu aur itar laga libas pahan kar sunnat tariqhe se istakhara Aap par khul jayen use hi apnalay kabhi ye khabi wo na zamaya karen. ek hi istekhare se Aap ko bahut faida hoga.ummid hai Aap esse khub faida uthayenge.


Mujarrib istekhare


istekhara ke mani talab e kair ke hain,bhalayi ya burayi se Aagahi hasil karna.Kam Kam Aagaz karne se pahle istekhara karna yani apne apkore se mahfooz karna hai. istekhara ka ek azeem faida ye hai ki agar istekhara ka natija bhi yehi nikalta hai kam nek mufeed aur natija bakhsh sabit hone wala hai to amal ki barkat se rab ki anjam ko pahochta hain. aur agar jawab me "NA" Aata istekharah natijabash amal hai.masnoon hai.jab koi Aagahi ke liye istekharah kare, taki badme ise koi pareshani na ho hame istekhara bahut hi kaam deta hai. amaliat me istekhara jahmat se bachata hai aur agar rab ki janib se ha bhi mili to kaam pe ek kamyabi ki mohar bhi lag jati hai.

Yahan kuch Azmuda tareeqhe note kijiye.

Istekhara 01:


Ye silsila Qhadriya ka khaas istekhara hai aur bahut hi takhatvar hai.Aap zarur Azmayiye. Baad-Namaz e Isaha jab sone ka irada ho to paak saaf libas ke saath bawazu 2 rakat namaz e nafil ada kare. Namaz me har bar rakat me surah e fateha ke baad 303 martaba suraha e ikhlas sharif parhe, Ab junoob ki taraf mooh karke ye 3 Asma ko 111 bar pade aur qibla rukh ho kar ise 3 Asma ko padte padte so jayen. Insha allah pahli hi raat me jawab mil jayega,jiske liye apne ye istekhara kiya hai.
??????? ????????? ?????????
Al Nooru Al Zaahiru Al Basitu

Istekhara 02:


Aap Sallahu Alaihi wa sallam ne farmaya ki jab tum kisi kaam ke shuru karne se pahle istekhara kiarliya karo. taki eske zariye se Rabbul Izzat tumhe us kaam ki bhalayi aur burayi ya nafa ya nuqsan se Aagah farma de. Istarha banda apne kaam me rab se mashwarah talab karta hai ki karun ya nahi?aur isse baad kar ya baat ho sakti hai ki ham khuda e paak se salah le kar kaam kare . khususan mere nazdik wo kaam hargiz zawal ka mooh nahi dekh sakta jo khaliqe  haqeeqi ke isharah par shuru kiya gaya ho.esliye istekhara nihayat zaroori aur lazmi amal hai. jo buzurgon se chala araha hai.Salatul istekhara paden aur jisme kisi soorat ki qaid nahi jo dil chahe wo pade.salam ke baad 101 bar darood sharif pade aur
101 bar
 ?? ????? ????????  
101 Bar
?? ????? ???????
101 bar
?? ?????? ????????
101 bar
?? ????? ????????
Aur akhir me
101 bar darood e Paak pad kar dua mange ki falan kaam ke mutalliq Aagahi bakhshe aur phir usi jagah musalle pe so jayen. Inshaallah usi raat me Aapko Aap ka jawab mil jayega.Agar Khuda na khwasta pahli raat me maloom na ho 3 Raat tak amal kare teen raat me zaroor kamyabi ho gi aur Aapko apna jawab mil jayega.Waqht isha ke baad ka hai. aur tanhayi me kiya jaye.

Istekhara 3


Paak saaf ho kar kisi tanha kamre me musalle pe bait kar pade 100 bar istagfaar pade. aur 261 martaba darood e paak pade. aur phir apne kaam ki bhalayi ya burayi maloom karne ki niyyat dil me rakhke, do rakat namaz ba'niyyat istekhara iss tarha pade ki pahali rakat khatam karke jab dusri rakat me jab
???????? ???????? ????????? ???????????
Par pahunche to iss Aayat sharif ki bila tadad takraar kare aur us waqht tak jary rakhe jab tak Aapki gardan khud ba khud Daini janib ko ghum na jayen. Jab gardan kisi bhi janib phir jaen to baqaya namaz ko ada kare,salam pherle. Aab agar Aapki gardan daini taraf(Right Side) Ghumi ho to kaam me kamyabi hai.Aur agar bayi(left side) ghume to kaam na kare aur karne me nuqsan hai.ye khulam khulla sarkashi hai aur jiska natija hargiz achcha nahi hota.

Koi bhi kaam ho istekhara qurani karna chahiye to insha allah jawab milta hai. jis jagah soye wo jagah Apka libas Aapka badan aur Apka bister bhi Paak rakh kar istekhara kare. Insha allah pahle hi din hi jawab mil jayega. aur kabhi batayi muddat me jawab na mile aur Aapne sabhi shart ko kayim rakhte istekhara kiya tha par jawab mudat e amal me na mila to iska matlab ye hota hai ki esmey na nafa hain na koi nuqsan ye Aap pe choda jata hai ki Aap chahe to kare chahe to na kare.

Istekhara jaez kaam ke liye karna chahiye aur farz ki adaigi ke liye ya aise baat ke liye istekhara nahi kiya jata. jaise koi main dhadi rakhun? main namazi banu?aur ek baat agar paichida kaam jahan Aapki aqhal ya dil jam nahi raha ayse kaam karne se pahle istekhara karlena chahiye.

Surah E Yaseen Sharif Part-01







Yaseen Sharif ko Quran ka dil kaha gaya hain. aur be'panah faide ka hamil hai. har tarha ki hajaat ravayi iss surah ke tilawat se hoti hai. aur khas ise padne se Allah Azzawajal bahut razi hota hai. A'Hadis me iske bahut fawayid Aaye hain.

Darmi Sharif ki Hadis hai ki jo Aadmi din ke shuru me surah e yaseen Sharif pade uski tamam zaruriat puri kar di jayegi.

Hazrat Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anhu se rivayath hai ki Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya ki meri tamanna hai ki ye surah e Yaseen har Ummati ki dil me hoti.Yaseen Sharif Padne se deen duniya ki bhalayi Naseeb hoti hai.

Aagar koi shakhs Surah e Yaseen ko Fajar Ki Namaz Ke baad ek martaba pad ne ka mamul banale to wo bahut jald logo me har dil azeez ho jaen. uski izzat me bepanah ezafa ho.har tarha ki burayi khatam ho jayen aur tabiyath achchayi ki taraf maayil ho. Shaitan se mahfooz ho, Bala se door ho, Bimariyon se shifa ho, Nek aulad hogi.Qaidi kasrat se pade to rihayi naseeb ho,Gharaz ki yaseen Sharif ki tilawat se har Aarzoo puri hoti hain.


Ek baath hai ki yaseen sharif ke muakkilin bahut hi shareef hain aur yaseen ke pad ne walon se muhabbat kartay hain, par rijjat bhi jald karte hain.par usay jo jo yaseen shareef ko mamool se nikal dete hain. Agar Aap Yaseen Sharif ki tilawat Muhabbat se karenge to eske Muaakilin Aapko Ghaibban Madad karte hain. aur Aapke geerd ek bahut hi behtarin khushbu mahsoos hoti hai jo duniya ki koi khushboo uska muqabla nahi kar sakti. Par ye 3 ya 4 mahine me nahi hota bahot saal baad Aapko mahsoos hoga. Han Agar saaf din insan hai to wo jald dost banjata hai.

Aab main yahan ek tareeqa yaseen sharif ka likhta hun jissay Aap pe yaseen sharif ke Ameel ban jayenge aur appe yaseen shareef ka  faiz jari ho jayen.

Baroz E Nauchandi Jumeraat ko ek pyale me sharbat le aur Allah Azzawajal ko Razi ke Gharz se khub mohabbat va Eksuyi se 70 martaba Yaseen Sharif pade.Aur Phir Sharbat pe dam karke pile.Insha Allah Aab Aap Yaseen Sharif ke Amil hain, Aab jo bhi Aap yaseen sharif ke amal karenge usmay asar Aayega. Amal din ke kisibhi waqht karle agar ek nashisth me 70 martaba padle to behtar hai,varna chand nashisth me pura karle, Jisse zabani yad hai uske liye mushkil nahi.ba-wazu khushbu laga kar khushbudar Mahol me pade. Aab Rozana baad e Fajar Va Isha 1-1 Martaba Yaseen Sharif parhney ke mamool banale.

Yahan pe kuch part me Yaseen Sharif ki har Ayath ke Amal likhraha hun.Taki Aapko us ek ek Aayath se faida hasil karne ki tarkib malum ho jayen.Iss surah me 83 Aayath hain aur har Aayath ke kuch hisse ko alag alag amaliyath me likhna chahta hun.

    1. Yaseen
        -??

         Iss Aayath ko chalte Phirte kasrat se padte rahne se gunah muaf hote hain aur islah e batin hoti            hai.

    2.  Wal'Qurani Al'Hakeemi
          -???????????? ??????????

         Rozana 100 Martaba wird me rakhne se Niamat me Izafa hota hai.

    3.  Innaka Lamina Almursaleena
         - ??????? ?????? ??????????????

         Kisi Diwane Ya Jinn Aseb Ke mariz pe 1000 martaba parh kar pani pe dam karke pilate rahne            se shifa wa nijat hori hai.

    4.  Aala Siratin Mustaqeemin
         - ????? ??????? ????????????

         Rab ki Khushi ke liye aur naraz dosth ko razi karne ke liye 100 martaba Fajar ke baad pada                  kare.

    5.  Tanzeelal Aazeezir Rahima
         - ???????? ?????????? ??????????

          Shaitani waswase ko door karne Fajar ki Namaz ke baad jab tak dil lage wird kiya kare.

    6.  Litunzhira Qawman Maa Unzira Aba o hum Fahum Ghafiloon
         - ????????? ??????? ???? ??????? ?????????? ?????? ??????????

         Khauf Dushman ho zalim ka ho to likh kar pack karke apne pass rakhle.

    7.  Laqad Haqqa Alqawlu Aala Aksarihim Fahum La Yuminoona
         - ?????? ????? ????????? ????? ???????????? ?????? ??? ???????????

         Kisi tanha makham pe ya jahan khauf mahsoos ho wahan 100 martaba wird karne se Aman                  rahta hai.

    8.  Inna Ja'Aalna fee Aanaqihim Aghlalan Fahiya Ila Alazqani Fahum Muqmahoon
         - ?????? ????????? ??? ????????????? ?????????? ?????? ????? ??????????? ????? ????????????

         Iss Aayath ko nagine pe kunda karwa kar sidhe hath ki choti ungli me pahnaye to taskheer khas          ho Aam ho logon me maqbuliyat ho.

    9.  WajaAalna min bayni aydeehim saddan wamin khalfihim saddan faaghshaynahum fahum la                yubsiroon.
         - ??????????? ??? ?????? ??????????? ?????? ?????? ?????????? ?????? ????????????????? ?????? ??? ???????????

          Zalim Dushman Se nijat ke liye dushman ke naam ke huroof ki tadad ke barabar sufaid mirch             pe usi tadad me iss ayath ko pad kar Aag me dal diya kare. Kuch din ke Amal se dushman                   pareshan karna band kardega ya khud pareshani ka shikar ho jayega.

    10.  WasawaaOn Aalaihim Aanzartahum amlam tunzirhum la yuminoon
           - ???????? ?????????? ??????????????? ???? ???? ??????????? ??? ???????????

           koi mard kisi aurat se najaez taluqath rakhta ho to iss Aayath ko ek martaba pad kar Aasmani              rang ke dhage pe ek girah de aur kahe ki ya allah tere iss qalam ki barkat se fulan bin fulan wa            fulan binte fulan me judayi karday. es tarha 8 girah laga kar dhage ko kisi purani qabar me                  dafan karde kuch dino me dono me judayi ho jaegi.

    11.  Innama Tunziru Manit tabaaz zikra va khashiyar Rahmana Bil-ghaibi Fabashshirhu                              bimaghfiratin waajrin kareem
           - ???????? ??????? ???? ???????? ????????? ???????? ?????????? ??????????? ??????????? ???????????? ???????? ???????

           Jisse Nind Na Aati ho to kisi purani qhabar ki mitti uthaye aur iss Aayath ko 100 martaba pad              kar uss mitti pe dam karre 7 martaba apne sar se utar kar phir wo qhabar pe mitti rakhde jahan            se uthayi hai.Nind na Aane ki shikayath dur ho jayegi.

    12.  Inna nahanu nuhyee almawta wanaktubu ma qaddamoo waasarahum wakulla shayin                            ahsaynahu fee imamin mubeen
           -?????? ?????? ??????? ?????????? ?????????? ??? ????????? ???????????? ??????? ?????? ???????????? ??? ??????? ???????

           Haakim,ya bade afsaron ki taskheer ke liye iss Aayat ko zafran wa mushq se likh kar apne pass            rakha jayen

    13.  wadrib lahum masalan as'haba alqaryati iz jaaha almursaloon
           - ????????? ????? ???????? ????????? ??????????? ???? ??????? ??????????????

           Jo log badnasibi ki shikayath karte hain wo iss Aayath ko rozana Arq Gulab wa zafran se                    tastari pe likh kar subah piliya kare, Nahosat wa badnasibi jati rahegi.

    14.  Iz Arsalna ilaihimush naini fakazzabu huma fa'azzazna bisalisin faqaloo inna ilaykum                          mursaloon
           -???? ??????????? ?????????? ????????? ??????????????? ???????????? ????????? ????????? ?????? ????????? ????????????

           Chechak ke mariz ko likh kar bandh ne se shifa hasil ho.

    15.  Qaloo ma antum illa basharun misluna wama anzalar rahmanu min shaiyin in antum illa                      takziboon
           -??????? ??? ??????? ?????? ?????? ?????????? ????? ??????? ????????? ??? ?????? ???? ??????? ?????? ???????????

            Aankh dukhti ho ya Aankh uthi ho to zafran se likh kar gale me pahane to shifa ho.

    16.  Qaloo rabbuna YaAlamu inna ilaykum lamursaloon
           - ??????? ???????? ???????? ?????? ?????????? ?????????????

            Galay ki tamam bimariyon ke liye likh kar gale me pahana jayen.

    17.  Wama Aalaina illa albalaghu almubeen
           - ????? ????????? ?????? ?????????? ??????????

           dusmani ko khatam karne ke liye kamzor likh kar apne pass rakhle.

    18.  Qaloo inna tatayyarna bikum laa'inlam tantahum lanarjumannakum wala yamassannakum                    minna Aazabun aleem
           - ??????? ?????? ???????????? ?????? ????? ????? ????????? ????????????????? ????????????????? ??????? ??????? ???????

            Shareer janwar ko kabu karne ke liye zard(yellow) kagaz pe likh kar uske gale me pahnaya                 jayen.

    19.  Qaloo Taairukum maAAakum Aa'in zukkirtum bal antum qawnum musrifoon
           - ??????? ??????????? ???????? ????? ?????????? ???? ??????? ?????? ????????????

            Hamela ko dard e jah uthe to us waqht isse likh kar mom jama karke bazu pe bandhe to                       Aasani se bachcha paida ho jaen.Aur 100 martaba pad kar bhi pani pe dam karke pila diya                   jayen.

    20.  WajaA min Aqsal madeenati rajulun yasAAa qala ya qawmit tabioo almursaleen
           - ?????? ???? ??????? ???????????? ?????? ??????? ????? ??? ?????? ?????????? ??????????????

            Baanj autath isse zafran wa mushq se likh kar apne bazu ya gale me pahane to khuda aulad                 inayat karega.

    21.  Ittabioo man la yasalukum ajran wahum muhtadoon
           - ?????????? ??? ???? ???????????? ??????? ????? ????????????

           Jis Aurath ko 2 ladkiyan ho aur wo ab beta talab karna chahti ho to roza rakhe aur iss Aayath              ko zafran wa araq gulab se likh kar gale me ya bazu pe mom jama karke pahane to inshaa                    Allah agli aulad beta hoga.

    22.  Wamaliya la aAabudullazee fataranee wa'ilaihi turjaoon
           - ????? ??? ??? ???????? ??????? ????????? ?????????? ???????????

            Jis aurath ka bachcha abhi doodh pi raha hai aur naye hamal nahi rakhna chahte hain to iss                  Aayath ko likh kar gale me pahane to Hamal nahi taharta. Aayath ke liye aurath ka naam                      m,walida likh de.

    23.  Aa'Aattakhizu min doonihi alihatan in yuridnir rahman biddurrin la tughni AAannee                            shafaAAatuhum shayan wala yunqizooni
           - ??????????? ??? ??????? ??????? ??? ???????? ?????????? ??????? ???? ?????? ?????? ????????????? ??????? ????? ??????????

          Kisi bhi bimari se shifa ke liye iss Aayath ko zafran wa Araq gulab se kagaz pe likh kar usse               raath ko ek glass pani me dal kar rakh de aur subah nahar mooh yehi pani bismillah bol kar                 piliya karre,3 din iss tarha amal karne se bimari se shifa hasil hogi.

    24.   Innee izan lafee dalalin mubeen
            - ?????? ????? ?????? ??????? ????????

             Jis aurath ki aulad paida hote hi mar jati ho wo pahle achche se gusul kare aur phir iss Aayat                ko kisi hafiz qari se 1000 martaba padva kar pahle bhar pet pani pile itna piye ki uske bad ek             ghunt bhi na pi ja sake utna pet bhar jaye. Phir kuch pani jo pahale hi usme se alag karle use               dusre pak pani me mila kar usse dubara gusul karre. gusul ya to zamin me gadha khod kar                   karre ya phir kisi bade tab me kare ki pani kisi gandi jagah na jayen.gusal ke bad wo pani kisi             jagah dafan karde inshaa allah iss amal se Ayinda uski aulad hayyat rahegi.

    25.  Innee Amantu Birabbikum faismaAAoon
           - ?????? ?????? ??????????? ????????????

            Bukhar dur karne ke liye iss Aayath ko har girah pe ek martaba pade ayse 12 girha laga kar                 gale me pahnaye insha Allah Bukhar dur ho jaega.

    26.  Qeela Odkhuli al jannata qala ya laita qawmee yaAAlamoona
           -  ????? ??????? ?????????? ????? ??? ?????? ??????? ???????????

           Es Aayath ko likh kar safar ke waqht bazu pe bandh kar jayen to thakaan mahsoos na ho.

    27.  Bima ghafara lee rabbee waja'Aalanee mina almukrameen
           -  ????? ?????? ??? ?????? ??????????? ???? ??????????????

           Sar dard ke liye iss Aayath ko zafran wa araq gulab ki siahi se kagaz pe likh kar sar pe bandha            jayen ya phir gale me pahane insha allah kaisa bhi dard hoga thik ho jayega.

    28.  Wama anzalna Aala qawmihi min baAdihi min jundin minas samai wama kunna munazileen
           -  ????? ?????????? ????? ???????? ??? ???????? ???? ????? ????? ????????? ????? ?????? ??????????

            Jise qabz ki shikayath ho to mitti ke ek dhele pe iss Aayath ko 21 martaba qhabz dur hone ki               niyyath ko 21 martaba qhabz dur hone ki niyyath se pada jayen aur ek bartan jis me pani                     bhara ho usme dal de. Jab dhela pigal jayen to wo paani kisi pak saf jagah pe ya ped ki jad me             dal diya jayen insha allah chaand din aisa karne se kaisa hi purana khabz kyu na ho door ho                 jayega.

    29.  In kanath illa saihatan wahidatan fa'izzahum khamidoon
           - ??? ??????? ?????? ???????? ????????? ??????? ???? ??????????

            Jo bachcha rota rahta ho zid karta ho to iss Aayath ko likh kar uske jhule me bandhe ya phir                 sar ke niche sote waqht rakh diya kare.

    30.  Ya hasratan Aala al'yibadi ma yateehim mir Rasoolin illa kanu bihi yastahzioon
           - ??? ???????? ????? ?????????? ??? ?????????? ???? ???????? ?????? ??????? ???? ??????????????

            Dushman se aman hasil karne ke liye isse likh kar apne pas rakha jaye.

    31.  Alam Yarao kam ahlakna qablahum minal quruni annahum ilaihim la yarjioon
           - ?????? ??????? ???? ??????????? ????????? ????? ?????????? ????????? ?????????? ??? ???????????

           Isse likh kar sath me rakhne se hasidin se mahfooz rahe aur ruswa karne wale khud ruswa ho.              bahtar hai ki 30 aur 31 ko sath me likh kar pas rakha jayen taki sahih faida hasil ho.

    32.  Wa'iz kullal lamma jameeAun ladaina muhdaroon
           - ????? ????? ??????? ??????? ?????????? ???????????

            Jisse jinnath sataata ho pareshan karta ho to ye Aayath likh kar pahan len.

    33.  Wa'Ayatul lahumul Ardul maitatu ahyaynaha va akhrajna minha habban faminhu yakulu
           - ??????? ??????? ????????? ??????????? ?????????????? ????????????? ??????? ?????? ???????? ???????????

            Jisse bars sufaid daag ki bimari ho esse zafran wa araq gulab se likh kar bandhe aur subah                   sham pite rahe to insha allah iss marz se nijat hasil ho.

    34.  wajaalna fiha jannatin minnakhilin vaAanabin va fajjarna fiha mil Auyoon
           - ??????????? ?????? ???????? ??? ???????? ??????????? ???????????? ?????? ???? ??????????

            Dushman mukhalifin ki zuban bandi ke liye iss Aayath ko kaali roshnayi se likh kar wazni                   patthar se daba kar kisi andheri jagah rakh de. Aayath ke niche mukhalifin ke naam aur                       maqsad likhe.

    35.  Liyakuloo min samarihi wama Aamilathu Aydihim afala yashkurun
           -  ???????????? ??? ???????? ????? ?????????? ??????????? ??????? ???????????

           iss Aayath ko likh kar mayyat ke kafan me rakh de to mayyath ke azab e qabar se mahfooz                  rahne ki ummid hai.

    36.  Subhanallazi khalakhal azvaja kullaha mimma tunbitul arzu va min anfusihim o mimma la                  yalamuna
           -  ????????? ??????? ?????? ???????????? ???????? ?????? ??????? ????????? ?????? ??????????? ???????? ??? ???????????

           Nakseer yani naak se khoon baha raha ho aur band na ho raha ho to kalme ki ungli se peshani              pe is Aayath ko likhe to khoon bahna band ho jayega.

    37.  Wa'Ayatul lahumul lailu naslakhu minhun nahara fa'iza hum muzlimuna
           - ??????? ??????? ????????? ???????? ?????? ?????????? ??????? ??? ????????????

            Jo ye chahta ho ki uske ghar wale aur digar jo unsay milnay wale sath kaam karne wale log                 hain wo uski baath mana kare to iss ayath ko tanhayi me 300 martaba pozana padha kare.

    38.  Wa'Alash shamsu tajree limustaqarrin laha zalika taqdeeru alAazeezi alAaleem
           - ??????????? ??????? ????????????? ?????? ?????? ????????? ?????????? ??????????

            Dushman ko be izzath karne ke liye jab bhi dushman ko dekhe iss Aayath ko dil me padna                   shuru karday dushman be izzath ho jayega.

    39.  Wal Qhamara Qaddarnahu manazila hatta Aada KaalAurjooni alqadeem
           -  ??????????? ???????????? ????????? ?????? ????? ?????????????? ??????????

            Jo diwana ho gaya ho use is Aayath ko likh kar bandha jaen aur likh kar dho kar pilate bhi                   rahen to insha allah thik ho jayega.

    40.  Lashshamsu yanbaghi laha an tudrikal khamara valal lailu sabikhun nahari va kullu fee falakin            yasbahuna
           -  ??? ????????? ???????? ????? ??? ???????? ????????? ????? ????????? ??????? ?????????? ??????? ??? ?????? ???????????

           jumerath guzar kar jo jumma ki raat Aayen usme Aadhi raath yani karib 2 baje uth kar iss                   Aayath ko 7 martaba pad kar Allah se apni jaez hajath talab kare insha allah dusra jumma se               pahle puri ho jayen.
         


                                                                                                                                              Samar Ali.

Jadu Ka Ilaj


Rivayath hai ki lubaid Bin Aasim Yahudi aur uss betiyon ne Huzur Sayyide Alam Sallallahu Alaihi O Sallam par Jadu kar diya tha jis ka Asar Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke (Zahiri) jisme Mubarak par numudar hua. Lekin Aap ke kalb aur Akhal va yetikhad par kuch bhi asar nahi ho saka. Chand Roz ke baad Hazrate Jibrail Alaihis Salam Hazire Khidmath huve aur unhone arz kiya ki ya rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam ek yahudi ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam par jadu kar diya hai aur jadu ka jo kuch saman hai vo fulan kuvve me ek patthar ke niche daba diya gaya hai. Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne Hazrate Ali Raziyallahu Tala Anha ko bheja. Unhone kuvve ka pani nikal kar patthar uda ya to uss ke niche se khajur ke gabe ki theli bar amad huvi. Uss me Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke muye mubarakh jo kandhi se tute the aur kandhi ke tute huve  kuch dandane aur ek dor ya kamaan ka chilla jis me 11 girohen lagi huyi thi aur ek mom ka putla jis me 11 suinyan chubi thi. Ye saab saman patthar ke niche se nikala aur ye saab saman Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ki khidmath me laya gaya.

             Iss ke baad Quran e Majid ki dono suraten "Khul Aozubirabbil Falaki" aur " Khul Aozubirabbin Nasi" Nazil huyi. In dono suraton me 11 ayaten hain. Har ek Ayath ke padne se ek ek girha khulti jati thi. Yahi tak ki sab girhen khul gayi aur Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam bilkul shifayab ho gaye.Aur jadu ka sara saman zere zamin dafan kar diya gaya.

Darse Hidayath:

              Tavijath aur Amliyath jis me koi lafz kufro shirk ka na ho jayiz hai. Isi tarha Gande banana aur in par girhen laga kar ayaten Quran aur Asmaye Ilahiyya pad kar funk marna bhi jayiz hai. jamhur sahaba aur tabeyina isi par hain, Aur hadise Ayesha Raziyallahu Tala Anha me hain ki jab Huzur Sayyide Alam Raziyallahu Tala Anha ke ghar volon me se koi bimar hota to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam in dono suraton ko pad kar uss par dam farmate the.



            Aur Bukhari va Muslim ki Hadis me hai ki Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam Rath ko jab bistare mubarakh par tashrif late to Apne dono haton par dam farmaya karte aur apne saar se paon tak pure jisme mubarakh par apne dono haton ko firaya karte the jahan tak daste mubarakh pahunch sakte, Ye amal tin martaba farmate.




         Khulasa ye hai ki "Khul Aozubirabbil Falaki" aur " Khul Aozubirabbin Nasi" ye dono suraten jinn va shayatin aur nazare baad va aseb aur tamam amraz khususan jadu tona ka mujarrab ilaz hai. In ko likh kar taviz banayen aur jale me pahanayen aur in ko bar bar pad kar mriz par dam karen aur khane pani aur davaon par pad kar funk maren aur mariz ko khilayen pilayen. Insha Allah har maraz khususan jadu tona dafa ho jayega aur mariz shifayaab ho jayega. Isi tarha Quran e Majid ki dusri tamam suraton ke khususi khavas hai jin ko "Jannati Zevar" me tafsil ke sath pad sakenge. Aur in amal ki har sunni musalman pabande shariath ko ham ne ijazath bhi de di hai. Lihaza sunni musalmano ko chahiye ki vo in amale Qurani ke Favayid va manafeA se khud bhi fozyab ho aur dusre logon ko bhi faida pahunchayen. Hadis Sharif me hai ki 
                                   Yani Behtarin Admi Vo hai jo logon ko nafa pahunchaye.

Surah Falaq


  Tarjuma e Kanzul Imaan

                    Tum Farmao Main Uss Ki Panah Leta Hun Jo Suboh Ka Paida Karne Vala Hai Uss Ki Saab Makhlukh Ke Shaar Se Aur Andheri Dalne Vale Ke Shar Se Jaab Vo Dube Aur Un Auraton Ke Shaar Se Jo Girho Me Funkti Hai Aur Hasad Vale Ke Shar Se Jaab Vo Mujh Se Jale.

Suratunnas


Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Tum kaho main uss ki panah me Aaya jo Saab Logon ka Rab Sab logon ka badshaah sab logon ka khuda uss ke shar se jo dil me bade khatre dale aur dabak rahe vo jo logon ke dilo me vasvase dalte hain jin aur admi.